बुधवार 19 दिसंबर 1984 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

19-12-84 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Sarvaśhrēṣhṭha , sahaj tathā spaṣhṭ mārg

Sarvaśhrēṣhṭha sāthī , sahaj-saral mārg pradarśak śhiv bābā apnē bhāgyavān bachchō̃ prati bōlē –

Āj bāpdādā viśhēṣh snēhī , sadā sāth nibhānē vālē apnē sāthiyō̃ kō dēkh rahē haĩ . Sāthī arthāt sadā-sāth rahnē vālē . Her|har karma mē̃ , saṅkalp mē̃ sāth nibhānē vālē . Her|har kadam par kadam rakh āgē baṛhnē vālē . Ēk kadam bhī manmat , parmat par uṭhānē vālē nahī̃ . Aisē sadā sāthī kē sāth nibhānē vālē sadā sahaj mārg kā anubhav kartē haĩ kyōṅki bāp vā śhrēṣhṭh sāthī her|har kadam rakhtē huē rāstā spaṣhṭ aur sāph kar dētē haĩ . Āp sabkō sirph kadam kē ūpar kadam rakhkar chalnā hai . Rāstā sahī hai , sahaj hai , spaṣhṭ hai - yah sōchnē key|kī bhī āvaśhyaktā nahī̃ . Jahā̃ bāp kā kadam hai vah hai hī śhrēṣhṭh rāstā . Sirph kadam rakhō aur her|har kadam mē̃ padma lō|low . Kitnā sahaj hai  ! Bāp sāthī ban sāth nibhānē kē liē sākār mādhyam dvārā her|har kadam rūpī karma karkē dikhānē kē liē sākār sr̥iṣhṭi par avatarit hōtē haĩ . Yah bhī sahaj karnē kē liē sākār kō mādhyam banāyā hai . Sākār mē̃ follow karnā vā kadam par kadam rakhnā tō sahaj hai nā . Śhrēṣhṭh sāthī nē sāthiyō̃ kē liē itnā sahaj mārg batāyā - kyōṅki bāp sāthī jāntē hai ki jin sāthiyō̃ kō sāthī banāyā hai , yah bahut bhaṭakē huē hōnē K|kē kāraṇ thakē huē haĩ . Nirāśh haĩ , nirbal haĩ . Muśhkil samajh dilśhikasta hō gayē haĩ isliē sahaj sē sahaj sirph kadam par kadam rakhō . Yahī sahaj sādhan batātē haĩ . Sirph kadam rakhnā āpkā kām hai , chalānā , pār pahuñchānā , kadam-kadam par bal bharnā , thakāvaṭ miṭānā yah sab sāthī kā kām hai . Sirph kadam nahī̃ haṭāō . Sirph kadam rakhnā yah tō muśhkil nahī̃ hai nā . Kadam rakhnā arthāt saṅkalp karnā . Jō sāthī kahē̃gē , jaisē chalāyēṅgē vaisē chalē̃gē . Apnā nahī̃ chalāyēṅgē . Apnā chalnā arthāt chillānā  ! Tō aisā kadam rakhnā ātā hai nā . Kyā yah muśhkil hai  ? Jimmēvārī lēnē vālā jimmēvārī lē rahē haĩ tō uskē ūpar jimmēvārī saumpanē nahī̃ ātī hai  ? Jab sākār mādhyam kō mārg-darśan svarūp banāē sample bhī rakhā phir mārg par chalnā muśhkil kyō̃  ? Sahaj sādhan second kā sādhan hai . Jō sākār rūp mē̃ brahmā bāp nē jaisē kiyā jō kiyā vahī karnā hai . Follow father karnā hai .

