शुक्रवार 23 दिसंबर 1983 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
23-12-83 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban
Double light key|kī sthiti sē mēhnat samāpt
Dēśh-vidēśh sē padhārē lavlīn bachchō̃ kē prati bāpdādā bōlē :
Āj dūr dēśh mē̃ rahnē vālē bāpdādā , dūrdēśhī bachchō̃ sē milnē kē liē āyē haĩ . Āp sab bhī dūrdēśh sē āyē hō tō bāpdādā bhī dūrdēśh sē āyē haĩ . Sabsē dūr sē dūr aur nazdīk sē nazdīk bāpdādā kā dēśh hai . Dūr itnā hai jō is sākār duniyā key|kī bāuṇḍrī sē bahut dūr hai . Lōk hī dūsrā hai . Āp sabhī sākār lōk sē āyē haĩ aur bāpdādā sākār lōk sē bhī parē parlōk sē via sūkṣhmavatan brahmā bāp kō sāth lāyē haĩ . Aur nazdīk bhī itnā hai jō second mē̃ pahũch saktē hō nā . Āp lōgō̃ kō ānē mē̃ kitnē ghaṇṭē lagtē haĩ aur kitnā mēhnat kā kamāyā huā dhan dēnā paṛā . Kitnā samay lagā dhan ikaṭhaṭhā karnē mē̃ . Aur bāp K|kē vatan sē ānē aur jānē mē̃ kharchā bhī nahī̃ lagtā hai . Sirph snēh key|kī pūṅjī , iskē dvārā second mē̃ pahũch jātē hō . Kōī mēhnat tō nahī̃ lagtī hai nā . Bāpdādā jāntē haĩ ki rājya-bhāgya ganvānē kē bād bachchē anēk janm bhinn-bhinn prakār key|kī tan key|kī , man key|kī , dhan key|kī mēhnat hī kartē rahē haĩ . Kahā̃ viśhva K|kē mālik tāj , takhtadhārī , sarv prāptiyō̃ K|kē bhaṇḍār K|kē mālik ! Prakr̥iti bhī dāsī ! Aisē rājya adhikārī , rājya bhāgya karnē vālē , ab adhīn bannē sē kyā kar rahē haĩ ! Naukrī kar rahē haĩ ! Tō mēhnat huī nā . Kahā̃ rājē aur kahā̃ kamāī karkē khānē vālē government K|kē servant hō gayē . Kitnē janm śharīr kō chalānē kē liē , śharīr nirvāh kā karma , man kō bāp sē lagānē kē liē bhinn-bhinn sādhanāyē̃ , anēk prakār key|kī bhakti aur dhan kō ikaṭhaṭhā karnē kē liē kitnē prakār K|kē bhinn-bhinn janmō̃ mē̃ bhinn-bhinn kārya kiyē . Aisē tāj-takhtadhārī sukh-chain sē palnē vālē kō kyā-kyā karnā paṛā . Tō bachchō̃ key|kī mēhnat kō dēkh bāpdādā nē mēhnat sē chhuṛāē sahaj yōgī banā diyā hai . Second mē̃ svarājya-adhikārī banāyā nā . Mēhnat sē chhuṛāyā nā . Yah sab sōchtē haĩ ki naukrī sē tō nahī̃ chhuṛāyā . Lēkin abhī kuchh bhī kartē hō apnē liē nahī̃ kartē hō . Īśhvarīy sēvā kē prati kartē hō . Abhī mērā kām samajhkar kar nahī̃ kartē hō . Trustee ban karkē kartē hō . Isliē mēhnat muhabbat mē̃ badal gaī . Bāp key|kī muhabbat mē̃ , sēvā key|kī muhabbat mē̃ , milan manānē key|kī muhabbat mē̃ - mēhnat nahī̃ lagtī .
