सोमवार 9 दिसंबर 1985 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
09-12-85 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Bālak sō mālik
Avyakt bāpdādā bōlē
Āj bāpdādā apnī śhakti sēnā kō dēkh rahē haĩ ki yah rūhānī śhakti sēnā manjīt jagatjīt haĩ ? Manjīt arthāt man K|kē vyarth saṅkalp , vikalp jīt hai . Aisē jītē huē bachchē viśhva K|kē rājya adhikārī bantē haĩ . Isliē man jītē jagatjīt gāyā huā hai . Jitnā is samay saṅkalp-śakti arthāt man kō sva K|kē adhikār mē̃ rakhtē hō utnā hī viśhva K|kē rājya K|kē adhikārī bantē hō . Abhī is samay īśhvarīy bālak hō aur abhī K|kē bālak hī viśhva K|kē mālik banē̃gē . Binā bālak bannē K|kē mālik nahī̃ ban saktē . Jō bhī had K|kē mālikpan kā had kā naśhā hai usē samāpt kar had K|kē mālikpan sē bālakpan mē̃ ānā hai tab hī bālak sō mālik banē̃gē . Isliē bhakti mārg mē̃ bhī kitnā kōī bhī dēśh kā baṛā mālik hō , dhan kā mālik hō , parivār kā mālik hō lēkin bāp kē āgē sab bālak tērē kah kar hī prārthanā kartē haĩ . Maĩ phalānā mālik hū̃ aisē kabhī nahī̃ kahē̃gē . Tum brāhmaṇ bachchē bhī bālak bantē hō tab hī abhī bhī bēphakar bādśhāh bantē hō aur bhaviṣhya mē̃ viśhva K|kē mālik yā bādśhāh bantē hō . bālak sō mālik hū̃ yah smr̥iti sadā nir-ãhakārī , nirākārī sthiti kā anubhav karātī hai . Bālak bannā arthāt had K|kē jīvan kā parivartan hōnā . Jab brāhmaṇ banē tō brāhmaṇ-pan key|kī jīvan kā pahlā sahaj tē sahaj pāṭh kaun-sā paṛhā ? Bachchō̃ nē kahā - bābā aur bāp nē kahā - bachchā arthāt bālak . Is ēk śhabda kā pāṭh knowledgeful banā dētā hai . Bālak yā bachchā yah ēk śhabda paṛh liyā tō sārē is viśhva key|kī tō kyā lēkin tīnō̃ lōkō̃ kā knowledge paṛh liyā . Āj key|kī duniyā mē̃ kitnē bhī baṛē knowledgeful hō̃ lēkin tīnō̃ lōkō̃ key|kī knowledge nahī̃ jān saktē . Is bāt mē̃ āp ēk śhabda paṛhē huē kē āgē kitnā baṛā knowledgeful bhī - anjān hai . Aisē master knowledgeful kitnā sahaj banē hō . bābā aur bachchē is ēk śhabda mē̃ sab kuchh samāyā huā hai . Jaisē bīj mē̃ sārā jhāṛ samāyā huā hai tō bālak athavā bachchā bannā arthāt sadā kē liē māyā sē bachnā . Māyā sē bachē rahō arthāt ham bachchē haĩ - sadā is smr̥iti mē̃ rahō . Sadā yahī smr̥iti rakhō , bachchā banā arthāt bach gayā . Yah pāṭh muśhkil hai kyā ? Sahaj hai nā . Phir bhūltē kyō̃ hō ? Kaī bachchē aisē sōchtē haĩ ki bhūlnē chāhtē nahī̃ hai lēkin bhūl jātā hai . Kyō̃ bhūl jātā ? Tō kahtē bahut samay K|kē saṅskār haĩ vā purānē saṅskār haĩ . Lēkin jab marjīvā banē tō marnē K|kē samay kyā kartē haĩ ? Agni saṅskār kartē hō nā . Tō purānē kā saṅskār kiyā tab nayā janma liyā . Jab saṅskār kar liyā phir purānē saṅskār kahā̃ sē āyē . Jaisē śharīr kā saṅskār kartē hō tō nām-rūp samāpt hō jātā hai . Agar nām bhī lē̃gē tō kahē̃gē phalānā thā . Hai , nahī̃ kahē̃gē . Tō śharīr K|kē saṅskār hōnē kē bād śharīr samāpt hō gayā . Brāhmaṇ jīvan mē̃ kiskā saṅskār kartē hō ? Śharīr tō vahī hai . Lēkin purānē saṅskārō̃ , purānī smr̥itiyō̃ kā , svabhāv kā saṅskār kartē hō tab marjīvā kahlātē hō . Jab saṅskār kar liyā tō purānē saṅskār kahā̃ sē āyē . Agar saṅskār kiyā huā manuṣhya phir sē āpkē sāmnē ā jāvē tō uskō kyā kahē̃gē ? Bhūt kahē̃gē nā . Tō yah bhī purānē saṅskār , kiyē huē saṅskār agar jāgr̥it hō jātē tō kyā kahē̃gē ? Yah bhī māyā K|kē bhūt kahē̃gē nā . Bhūtō̃ kō bhagāyā jātā hai nā . Varṇan bhī nahī̃ kiyā jātā hai . Yah purānē saṅskār kah karkē apnē kō dhōkhā dētē haĩ . Agar āpkō purānī bātē̃ achchhī lagtī haĩ tō vāstavik purānē tē purānē ādikāl K|kē saṅskārō̃ kō yād karō . Yah tō madhyakāl K|kē saṅskār thē . Yah purānē tē purānē nahī̃ haĩ . Madhya kō bīch kahtē haĩ tō madhyakāl arthāt bīch kō yād karnā arthāt bīch bhãvar mē̃ parēśhān hōnā hai . Isliē kabhī bhī aisī kamzōrī key|kī bātē̃ nahī̃ sōchō . Sadā yahī dō śhabda yād rakhō - bālak sō mālik . Bālak pan hī mālikpan svataḥ hī smr̥iti mē̃ lātā hai . Bālak bannā nahī̃ ātā ?