Her|har saṅkalp kō verify karō . Bāp kā saṅkalp sō mērā saṅkalp hai . Kāpī karnā bhī nahī̃ ātā  ? Duniyā vālē kāpī karnē sē rōktē haĩ aur yahā̃ tō karnā hī sirph ‘ kāpī ’ haĩ . Tō sahaj huā yā muśhkil huā  ? Jab sahaj , saral , spaṣhṭ rāstā mil gayā tō follow karō . Aur rāstō̃ par jātē hī kyō̃ hō  ? Aur rāstā arthāt vyarth saṅkalp rūpī rāstā . Kamzōrī K|kē saṅkalp rūpī rāstā . Kaliyugī ākarṣhaṇ K|kē bhinn-bhinn saṅkalpō̃ kā rāstā . Kaliyugī purānī samajh dvārā dēh ahaṅkāravaś saṅkalp kā rāstā hai . In rāstō̃ dvārā uljhan K|kē jaṅgal mē̃ pahũch jātē hō . Jahā̃ sē jitnā nikalnē key|kī kōśhiśh kartē hō utnā chārō̃ ōr kāṇṭē hōnē K|kē kāraṇ nikal nahī̃ pātē hō . Kāṇṭē kyā hōtē haĩ  ? Kahā̃ , kyā hōgā - yah ‘ kyā ’ kā kāṇṭā lagtā . Kahā̃ ‘ kyō̃ ’ kā kāṇṭā lagtā , kahā̃ ‘ kaisē ’ kā kāṇṭā lagtā . Kahā̃ apnē hī kamzōr saṅskārō̃ kā kāṇṭā lagtā . Chārō̃ ōr kāṇṭē hī kāṇṭē najar ātē haĩ . Phir chillātē haĩ ab sāthī ākar bachāō  ! Tō sāthī bhī kahtē haĩ kadam par kadam rakhnē kē bajāē aur rāstē par gayē kyō̃  ? Jab sāthī sāth dēnē kē liē svayã offer kar rahē haĩ phir sāthī kō chhōṛtē kyō̃  ? Kinārā karnā arthāt sahārā chhūṭnā . Akēlē bantē kyō̃ hō  ? Had kē sāth key|kī ākarṣhaṇ chāhē kisī sambandh key|kī , chāhē kisī sādhan key|kī apnē taraph ākarṣhit kartī hai . Isī ākarṣhaṇ K|kē kāraṇ sādhan kō vā vināśhī sambandh kō apnā sāthī banā lētē hō vā sahārā banā dētē hō tab avināśhī sāthī sē kinārā kartē hō . Aur sahārā chhūṭ hī jātā hai . Ādhā kalp in had K|kē sahārē kō sahārā samajh anubhav kar liyā ki yah sahārā hai vā daldal hai  ! Phãsāyā , girāyā vā mañzil par pahuñchāyā  ? Achchhī tarah sē anubhav kiyā nā . Ēk janm K|kē anubhavī tō nahī̃ hō nā . 63 janmō̃ K|kē anubhavī hō . Aur bhī ēk-dō janm chāhiē  ? Ēk bār dhōkhā khānē vālā dubārā dhōkhā nahī̃ khātā hai . Agar bār-bār dhōkhā khātā hai tō uskō bhāgyahīn kahā jātā hai . Ab tō svayã bhāgya vidhātā brahmā bāp nē sabhī brāhmaṇō̃ key|kī janma patrī mē̃ śhrēṣhṭh bhāgya key|kī lambī lakīr khīñch lī hai nā . Bhāgya vidhātā nē āpkā bhāgya banāyā hai . Bhāgya vidhātā bāp hōnē K|kē kāraṇ her|har brāhmaṇ bachchē kō bhāgya K|kē bharpūr bhaṇḍār kā varsā dē diyā hai . Tō sōchō - bhāgya K|kē bhaṇḍār K|kē mālik K|kē bālak uskō kyā kamī rah saktī hai .

