सोमवार 24 दिसंबर 1984 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

24-12-84 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Īśhvarīy snēh kā mahatva

Dātā aur vidhātā bāpdādā apnē snēhī bachchō̃ prati bōlē –

Āj snēh K|kē sāgar apnē snēhī chātrak bachchō̃ sē milnē āyē haĩ . Anēk janmō̃ sē is sachchē avināśhī īśhvarīy snēh K|kē pyāsē rahē . Janm-janm key|kī pyāsī chātrak ātmāō̃ kō ab sachchā snēh , avināśhī snēh anubhav hō rahā hai . Bhakta ātmā hōnē K|kē kāraṇ āp sabhī bachchē snēh K|kē bhikhārī ban gayē . Ab bāp bhikhārī sē snēh K|kē sāgar K|kē varsē K|kē adhikārī banā rahē haĩ . Anubhav K|kē ādhār sē sabkī dil sē ab yah āvāz svataḥ hī nikaltā hai ki ‘ īśhvarīy snēh hamārā janm siddha adhikār hai . ’ tō bhikhārī sē adhikārī ban gayē . Viśhva mē̃ har ēk ātmā kō jīvan mē̃ āvaśhyak chīz snēh hī hai . Jīvan mē̃ snēh nahī̃ tō jīvan nīras anubhav kartē haĩ . ‘ snēh ’ itnī ūñchī vastu hai jō āj K|kē sādhāraṇ lōg snēh kō hī bhagvān māntē haĩ . Pyār hī paramātmā hai vā paramātmā hī pyār hai . Tō snēh itnā ū̃chā hai jitnā bhagvān kō ū̃chā māntē haĩ . Isliē bhagvān kō snēh vā pyār kahtē haĩ . Yah kyō̃ kahā jātā , anubhav nahī̃ hai . Phir bhī paramātmā bāp jab is sr̥iṣhṭi par āyē haĩ tō sabhī bachchō̃ kō practical jīvan mē̃ sākār svarūp sē snēh diyā hai , dē rahē haĩ . Tab anubhav nahī̃ hōtē huē bhī yahī samajhtē haĩ ki snēh hī paramātmā hai . Tō paramātmā bāp key|kī pahlī dēn ‘ snēh ’ hai . Snēh nē āp sabkō brāhmaṇ janm diyā hai . Snēh key|kī pālnā nē āp sabkō īśhvarīy sēvā K|kē yōgya banāyā hai . Snēh nē sahaj yōgī , karmayōgī , svataḥ yōgī banāyā hai . Snēh nē had K|kē tyāg kō bhāgya anubhav karāyā hai . Tyāg nahī̃ - bhāgya hai . Yah anubhav sachchē snēh nē karāyā nā . Isī snēh K|kē ādhār par kisī bhī prakār K|kē tūphān īśhvarīy tōphā anubhav kartē . Snēh K|kē ādhār par muśhkil kō ati sahaj anubhav kartē hai . Isī īśhvarīy snēh K|kē anēk sambandhō̃ mē̃ lagī huī dil kō , anēk ṭukṛē huī dil kō ēk sē jōṛ liyā hai . Ab ēk dil , ēk dilārām hai . Dil K|kē ṭukṛē nahī̃ haĩ . Snēh nē bāp samān banā diyā . Snēh nē hī sadā sāth K|kē anubhav kāraṇ sadā samarth banā diyā . Snēh nē yug parivartan kar liyā . Kaliyugī sē saṅgamyugī banā diyā . Snēh nē hī duḥkh-dard key|kī duniyā sē sukh K|kē khuśhī key|kī duniyā mē̃ parivartan kar liyā . Itnā mahatva hai is ‘ īśhvarīy snēh ’ kā . Jō mahatva kō jāntē haĩ vahī mahān ban jātē haĩ . Aisē mahān banē hō nā  ! Sabhī sē sahaj purūṣhārth bhī yahī hai . Snēh mē̃ sadā samāyē rahō . Lavlīn ātmā kō kabhī svapn mātra bhī māyā kā prabhāv nahī̃ paṛ saktā hai . Kyōṅki lavlīn avasthā māyā proof avasthā hai . Tō snēh mē̃ rahnā sahaj hai nā . Snēh nē sabhī kō madhuban nivāsī banāyā hai . Snēh K|kē kāraṇ pahũchē hō nā  ! Bāpdādā bhī sabhī bachchō̃ kō yahī vardān dētē - ‘ sadā snēhī bhav . ’ snēh aisā jādū hai jissē jō māṅgē̃gē vah prāpt kar sakē̃gē . Sachchē snēh sē , dil K|kē snēh sē , svārthā snēh sē nahī̃ . Samay par snēhī bannē vālē nahī̃ . Jab kōī āvaśhyaktā kā samay āvē us samay mīṭhā bābā , pyārā bābā kahkar nibhānē vālē nahī̃ . Sadā hī is snēh mē̃ samāyē huē hō . Aisē kē liē bāpdādā sadā chhatrachhāyā hai . Samay par yād karnē vālē vā matlab sē yād karnē vālē , aisē kō bhī yathāśhakti , yathā snēh return mē̃ sahyōg miltā hai lēkin yathā śhakti . Sampann sampūrṇ saphaltā nahī̃ miltī . Tō sadā snēh dvārā sarv prāpti svarūp anubhav karnē kē liē sachchī dil K|kē snēhī banō . Samjhā  !

