शनिवार 12 मार्च 1988 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

12 - 03 - 88 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Tīn prakār kā snēh tathā dil K|kē snēhī bachchō̃ key|kī viśēṣatāē̃

Sarv sambandhō̃ kā anubhav karānē vālē , divya buddhi , bēhad buddhi K|kē dātā bāpdādā apnē dil K|kē snēhī bachchō̃ prati bōlē

Āj bāpdādā apnē snēhī , sahyōgī aur śhaktiśhālī - aisē tīnō̃ viśē - ṣatāō̃ sē sampann bachchō̃ kō dēkh rahē haĩ . Yah tīnō̃ viśhēṣhatāyē̃ jisamē samān haĩ , vahī viśhēṣh ātmāō̃ mē̃ ‘ number one ātmā ' hai . Snēh bhī hō aur sadā her|har kārya mē̃ sahyōgī bhī hō , sāth - sāth śhaktiśhālī bhī hō . Snēhī tō sabhī haĩ lēkin snēh mē̃ ēk hai dil kā snēh , dūsrā hai samay pramāṇ matlab kā snēh aur tīsrā hai majbūrī K|kē samay kā snēh . Jō dil kā snēhī hai uskī viśhēṣhtā yah hōgī - sarv sambandh aur sarv prāpti sadā sahaj svataḥ anubhav karē̃gē . Ēk sambandh key|kī anubhūti mē̃ bhī kamī nahī̃ . Jaisā samay vaisē sambandh K|kē snēh K|kē bhinn - bhinn anubhav karnē vālē , samay kō jānnē vālē aur samay pramāṇ sambandh kō bhī jānnē vālē hōṅgē .

Agar bāp jab śhikṣhak K|kē rūp mē̃ śhrēṣhṭh paṛhāī paṛhā rahē haĩ , aisē samay par ‘ śhikṣhak ' K|kē sambandh kā anubhav na kar , ‘ sakhā ' rūp key|kī anubhūti mē̃ milan manānē vā rūh - rūhān karnē mē̃ lag jāē̃ tō paṛhāī K|kē taraph attention nahī̃ hōgā . Paṛhāī K|kē samay agar kōī kahē ki maĩ āvāj sē parē sthiti mē̃ bahut śhaktiśhālī anubhav kar rahā hū̃ , tō paṛhāī K|kē samay kyā yah right hai  ? Kyōṅki jab bāp śhikṣhak K|kē rūp mē̃ paṛhāī dvārā śhrēṣhṭh pad key|kī prāpti karānē ātē haĩ tō us samay teacher K|kē sāmnē godly student life hī yathārth hai . Iskō kahā jātā hai - samay key|kī pahchān pramāṇ sambandh key|kī pahchān aur sambandh pramāṇ snēh key|kī prāpti key|kī anubhūti . Yahī buddhi kō exercise karāō jō jaisā chāhē , jis samay chāhē vaisē svarūp aur sthiti mē̃ sthit hō sakē̃ .

Jaisē kōī śharīr mē̃ bhārī hai , bōjh hai tō apnē śharīr kō sahaj jaisē chāhē vaisē mould nahī̃ kar sakē̃gē . Aisē hī agar mōṭī - buddhi hai arthāt kisī - na - kisī prakār kā vyarth bōjh vā vyarth kichṛā buddhi mē̃ bharā huā hai , kōī na kōī aśhuddhi hai tō aisī buddhi vālā jis samay chāhē , vaisē buddhi kō mould nahī̃ kar sakēgā . Isliē bahut svachchha , mahīn arthāt ati sūkṣhma - buddhi , divya buddhi , bēhad key|kī buddhi , viśhāl buddhi chāhiē . Aisī buddhi vālē hī sarv sambandh kā anubhav jis samay , jaisā sambandh vaisē svayã K|kē svarūp kā anubhav kar sakē̃gē . Tō snēhī sabhī haĩ , lēkin sarv sambandh kā snēh samay pramāṇ anubhav karnē vālē sadā hī isī anubhav mē̃ itnē busy rahtē , her|har sambandh K|kē bhinn - bhinn prāptiyō̃ mē̃ itnā lavlīn rahtē , magna rahtē jō kisī bhī prakār kā vighna apnē taraph jhukā nahī̃ saktā hai . Isliē svataḥ hī sahaj yōgī sthiti kā anubhav kartē haĩ . Iskō kahā jātā hai - number one yathārth snēhī ātmā . Snēh K|kē kāraṇ aisī ātmā kō samay par bāp dvārā her|har kārya mē̃ svataḥ hī sahyōg key|kī prāpti hōtī rahtī hai . Is kāraṇ ‘ snēh ' - akhaṇḍ , aṭal , achal , avināśhī anubhav hōtā hai . Samjhā  ? Yah hai number one snēhī key|kī viśhēṣhtā . Dūsrē , tīsrē kā varṇan karnē key|kī tō āvaśhyaktā hī nahī̃ kyōṅki sab achchhī tarah sē jāntē hō . Tō bāpdādā aisē snēhī bachchō̃ kō dēkh rahē thē . Ādi sē ab tak snēh ēkras rahā hai vā samay pramāṇ , samasyā pramāṇ vā brāhmaṇ ātmāō̃ K|kē samparka pramāṇ badaltā rahtā haĩ ismē̃ bhī phark paṛ jātā hai nā  !

