शनिवार 9 सितंबर 2023 की दैनिक मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

09-09-2023 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

«  mīṭhē bachchē - gyān kō agni nahī̃ kahā jātā , yōg agni hai , yōg mē̃ rahnē sē hī tumhārē pāp bhasma hōṅgē , tum svachchha gōrā ban jāyēṅgē ' '

Praśhna  : kin bachchō̃ key|kī buddhi rūpī tarkas mē̃ gyān bāṇ sadā bharē rahtē haĩ  ?

Uttar  : jō rōz paṛhāī achchhī rīti paṛhtē aur paṛhātē haĩ unkī buddhi rūpī tarkas mē̃ gyān vāṇ bharē rahtē haĩ . Vahī māt-pitā K|kē samān kāṇṭō̃ kō kalī aur kaliyō̃ kō fool|phūl banānē key|kī sēvā kar saktē haĩ . Jō achchhī tarah paṛhtē aur paṛhātē haĩ vahī ūñch pad pātē haĩ .

Gīt  : kaun āyā mērē man K|kē dvārē …

Ōm śhānti . Bachchō̃ kō ōm śhānti kā arth|earth tō samjhāyā huā hai . Ōm mānā aham ātmā . Aham ātmā kahtī hai mērā svadharm śhānt hai aur maĩ śhānti dēśh mē̃ rahnē vālī hū̃ . Yahā̃ yah organs miltā hai tō talkie bantī hū̃ . Inkā ( śharīr kā ) ādhār lē ham ātmā karma kartī haĩ . Karma tō karmēndriyō̃ sē hī karē̃gē nā . Ātmā kahtī hai yah kaun hai , kahā̃ sē āyā hai  ? Unkō ham yād kartē haĩ phir ghaṛī-ghaṛī bhūl jātē haĩ kyōṅki is bāp kī yād mē̃ kabhī baiṭhē hī nahī̃ haĩ . Aur satsaṅgō̃ mē̃ tō sāmnē sannyāsī , vidvān ādi baiṭhē hōtē haĩ . Vah vēd , upaniṣhad , rāmāyaṇ ādi hī sunāyēṅgē . Ātmā key|kī buddhi mē̃ śhāstra hī yād rahtē haĩ . Gurū kō dēkhnē lag jātē haĩ . Yahā̃ tō tum jāntē hō - parampitā paramātmā ātē haĩ . Hai vah bhī ātmā , parantu vah supreme ātmā hai jō ākar inmē̃ pravēśh kartē haĩ . Tum jāntē hō parampitā paramātmā inmē̃ baiṭh hamkō sahaj rājyōg sikhlātē haĩ . Tumhārī buddhi śhāstrō̃ taraph vā dēh taraph nahī̃ jātī . Tumkō apnē kō aśharīrī ātmā niśhchay karnā hai . Ātmā hai first . Ātmā K|kē ādhār sē hī śharīr chaltā hai . Ātmā avināśhī hai . Ham ātmā bēhad K|kē bāp sē varsā lētē haĩ . Bāp apnā aur manuṣhya sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā parichay baiṭh dētē haĩ . Unkō hī gyān kā sāgar kahā jātā hai . Īśhvar aur unkī rachnā kā gyān aur kōī mē̃ nahī̃ hai . R̥iṣhi-muni ādi sab bēant , bēant kahtē āyē . Rachtā aur rachnā bēant hai , ham nahī̃ jāntē . Kahā jātā hai father shows son . Bāp apnā parichay bachchō̃ kō dēgē . Bachchē bāp kā parichay aurō̃ kō dēgē . Manuṣhya tō us bāp kō na jānnē kāraṇ kah dētē sarvavyāpī hai . Ab tum bachchō̃ key|kī dil mē̃ bāp kī yād āī hai . Aisē nahī̃ , tumhārē mē̃ bāp nē pravēśh kiyā hai . Nahī̃ , bāp key|kī pahchān milī hai . Ab bāp kahtē haĩ mujhē yād karō . Aisē nahī̃ kahtē maĩ sarvavyāpī hū̃ . Nahī̃ , mujhē yād karō tō yōg agni sē tumhārē vikarma vināśh hōṅgē . Bāp tō sarvśhaktimān hai nā . Unkō yād karnē sē vikarma vināśh hōtē haĩ . Gyān kō agni nahī̃ kahē̃gē . Yōg kō agni kahā jātā hai jissē pāp bhasma hōtē haĩ . Aur kōī key|kī yād sē pāp bhasma nahī̃ hōtē haĩ .

