मंगलवार 2 नवंबर 2004 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

02-11-04 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

“ sva-upkārī ban apkārī par bhī upkār karō , sarv śhakti , sarv guṇ sampann sammān dātā banō ”

Āj snēh K|kē sāgar apnē chārō̃ ōr K|kē snēhī bachchō̃ kō dēkh harṣhit hō rahē haĩ . Chāhē sākār rūp mē̃ sanmukh haĩ , chāhē sthūl rūp mē̃ dūr baiṭhē hai lēkin snēh , sabhī kō bāp kē pās baiṭhē haĩ - yah anubhav karā rahā hai . Her|har bachchē kā snēh bāp kō samīp anubhav karā rahā hai . Āp sabhī bachchē bhī bāp K|kē snēh mē̃ sammukh pahũchē hō . Bāpdādā nē dēkhā ki har ēk bachchē K|kē dil mē̃ bāpdādā kā snēh samāyā huā hai . Har ēk K|kē dil mē̃ “ mērā bābā ” isī snēh kā gīt baj rahā hai . Snēh hī is dēh aur dēh K|kē sambandh sē nyārā banā rahā hai . Snēh hī māyājīt banā rahā hai . Jahā̃ dil kā snēh hai vahā̃ māyā dūr sē hī bhāg jātī hai . Snēh key|kī subject mē̃ sarv bachchē pās|pass haĩ . Ēk hai snēh , dūsrā hai sarvśhaktivān bāp dvārā sarvśhaktiyō̃ kā khazānā .

Tō āj bāpdādā ēk taraph tō snēh kō dēkh rahē haĩ , dūsrē taraph śhakti sēnā key|kī śhaktiyō̃ kō dēkh rahē haĩ . Jitnā snēh samāyā huā hai utnā hī sarv śhaktiyā̃ bhī samāī huī hai  ? Bāpdādā nē sabhī bachchō kō ēk jaisī sarv śhaktiyā̃ dī hai , master sarvśhaktivān banāyā hai . Kiskō sarvśhaktivān , kiskō śhaktivān nahī̃ banāyā hai hājir kahē , jis bhī śhakti kā āhvān karō , jaisā samay , jaisī paristhiti vaisē śhakti kārya mē̃ lagā sakō . Aisē adhikārī ātmāyē̃ banē hō  ? Kyōṅki bāp nē varsā diyā aur varsē kō āpnē apnā banāyā , apnā banāyā hai nā  ! Tō apnē par adhikār hōtā hai . Jis samay jis vidhi sē āvaśhyaktā hō , us samay kārya mē̃ lag jāē . Mānō samānē K|kē śhakti key|kī āpkō āvaśhyaktā hai aur order kartē hō samānē key|kī śhakti kō , tō āpkā order mān jī hājir hō jātī hai  ? Hō jātī hai tō kāndh hilāō , hāth hilāō . Kabhī-kabhī hōtī hai yā sadā hōtī hai  ? Samānē key|kī śhakti hājir hōtī hai lēkin 10 bārī samā liyā aur 11 vē̃ bārī thōḍā nīchē ūpar hōtā hai  ? Sadā aur sahaj hājir hō jāē , samay bītnē kē bād nahī̃ āvē , karnē tō yah chāhtē thē lēkin hō gayā , yah aisā nahī̃ hō . Iskō kahā jātā hai sarv śhaktiyō̃ K|kē adhikārī . Yah adhikār bāpdādā nē tō sabkō diyā hai , lēkin dēkhnē mē̃ ātā hai ki sadā adhikārī bannē mē̃ number-vār hō jātē haĩ . Sadā aur sahaj hō , natural hō , nature hō , uskī vidhi hai , jaisē bāp kō hajūr bhī kahā jātā hai , kahtē haĩ hajūr hājir hai . Hājir hajūr kahtē haĩ . Tō jō bachchā hajūr key|kī her|har śhrīmat par hājir hajūr kar chaltā hai uskē āgē sarv śhaktiyā̃ bhī hajūr hājir kartī hai . Her|har āgyā mē̃ jī hājir , her|har kadam mē̃ jī hājir . Agar her|har śhrīmat mē̃ jī hājir nahī̃ haĩ tō her|har śhakti bhī her|har samay hājir hak nahī̃ kar saktī hai . Agar kabhī-kabhī bāp key|kī śhrīmat vā āgyā kā pālan kartē haĩ , tō śhaktiyā̃ bhī āpkā kabhī-kabhī hājir hōnē kā order pālan kartī hai . Us samay adhikārī kē bajāē adhīn ban jātē haĩ . Tō bāpdādā nē yah result check key|kī , tō kyā dēkhā  ? Number-vār haĩ . Sabhī number one nahī̃ hai , number-vār haĩ aur sadā sahaj nahī̃ haĩ . Kabhī - kabhī sahaj hō jātē , kabhī thōḍā muśhkil śhakti emerge hōtī hai .

