सोमवार 5 फ़रवरी 1979 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

05-02-79 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

‘ ‘ madhuban nivāsiyō̃ kē sāth bāp dādā key|kī rūh rūhān ’ ’

Āj viśhēṣh yādgār bhūmi , jiskī mahimā āj bhī bhakta lōg kar rahē haĩ aisē mahān bhūmi vā mahān tīrtha sthān par rahnē vālē viśhēṣh bhāgyaśhālī ātmāō̃ sē milnē āyē haĩ . Jaisē bhūmi samarth hai , jis bhūmi mē̃ ānē sē anēk ātmāō̃ kā vyarth samāpt hō jātā hai - sab samarth ban jātē haĩ , anēk prakār K|kē anubhavō̃ kā khazānā sahaj prāpt kar lētē - aisī bhūmi jis dvārā jō vardān chāhē̃ vah vardān yād aur bhūmi K|kē ādhār sē sahaj hī pā saktē haĩ . Aisī bhūmi K|kē nivāsī svayã kyā hōṅgē  ! Bhakta lōg is divya bhūmi K|kē vā śhrēṣhṭh sthān K|kē darśhan kē liē ab tak bhī taṛapatē rahtē . Aisē bhūmi par rahnē vālē darśhanīy mūrt haĩ  ? Jaisā sthān kā mahatva hai aisē hī sthiti bhī rahtī hai vā sthiti sē sthān key|kī mahimā jyādā hai  ? Dūr rahnē vālē sirph madhuban key|kī smr̥iti sē hī samarth ban jātē haĩ - tō madhuban nivāsī kyā hōṅgē  ? Jaisā mahatva hai vaisē hī mahān haĩ  ? Madhuban sthūl sūkṣhma prāptiyō̃ kā bhaṇḍārā haĩ - sabhī apnī speed aur stage śhrēṣhṭh samajhtē hō  ? Madhuban nivāsiyō̃ kō jō sādhan haĩ , saṅg haĩ , bhūmi K|kē mahatva kā sahyōg hai , vāyumaṇḍal kā sahaj sādhan hai usī pramāṇ siddhi svarūp hai  ? Varṣh bītē , yah varṣh bhī bīt gayā , nayā varṣh chālū hō gayā iskā bhī mās pūrā hō gayā - ēk mās key|kī rījalṭa mē bhī anubhav kyā rahā . Chaṛhtī kalā kā anubhav rahā  ? Her|har kadam jamā karnē vālā arthāt samarth rahā - svayã kē prati aur sarv kē prati vighna vināśhak rahē  ? Jabki samay samīp ā rahā hai tō chārō̃ hī subject mē̃ marks chāhiē . Jaisē sēvā kē liē sabhī K|kē mukh sē ēk āvāz nikaltā hai ki sēvādhārī bahut achchhē haĩ , vaisē hī gyān - yōg aur dhāraṇāyukta bhī hō̃ . Jaisē total vāyumaṇḍal mē̃ svarg kā anubhav kartē haĩ , vaisē vyaktigat bhī svargavālē arthāt sarv prāpti svarūp anubhav karē̃ . Chaltē phirtē ēk dō kō phariśhtā nazar āyē̃ . Achchhā –

Is varṣh sabhī varg vālō̃ kō samparka mē̃ lāō . Aisē samparka mē̃ hō̃ jō apnī authority sē iśhārā miltē hī sab kārya sampann kar dē̃ . Samay par samparka kartē hō , bād mē̃ samparka halkā hō jātā hai , abhī samparka baṛhāō . Jaisē śhurū mē̃ lakṣhya rahtā thā ki harēk kā bhāgya zarūr banānā hai , vaisē ab lakṣhya hō ki her|har varg key|kī ātmāō̃ kō samparka mē̃ lākar viśhēṣh sēvā K|kē arth|earth nimitt banākar sahyōg lē̃ . Abhī sabhī sthānō̃ par madhyam quality hai , lēkin ākhrīn tō sab tak pahuñchnā hai , aisī viśhēṣh ātmā nikalē jō ēk dvārā anēkō̃ kō sandēśh prāpt hō jāē . Umaṅg-utsāh paidā hō jāē , tab tō queue lagēgī . Is varṣh yah quality key|kī service hōnī chāhiē . Viśhva pitā kā title hai tō viśhva mē̃ tō variety chāhiē nā . Nāstik bhī hō̃ tō bhī samparka mē̃ jarūr āyē̃ . Gyān kō bhī na sunē̃ lēkin parivartan dēkhkar samparka mē̃ āyē̃ . Naī viśhva K|kē sthāpanā kē liē sab prakār K|kē bīj chāhiē . Tab viśhva kalyāṇkārī ban sakē̃gē . Dharm , rājya K|kē nētāyē̃ bhī itnā jarūr mānē̃ ki inhō̃ kā parivartan aur jō vidhi hai vah bahut achchhī hai . Dharm nētāyē̃ bhī aisē anubhav kar sahyōg mē̃ āyēṅgē . Achchhā –