Yah khēl sārā bhārat par banā huā hai . Bhārat hīrē jaisā thā ant mē̃ phir bhārat kauṛī jaisā bantā hai . Bhārat mē̃ hīrē javāharō̃ K|kē mahal bantē haĩ . Sōmnāth K|kē mandir mē̃ kitnī milkiyat thī . Bhārat jaisā solvent kōī dharm vālē ban nahī̃ saktē . Bhāratvāsī mahān sukhī thē . Tum bachchō̃ kō ab yād āī hai , 5 hajār varṣh key|kī bāt hai athavā Christ sē tīn hajār varṣh pahlē tum bhāratvāsī kitnē sāhūkār thē . Ab bilkul insolvent haĩ . Government prajā sē karjā lētī rahtī hai . Yah bēhad kā bāp baiṭh samjhātē haĩ .

Tum śhrī śhrī śhivbābā key|kī mat par chalnē sē svarg K|kē śhrēṣhṭh dēvī-dēvtā banē̃gē . Yahā̃ tum āyē hō manuṣhya sē dēvtā bannē . Ēkōaṅkār , sat nām , kartā puruṣh . . . . yah mahimā sārī us ēk key|kī hī hai . Unkō kabhī kāl nahī̃ khātā . Vahī manuṣhya sē dēvtā banātē haĩ . Mūt palītī kapaṛ dhōtē haĩ . Tum ātmāō̃ kō yōg aur gyān sē saphēd gōrā banātē haĩ . Tumkō lakṣhya miltā hai ki śhivbābā kō yād karō , issē tum bahut gōrē ban jātē hō . Ātmā aur śharīr dōnō̃ sundar ban jāyēṅgē . Asul mē̃ tumhārā nām śhyām sundar hai . Satyug mē̃ śharīr aur ātmā dōnō̃ sundar haĩ . Kaliyug mē̃ śhyām bantē hō . Sundar sē śhyām phir śhyām sē sundar bantē hō .

Tum jāntē hō yah kōī gurū gōsāī nahī̃ hai . Yah tō paramdhām mē̃ rahnē vālā parampriya bābā hai . Kahtē haĩ jab dharm glāni hō jātī hai , bhāratvāsī dharm bhraṣhṭa , karma bhraṣhṭa ban jātē haĩ tab maĩ ātā hū̃ . Yah bhī drama kā khēl hai . Solvent aur insolvent bantē haĩ . Bāp kō kahā jātā hai - knowledgeful gyān kā sāgar . Jab bhakti pūrī hō tab tō gyān sāgar āyē . Gyān añjan satgurū diyā agyān andhēr vināśh . Is samay sab kumbhakaraṇ vālī agyān nīnd mē̃ sōyē huē haĩ . Kahtē haĩ ō god father parantu father kō jāntē hī nahī̃ . Bāp ākar samjhātē haĩ - ab apnē kō ātmā niśhchay karō . Ātmā hī patit bantī hai phir pāvan bantī hai . Satyug mē̃ pāvan thē phir 84 janma lē patit banē haĩ . Yah bhī pahlē nahī̃ jāntē thē , ab jāntē haĩ inkē bahut janmō̃ K|kē ant kā janm hai . Sab bātō̃ kā anubhavī hai . Jarūr anubhavī tan chāhiē nā . Gurū ādi kiyē huē haĩ . Śhrīkr̥iṣhṇa kō thōṛēhī gurū-gōsāī karnē paṛtē . Yah bhūl-bhūlaiyā kā khēl hai . Apnī kalpanāyē̃ baiṭh banāī haĩ . Tum brāhmaṇ kul bhūṣhaṇ ūñch hō . Tum hō īśhvarīy santān . Yahā̃ tum yagya key|kī sachchī-sachchī sēvā kartē hō . Vāstav mē̃ tum hō rūhānī social worker , vah haĩ jismānī .

