गुरुवार 15 दिसंबर 2005 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
15-12-05 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
nayē varṣh mē̃ snēh aur sahyōg key|kī rūprēkhā stage par lāō , har ēk kō guṇ aur śhaktiyō̃ key|kī gift dō
Āj paramātma bāp apnē chārō̃ ōr K|kē paramātma pyār K|kē adhikārī bachchō̃ kō dēkh rahē haĩ . Yah paramātma pyār viśhva mē̃ kōṭō̃ mē̃ sē kōī kō prāpt hōtā hai . Yah paramātma pyār niḥsvārth pyār hai kyōṅki ēk paramātmā pitā hī nirākār , nirahaṅkārī hai . Manuṣhya ātmā śharīrdhārī hōnē K|kē kāraṇ kōī na kōī svārtha mē̃ ā hī jātī hai . Paramātma bāp hī apnē bachchō̃ kō aisā niḥsvārth pyār dētē haĩ . Paramātma pyār brāhmaṇ jīvan kā viśhēṣh ādhār hai . Brāhmaṇ jīvan kā jīvanadān hai . Agar brāhmaṇ jīvan mē̃ paramātma pyār kā anubhav cum|kam hai , tō pyār K|kē binā jīvan ramaṇīk nahī̃ , sūkhā jīvan hō jātā hai . Paramātma pyār hī jīvan mē̃ sadā sāth bhī dētā aur sāthī ban sadā sahyōgī rahtā . Jahā̃ pyār hai , sāth hai vahā̃ sab kuchh bahut sahaj aur saral hō jātā hai . Mēhnat kā anubhav nahī̃ hōtā hai . Aisā anubhav hai nā ! Paramātma pyārē kōi bhī vyakti vā sādhanō̃ key|kī ākarṣhaṇ mē̃ nahī̃ ā saktē kyōṅki paramātma ākarṣhaṇ , paramātma pyār aisā anubhav karātā jō sadā pyār K|kē kāraṇ lavlīn rahtē haĩ , jiskō lōgō̃ nē paramātmā mē̃ līn hōnā samajh liyā . Paramātmā mē̃ līn nahī̃ hōtā lēkin paramātma pyār mē̃ lavlīn hō jātā .
Bāpdādā chārō̃ ārē K|kē bachchō̃ kō dēkhatē̃ haĩ - paramātma pyārē tō sabhī banē haĩ lēkin ēk hai lovely bachchē dusarē haĩ lavlīn bachchē . Tō apnē āpsē pūchhō lovely tō sabhī haĩ , lēkin lavlīn kahā̃ tak rahtē haĩ ? Lavlīn bachchō̃ key|kī niśhānī hai vah sadā paramātma pharmān mē̃ sahaj chaltē haĩ . Pharmān mē̃ bhī rahtē aur dēhbhān sē kurbān bhī rahtē haĩ kyōṅki pyār mē̃ kurbān hōnā muśhkil nahī̃ hai . Sabsē pahlā pharmān hai - yōgī bhav , pavitra bhav . Bāp kā bachchō̃ sē pyār hōnē K|kē kāraṇ bāp bachchō̃ kō mēhnat kartē dēkh nahī̃ saktē kyōṅki bāp jāntē haĩ 63 janm bahut mēhnat key|kī , abhī yah alaukik janm mēhnat sē mukt hō atīndriya sukh key|kī mauj manānē kā hai . Tō mauj manā rahē hō ki mēhnat karnī paṛtī hai ? Pyār mē̃ pharmān par chalnā mēhnat nahī̃ lagtī . Agar mēhnat karnī paṛtī hai tō pyār key|kī percentage cum|kam hai . Kahā̃ na kahā̃ pyār mē̃ kuchh na kuchh leakage hai . Dō bātō̃ key|kī leakage mahēnat karātī hai - ēk purānē saṅskār kā ākaṣarṇ . Saṅsār mē̃ sambandh , padārtha sab ā jātā hai . Aur dūsrā - purānē saṅskār key|kī ākarṣhaṇ . Yah purānā saṅsār aur purānē saṅskār apnē taraph ākarṣhit kar dētē haĩ . Tō paramātma pyār mē̃ percentage hō jātī hai . Check karō - in dōnō̃ leakage sē mukt haĩ ? Yād karō āp ātmā K|kē anādi saṅskār aur ādi saṅskār kyā thē aur abhī ant K|kē brāhmaṇ jīvan K|kē saṅskār kyā haĩ ? Anādi bhī haĩ , ādi bhī haĩ aur ant mē̃ bhī śhrēṣhṭh saṅskār haĩ . Yah purānē saṅskār madhya K|kē haĩ , na anādi haĩ , na ādi haĩ , na ant K|kē haĩ . Lēkin lakṣhya kyā hai sabhī kā ? Kisī bhī bachchē sē pūchhō tō ēk hī uttar dētē haĩ lakṣhya hai bāp samān bannē kā . Yahī hai nā ! Hai tō hāth uṭhāō . Yahī lakṣhya hai pakkā ? Yā bīch-bīch mē̃ badalī hō jātī hai ? Tō bāp bachchō̃ sē pūchhtē haĩ ki bāp aur dādā dōnō̃ K|kē samān saṅskār kaun sē haĩ ? Sadā bāp her|har ātmā kē prati udāracitta rahē haĩ . Her|har ātmā kē prati snēh aur sammān svarūp mē̃ sahyōgī rahē haĩ . Aisē svayã bhī apnē kō her|har ātmā kē prati sahyōgī anubhav kartē hō ? Sahyōg dē tō sahyōgī banē̃ , nahī̃ . Snēh dē tō snēhī banē̃ , nahī̃ . Jaisē brahmā bāp her|har bachchē kē prati sahyōgī banē̃ , snēhī banē̃ , aisē sarv K|kē sadā snēhī aur sahyōgī . Iskō kahā jātā hai samān bannā . Agar kōī bhī bachchē kō mēhnat karnī paṛtī hai , saṅskār parivartan karnē mē̃ , uskā kāraṇ kyā hai ? Brahmā bāp nē apnē ūpar attention rakhā lēkin mēhnat nahī̃ key|kī , saṅskār parivartan mē̃ mēhnat kā kāraṇ hai - lovely banē haĩ lavlīn nahī̃ banē haĩ . Bāpdādā tō her|har bachchē kō lovely bachchē samajhtē haĩ , jāntē bhī haĩ , janmapatrī har ēk kā jāntē haĩ . Parivār bhī kyā kahē̃gē ? Lovely haĩ . Bāpdādā her|har bachchē kō ēk hī paṛhāī , ēk hī pālnā , ēk hī vardān sadā dētē haĩ . Chāhē last number bhī jāntē haĩ phir bhī bāpdādā kisī bhī bachchē kā avguṇ , kamzōrī saṅkalp mē̃ bhī nahī̃ rakhtē . Lāḍlā hai , sikīladhā hai , mīṭhā-mīṭhā hai … isī dr̥iṣhṭi aur vr̥itti sē dēkhtē kyōṅki bāpdādā jāntē haĩ isī vr̥itti aur śhrēṣhṭh dr̥iṣhṭi sē kamzōr mahāvīr ban jāyēgā . Aisē hī apnē śhrēṣhṭh vr̥itti aur śhubhbhāvnā , śhubhkāmnā dvārā kisī kā bhī parivartan kar saktē hō . Jab āpnē challenge kiyā hai ki prakr̥iti kō bhī parivartan karkē dikhāyēṅgē tō kyā ātmāō̃ kā parivartan nahī̃ kar saktē ! Prakr̥itijīt bantē hō tō ātmā , ātmā key|kī śhrēṣhṭh bhāvnā sē , kalyāṇ key|kī kāmnā sē parivartan nahī̃ kar saktē haĩ ?
