शनिवार 9 मार्च 2024 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
09-03-2024 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
« mīṭhē bachchē - ab vāpis jānā hai isliē purānī dēh aur purānī duniyā sē uparām banō , apnī battery charge karnē kē liē yōg key|kī bhaṭṭhī mē̃ baiṭhō ' '
Praśhna : yōg mē̃ bāp key|kī pūrī current kin bachchō̃ kō miltī hai ?
Uttar : jinkī buddhi bāhar mē̃ nahī̃ bhaṭaktī . Apnē kō ātmā samajh bāp kī yād mē̃ rahtē haĩ , unhē̃ bāp key|kī current miltī hai . Bābā bachchō̃ kō sakāśh dētē haĩ . Bachchō̃ kā kām hai bāp key|kī current kō catch karnā kyōṅki us current sē hī ātmā rūpī battery charge hōgī , tākat āyēgī , vikarma vināśh hōṅgē . Isē hī yōg key|kī agni kahā jātā hai , iskā abhyās karnā hai .
Ōm śhānti . Bhagvānuvāch . Ab bachchō̃ kō ghar bhī yād paṛtā hai . Bāp tō ghar key|kī aur rājdhānī key|kī bāt hī sunāyēṅgē aur bachchē bhī in bātō̃ kō samajhtē haĩ ki ham ātmāō̃ kā ghar kaun-sā hai ? Ātmā kyā hai ? Yah bhī achchhī rīti samajh gayē haĩ ki bābā hamkō ākarkē paṛhātē haĩ . Bāp kahā̃ sē ātē haĩ ? Paramdhām sē . Aisē nahī̃ kahē̃gē pāvan duniyā banānē kōī pāvan duniyā sē ātē haĩ . Nahī̃ , bāp kahtē haĩ maĩ satyugī pāvan duniyā sē nahī̃ āyā hū̃ , maĩ tō ghar sē āyā hū̃ , jis ghar sē tum bachchē āyē hō part bajānē . Maĩ bhī drama plan anusār her|har 5 hajār varṣh kē bād ghar sē ātā hū̃ . Maĩ rahtā hī ghar mē̃ , paramdhām mē̃ hū̃ . Bāp samjhātē bhī aisē sahaj haĩ jaisē bāp śhahar sē āyē hō̃ . Kahtē haĩ jaisē tum āyē hō part bajānē , ham bhī vahā̃ sē āyē haĩ part bajānē , drama plan anusār . Maĩ knowledgeful hū̃ . Sab bātō̃ kō maĩ jāntā hū̃ - drama plan anusār .
Kalp-kalp maĩ yahī bāt tumkō sunātā hū̃ . Jab tum kām chitā par chaṛhkar kālē , bhasma hō jātē hō . Āg mē̃ manuṣhya kālē hō jātē haĩ nā . Tum bhī sānvarē hō gayē hō . Satōpradhān vālī tākat sārī nikal gaī hai . Ātmā key|kī battery aisī na hō jō ēkdam discharge hō jāyē aur motor khaṛī hō jāē . Is samay sabhī K|kē discharge hōnē kā samay ā gayā hai , tab bāp kahtē haĩ drama anusār maĩ ātā hū̃ jō ādi sanātan dēvī-dēvtā dharm K|kē haĩ unhō̃ key|kī battery charge hōtī hai . Tumhārī battery abhī