Rūhō̃ kō hī bāp paṛhātē haĩ . Ātmā paṛhtī hai nā . Ātmā suntī hai . Ātmā kahtī hai maĩ barrister banā hū̃ . . abhī ātmā kahtī hai ham sō nar sē nārāyaṇ ban rahā hū̃ . Bābā banātē haĩ . Vah bēhad kā bābā , sabkā bābā hai . Vah hamkō rājyōg sikhlātē haĩ . Vah hai nirākār . Brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar kō bhagvān nahī̃ kahē̃gē . Vah tō dēvtāyē̃ haĩ . Brahmā dēvtāē namaḥ kahā jātā hai nā . Yah sākār jab sūkṣhmavatanvāsī avyakt bantē haĩ tab phir inhē̃ dēvtā kahē̃gē . Tō yah sab samajhnē aur samjhānē key|kī bātē̃ haĩ . Din-pratidin guhya tē guhya sunātē haĩ tō vah bhī sunnā chāhiē . Agar kahtē haĩ phursat nahī̃ , sunē̃gē nahī̃ tō nayē-nayē gyān bāṇ buddhi rūpī tarkas mē̃ kaisē bharē̃gē . Jō achchhī rīti paṛhkar paṛhātē haĩ , vahī ūñch pad pāyēṅgē . Bābā-mammā bhī paṛhkar aur paṛhātē haĩ nā . Tō jō kāṇṭō̃ kō kaliyā̃ aur fool|phūl banātē rahē̃gē , vahī ūñch pad pāyēṅgē . Yah tō bahut sahaj hai . Ismē̃ ḍarnā bhī nahī̃ hai . Bahut lōg kahtē haĩ yah tō baṛā muśhkil hai , asambhav hai . Arē , tab yah lakṣhmī-nārāyaṇ kaisē banē  ! Kōī kō patā nahī̃ hai . Bāp kahtē haĩ mainnē ismē̃ pravēśh kiyā hai . Isnē pūrē 84 janma liyē haĩ . Yah nahī̃ jāntā hai , maĩ batātā hū̃ - tum śhrīkr̥iṣhṇapurī K|kē mālik thē . Abhī vah past hō gayā tō jaisē svapn hō gayā . Jisnē jō act key|kī vah past hō gayī . Tum brahmāṇḍ , mūlvatan , sūkṣhmavatan kō , brahmā , viṣhṇu , śhaṅkar key|kī biography kō jāntē hō . Śhivbābā , lakṣhmī-nārāyaṇ ādi sabkī bio-graphy kō jāntē hō . Tumhārī buddhi mē̃ sārī knowledge hai . Brāhmaṇ varṇa hai sabsē ūñchā . Chōṭī brāhmaṇō̃ key|kī niśhānī hai . Brāhmaṇō̃ sē ūpar hai śhivbābā . Brāhmaṇ , dēvtā , kṣhatriya , vaiśhya , śhūdra . Tum yah chakra lagātē hō . Ham sō , sō ham - yah tumhārē sē hī lagtā hai . Ham sō śhūdra thē , phir ham sō brāhmaṇ banē haĩ , phir ham sō dēvtā banē̃gē . Kitnī sahaj bāt hai  ! Bākī ham ātmā sō paramātmā kahnā , bāp kō sarvavyāpī kahnā , yah tō bāp key|kī glānī hai . Ab bāp āyē haĩ , bāp samjhātē haĩ yah rāvaṇ tumhārā sabsē jāstī purānā śhatru hai . Jisnē tumkō aisā patit kauṛī jaisā banāyā hai . Māyā jītē jagatjīt kahā jātā hai . Māyā baṛē tūphān lātī hai , bahut hairān kartī hai . Ismē̃ ḍarnā nahī̃ hai . Aisē nahī̃ , bābā kr̥ipā karō . Bāp kahē̃gē tum paṛhkar apnē par āpēhī kr̥ipā karō . Aisē nahī̃ , hamārī kr̥ipā sē āp chiranjīvī ban jāyēṅgē . Baṛī āyu vālē tō dēvtāyē̃ hī hōtē haĩ . Tum yahā̃ school mē̃ baiṭhē hō . Tum kahē̃gē ham īśhvarīy college mē̃ jātē haĩ . Svarg kā rachayitā jarūr dēvī-dēvtā hī banāyēṅgē . Bhagvānuvāch - tumkō apnā aur sārī sr̥iṣhṭi K|kē ādi-madhy-ant kā rāz samjhātā hū̃ . Yah duniyā kā jō chakra hai , unkō samajhnā hai . Is svadarśhan chakra kō chalānē sē tum chakravartī rājā-rānī banē̃gē . Pavitra tō jarūr bannā hai . Bāp sē pratigyā karnī hai . Nahī̃ tō kāl K|kē mũh mē̃ chalē jāyēṅgē , phir itnā ūñch pad pā nahī̃ sakē̃gē . Kām chitā sē kālē ban paṛē̃gē . Gyān chitā par baiṭhnē sē tum gōrē bantē hō . Bachchō̃ kō gōrā banānā , yah bāp kā hī kām hai , iskē liē jarūr saṅgam par hī ānā paṛē . Yah hai sabsē uttam yug , jabki ātmā aur paramātmā kā mēlā lagtā hai . Nirākār bāp nē is śharīr kā loan liyā hai kyōṅki unkō apnā śharīr tō hai nahī̃ . Yah gyān chakṣhu sivāē us ēk gyānēśhvar K|kē aur kōī khōl na sakē . Pāvan ātmāyē̃ jō bhī ātī haĩ vah phir patit ban paṛtī haĩ . Satō , rajō , tamō mē̃ tō sabkō ānā hī hai . Is samay sab patit haĩ aur sab yahā̃ hī haĩ . Vāpis kōī bhī gayē nahī̃ haĩ . Ab tum bachchē viśhva K|kē mālik ban rahē hō . Śhivbābā kahtē haĩ maĩ tō niṣhkāmī hū̃ , tumkō viśhva kā mālik banātā hū̃ . Mujhē phal key|kī kōī ichchhā nahī̃ . Tō niṣhkāmī huā nā .