Bāpdādā har ēk bachchē kō bāp samān dēkhnē chāhtē haĩ . Number-vār nahī̃ dēkhnē chāhtē haĩ aur āp sabhī kā lakṣhya bhī hai bāp samān bannē kā . Samān bannē kā lakṣhya hai vā number-vār bannē kā lakṣhya hai  ? Agar pūchhē̃gē tō sab kahē̃gē samān bannā hai . Tō check karō - ēk sarv śhaktiyā̃ haĩ  ? Sarv par underline karō . Sarv guṇ hai  ? Bāp samān sthiti hai  ? Kabhī svayã key|kī sthiti , kabhī kōī parsthiti vijay tō nahī̃ prāpt kar lētī ' par sthiti agar vijay prāpt kar lētī hai tō uskā kāraṇ jāntē hō nā  ? Sthiti kamzōr hai tab paristhiti war|vār kar saktī hai . Sadā sva sthiti vijayī rahē , uskā sādhan hai – sadā svamān aur sammān kā balance . Svamāndhārī ātmā svataḥ hī sammān dēnē vālā dātā hai . Vāstav mē̃ kisī kō bhī sammān dēnā , dēnā nahī̃ hai , sammān dēnā mān lēnā hai . Sammān dēnē vālā sabkē dil mē̃ mānanīy svataḥ hī ban jātā hai . Brahmā bāp kō dēkhā - ādi dēv hōtē huē , drama key|kī first ātmā hōtē huē sadā bachchō̃ kō sammān diyā . Apnē sē bhī jyādā bachchō̃ kā mān ātmāō̃ dvārā dilāyā . Isliē har ēk bachchē K|kē dil mē̃ brahmā bāp mānanīy banē . Tō mān diyā yā mān liyā  ? Sammān dēnā arthāt dūsrē K|kē dil mē̃ dil K|kē snēh kā bīj bōnā . Viśhva kē āgē bhī viśhva kalyāṇkārī ātmā haĩ , yah tab anubhav kartē jab ātmāō̃ kō snēh sē sammān dētē hō .

Tō bāpdādā nē vartamān samay mē̃ āvaśhyaktā dēkhī sammān ēk dō kō dēnē key|kī . Sammān dēnē vālā hī vidhātā ātmā dikhāī dētā hai . Sammān dēnē vālē hī bāpdādā key|kī śhrīmat ( śhubh bhāvnā , śhubh kāmnā ) mānnē vālē āgyākārī bachchē haĩ . Sammān dēnā hī īśhvarīy parivār kā dil kā pyār hai . Sammān vālā svamān mē̃ sahajahī sthit hō saktā hai . Kyō̃  ? Jin ātmāō̃ kō sammān dētā hai un ātmāō̃ dvārā jō duāyē̃ dil key|kī miltī hai , vah duāō̃ kā bhaṇḍār svamān sahaj aur svataḥ hī yād dilātā hai . Isliē bāpdādā chārō̃ ōr K|kē bachchō̃ kō viśhēṣh underline karā rahē haĩ - sammān dātā banō .