Dūsrī bāt , karāvanhār bāp hai . Nimitt karnē vālē āp hō . Sarvśhaktivān bāp key|kī śhakti sē arthāt smr̥iti K|kē connection sē abhī nimitt mātra kārya karnē vālē hō . Jaisē light K|kē connection sē baṛī-baṛī machinery chaltī hai . Tō ādhār hai light . Āp sabhī her|har karma kartē connection K|kē ādhār sē svayã bhī double light ban chaltē rahtē hō nā . Jahā̃ double light key|kī sthiti hai vahā̃ mēhnat aur muśhkil śhabda samāpt hō jātā hai . Naukrī sē nahī chhuṛāyā lēkin mēhnat sē chhuṛāyā nā . Bhāvnā aur bhāv badal gayā nā . Ṭrasṭīpan kā bhāv aur īśhvarīy sēvā key|kī bhāvnā , tō badal gayī nā . Abhī apanā-pan hai ? Tīn pair pr̥ithvī tō milī hai vah bhī bābā kā ghar kahtē hō nā . Mērē ghar tō nahī̃ kahtē hō nā . Apnē ghar mē̃ nahī̃ rahtē . Bāp K|kē ghar mē̃ rahtē hō . Bāp K|kē direction sē kārya kartē hō . Apnī ichchhā sē , apnī āvaśyakatāō̃ K|kē kāraṇ nahī̃ kartē . Jō direction bāp kā , usmē̃ niśhchint aur nyārē hōkar kartē jō milā bāp kā hai vā sēvā arth|earth hai . Bhalē śharīr prati bhī lagātē hō lēkin śharīr bhī apnā nahī̃ hai . Vah bhī bāp kō dē diyā nā . Tan-man-dhan sab bāp kō dē diyā hai nā vā kuchh rakhā hai kinārē karkē , aisē tō nahī̃ hō nā . Tō bāpdādā nē bachchō̃ key|kī janm-janm key|kī mēhnat dēkh ab sē anēk janmō̃ tak mēhnat sē chhuṛā diyā . Yahī niśhānī hai bāp aur bachchō̃ K|kē muhabbat key|kī .
Jaisē āp sab special milnē āyē hō , bāpdādā bhī special milnē āyē haĩ . Brahmā bāp kō bhī vatan sē lē K|kē āyē haĩ . Brahmā bāp kā jyādā snēh hai . Bāp kā tō hai hī lēkin brahmā bāp kā jyādā snēh hai . Double vidēśhiyō̃ sē viśhēṣh snēh kyō̃ hai ? Brahmā bōlē - vidēśhī bachchō̃ kā bahut samay sē āhvān kiyā . Kitnē varṣhō̃ sē pahlē bachchō̃ kā āhvān kiyā . Usī āhvān sē vidēśh sē bāp kē pās pahũchē . Tō bahut samay jiskā āhvān kiyā jāē aur bahut samay K|kē āhvān kē bād vah bachchē pahũchē tō jarūr viśhēṣh pyār hōgā nā . Tō brahmā bāp nē bahut snēh sē sākār rūp mē̃ vāris bannē kā , āp sabkō āhvān kiyā . Samjhā . Suntē rahtē hō nā ki kitnē varṣh pahlē āpkō janm diyā . Garbh mē̃ tō ā gayē thē paidā pīchhē huē hō sākār rūp mē̃ . Isliē brahmā bāp kō viśhēṣh snēh hai aur bhaviṣhya key|kī takdīr jāntē huē snēh hai .