Āj snēh kā sunāyā , phir sahyōg aur śhaktiśhālī , tīnō̃ viśhēṣhtā vālī ātmā kā mahattva sunāyēṅgē . Tīnō̃ hī jarūrī haĩ . Āp sab tō aisē snēhī hō nā  ? Practice hai nā  ? Jab jahā̃ buddhi kō sthit karnē chāhō , aisē kar saktē hō nā  ? Kaṇṭrōliṅg pāvan hai nā  ? Ruling power tab ātī hai jab pahlē kaṇṭrōliṅg power hō . Aur jō svayã kō hī kaṇṭrōl nahī̃ kar saktā , vah rājya kō kyā kaṇṭrōl karēgā  ? Isliē svayã kō kaṇṭrōl mē̃ chalānē key|kī śhakti kā abhyās abhī sē chāhiē , tab hī rājya adhikārī banē̃gē . Samjhā  ? Āj tō milnē vālō̃ kā quota pūrā karnā hai . Dēkhō , saṅgamyug par kitnā bhī saṅkhyā K|kē bandhan mē̃ bāndhē lēkin bandh saktē hō  ? Saṅkhyā sē jyādā ā jātē haĩ , isliē samay kō , saṅkhyā kō aur jis śharīr kā ādhār lētē haĩ uskō dēkh , usī vidhi sē chalnā paṛtā hai . Vatan mē̃ yah sab dēkhnā nahī̃ paṛtā kyōṅki sūkṣhma śharīr key|kī gati sthūl śharīr sē bahut tīvr hai . Ēk taraph sākār śharīrdhārī , dūsrē taraph phariśhtā svarūp - dōnō̃ K|kē chalnē mē̃ kitnā antar hōgā  ! Phariśhtā kitnē mē̃ pahũchēgā aur sākār śharīrdhārī kitnē mē̃ pahũchēgā  ? Bahut antar hai . Brahmā bāp bhī sūkṣhma śharīrdhārī ban kitnī tīvragati sē chārō̃ ōr sēvā kar rahē haĩ  ! Vahī̃ brahmā sākār śharīrdhārī rahē aur ab sūkṣhma śharīrdhārī ban kitnā tīvragati sē āgē baṛh aur baṛhā rahē haĩ  ! Yah tō anubhav kar rahē hō nā  !

Sūkṣhma śharīr key|kī gati is duniyā K|kē sabsē tīvragati K|kē sādhanō̃ sē tēj hai . Ēk hī second mē̃ usī samay anēkō̃ kō anubhav karā saktē hō . Jō sab kahē̃gē ki hamnē is samay bāp kō dēkhā yā bāp sē milē , har ēk samajhēgā ki mainnē rūh - rūhān key|kī , mainnē milan manāyā , mērē kō madad milī . Kyōṅki tīvragati K|kē kāraṇ ēk hī samay par har ēk kō aisā anubhav hōtā hai jaisē mainnē kiyā . Tō phariśhtā jīvan bandhanmukt jīvan hai . Bhal sēvā kā bandhan hai , lēkin itnā fast gati hai jō jitnā bhī karē , utnā kartē huē bhī sadā free hai . Jitnā hī pyārā , utnā hī nyārā . Karātē sabsē haĩ lēkin karātē huē bhī aśharīrī phariśhtā hōnē K|kē kāraṇ sadā hī svatantratā key|kī sthiti kā anubhav hōtā hai kyōṅki śharīr aur karma K|kē adhīn nahī̃ hai . Āp lōgō̃ kō bhī anubhav hai - jab phariśhtē sthiti sē kōī kārya kartē hō tō bandhanmukt arthāt halkāpan anubhav kartē hō nā . Aur jō hai hī phariśhtā  ; lōk bhī vah , tō śharīr bhī vah , tō kyā anubhav hōtā hōgā , jān saktē hō nā  ! Achchhā  !