Bābā nē samjhāyā hai - yahā̃ apnē kō ātmā samajh aśharīrī hōkar baiṭhō . Abhī ham vāpis jātē haĩ phir svarg mē̃ rājya karnē āyēṅgē . Yah śharīr chhōṛ aśharīrī bankar jānā hai . Śharīr purānā huā hai . Ab phir ham vāpis ghar jātē haĩ . Kalp-kalp ham rājya lētē haĩ phir ganvātē haĩ . Bābā tō sukh-duḥkh nahī̃ dētē haĩ . Vah hai hī sadaiv sukh dātā . Bābā nē samjhāyā hai yah vināśh jvālā is rūdra gyān yagya sē prajjavalit huī hai . Bachchō̃ nē sākṣhātkār bhī kiyā hai . Jis chīz kā sākṣhātkār kiyā hai vah phir in āṅkhō̃ sē bhī dēkhē̃gē . Jō divya dr̥iṣhṭi sē dēkhā hai phir practical mē̃ tum jākar svarg mē̃ virājmān hōṅgē . Abhī tum śhrīkr̥iṣhṇapurī mē̃ jānē kē liē puruṣhārth kar rahē hō . Bhagvān ātē haĩ bhaktō̃ kā kalyāṇ karnē , gati sadgati karnē . Tō tum bhagvān dvārā svarg kā varsā lē rahē hō . Gyān aur bhakti dō bātē̃ haĩ . Achchhā  !

Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning . Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

1 ) paṛhāī paṛhkar svayã par āpēhī kr̥ipā karnī hai . Bāp sē kr̥ipā māṅgnī nahī̃ hai . Śhrī śhrī key|kī śhrīmat par chaltē rahnā hai .

2 ) svadarśhan chakradhārī ban māyājīt jagatjīt bannā hai . Māyā sē ḍarnā vā ghabrānā nahī̃ hai . Aśharīrī hōnē kā abhyās karnā hai .

Vardān  : ēk hī samay man-vāṇī aur karma dvārā sāth-sāth sēvā karnē vālē saphaltā sampann bhav

Jab bhī kisī sthān key|kī sēvā śhurū kartē hō tō ēk hī samay par sarv prakār key|kī sēvā karō . Mansā mē̃ śhubh bhāvnā , vāṇī mē̃ bāp sē sambandh juṛvānē key|kī śhubh kāmnā K|kē śhrēṣhṭh bōl aur sambandh-sampark mē̃ ānē sē snēh aur śhānti K|kē svarūp sē ākarṣhit karō . Aisē sarv prakār key|kī sēvā sāth-sāth karnē sē saphaltā sampann banē̃gē . Sēvā K|kē her|har kadam mē̃ saphaltā samāī huī hai - isī niśhchay K|kē ādhār par sēvā kartē chalō .

Slōgan  : śhuddha saṅkalpō̃ kō apnē jīvan kā amūlya khajānā banā lō tō vahī saṅkalp uṭhē̃gē jismē̃ apnā aur dūsrō̃ kā kalyāṇ samāyā hai .