Abhī nayā varṣh śhurū hōnē vālā hai nā - tō nayē varṣh mē̃ sarv bēhad K|kē brāhmaṇ parivār K|kē bīch ēk dō kē prati apnē śhubhbhāvnā , śhrēṣhṭh kāmnā dvārā harēk ēk dō K|kē parivartan karnē mē̃ sahyōgī banō , chāhē kamzōr hai , jāntē hō iskē saṅskār mē̃ yah kamzōrī hai lēkin āp snēh aur sahyōg key|kī śhakti dvārā sahyōgī banō . Ēk dō kō sahyōg kā hāth milāō . Is sahyōg K|kē hāth milānē kā dr̥iśhya aisā ban jāyēgā jaisē hāth mē̃ hāth snēh kā milānā , sahyōg kā milānā , mālā ban jāyē . Śhikṣhā nahī̃ dō , snēh bharā sahyōg dō . Nyārā nahī̃ banō , kinārā nahī̃ karō , sahārā banō kyōṅki āpkā yādgār vijaymālā hai . Har ēk maṇkā , maṇakē K|kē sāthī sahyōgī hai tab mālā kā chitra banā hai . Tō sabhī bāpdādā sē pūchhtē haĩ nayē sāl mē̃ kyā karnā hai ? Sandēśh dēnē kā kārya tō bahut kiyā , kar rahē haĩ , kartē rahē̃gē . Ab sandēś-vāhakō̃ K|kē sahyōg aur snēh key|kī rūprēkhā stage par lāō . Mahādānī banō , apnē guṇō̃ kā sahyōgī banō , banāō . Aisē apnē guṇō̃ kā , haĩ tō paramātma guṇ lēkin jō apnē mē̃ banāyā hai , us guṇ key|kī śhakti sē unhō̃ key|kī kamzōrī dūr karō . Yah kar saktē haĩ ? Kar saktē haĩ yā muśhkil hai ? Teachers batāō , kar saktē haĩ ? Kar saktē haĩ yā karnā hī hai ? Karnā hī hai ? Kōī kamzōr nahī̃ rahē , kyōṅki kōṭō̃ mē̃ kōī hai nā ! Chāhē last dānā bhī hai , hai tō kōṭō̃ mē̃ kōī . Āpkā title hī hai - master sarvśhaktivān . Tō sarvśhaktivān kā kartavya kyā hai ? Śhakti key|kī lēn-dēn karnā . Bāp dvārā milā huā guṇ āpas mē̃ lēn-dēn karō . Yahī sahyōg key|kī gift ēk dō mē̃ dō . Nayē varṣh mē̃ ēk dō kō gift dētē haĩ nā ! Tō is varṣh mē̃ ēk dō mē̃ guṇō̃ key|kī gift dō . Agar kalyāṇ key|kī bhāvnā rakhē̃gē tō jaisē bhāṣhaṇ karkē sandēśh dētē hō nā , vāṇī dvārā vaisē apnē kalyāṇ key|kī bhāvnā dvārā , kalyāṇ key|kī vr̥itti dvārā , kalyāṇ K|kē vāyumaṇḍal dvārā yah guṇō̃ key|kī gift dō , śhaktiyō̃ key|kī gift dō . Kamzōr kō sahyōg dēnā , yah samay par gift dēnā hai , girē huē kō girāō nahī̃ , chaṛhāō , ū̃chā chaṛhāō . Yah aisā hai , yah aisā hai … , nahī̃ . Yah prabhu pyār K|kē pātr hai , kōṭō̃ mē̃ kōī ātmā hai , viśhēṣh ātmā hai , vijayī bannē vālī ātmā hai , yah dr̥iṣhṭi rakhō . Abhī vr̥itti , dr̥iṣhṭi , vāyumaṇḍal change karō . Kuchh navīntā karnī chāhiē nā ! Kamzōrī dēkhtē , dēkhō nahī̃ , umaṅg dō , sahyōg dō . Aisā brāhmaṇ saṅgaṭhan taiyār karō tō bāpdādā vijay key|kī tālī bajāyēgā . Āp bhī bār-bār tāliyā̃ bajātē hō nā , bāpdādā mubārak hō , badhāī hō , greetings hō , uskī tāliyā̃ bajāyēgā . Āp bhī sāth mē̃ tālī bajāyēṅgē nā . Abhī tālī bajāī tō achchhā kiyā lēkin viśhva kē āgē tālī bajē . Sabkē mukh sē yah āvāj nikalē , hamārē īṣhṭ ā gayē . Hamārē pūjya ā gayē . Lakṣhya pakkā hai nā ! Pakkā hai lakṣhya , karnā hī hai ? Yā dēkhē̃gē , plan banāyēṅgē ! Karnā hī hai , plan kyā , karnā hī hai . Abhī sabhī intjār kar rahē̃ haĩ . Abhī inhō̃ kā intjār samāpt karē̃ pratyakṣha hānē kā intjām karē̃ , dēkhē prakr̥iti bhī abhī kitnī taṅg hō rahī hai . Tō prakr̥iti kō bhī śhānt banā dō . Āp pratyakṣha hō jāyēṅgē tō viśhva śhānti svataḥ hō jāyēgī . Achchhā .