Teachers kē sāth mulākāt  :

Sabhī teachers viśhēṣh sēvādhārī arthāt bāp kō apnī vāṇī dvārā aur karma dvārā pratyakṣha karnā . Pratyakṣha karnā hī viśhēṣh sēvādhāriyō̃ kā karttavya hai - ab tak jō kiyā vah yathāśhakti number-vār purūṣhārth anusār bahut achchhā kiyā lēkin ab tak result mē̃ ātmāō̃ kō yah anubhav - ki yah mahān ātmāyē̃ haĩ , mahān jīvan vālī haĩ yah anubhav kōī-kōī ātmāō̃ nē kiyā aur varṇan bhī kartē haĩ lēkin ab bākī kyā rahā  ? Bāp nē jīvan banākar bachchō̃ kō āgē kiyā jō jīvan key|kī mahimā kartē rahtē lēkin ab bachchō̃ kā kartavya kyā haĩ  ?

Jō bāp backbone hai , guptarūp mē̃ part bajā rahē haĩ , bāp kō pratyakṣha karnā hai , sunānē vālō̃ kō pahchāntē haĩ , lēkin banānē vālā abhī bhī gupta hai tō ab banānē vālē kō pratyakṣha karnā arthāt vijay kā jhaṇḍā laharānā hai . Viśhēṣh jis samay stage par ātē hō us samay svayã bhī bāp K|kē snēh aur prāpti mē̃ lavlīn svarūp hō - jaisē laukik rīti sē bhī̃ kōī kiskē snēh mē̃ lavlīn hōtā hai tō chēhrē sē , nayanō̃ sē , vāṇī sē anubhav hōtā hai ki yah lavlīn haĩ - āśhuk hai - aisē jab stage par ātē hō tō jitnā apnē andar bāp kā snēh emerge hōgā utnā snēh kā bāṇ aurō̃ kō bhī snēh mē̃ ghāyal kar dēgā .

Bhāṣhaṇ key|kī link sōchnā , points duharānā , yah svarūp nahī̃ hō lēkin snēh aur prāpti kā sampann svarūp hō - authority hō - jis chīz key|kī authority hōtē haĩ unkō sōchnā nahī̃ paṛtā hai . Sōchā huā hī hōtā hai . Stage par ānē K|kē pahlē manan karkē buddhi mē̃ pahlē sē hī topic kā spaṣhṭīkaraṇ kar lēnā chāhiē . Us samay is attention mē̃ nahī̃ rahnā chāhiē . Topic taiyār hōgī tō topic key|kī bhī authority hō bōlē̃gē . Point kō hī sōchtē rahē̃gē tō authority anubhav nahī̃ hōgī . Pahlē snēh ōr prāpti svarūp hō - dūsrā jab bōlnā śhurū kartē hō tō ēk andar key|kī authority aur bōl mē̃ pahlē dil key|kī āvāz sē bāp key|kī mahimā hō - jaisē din hai śivarātrī kā - tō śivarātrī arthāt bāp kō pratyakṣha karnē kā din isī kō hī paramātm-bāmba kahā jātā . Jō andar mē̃ samāyā huā hai vah lōgō̃ kō pratyakṣha dikhāī dē . Yah hai bomb kā phaṭnā . Jaisē bomb phaṭtā hai tō kyā kartā hai - sabkō agni mē̃ jalā dētā hai tō yah paramātm-bāmba arthāt snēh kā bomb , sambandh jōṛnē kā bomb - dil K|kē āvāz sē mahimā karnē kā bomb - sabhī kō lagan mē̃ magan key|kī āg mē̃ sabhī kō hilā dē . Jab bomb phaṭtā hai tō sab hil jātē haĩ nā . Tō sabkī buddhi kō hilāvē yah kiskī mahimā hai  ! Yah kiskī authority sē bōl rahē haĩ , yah kyā aur kiskā sandēśh dē rahē haĩ - authority bhī hō , madhurtā bhī hō - śhabdō̃ key|kī madhurtā hō lēkin andar samāī huī authority hō - śhabda bhī merciful key|kī bhāvnā K|kē hō̃ - spaṣhṭ bhī kartē rahē̃ lēkin spaṣhṭ kartē huē bāp key|kī mahimā kartē huē sambandh bhī jōṛtē jāē̃ . Ham yah kyō̃ kahtē , issē kyā prāpti hōgā , ham lōgō̃ kā anubhav kyā hai . Ēk ghaṛī key|kī bhī prāpti kyā hai . Aisē bīch-bīch mē̃ nizī anubhav kā āvāz lagē - sirph bhāṣhaṇ nahī̃ lagē - lagan mē̃ magan mūrt anubhav hō - yah navīntā hai - lōg kahtē haĩ lēkin svarūp nahī̃ bantē - āpkā bōl aur svarūp dōnō̃ sāthasāth hō̃ - spaṣhṭ bhī hō̃ , snēh bhī hō , namratā bhī , madhurtā bhī aur mahāntā bhī hō , satyatā bhī hō lēkin svarūp key|kī namratā bhī hō , isī rūp sē bāp kō pratyakṣha karnā hai . Nirbhay hō lēkin bōl maryādā K|kē andar hō̃ - dōnō̃ bātō̃ kā balance hō - jahā̃ balance hōtā hai vahā̃ kamāl dikhāī dētī hai aur vah śhabda kaṛē nahī̃ , mīṭhē lagtē haĩ tō authority aur namratā dōnō̃ K|kē balance key|kī kamāl dikhāō . Iskō kahā jātā hai bāp key|kī pratyakṣhatā kā sādhan . Jaisē jhūṭhē śhāstrō̃ key|kī authority vālē bhī kitnī authority sē bōltē haĩ . Jō bilkul asatya bāt uskō kaisē siddh kar batātē haĩ . Na sirph siddh kartē haĩ lēkin manavātē bhī haĩ , satvachan mahārāj kahalavātē bhī haĩ , jab vah jhūṭh key|kī authority vālē bhī itnā prabhāv ḍāl saktē yah tō anubhav K|kē bōl haĩ-prāpti svarūp K|kē bōlē haĩ - bāp sē sambandh hai uskī bātē̃ haĩ , tō kyō̃ nahī̃ kahalavāyēṅgē vā manavāyēṅgē . Tō ab samjhā kyā karnā hai –