Mērā bhāgya kyā hai - sōchnē key|kī bhī āvaśhyaktā nahī̃ kyōṅki bhāgyavidhātā bāp ban gayā tō bachchē kō bhāgya K|kē jāydād key|kī kyā kamī hōgī  ! Bhāgya K|kē khazānē K|kē mālik hō gayē nā . Aisē bhāgyavān kabhī dhōkhā nahī̃ khā saktē haĩ . Isliē sahaj rāstā - kadam par kadam uṭhāō . Svayã hī svayã kō uljhan mē̃ ṛālatē hō , sāthī kā sāth chhōṛ dētē hō . Sirph yah ēk bāt yād rakhō ki - ham śhrēṣhṭh sāthī kē sāth haĩ . Verify karō . Tō sadā svayã sē satisfy rahē̃gē . Samjhā sahaj rāstā . Sahaj kō muśhkil nahī̃ banāō . Saṅkalp mē̃ bhī kabhī muśhkil anubhav nahī̃ karnā . Aisē dr̥iṛh saṅkalp karnē ātā hai nā ki vahā̃ jākar phir kahē̃gē ki muśhkil hai . Bāpdādā dēkhtē haĩ ki nām ‘ sahaj yōgī ’ hai aur anubhav muśhkil hōtā hai . Māntē apnē kō adhikārī haĩ aur bantē adhīn haĩ . Haĩ bhāgyavidhātā K|kē bachchē aur sōchtē haĩ - patā nahī̃ mērā bhāgya hai vā nahī̃ . Śhāyad yahī mērā bhāgya hai . Isliē apnē āpkō jānō aur sadā svayã kō her|har samay K|kē sāthī samajh chaltē chalō . Achchhā –

Aisē sadā her|har kadam par kadam rakhnē vālē , follow father karnē vālē , sadā her|har saṅkalp mē̃ sāthī kā sāth anubhav karnē vālē , sadā ēk sāthī dūsrā na kōī , aisē prīt nibhānē vālē , sadā sahaj yōgī , śhrēṣhṭh bhāgyavān viśhēṣh ātmāō̃ kō bāpdādā kā yādpyār aur namastē . ’ ’

Avyakt bāpdādā key|kī personal mulākāt - kumāriyō̃ sē

1 . kumāriyā̃ arthāt kamāl karnē vālī . Sādhāraṇ kumāriyā̃ nahī̃ , alaukik kumāriyā̃ hō . Laukik is lōk key|kī kumāriyā̃ kyā kartī̃ aur āp alaukik kumāriyā̃ kyā kartī hō  ? Rāt din kā phark hai . Vah dēh abhimān mē̃ rah aurō̃ kō bhī dēh abhimān mē̃ girātī̃ aur āp sadā dēhī abhimānī ban svayã bhī uṛtī aur dūsrō̃ kō bhī uṛātī - aisī kumāriyā̃ hō nā  ! Jab bāp mil gayā tō sarv sambandh ēk bāp sē sadā haĩ hī . Pahlē kahnē mātra thē , abhī practical hai . Bhakti mārg mē̃ bhī gāyan jarūr kartē thē ki sarv sambandh bāp sē haĩ lēkin ab practical sarv sambandhō̃ kā ras bāp dvārā miltā hai . Aisē anubhav karnē vālī hō nā . Jab sarv ras ēk bāp dvārā miltā hai tō aur kahā̃ bhī saṅkalp jā nahī̃ saktā . Aisē niśhchay buddhi vijayī ratna sadā gāyē aur pūjē jātē haĩ . Tō vijayī ātmāyē̃ haĩ , sadā smr̥iti K|kē tilakdhārī ātmāyē̃ haĩ , yah smr̥iti rahtī hai  ? Itnī kumāriyā̃ kaun-sī kamāl karē̃gē  ? Sadā her|har karma dvārā bāp kō pratyakṣha karē̃gī . Her|har karma sē bāp dikhāī dē . Kōī bōl bhī bōlō tō aisā bōl hō jō us bōl mē̃ bāp dikhāī dē . Duniyā mē̃ bhī kōī bahut achchhā bōlnē vālē hōtē haĩ tō sab kahtē haĩ - iskō sikhānē vālā kaun  ? Uskē taraph dr̥iṣhṭi jātī hai . Aisē āpkē her|har karma dvārā bāp key|kī pratyakṣhatā hō . Aisī dhāraṇāmūrta divyamūrta yah viśhēṣhtā hai . Bhāṣhaṇ karnē vālē tō sabhī bantē haĩ . Lēkin apnē her|har karma sē bhāṣhaṇ karnē vālē vah kōṭō mē̃ kōī hōtē haĩ . Tō aisī viśhēṣhtā dikhāyēgī nā . Apnē charitra dvārā bāp kā chitra dikhānā . Achchhā –