Is bārī bhī nayē-nayē bachchē bahut āyē haĩ . Achchhā hai . Bāpdādā khuśh hōtē haĩ ki jō bhī kōnē-kōnē mē̃ chhipē huē kalp pahlē vālē bachchē haĩ , vah pahũch rahē haĩ . Abhī pīchhē ānē vālē bhī aisā lakṣhya rakhō samay cum|kam hai isliē tīvr purūṣhārth dvārā number āgē lē saktē hō . Abhī bhī toolate kā board nahī̃ lagā hai , late|lēṭ kā lagā hai . Isliē jitnā purūṣhārth karnē chāhō utnā āgē baṛh saktē hō . Tō pahlē bārī ānē vālē hāth uṭhāō . Achchhā . Sabhī nē , jinhōnnē bhī hāth uṭhāyā hai , tīvr purūṣhārth karnā hai nā ! Abhī ḍhīlē purūṣhārth kā samay gayā , chalnē kā gayā , abhī uṛnē kā samay hai . Tō double light bankē uṛō . Jō bhī bannē chāhō , ban saktē hō . Ulāhnā nahī̃ dēnā - bābā hamkō pīchhē bulāyā , abhī bhī double light bankē uṛ saktē hō . Itnā umaṅg hai ? Jinhōnnē hāth uṭhāyā , itnā umaṅg hai ? Jiskō itnā umaṅg hai , āgē jākar hī dikhānā hai , vah hāth uṭhāō . Bāpdādā tō inhē̃ advance mubārak dē rahē haĩ . Achchhā .
Gujarāt key|kī hī sēvā hai , gujarāt vālē hī milan manānē āyē haĩ : gujarāt vālē jō bhī haĩ , chāhē āyē haĩ , chāhē sēvā mē̃ āyē haĩ , vah hāth uṭhāō . Bahut haĩ , bahut achchhā . Achchhā chance liyā hai . Gujarāt kō bāpdādā kahtē haĩ , sindhī mē̃ kahāvat hai jō cul par vah dil par . Tō sabsē najdīk mē̃ najdīk gujarāt hai . Jō najdīk hōtā hai nā , uskō kahā jātā hai śaḍapanth par hai , bulāō aur pahũch jāyē . Tō aisē ever ready hai nā gujarāt , kabhī bhī bulāyē̃ ā jāō , tō ā jāyēṅgē ? Aisē hai ? Parivār kō nahī̃ dēkhē̃gē kyā karē̃gē , ā jāyēṅgē ? Ever ready haĩ . Achchhā hai gujarāt , sākār brahmā K|kē prērṇā sē sthāpan huā hai . Gujarāt nē gujarāt kō nimantraṇ nahī̃ diyā , brahmā bāp nē gujarāt kō khōlā hai . Tō gujarāt kē ūpar viśhēṣh brahmā bāp key|kī najar paṛī huī hai . Aur gujarāt nē purūṣhārth bhī kiyā hai , centre achchhē khulē haĩ . Kitnē centre haĩ ? 300 sēvākēndra , upsēvākēndra haĩ aur 3 hajār gītā pāṭhaśālāyē haĩ . Achchhā sabsē jyādā centre kis zone K|kē haĩ ? ( bambaī-mahārāṣṭra ) achchhā . Mahārāṣhṭra vālē āyē haĩ ? ( āj nahī̃ āyē haĩ ) sabsē jyādā mahārāṣhṭra mē̃ haĩ gujarāt sēvā tō achchhī kar rahē haĩ . Gujurāt kā vistār tō achchhā hai . Abhī kyā karnā hai . Vistār tō hai vistār tō achchhā kiyā hai , abhī gujarāt vālē number one vāris taiyār karē̃ . Kam sē kam jō baṛē sēvākēndra haĩ , jō purānē vāris haĩ , vah tō haĩ hī lēkin nayā kōī vāris nikālō . Chalō ēk-ēk tō nikālō , kyōṅki mālā mē̃ maṇakē vahī banē̃gē jō vāris quality hōṅgē . Tō mālā tō taiyār karnā hai nā . 16108 key|kī bhī mālā banī huī hai . Abhī agar bāpdādā bōlē 108 key|kī mālā banāō , tō banā saktē hō ? Ban saktī hai ? Dādiyā̃ batāvē̃ , 108 key|kī mālā ban saktī hai ? ( dādījī nē kahā ban saktī hai . ) taiyār haĩ ? 108 key|kī mālā taiyār hō gaī hai ? ( hā̃ bābā taiyār hai ) achchhā likhkar dikhānā . Taiyār hai tō bahut achchhā , mubārak hai . Achchhā 16 hajār key|kī , ādhē tak banī hai ? ( ādhā tō kyā unsē bhī jyādā banī hai ) achchhā hai nā . Dēkhō gupta rūp mē̃ banī hai aur āpkī dādī nē dēkh lī hai . Achchhā hai . Abhī āpsē sabhī pūchhē̃gē ki mērā mālā mē̃ nām hai ? Achchhā hai . Aisī śhubhbhāvnā , śubhaummīdē̃ taiyār hī kar lētī haĩ . Abhī sabhī nē sunā nā , apnē kō check karnā maĩ us mālā mē̃ ever ready hū̃ ? Achchhā . Aur kyā karnā hai ?