charge hōnī hai jarūr . Aisē bhī nahī̃ sirph subah kō yahā̃ ākar baiṭhnē sē battery charge hō sakēgī . Nahī̃ , battery charge tō uṭhtē , baiṭhtē , chaltē bhī hō saktī hai - yād mē̃ rahnē sē . Tum pahlē pavitra ātmā satōpradhān thī . Sachchā sōnā , sachchā zewar thī . Abhī tamōpradhān hō gayē haĩ . Ab phir ātmā satōpradhān bantī hai tō śharīr bhī pure milēgā . Yah baṛī sahaj pure hōnē liē bhaṭṭhī hai , iskō yōg key|kī bhaṭṭhī bhī kah saktē haĩ . Sōnē kō bhī bhaṭṭhī mē̃ ḍāltē haĩ . Yah hai sōnē kō śhuddha banānē key|kī bhaṭṭhī , bāp kō yād karnē key|kī bhaṭṭhī . Pure tō jarūr bannā hai . Yād nahī̃ karē̃gē tō itnā pure nahī̃ hōṅgē . Phir hisāb-kitāb chuktū karnā hī hai kyōṅki kayāmat kā samay hai . Sabkō ghar jānā hai . Buddhi mē̃ ghar key|kī yād baiṭhī huī hai . Aur kiskī bhī buddhi mē̃ nahī̃ hōgā . Vah brahm kō īśhvar kah dētē haĩ , uskō ghar nahī̃ samajhtē . Tum is bēhad drama K|kē actor hō , drama kō tō tum achchhī rīti jān gayē hō . Bāp nē samjhāyā hai abhī 84 kā chakra pūrā hōtā hai , ab ghar jānā hai . Ātmā ab patit hai , isliē ghar jānē kē liē pukārtī hai - bābā ākar pāvan banāō . Nahī̃ tō ham jā nahī̃ saktē haĩ . Bāp hī baiṭh yah bātē̃ bachchō̃ kō samjhātē haĩ . Yah bhī bachchē samajh gayē haĩ , tab unkō pitā-pitā kahtē haĩ . Teacher bhī kahtē haĩ . Manuṣhya tō śhrīkr̥iṣhṇa kō teacher samajhtē haĩ . Tum bachchē samajhtē hō śhrīkr̥iṣhṇa tō khud paṛhtā thā , satyug mē̃ . Śhrīkr̥iṣhṇa kabhī kiskā teacher banā nahī̃ hai . Aisē bhī nahī̃ - paṛhkar phir teacher banā . Śhrīkr̥iṣhṇa key|kī bachpan sē lēkar baṛēpan tak key|kī kahānī tum bachchē hī jāntē hō . Manuṣhya tō śhrīkr̥iṣhṇa kō bhagvān samajhkar kah dētē haĩ jidhar dēkhō kr̥iṣhṇa hī kr̥iṣhṇa hai . Rām K|kē bhakta kahē̃gē jidhar dēkhō rām hī rām hai . Dhāgā ( sūt ) hī mūnjh gayā hai . Tum ab jāntē hō bhārat kā prāchīn yōg aur gyān maśhhūr hai . Manuṣhya kuchh nahī̃ jāntē . Gyān sāgar ēk bāp hai vah tum bachchō̃ kō gyān dētē haĩ . Tō tumkō bhī master gyān sāgar kahē̃gē . Parantu number-vār purūṣhārth anusār . Sāgar kahē̃ yā nadī kahē̃ ? Tum hō gyān gaṅgāyē̃ , ismē̃ bhī manuṣhya mūnjhtē haĩ . Master gyān sāgar kahnā bilkul ṭhīk hai .