Bāpdādā kē pās jō bhī bachchā jaisā bhī āyā , kamzōr āyā , saṅskār K|kē vaśh āyā , pāpō̃ kā bōjh lēkē āyā , kaṛē saskār lēkar āyā , bāpdādā nē her|har bachchē kō kis najar sē dēkhā  ! Mērā sikīladhā lāḍlā bachchā hai , īśhvarīy parivār kā bachchā hai . Tō sammān diyā aur āp svamāndhārī ban gayē . Tō follow father . Agar sahaj sarvguṇ sampann bannā chāhtē hō tō sammān dātā banō . Samjhā  ! Sahaj hai nā  ? Sahaj hai yā muśhkil hai  ? Teachers kyā samajhtī haĩ , sahaj hai  ? Kōī kō dēnā sahaj hai , kōī kō muśhkil hai yā sabhī kō dēnā sahaj hai  ? Āpkā title hai - sarv upkārī . Apkār karnē vālē par bhī upkār karnē vālē . Tō check karō - sarv upkārī dr̥iṣhṭi , vr̥itti , smr̥iti rahtī hai  ? Dūsrē par upkār karnā , svayã par hī upkār karnā hai . Tō kyā karnā hai  ? Sammān dēnā hai nā  ! Alag - alag bātō̃ mē̃ dhārṇā karnē kē liē jō mēhnat kartē hō , ussē chhūṭ jāyēṅgē kyōki bāpdādā dēkh rahē haĩ , ki samay key|kī gati tīvr hō rahī hai . Samay intjār kar rahā hai , tō āp sabhī kō intjām karnā hai . Samay kā intjār samāpt karnā hai . Kyā intjām karnā hai  ? Apnē sampūrṇtā aur samāntā key|kī gati tīvr karnī hai . Kar rahē haĩ nahī̃ , tīvragati kō check karō - tīvragati hai  ?

Bākī snēh sē nayē-nayē bachchē bhī pahũchē haĩ , bāpdādā nayē-nayē bachchō̃ kō dēkh khuśh hōtē haĩ . Jō pahlē bārī āyē haĩ vah hāth uṭhāō . Bahut haĩ . Bhalē padhārē bāp K|kē ghar mē̃ , apnē ghar mē̃ , mubārak hō .

Sēvā kā turn – karnāṭak  : karnāṭak vālē uṭhō . Sēvā K|kē golden chance key|kī mubārak hō . Dēkhō pahlā number liyā hai tō pahlā number hī rahnā hai nā  ! Puruṣhārth mē̃ , vijayī bannē mē̃ sabsē pahlā number lēnē vālē . Dūsrā number nahī̃ lēnā , pahlā number . Hai himmat  ! Himmat hai  ? Tō himmat āpkī aur hajār guṇā madad bāp key|kī . Achchhā chance liyā hai . Apnē puṇya kā khātā bahut-bahut jamā kar liyā . Achchhā karnāṭak nē mega programme kiyā hai  ? Nahī̃ kiyā hai , kyō̃  ? Kyō̃ nahī̃ kiyā  ? Karnāṭak kō sabmē̃ pahlā number lēnā chāhiē . ( Bangalore mē̃ karē̃gē ) achchhā , jinhōnnē bhī baḍā programme kiyā hai vah uṭhō . Kitnē programme hō gayē haĩ  ? ( 8 - 10 hō chukē haĩ ) tō bāpdādā baṛē programme key|kī baḍī mubārak dē rahē haĩ . Zone kitnē haĩ  ! Har ēk zone kō baḍā programme karnā chāhiē kyōki āpkē śhahar mē̃ ulhanā dēnē vālē ulhanā nahī̃ dēgē . Baḍē programme mē̃ āp advertise bhī baḍī kartē hō nā , chāhē media dvārā , chāhē poster , hōrḍig ādi bhinn-bhinn sādhan apnātē hō tō ulhanā kam hō jāyēgā . Bāpdādā kō yah sēvā pasand hai lēkin lēkin hai . Programme tō baṛē kiyē uskī tō mubārak hai hī lēkin her|har programme sē kam sē kam 108 key|kī mālā tō taiyār hōnī chāhiē . Vah kahā̃ huī hai  ? Kam sē kam 108 , jyādā sē jyādā 16 hajār . Lēkin itnī jō energy lagāī , itnā sampatti lagāī , uskī result kam sē kam 1०8 tō taiyār hō̃ . Sabkī address tō āpkē pās|pass rahnī chāhiē . Baṛē programme mē̃ jō bhī lānē vālē haĩ , unhō̃ kē pās unkā parichay tō rahtā hī hai tō unhō̃ kō phir sē samīp lānā chāhiē . Aisē nahī̃ ki hamnē kar liyā , lēkin jō bhī kārya kiyā jātā hai uskā phal tō nikalnā chāhiē nā . Tō har ēk baṛē programme karnē vālō kō yah result bāpdādā kō dēnī hai . Chāhē bhinn-bhinn centre par jāyē , kis śhahar kā bhī hō vahā̃ jāē , lēkin result nikalnī chāhiē . Ṭhīk hai nā , hō tō saktā hai nā  ! Thōḍā attention dēgē tō nikal āyēgē 1०8 tō kuchh bhī nahī̃ haĩ . Lēkin result bāpdādā dēkhnē chāhtē haĩ , kam sē kam student tō banē . Sahyōg mē̃ āgē āvē , kaun-kaun kitnē nikāltē haĩ , vah bāpdādā is season mē̃ result dēkhnē chāhtē haĩ . Ṭhīk hai nā  ? Pāṇḍav ṭhīk hai  ? Tō dēkhē̃gē number one kaun hai  ? Kitnē bhī nikālō , nikālō jarūr . Kyā hai , programme hō jātē haĩ lēkin āgē kā samparka vah thōḍā attention kam hō jātā hai aur nikālnā kōī muśhkil nahī̃ hai . Bākī bāpdādā bachchō̃ key|kī himmat dēkh khuśh haĩ . Samjhā . Achchhā -