2 . kumāriyō̃ kā jhuṇḍ haĩ . Sēnā taiyār hō rahī hai . Vah tō lēphṭ-rāiṭ kartē , āp sadā right hī right kartē . Yah sainā kitnī śhrēṣhṭh hai , śhānti dvārā vijayī ban jātē . Śhānti sē hī svarājya pā lētē . Kōī halchal nahī̃ karnī paṛtī hai . Tō pakkī śhakti sēnā key|kī śhaktiyā̃ hō , sainā chhōṛkar jānē vālī nahī̃ . Svapn mē̃ bhī kōī hilā na sakē . Kabhī bhī kisī K|kē saṅgdōṣh mē̃ ānē vālī nahī̃ . Sadā bāp K|kē saṅg mē̃ rahnē vālē , dūsrē K|kē saṅg mē̃ nahī̃ ā saktē . Tō sārā group bahādur hai nā  ! Bahādur kyā kartē haĩ  ? Maidān par ātē haĩ . Tō hō sabhī bahādur lēkin maidān par nahī̃ āī hō . Bahādur jab maidān par ātē haĩ tō dēkhā hōgā ki bahādur key|kī bahādurī mē̃ band bajātē haĩ . Āp bhī jab maidān par āyēṅgī tō khuśhī key|kī band bajēgī . Kumāriyā̃ sadā hī śhrēṣhṭh takdīrvān haĩ . Kumāriyō̃ kō sēvā kā bahut achchhā chance hai aur milnē vālā bhī hai . Kyōṅki sēvā bahut hai aur sēvādhārī cum|kam haĩ . Jab sēvādhārī sēvā par nikalē̃gē tō kitnī sēvā hō jāyēgī . Dēkhē̃gē kumāriyā̃ kyā kamāl kartī haĩ . Bāmbē key|kī kumāriyā̃ tō bāmbē bomb chhōṛnē vālī kumāriyā̃ hōṅgī nā . Sādhāraṇ kārya tō sab kartē haĩ lēkin āp viśhēṣh kārya karkē dikhāō . Kumāriyā̃ ghar kā śhrr̥iṅgār hō . Laukik mē̃ kumāriyō̃ kō kyā bhī samajhē̃ lēkin pārlaukik ghar mē̃ kumāriyā̃ mahān haĩ . Kumāriyā̃ haĩ tō centre key|kī raunak hai . Mātāō̃ kē liē bhī viśhēṣh lift hai . Pahlē mātā gurū hai . Bāp nē mātā gurū kō āgē kiyā hai tab bhaviṣhya mē̃ mātāō̃ kā nām āgē hai . Achchhā  !

Teachers kē sāth - teachers arthāt bāp samān . Jaisē bāp vaisē nimitt sēvādhārī . Bāp bhī nimitt hai tō sēvādhārī bhī nimitt ātmāyē̃ haĩ . Nimitt samajhnē sē svataḥ hī bāp samān bannē kā saṅskār practical mē̃ ātā hai . Agar nimitt nahī̃ samajhtē tō bāp samān nahī̃ ban saktē . Tō ēk nimitt , dūsrā sadā nyārā aur pyārā . Yah bāp key|kī viśhēṣhtā hai . Pyārā bhī bantā aur nyārā bhī rahtā . Nyārā bankar pyārā bantā hai . Tō bāp samān arthāt ati nyārē aur ati pyārē . Aurō̃ sē nyārē aur bāp sē pyārē . Yah samāntā hai . Bāp key|kī yahī dō viśēṣatāē̃ haĩ . Tō bāp samān sēvādhārī bhī aisē haĩ . Isī viśhēṣhtā kō sadā smr̥iti mē̃ rakhtē huē sahaj āgē baṛhtī jāyēṅgī . Mēhnat nahī̃ karnī paṛē̃gī . Jahā̃ nimitt haĩ vahā̃ saphaltā hai hī . Vahā̃ mērā-pan ā nahī̃ saktā . Jahā̃ mērā-pan hai vahā̃ saphaltā nahī̃ . ‘ nimitt bhāv saphaltā key|kī chābī hai . ’ jab had kā laukik mērā-pan chhōṛ diyā tō phir aur mērā kahā̃ sē āyā . Mērā kē bajāē ‘ bābā-bābā ’ kahnē sē sadā safe hō jātē . Mērā centre nahī̃ bābā kā centre . Mērā jigyāsu nahī̃ - bābā kā . Mērā khatm hōkar tērā ban jātā . Tērā kahnā arthāt uṛnā . Tō nimitt śhikṣhak arthāt uṛtī kalā K|kē example . Jaisē āp uṛtī kalā K|kē example bantē vaisē dūsrē bhī bantē haĩ . Na chāhtē bhī jiskē nimitt bantē hō unmē̃ vah vibration svataḥ ā jātē hai . Tō nimitt śhikṣhak , sēvādhārī sadā nyārē haĩ , sadā pyārē haĩ . Kabhī bhī kōī paper āvē tō usmē̃ pās|pass hōnē vālē haĩ . Niśhchaybuddhi vijayī haĩ .