Chārō̃ ōr K|kē sarv dil K|kē snēhī bachchō̃ kō , sadā divya , viśhāl , bēhad buddhivān bachchō̃ kō , sadā brahmā bāp samān phariśhtā sthiti kā anubhav key|kī tīvragati sē sēvā mē̃ , svaunnati mē̃ saphaltā kō prāpt karnē vālē , sadā sahyōgī ban bāp K|kē sahyōg kā adhikār anubhav karnē vālē - aisē viśhēṣh ātmāō̃ kō , samān bannē vālī mahān ātmāō̃ kō bāpdādā kā yādpyār aur namastē . ' '

Personal mulākāt K|kē samay vardān rūp mē̃ uchchārē huē mahāvākya

1 . sadā bēphikar bādśhāh hō nā . Jab bāp kō jimmēvārī dē dī tō phikar kis bāt kā  ? Jab apnē ūpar jimmēvārī rakhtē hō tō phir phikar hōtā hai - kyā hōgā , kaisē hōgā … , aur jab bāp K|kē hāvālē kar diyā tō phikar kiskō hōnā chāhiē , bāp kō yā āpkō  ? Aur bāp tō sāgar hai , usmē̃ phikar rahēgā hī nahī̃ . Tō bāp bhī bēphikar aur bachchē bhī bēphikar hō gayē . Tō jō bhī karma karō , karma karnē sē pahlē yah sōchō ki maĩ trustee hū̃  ! Trustee kām bahut pyār sē kartā hai lēkin bōjh nahī̃ hōtā hai . Trustee kā arth|earth hī hai sab kuchh , bāp tērā . Tō tērē mē̃ prāpti bhī jyādā aur halkē bhī rahē̃gē , kām bhī achchhā hōgā kyōṅki jaisī smr̥iti hōtī hai , vaisī sthiti hōtī hai . Tērā mānā bāp key|kī smr̥iti . Kōī rivājī mahān ātmā nahī̃ hai , bāp hai  ! Tō jab tērā kah diyā tō kārya bhī achchhā aur sthiti bhī sadā bēphikar . Jab bāp offer kar rahā hai ki phikar dē dō , phir bhī agar offer nahī̃ mānē̃ tō kyā kahē̃gē  ? Bāp key|kī offer hai - bōjh chhōṛō . Tō sadā bēphikar rahnā hai aur dūsrō̃ kō bēphikar bannē key|kī , anubhav sē vidhi batānī hai . Bahut āśhīrvād milēgī  ! Kiskā bōjh vā phikar lē lō tō dil sē duāyē̃ dēgē . Tō svayã bhī bēphikar bādśhāh aur dūsrō̃ key|kī bhī śhubh - bhāvnā key|kī duāyē̃ milē̃gī . Tō bādśhāh hō , avināśhī dhan K|kē bādśhāh hō  ! Bādśhāh kō kyā parvāh  ! Vināśhī bādśhāhō̃ kō tō chintā rahtī hai lēkin yah avināśhī hai . Achchhā  !

2 . avināśhī sukh aur alpkāl kā sukh - dōnō̃ K|kē anubhavī hō nā  ? Alpkāl kā sukh hai - sthūl sādhanō̃ kā sukh aur avināśhī sukh hai - īśhvarīy sukh . Tō sabsē achchhā sukh kaun - sā haĩ  ! Īśhvarīy sukh jab mil jātā hai tō vināśhī sukh āpē hī pīchhē - pīchhē ātā hai . Jaisē kōī dhūp mē̃ chaltā hai tō uskē pīchhē parchhāī āpē hī ātī hai aur agar kōī parchhāī kē pīchhē jāyē tō kuchh nahī̃ milēgā . Tō jō īśhvarīy sukh K|kē taraph jātā hai , uskē pīchhē alpkāl kā sukh svataḥ hī parchhāī key|kī taraph ātā rahēgā , mēhnat nahī̃ karnī paṛēgī . Jaisē kahtē haĩ - jahā̃ paramārtha hōtā hai , vahā̃ vyavahār svataḥ siddha hō jātā hai . Aisē īśhvarīy sukh hai - ‘ paramārtha ' aur vināśhī sukh hai - ‘ vyavahār ' . Tō paramārtha kē āgē vyavahār āpē hī ātā hai . Tō sadā isī anubhav mē̃ rahnā jissē dōnō̃ mil jāē̃ . Nahī̃ tō , ēk milēgā aur vah bhī vināśhī hōgā . Kabhī milēgā , kabhī nahī̃ milēgā . Kyōṅki chīz hī vināśhī hai , ussē milēgā hī kyā  ? Jab īśhvarīy sukh mil jātā hai tō sadā sukhī ban jātē haĩ , duḥkh kā nām - niśhān nahī̃ rahtā . Īśhvarīy sukh milā mānā sab kuchh milā , kōī aprāpti nahī̃ rahtī . Avināśhī sukh mē̃ rahnē vālē vināśhī chījō̃ kō nyārā hōkar use karēgā , phansēgā nahī̃ . Achchhā  !