Jānkī dādī kō dēkh
Sabhī double vidēśhī jaisē bāp kō dēkh karkē khuśh hōtē haĩ vaisē āpkō bhī dēkh karkē khuśh hōtē haĩ kyōṅki bāp sē lī huī pālnā kā pratyakṣha rūp sākār mē̃ āp nimitt bachchō̃ sē sīkhtē haĩ . Isliē viśhēṣh āp sē bhī sabhī kā pyār hai . Dādī vā dīdī jō bhī nimitt ātmāē̃ haĩ unhō̃ key|kī viśhēṣhtā yahī dikhāī dētī jō unmē̃ bāp kō dēkhē̃gē . Yahī bāp key|kī pālnā kā viśhēṣh anubhav kartē . Jab bhī dīdī dādī sē miltē hō tō kyā dēkhtē hō ! Bāp sākār ādhār sē mil rahē haĩ . Aisē anubhav hōtā hai nā . Yahī viśhēṣh ātmāō̃ key|kī pālnā hai , jō āp gum hō jāyēṅgē aur bāp dikhāī dēgē . Kyōṅki unhō̃ K|kē her|har saṅkalp , her|har bōl mē̃ sadā bābā-bābā hī rahtā hai . Tō aurō̃ kō bhī vō hī bābā śhabda sunāī vā dikhāī dētā hai . Āj dīdī bhī yād ā rahī hai . Gupta gaṅgā hō gaī nā . Vaisē bhī 3 nadiyō̃ mē̃ ēk nadī gupta hī dikhātē haĩ . Abhī dīdī tō dādī mē̃ samāī huī hai nā . Sūkṣhma rūp mē̃ vah bhī apnī bhāsnā dē rahī hai . Kyōṅki karmbandhanī ātmā nahī̃ hai . Sēvā K|kē sambandh sē part bajānē gaī hai . Karmbandhanī ātmāē̃ jahā̃ haĩ vahā̃ hī kārya kar saktī haĩ . Aur karmātīt ātmāē̃ ēk hī samay par chārō̃ ōr apnā sēvā kā part bajā saktī haĩ . Kyōṅki karmātīt haĩ . Isliē dīdī bhī āp sabkē sāth hai . Karmātīt ātmā kō double part bajānē mē̃ kōī muśhkil nahī̃ . Speed bahut tīvr hōtī hai . Second mē̃ jahā̃ chāhē vahā̃ pahũch saktī hai . Viśhēṣh ātmāē̃ apnā viśhēṣh part sadā bajātī haĩ . Isliē hī havā K|kē muāphik chalī gaī nā . Jaisē anādi avināśhī programme banā huā hī thā . Yah bhī vichitr part thā . Śhurū sē lēkar dīdī kā vichitr trance kā part rahā . Ant mē̃ bhī vichitr rūp K|kē trance mē̃ hī transfer hō gaī . Achchhā
Sabhī dēśh-vidēśh K|kē chātrak bachchō̃ kō kalp K|kē sikīladhē bachchē kō , sadā bāp K|kē snēh mē̃ lavlīn rahnē vālē lavlīn ātmāō̃ kō bāpdādā kā yādap yār aur namastē .
Personal mulākāt
Kahā̃-kahā̃ sē bāpdādā nē chunkar apnē allāh K|kē bagīchē mē̃ lagā liyā . Yah khuśhī rahtī hai nā ! Abhī sabhī rūhānī gulāb ban gayē . Sadā aurō̃ kō bhī rūhānī khuśhbū dēnē vālē rūhē gulāb hō . Kōī bhī āp sabkē samīp ātā hai , samparka mē̃ ātā hai tō āp sabhī sē kyā mahsūs kartā hai ? Samajhtē haĩ ki yah rūhānī haĩ . Alaukik haĩ . Laukiktā samāpt hō gayī . Jō bhī āpkī taraph dēkhē̃gē unkō phariśhtā rūp hī dikhāī dē . Phariśhtē ban gayē nā . Sadā double light sthit mē̃ sthit rahnē vālē phariśhtā dikhāī dēgē . Phariśhtē sadā ū̃chē rahtē haĩ . Phariśhtō̃ kō chitra rūp mē̃ bhī dikhāyēṅgē tō paṅkh dikhāyēṅgē . Kisliē ? Uṛtē pañchhī haĩ nā . Tō pañchhī sadā ūpar uṛ jātē . Tō bāp milā , ū̃chā sthān milā , ūñchī sthiti milī aur kyā chāhiē !
( vidēśhī bachchō̃ K|kē return mē̃ )
Sabkī dil K|kē pyār bharē yād-pyār patra tathā yād milī . Bachchē mīṭhī-mīṭhī rūh-rūhān bhī kartē tō kabhī-kabhī mīṭhē-mīṭhē ulhanē bhī dētē haĩ . Kab bulāyēṅgē , kyō̃ nahī̃ hamkō madad kartē jō ham pahũch jātē . Aisē ulhanē bhī bāp kō priya lagtē haĩ . Kyōṅki bāp kō nahī̃ kahē̃gē tō kiskō kahē̃gē ! Isliē bāpdādā kō bachchō̃ kā lāṛ-pyār achchhā lagtā hai . Isliē bāp K|kē pyārē haĩ aur sadā bāp K|kē pyārē hōnē K|kē kāraṇ return mē̃ bāp dvārā snēh aur sahyōg miltā hai .
Achchhā - ōm śhānti