CAD group : achchhā hai , yah bhī āvāj phailānē kā sādhan bahut achchhā hai kyōṅki practical sabūt dēkhtē haĩ nā aur binā kharchē K|kē maiḍiṭēśan dvārā ṭhīk hō jānā , tō sabkō bahut achchhā lagtā hai abhā dhīrē-dhīrē iskī vr̥iddhi kartē jāō . Sunā hai , kar rahē haĩ aur saphaltā bhī mil rahī hai aur bhī miltī rahēgī bākī bāpdādā is kārya kē liē nimitt bannē vālō̃ kō mubārak dē rahē haĩ . Official government tak pahũch rahī hai aur bhī phailātē rahē̃gē tō meditation kā mahatva baṛhtā jāyēgā . Bākī bāpdādā kō yah vidhi pasand hai . Achchhā .
Double vidēśhī : double vidēśhī tō sadā double purūṣhārth kartē hōṅgē nā ! Purānā saṅsār aur purānē saṅskār kā nāmōniśān nahī̃ rahē , yah hai double purūṣhārth . Tō aisā double purūṣhārth chal rahā hai ? Chaltā hai ? Kandhā tō hilāō . Jiskā attention hai is double purūṣhārth par vah hāth uṭhāō . Acchā-phir tō pratyakṣhatā vidēśh sē hōgī . Double purūṣhārth karanēvālō̃ key|kī vijay pratyakṣha hō jāyēgī . Bāpdādā kō khuśhī hai ki double foreigners sēvā aur purūṣhārth dōnō̃ taraph attention dē āgē baṛh rahē haĩ . Baṛh rahē haĩ iskī mubārak hai lēkin āgē is attention mē̃ aur bhī tīvratā lāō . Jis bhī centre par jāyē̃ vahā̃ aisā anubhav hō jaisē madhuban kā vāyumaṇḍal . Ab har ēk sthān aisē vāyumaṇḍal kā anubhav karāvē . Jaisē madhuban mē̃ kōī bhī ātā hai , prabhāvit hōkar hī jātā hai kisī bhī bāt mē̃ , aisē kōī bhī ātmā āvē , kisī na kisī bāt mē̃ aisē prabhāvit hōkē jāyē jō bār-bār ātā hī rahē . Āgē baṛhtā rahē . Bākī attention hai , purūṣhārth bhī hai , lakṣhya bhī hai ab practical aisā prabhāvit hō jō kōī bhī ānē K|kē binā , bannē K|kē binā rah nahī̃ sakē . Achchhā hai , her|har turn mē̃ vidēśhī ātē haĩ , issē bhī madhuban achchhā sundar lagtā hai . International hō jātā hai nā ! Vijayī haĩ aur vijay kā tilak sadā apnē mastak par pratyakṣha dikhāī dē yah aur thōṛā vijay kā tilak spaṣhṭ karō . Jō bhī dēkhē vijay kā chamaktā huā tilak dikhāī dē . Kitnē bār vijayī banē haĩ ? Anēk bār banē haĩ , abhī bhī banē haĩ , phir bhī bantē rahē̃gē . Tō dōnō̃ bātō̃ mē̃ vijayībhav kā vardān chalan aur chēhrē sē dikhāī dē . Niśhchay aur naśhā tō hai hī ! Ham nahī̃ vijayī banē̃gē tō kaun banēgā , yah naśhā hai nā ! Niśhchay bhī hai , naśhā bhī hai . Abhī ēk dō K|kē sahyōgī ban vijay kā jhaṇḍā viśhva kē āgē laharāō . Kyōṅki double vidēśhiyō̃ K|kē saṅskār haĩ jō karnā hai vah pūrā karnā hai , adhūrā nahī̃ . Tō ismē̃ bhī sampann bannā hī hai . Ṭhīk hai . Pakkā hai nā ! Kachchā tō nahī̃ nā ! Achchhā . Ājkal viśhva mē̃ dō bātē̃ viśhēṣh chaltī haĩ - ēk exercise aur dūsrā bhōjan kē ūpar attention . Tō āp bhī yah dōnō̃ bātē̃ kartē hō ? Āpkī exercise kaun see|sī|C hai ? Śhārīrik exercise tō sab kartē haĩ lēkin man key|kī exercise abhī-abhī brāhmaṇ , brāhmaṇ sō phariśhtā aur phariśhtā sō dēvtā . Yah mansā drill kā abhyās sadā kartē rahō . Aur śhuddha bhōjan , man kā śhuddha saṅkalp . Agar vyarth saṅkalp , negative saṅkalp chaltā hai tō yah man kā aśhuddh bhōjan hai . Tō man mē̃ sadā śhuddha saṅkalp rahē , dōnō̃ karnā ātā hai nā ! Jitnā samay chāhō utnā samay śuddhasaṅkalpa svarūp ban jāō . Achchhā .
Chārō̃ ōr K|kē paramātma pyār K|kē adhikārī viśhēṣh ātmāō̃ kō , sadā ēk dō K|kē sahyōgī bannē vālē bāp K|kē snēhī aur sahyōgī ātmāō̃ kō , sadā vijayī hai aur vijay kā jhaṇḍā viśhva mē̃ phailānā hai , is lakṣhya kō practical mē̃ lānē vālē vijayī bachchō̃ kō , sadā is purānē saṅsār aur saṅskār K|kē ākarṣhaṇ sē parē rahnē vālē bāp samān bachchō̃ kō dilārām bāp kā dil sē yādpyār aur namastē .
Dādiyō̃ sē : ( dādījī sē ) achchhī khuśhkhabarī sunāī . ( mōhinī bahan sē ) achchhā hai mukt hōkar ā gaī . Sahaj hō gayā nā ! Sab brāhmaṇō̃ key|kī duāyē̃ bhī thī . Sūlī sē kāṇṭā karkē ā gaī . Bāpdādā khuśh hai , āpkī mansā śhakti kā pramāṇ achchhā hai . ( dādījī sē ) bahut achchhā part bajā rahī hō . Āpkō dēkhkar sabhī kō phariśhtā life yād ātī hai . Nyārā aur pyārā .
Gujarāt key|kī mukhya 13 bahinō̃ sē : achchhē-achchhē mahāvīr haĩ . Mahāvīrō̃ kā kām hai vijayī ban vijayī banānā . Tō sabhī achchhī sēvā kar rahē haĩ aur āgē bhī sēvā hōtī rahēgī . Bāpdādā bachchō̃ K|kē umaṅg-utsāh kō dēkh khuśh hōtē haĩ . Achchhā gujarāt mē̃ phailā rahē hō . Aur bhī āgē phailātē rahē̃gē . Bāpdādā kō sabhī bachchē āśhāō̃ K|kē dīpak lag rahē haĩ . Achchhā hai . Saṅgaṭhan bhī achchhā hai . Ēk-ēk key|kī viśhēṣhtā hai . Achchhā . Khuśh , khuśhī bāṇṭnē vālē . ( saralā dīdī pūchh rahī haĩ , dādī nē mālā mē̃ kiskō rakhā hai ) āp kyā samajhtī hō ? Ham tō hōṅgē hī nā , aisē samajhtī hō . Thōṛā bahut ēk dō kō sahyōg dē aur jō kuchh bhī rahā huā hai , vah khatm hō jāyēgā . Sab bāp samān bannē vālē hī haĩ . ( navīntā kyā karē̃ ) sunāyā nā - ēk ēk centre kam sē kam ēk vāris tō taiyār karē . Tō is varṣh vah lēkar ānā , 21 vāris tō lēkē ānā . Yah śhurū karō . Pahlā number āō . Sabhī hā̃ kar rahē haĩ . Vāris key|kī qualification jāntē haĩ nā . Yah sab bābā K|kē hī banāyēṅgē nā , apnā tō banāyēṅgī nahī̃ . Achchhā .