Indore hostel tathā sabhā mē̃ upasthit sabhī kumāriyō̃ sē  : bahut kumāriyā̃ āī haĩ , jitnī bhī kumāriyā̃ āī haĩ , unmē̃ sē hands kitnē nikalē̃gē  ? Kumāriyā̃ bāpdādā K|kē right hands ban saktī haĩ . Golden chance hai . Tō kitnī saṅkhyā hai  ! Mālūm hai , kitnī kumāriyā̃ haĩ . ( 5 -6 sau ) inhō̃ kā nām note karnā aur yah result dēkhnā ki itnī sārī kumāriyō̃ mē̃ sē right hand kitnī banī̃  ! Hāth uṭhāō , centre par rahnē vālī nahī̃ uṭhāō . Jō right hand banēgī vah hāth uṭhāō . Inhō̃ kā video nikālō . Kyōki āp lōgō̃ kō mālūm hai ki centre khōlnē K|kē nimantraṇ bahut hai lēkin hands cum|kam haĩ . Tō āpkī tō mā̃gnī hai . Isliē kumāriyō̃ kō jaldī sē jaldī sēvā K|kē right hand bannā chāhiē . Jō chhōṭī-chhōṭī hai unkī bāt chhōṛō , lēkin jō sēvā kar saktī haĩ unhō̃ kō samay K|kē pramāṇ jaldī taiyār hō jānā chāhiē . Dahēj āpkā taiyār hai , centre dahēj hai , var tō hai hī aur dahēj bhī taiyār hai . Tō taiyārī karō . Karēgī nā  ! Hā̃ , baḍī-baṛī tō nikal saktī hai . Jō samajhtī hai jald sē jaldī nikal saktī hai , vah hāth uṭhāō . Dēkhō , kitnī kumāriyā̃ hāth uṭhā rahī haĩ . Video nikal rahā hai . Achchhā - mubārak hō , inaēḍavās mubārak hō . Achchhā .

Sabhī taraph sē jō bhī snēhī bachchē bāpdādā kō dil mē̃ yād kar rahē haĩ , vā patra , email dvārā yād bhējī hai , un chārō̃ ōr K|kē bachchō̃ kō bāpdādā dūr nahī̃ dēkh rahē haĩ lēkin diltakhta par dēkh rahē haĩ . Sabsē samīp dil hai . Tō bāpdādā dil sē yād bhējnē vālō̃ kō aur yād bhējī nahī̃ lēkin yād mē̃ haĩ , un sabkō bhī diltakhtanaśhīn dēkh rahē haĩ . Respond dē rahē haĩ . Dūr baiṭhē bhī number one tīvr puruṣhārthī bhav .