Parichay kō pūrā spaṣhṭ karnā hai - ēk point sunākar bāp K|kē taraph attention khiñchvāō , sārī points bōlkar bāp key|kī mahimā K|kē bōl , bōl karkē bāp taraph attention khiñchvāō , bār-bār patthar par snēh kā pānī ḍāltē jāō tab yah patthar pānī hōgā .

Aur jitnā hō sakē silence kā prabhāv hō - rūp rēkhā hī alaukik hō - simple svachchha , rūhāniyat vā pyūriṭī K|kē vibration hō̃ - sunnē vālī jō sahyōgī brāhmaṇ ātmāyē̃ hōtī unhō̃ mē̃ bhī vāyumaṇḍal kō banānē kā saṅkalp hō - jaisē agarbattī vāyumaṇḍal kō parivartan kar dētī vaisē sab brāhmaṇ ātmāō̃ key|kī vr̥itti rahm key|kī vr̥iti agarbattī kā kām karē - jō ānē sē hī unkō mahsūs hō yah sabhā kōī alaukik sabhā hai . Achchhā - snēh milan sē snēh key|kī jhōlī bharkar jāvēṅgē aur phir sabkō snēh bā̃ṭ dēgē . Bāp kā snēh - aisā snēh svarūp hō jāvēṅgē jō sabkō āpkē chitra , chalan sē bāp kā snēh nazar āyē . Aisā milan manā rahē hō nā . Snēh milan arthāt dr̥iṛh saṅkalp dvārā svaparivartan aur sab K|kē parivartan sahyōgī bannā . Yah hai snēh milan key|kī viśhēṣhtā . Snēh milan arthāt practical saṅskār milan - jaisē milan mē̃ hāth miltē haĩ nā - yah milan haĩ saṅskār milan - agar sabkē saṅskār milkar bāp samān hō jāē̃ - ēk hī sabkē saṅskār hō jāē̃ tō kyā hōgā  ? Ēk rājya , ēk dharm vālī duniyā ā jāvēgī . Yahā̃ ēk hōnā hī ēk dharm ēk rājya kī duniyā kō lānē kā ādhār banēgī . Snēh milan arthāt complain khatm aur complete hōkar jāē̃ . Ulhanē khatm ullās mē̃ ā jāyē̃ - yah hai snēh milan .