Bāpdādā sabhī madhuban ghar kā śr̥ṅgār bachchō̃ kō viśhēṣh snēh key|kī badhāī dē rahē haĩ . Har ēk bachchā bāp K|kē ghar kā viśhēṣh śr̥ṅgār hai . Is madhuban bēhad ghar K|kē bachchē hī raunak haĩ . Aisē apnē kō samajhtē hō nā . Duniyā vālē krisimas manānē kē liē kahā̃-kahā̃ jātē haĩ . Aur yah viśhēṣh vidēśhī vā bhārat K|kē bachchē sweet home mē̃ pahũchē haĩ . Baṛā din , baṛē tē baṛē bāp sē baṛī dil sē manānē kē liē .

Yah baṛā din viśhēṣh ‘ bāp aur dādā ’ dōnō̃ K|kē yādgār niśhānī kā din hai . Ēk dātā rūp sē śhivbābā key|kī niśhānī aur buṛhā svarūp brahmā bāp key|kī niśhānī . Kabhī bhī yuvā rūp nahī̃ dikhāyēṅgē . Krisimas father būṛhā hī dikhātē haĩ . Aur dō raṅg bhī jarūr dikhāyēṅgē . Saphēd aur lāl . Tō bāp aur dādā dōnō̃ key|kī yah niśhānī hai . Bāpdādā chhōṭē bachchō̃ kō jō unhō̃ key|kī ichchhā hai - ussē bharpūr kar dētā hai . Chhōṭē-chhōṭē bachchē baṛē snēh sē is viśhēṣh din par apnī dil pasand chīzē̃ krisimas father sē māṅgtē haĩ vā saṅkalp rakhtē haĩ . Aur niśhchay rakhtē haĩ ki vah jarūr pūrṇ karēgā . Tō yah yādgār bhī āp bachchō̃ kā hai . Chāhē purānē śhūdra jīvan K|kē kitnē bhī bujurg hō lēkin brāhmaṇ jīvan mē̃ chhōṭē bachchē hī haĩ . Tō sabhī chhōṭē bachchē jō bhī śhrēṣhṭh kāmnā kartē vah pūrṇ hōtī haĩ nā . Isliē yah yād niśhānī last dharm vālō̃ mē̃ bhī chalī ā rahī hai . Āp sabhī kō is saṅgamyug K|kē baṛē din key|kī bahut-bahut saugātē̃ bāpdādā dvārā mil gaī haĩ nā . Viśhēṣh yah baṛā din saugātō̃ kā din hai . Tō bāpdādā sabsē baṛī saugāt - svarājya aur svarg kā rājya dētā hai . Jismē̃ aprāpta kōī vastu rah nahī̃ jātī . Sarv prāpti svarūp ban jātē hō . Tō baṛā din manānē vālē baṛī dil vālē haĩ . Viśhva kō dēnē vālē tō baṛī dil vālē huē nā . Tō sabhī kō saṅgamyugī baṛē din key|kī baṛī dil sē baṛē tē baṛē bāpdādā badhāī dē rahē haĩ . Vō lōg 12 bajē kē bād manāyēṅgē , āp sabsē number āgē hō nā . Tō pahlē āp manā rahē hō . Pīchhē duniyā vālē manāyēṅgē . Viśhēṣh rūp mē̃ double vidēśhī āj bahut umaṅg utsāh sē yād saugāt bāp prati sthūl sūkṣhma rūp mē̃ dē rahē haĩ . Bāpdādā bhī sabhī double vidēśhī bachchō̃ kō snēh K|kē saugāt key|kī return mē̃ padmaguṇā , sadā snēhī sāthī rahē̃gē , sadā snēh K|kē sāgar mē̃ samāyē huē lavlīn sthiti kā anubhav karē̃gē , aisē vardān bharī yād aur amar pyār key|kī return mē̃ saugāt dē rahē haĩ . Sadā gātē aur khuśhī mē̃ nāchtē rahē̃gē . Sadā mukh mīṭhā rahēgā . Aisē hī snēhī bhārat K|kē bachchō̃ kō bhī viśhēṣh sahaj yōgī , svataḥ yōgī K|kē vardān key|kī yādpyār dē rahē haĩ .