Achchhā - abhī sabhī ēk second mē̃ , ēk second ēk minute nahī̃ , ēk second mē̃ “ maĩ phariśtāsō dēvtā hū̃ ” - yah mansā ṛil second mē̃ anubhav karō . Aisī ṛil din mē̃ ēk second mē̃ bār-bār karō . Jaisē śhārīrik ṛil śharīr kō śhaktiśhālī banātī , vaisē yah man key|kī ṛil man kō śhaktiśhālī banānē vālī hai . Mai phariśhtā hū̃ , is purānī duniyā , purānī dēh , purānē dēh K|kē saskār sē nyārī phariśhtā ātmā hū̃ . Achchhā -

Chārō̃ ōr K|kē ati snēhī , sadā snēh K|kē sāgar mē̃ lavlīn ātmāō̃ kō , sadā sarv śhaktiyō̃ K|kē adhikārī śhrēṣhṭh ātmāō̃ kō , sadā bāp samān bannē bālē bāp K|kē pyārē ātmāō̃ kō , sadā svamān mē̃ rahnē vālī her|har ātmā kō sammān dēnē vālī , sarv K|kē mānanīy mānanēvālī ātmāō̃ kō , sadā sarv upkārī ātmāō̃ kō bāpdādā kā dil kā yāvadhār aur dil key|kī duāyē̃ svīkār hō . Aur sāth-sāth viśhva K|kē mālik ātmāō̃ kō namastē .

Dādijī sē  : sammān dēnē mē̃ number one pās|pass hai . Achchhā hai , sab dādiyō̃ sē madhuban key|kī raunak hai . ( sabhā sē ) in sabhī kō dādiyō̃ sē raunak achchhī lagtī hai nā . Jaisē dādiyō̃ key|kī raunak sē madhuban mē̃ raunak hō jātī hai , aisē āp sabhī dādī nahī̃ , dīdiyā̃ aur dādē tō hō . Tō sabhī dīdiyā̃ aur sabhī dādāyē̃ , sabhī kō yah sōchnā hai , karnā hai , jahā̃ bhī rahtē hō us sthān mē̃ raunak hō . Jaisē dādiyō̃ sē raunak hai , vaisē her|har sthān mē̃ raunak hō kyōki dādī kē pīchhē dīdiyā̃ tō hō nā , cum|kam nahī̃ hō . Dādē bhī haĩ , dīdiyā̃ bhī hai . Tō kisī bhī centre par rūkhāpan nahī̃ hōnā chāhiē , raunak hōnī chāhiē . Āp ēk-ēk viśhva mē̃ raunak karnē vālī ātmāyē̃ hō . Tō jis bhī sthān par hō vah raunak kā sthān najar āvē . Ṭhīk hai nā  ? Kyōṅki duniyā mē̃ had key|kī raunak hai aur āp ēk ēk sē bēhad key|kī raunak hai . Svay khuśhī , śhānti aur atīndriya sukh key|kī raunak mē̃ hōṅgē tō sthān bhī raunak mē̃ ā jāyēgā kyōṅki sthiti sē sthān mē̃ vāyumaṇḍal phailtā hai . Tō sabhī kō check karnā hai - ki jahā̃ ham rahtē haĩ , vahā̃ raunak hai  ? Udāsī tō nahī̃ hai  ? Sab khuśhī mē̃ nāch rahē haĩ  ? Aisē hai nā  ! Āp dādiyō̃ kā tō yahī kām hai nā  ! Follow dīdiyā̃ aur dādāyē̃ . Achchhā .

Āj is varṣh K|kē Indian season kā ādi hai . Tō āp sabhī ādi mē̃ ā gayē haĩ . Achchhā hai . Bāpdādā nē yah hall|hāl āpkē liē hī banāyā hai . Āp nahī̃ hōtē hō nā tō hall|hāl key|kī raunak nahī̃ hōtī hai . ( bābā ātē haĩ tō raunak hō jātī hai ) bābā āvē aur yah nahī̃ hō̃ tō  ! ( dādī kō raunak chāhiē , achchhā hai .

Ōm śhānti .