Bālak banō arthāt sabhī bōjh sē halkē banō . Kabhī tērā kabhī mērā , yahī muśhkil banā dētā hai . Jab kōī muśhkil anubhav kartē hō tab tō kahtē hō - tērā kām tum jānō . Aur jab sahaj hōtā hai tō mērā kahtē hō . Mērā-pan samāpt hōnā arthāt bālak sō mālik bannā . Bāp tō kahtē haĩ beggar banō . Yah śharīr rūpī ghar bhī tērā nahī̃ . Yah loan milā huā hai . Sirph īśhvarīy sēvā kē liē bābā nē loan dē karkē trustee banāyā hai . Yah īśhvarīy amānat hai . Āpnē tō sab kuchh tērā kah karkē bāp kō dē diyā . Yah vāydā kiyā nā vā bhūl gayē hō ? Vāydā kiyā hai yā ādhā tērā ādhā mērā . Agar tērā kahā huā mērā samajh kārya mē̃ lagātē hō tō kyā hōgā . Ussē sukh milēgā ? Saphaltā milēgī ? Isliē amānat samajh tērā samajh chaltē tō bālak sō mālik ban K|kē khuśhī mē̃ , naśhē mē̃ svataḥ hī rahē̃gē samjhā ! Ēk yah pāṭh sadā pakkā rakhō . Pāṭh pakkā kiyā nā yā apnē-apnē sthānō̃ par jākar phir bhūl jāyēṅgē , abhūl banō . Achchhā -
Sadā rūhānī naśhē mē̃ rahnē vālē bālak sō mālik bachchō̃ kō sadā bālakpan arthāt bēphakar bādśhāhpan key|kī smr̥iti mē̃ rahnē vālē , sadā milī huī amānat kō trustee ban sēvā mē̃ lagānē vālē bachchō̃ kō , sadā nayē umaṅg nayē utsāh mē̃ rahnē vālē bachchō̃ kō bāpdādā kā yādpyār aur namastē .
Party sē avyakt bāpdādā key|kī mulākāt - kumāriyō̃ sē - yah laśhkar kyā karēgā ? Laśhkar vā sēnā sadā vijay prāpt kartī hai . Sēnā vijay kē liē hōtī hai . Duśhman sē laṛnē kē liē sēnā rakhtē haĩ . Tō māyā duśhman par vijay pānā yahī āp sabkā karttavya hai . Sadā apnē is karttavya kō jān jaldī sē jaldī āgē baṛhtē jāō . Kyōṅki samay tēj raphtār sē āgē jā rahā hai . Samay key|kī raphtār tēj hō aur apnī kamzōr hō tō samay par pahũch nahī̃ sakē̃gē . Isliē raphtār kō tēj karō . Jō ḍhīlē hōtē haĩ vah svayã hī śhikār hō jātē haĩ . Śhaktiśhālī sadā vijayī hōtē haĩ . Tō āj sab vijayī hō ?
Sadā yahī lakṣhya rakhō ki serviceable ban sēvā mē̃ sadā āgē baṛhtē rahnā . Kyōṅki kumāriyō̃ kō kōī bhī bandhan nahī̃ haĩ . Jitnā sēvā karnē chāhē̃ kar saktī haĩ . Sadā apnē kō bāp kī hū̃ aur bāp kē liē hū̃ aisā samajhkar āgē baṛhtē chalō . Jō sēvā mē̃ nimitt bantē haĩ unhē̃ khuśhī aur śhakti key|kī prāpti svataḥ hōtī hai . Sēvā kā bhāgya kōṭō̃ mē̃ kōī kō hī miltā hai . Kumāriyā̃ sadā pūjya ātmāyē̃ haĩ . Apnē pūjya svarūp kō smr̥iti mē̃ rakhtē huē her|har karma karō . Aur her|har karma K|kē pahlē check karō ki yah kārya pūjya ātmā K|kē pramāṇ hai ? Agar nahī̃ hai tō parivartan kar lō . Pūjya ātmāyē̃ kabhī sādhāraṇ nahī̃ hōtī , mahān hōtī haĩ . 100 brāhmaṇō̃ sē uttam kumāriyā̃ hō . 100 , ēk-ēk kumārī kō taiyār karnē haĩ . Unkī sēvā karnī hai . Kumāriyō̃ nē kyā kamāl kā plan sōchā hai ? Kisī bhī ātmā kā kalyāṇ hō issē baṛī bāt aur kyā hai ? Apnī mauj mē̃ rahnē vālī hō nā . Kabhī gyān K|kē mauj mē̃ , kabhī yād kī mauj mē̃ . Kabhī prēm key|kī mauj mē̃ . Maujē̃ hī maujē̃ haĩ . Saṅgamyug hai hī maujō̃ kā yug . Achchhā - kumāriyō̃ kē ūpar bāpdādā key|kī sadā hī najar rahtī hai . Kumāriyā̃ svayã kō kyā banātī haĩ yah unkē ūpar hai lēkin bāpdādā tō sabhī kō viśhva kā mālik banānē āyē haĩ . Sadā viśhva K|kē mālikpan key|kī khuśhī aur naśhā rahē . Sadā athak sēvā mē̃ āgē baṛhtē rahō . Achchhā -