Vidēśhī bhāī bahanō̃ sē mulākāt  : bāpdādā sabhī lavlīn rahnē vālē bachchō̃ kō dēkh harṣāt hōtē haĩ - jō sadā lavlīn rahtē uskī niśhānī kyā hōtī  ? Lavlīn ātmā kō yād mē̃ rahnē kā purūṣhārth nahī̃ karnā paṛēgā . Lēkin svataḥ yōgī hōgā . Sivāy bāp aur sēvā K|kē kuchh dikhāī nahī̃ dēgā . Jab buddhi kō ēk hī ṭhikānā mil jātā tō buddhi kā bhaṭaknā svataḥ hī band hō jātā . Lavlīn ātmā sarv prāptiyō̃ mē̃ rah aurō̃ kō prāpti karānē mē̃ tatpar hōgī . Isliē sadā māyājīt hōgī - lavlīn rahnē vālē hō yā mēhnat karnē vālē hō - vidēśh mē̃ rahnē vālī ātmāō̃ kō viśhēṣh vidēśh key|kī sēvāartha yōgī jīvan kā anubhav sēvā mē̃ saphaltā mūrt banā saktā hai . Jitnā-jitnā apnī stage kō powerful banāvēṅgē , powerful arthāt sarv prāpti K|kē anubhavī mūrt . Tab saphaltāmūrt hōṅgē . Kyōṅki din pratidin variety prakār key|kī ichchhā vālī ātmāyē̃ āpkē sāmnē āvēṅgī tō sarv ichchhāō̃ kō pūrṇ karnē vālē tab ban sakē̃gē jab sarv prāpti K|kē anubhavī svarūp hōṅgē . Āpkō sabhī ḍhūṛhanē āvēṅgē ki sukh śhānti K|kē master dātā kahā̃ haĩ  ! Jab apnē pās|pass sarvśhaktiyō̃ kā stock hōgā tab tō sabkō santuṣhṭ kar sakē̃gē . Jaisē vidēśh mē̃ rivāj hai ēk hī store mē̃ sab chīzē̃ mil jātī . Aisē āpkō bhī bannā hai . Aisē bhī nahī̃ ki sahan śhakti hō lēkin sāmnā karnē key|kī śhakti nahī̃ . Sarvśhaktiyō̃ kā stock chāhiē tab saphaltā mūrt ban sakē̃gē . Abhī vidēśh mē̃ mansā sēvā kā vātāvaraṇ aur bhī powerful banāō . Kyōṅki vahā̃ key|kī variety ātmāyē̃ vāyumaṇḍal sē prabhāvit hōṅgī . Pahlē vibration unhō̃ kō khīchēṅgā phir knowledge sun sakē̃gē . Mansā sēvā karnē kē liē sadā ēkāgratā kā abhyās chāhiē . Vyarth samāpt hō tab mansā sēvā kar sakē̃gē . Madhuban sē mansā powerful service kā anubhav karkē aur vahā̃ kē liē abhyāsī bankar jāō . Jō bhī dēkhē̃ vah anubhav karē̃ ki yah śhaktiyō̃ key|kī khān āyē huē haĩ . Jō śhaktiyā̃ anubhav mē̃ ā gaī tō anubhav sadākāl jīvan kā aṅg hōtā hai , jyādā sē jyādā anubhavō̃ key|kī khān bankar jā rahē haĩ  ? Jaisē bāp paraphaikṭa hai tō bachchē bhī bāp samān - kōī ḍīphaikṭa na hō . Achchhā .

Sēvādhārī group sē bāt cīt

Sēvādhārī arthāt bāp samān . Kyōṅki bāp bhī sēvādhārī bankar ātē haĩ . Bāp kā svarūp hī hai viśhva sēvak . Jaisē bāp viśhva sēvādhārī hai vaisē āp sab bhī bāp samān viśhva sēvādhārī hō  ! Śharīr dvārā sthūl sēvā kartē hō lēkin mansā dvārā viśhva parivartan key|kī sēvā mē̃ tatpar rahtē . Tan-man dōnō̃ mē̃ sēvādhārī . Ēk hī samay par dōnō̃ hī ikaṭṭhī sēvā kartē hō . Aisē nahī̃ tan key|kī sēvā kartē tō man key|kī nahī̃ kar saktē . Dōnō̃ hī ēk samay par karnē sē double prāpti hōgī . Double sēvādhārī hī double tājdhārī bantē haĩ . Agar single sēvā karē̃gē tō double tāj nahī̃ milēgā . Karma kartē huē caik karō double sēvā kē badlē single tō nahī̃ hō gaī . Attention rakhtē-rakhtē saṅskār ban jāyēṅgē . Jō mansā aur karmaṇā dōnō̃ sēvā sāth-sāth kartē , sākṣhātkār dēkhnē vālē kō anubhav hōgā yah kōī alaukik śhakti hai . Lōg svataḥ hī āpkē pīchhē hōṅgē . Isī abhyās kō āgē baṛhāō . Itnā abhyās baṛhāō jō natural aur nirantar hō jāē . Achchhā –