Sabhī bachchō̃ kō dātā aur vidhātā bāpdādā avināśhī snēh sampann sadā samarth svarūp sē sahaj anubhav karnē key|kī yādpyār dē rahē haĩ sabhī kō yādpyār aur namastē . ’ ’

Party sē

1 . sadā apnē kō is purānī duniyā key|kī ākarṣhaṇ sē nyārē aur bāp K|kē pyārē , aisē anubhav kartē hō  ? Jitnā nyārē hōṅgē utnā svataḥ hī pyārē hōṅgē . Nyārē nahī̃ tō pyārē nahī̃ . Tō nyārē haĩ aur pyārē haĩ yā kahā̃ na kahā̃ lagāv hai  ? Jab kisī sē lagāv nahī̃ tō buddhi ēk bāp taraph svataḥ jāyēgī . Dūsrī jagah jā nahī̃ saktī . Sahaj aur nirantar yōgī key|kī sthiti anubhav hōgī . Abhī nahī̃ sahajyōgī banē̃gē tō kab banē̃gē  ? Itnī sahaj prāpti hai , satyug mē̃ bhī abhī key|kī prāpti kā phal hai . Tō abhī sahajyōgī aur sadā K|kē rājya bhāgya K|kē adhikārī sahajyōgī bachchē sadā bāp K|kē samān samīp haĩ . Tō apnē kō bāp K|kē samīp sāth rahnē vālē anubhav kartē hō  ? Jō sāth haĩ unkō sahārā sadā hai . Sāth nahī̃ rahtē tō sahārā bhī nahī̃ miltā . Jab bāp kā sahārā mil gayā tō kōī bhī vighna ā nahī̃ saktā . Jahā̃ sarv śhaktivān bāp kā sahārā hai tō māyā svayã hī kinārā kar lētī hai . Tākat vālē kē āgē nirbal kyā karēgā  ? Kinārā karēgā nā . Aisē māyā bhī kinārā kar lēgī , sāmnā nahī̃ karēgī . Tō sabhī māyājīt hō  ? Bhinnbhinn prakār sē , nayē-nayē rūp sē māyā ātī hai lēkin knowledgeful ātmāyē̃ māyā sē ghabrātī nahī̃ . Vah māyā K|kē sabhī rūp kō jān lētī haĩ . Aur jānnē kē bād kinārā kar lētī . Jab māyājīt ban gayē tō kabhī kōī hilā nahī̃ saktā . Kitnī bhī kōī kōśhiśh karē lēkin āp na hilō .

Amr̥itvēlē sē rāt tak bas bāp aur sēvā iskē sivāē aur kōī lagan na rahē . Bāp milā aur sēvādhārī banē . Kyōṅki jō milā hai uskō jitnā bā̃ṭēṅgē utnā baṛhēgā . Ēk dō aur padma pāō . Yahī yād rakhō - ki ham sarv bhaṇḍārō̃ K|kē mālik haĩ , bharpūr bhaṇḍārē haĩ . Jiskō duniyā ḍhūṇḍh rahī hai uskē bachchē banē haĩ . Duḥkh key|kī duniyā sē kinārā kar liyā . Sukh K|kē saṅsār mē̃ pahũch gayē . Tō sadā sukh K|kē sāgar mē̃ laharātē , sabkō sukh K|kē khazānē sē bharpūr karō . Achchhā –