2 . sabhī rūhānī gulāb hō nā . Mōtiyā hō yā gulāb  ? Jaisē gulāb kā puṣhp sab puṣhpō̃ mē̃ sē śhrēṣhṭh gāyā jātā hai aisē rūhānī gulāb arthāt śhrēṣhṭh ātmāyē̃ . Rūhānī gulāb sadā rūhāniyat mē̃ rahnē vālā , sadā rūhānī naśhē mē̃ rahnē vālā . Sadā rūhānī sēvā mē̃ rahnē vālā - aisē rūhānī gulāb hō . Ājkal K|kē samay pramāṇ rūhāniyat key|kī āvaśhyaktā hai . Rūhāniyat na hōnē K|kē kāraṇ hī yah sab laṛāī jhagaṛē haĩ . Tō rūhānī gulāb ban rūhāniyat key|kī khuśhbū phailānē vālē . Yahī brāhmaṇ jīvan kā occupation hai . Sadā isī occupation mē̃ busy rahō .

Party sē

Sadā svayã kō double light phariśhtā anubhav kartē hō . Phariśhtā arthāt jiskī duniyā hī ‘ ēk bāp ’ hō . Aisē phariśhtē sadā bāp K|kē pyārē haĩ . Phariśhtā arthāt dēh aur dēh K|kē sambandhō̃ sē ākarṣhaṇ kā riśhtā nahī̃ . Nimitt mātra dēh mē̃ haĩ aur dēh K|kē sambandhiyō̃ sē kārya mē̃ ātē haĩ lēkin lagāv nahī̃ . Kyōṅki phariśhtō̃ K|kē aur kōī sē riśhtē nahī̃ hōtē . Phariśhtē K|kē riśhtē ēk bāp kē sāth haĩ . Aisē phariśhtē hō nā . Abhī-abhī dēh mē̃ karma karnē kē liē ātē aur abhī - abhī dēh sē nyārē  ! Phariśhtē second mē̃ yahā̃ , second mē̃ vahā̃ . Kyōṅki uṛnē vālē haĩ . Karma karnē kē liē dēh kā ādhār liyā aur phir ūpar . Aisē anubhav kartē hō  ? Agar kahā̃ bhī lagāv hai , bandhan hai tō bandhan vālā ūpar nahī̃ uṛ saktā . Vah nīchē ā jāyēgā . Phariśhtē arthāt sadā uṛtī kalā vālē . Nīchē ūpar hōnē vālē nahī̃ . Sadā ūpar key|kī sthiti mē̃ rahnē vālē . Phariśhtō̃ K|kē saṅsār mē̃ rahnē vālē . Tō phariśhtā smr̥iti svarūp banē tō sab riśhtē khatm . Aisē abhyāsī hō nā . Karma kiyā aur phir nyārē . Lift mē̃ kyā kartē haĩ  ? Abhī-abhī nīchē abhī-abhī ūpar . Nīchē āyē karma kiyā aur phir switch dabāyā aur ūpar . Aisē abhyāsī . Achchhā - ōm śhānti .