Bāp bachchō̃ kō paṛhātē haĩ , male-female key|kī bāt nahī̃ . Varsā bhī tum sab ātmāyē̃ lētī hō isliē bāp kahtē haĩ dēhī-abhimānī banō . Jaisē maĩ param ātmā gyān sāgar vaisē tum bhī gyān sāgar hō . Mujhē parampitā paramātmā kahā jātā hai , mērī duty sabsē ūñchī hai . Rājā-rānī key|kī duty bhī sabsē ūñchī hōtī hai nā . Tumhārī bhī ūñchī rakhī gaī hai . Yahā̃ tum jāntē hō ham ātmāyē̃ paṛhtī haĩ , paramātmā paṛhātē haĩ isliē dēhī-abhimānī bhav . Sab brothers hō jātē haĩ . Bāp kitnī mēhnat kartē haĩ . Abhī tum ātmāyē̃ gyān lē rahī hō . Phir vahā̃ jāyēṅgī tō prālabdh chaltī hai . Vahā̃ sabkā brotherly prēm rahtā hai . Brotherly prēm bahut achchhā chāhiē . Kiskō regard dēnā , kiskō na dēnā … aisā nahī̃ . Vō lōg kahtē haĩ - hindū-musalmān bhāī-bhāī parantu ēk-dō kō vah regard nahī̃ dētē haĩ . Bahan-bhāī nahī̃ , bhāī-bhāī kahnā ṭhīk hai . Brotherhood . Ātmā yahā̃ part bajānē āī hai . Vahā̃ bhī bhāī-bhāī hōkar rahtī hai . Ghar mē̃ jarūr sab bhāī-bhāī hōkar rahē̃gē . Bahan-bhāī , yah chōlā tō yahā̃ chhōṛnā paṛtā hai . Bhāī-bhāī kā gyān bāp hī dētē haĩ . Ātmā bhrakuṭī kē bīch rahtī hai . Tumkō bhī nazar yahā̃ ḍālnī hai . Ham ātmā śharīr rūpī takht par baiṭhē haĩ . Yah ātmā kā siṃhāsan vā akāl takht hai . Ātmā kō kabhī kāl khātā nahī̃ . Sabkā takht yah hai - bhrakuṭī kē bīch . Is par vah akāl ātmā baiṭhī hai . Kitnī samajhnē key|kī bātē̃ haĩ . Bachchē mē̃ bhī ātmā jātī hai tō bhrakuṭī kē bīch mē̃ baiṭhtī hai . Vō chhōṭā takht phir baṛā hōtā jātā hai . Yahā̃ garbh mē̃ ātmā kō bhōgnā bhōgnī paṛtī hai tab paśhchātāp kartē haĩ - ham kabhī pāp ātmā nahī̃ banē̃gē . Ādhākalp pāp ātmā bantē haĩ . Ab bāp dvārā pāvan ātmā bantē haĩ . Tum tan-man-dhan sab kuchh bāp kō dētē hō , itnā dān kōī jāntē nahī̃ . Dān lēnē aur dēnē vālā bhī bhārat mē̃ hī ātā hai . Yah sab mahīn bātē̃ haĩ samajhnē key|kī . Bhārat kitnā avināśhī khaṇḍ banā hai aur sab khaṇḍ khatm hōnē vālē haĩ . Yah banā-banāyā drama hai . Yah tumhārī buddhi mē̃ hai . Duniyā nahī̃ jāntī , inkō knowledge kahnā achchhā hai . Knowledge is source of income , insē income bahut hōtī hai . Bāp kō yād karō , yah bhī knowledge dētē haĩ phir sr̥iṣhṭi chakra key|kī bhī knowledge dētē haĩ . Ismē̃ mēhnat hai . Ham ātmāō̃ kō ab vāpis jānā hai isliē is purānī duniyā aur purānē śharīr sē uparām rahnā hai . Dēh sahit jō kuchh dēkhtē hō sab khalās hō jānā hai . Abhī ham transfer hōtē haĩ . Yah tō bāp hī batā sakē̃gē . Yah bahut baṛā imtahān hai , jō bāp hī paṛhātē haĩ . Ismē̃ kitāb ādi key|kī darkār nahī̃ . Bāp kō yād karnā hai . Bāp 84 kā chakra samjhā dētē haĩ . Drama key|kī duration kō tō kōī jāntē nahī̃ . Ghōr andhiyārē mē̃ haĩ . Tum abhī jagē hō , manuṣhya tō jagtē nahī̃ haĩ . Kitnī tum mēhnat kartē hō , viśhvās nahī̃ kartē ki bhagvān ākar inhō̃ kō paṛhātē haĩ . Jarūr kōī mē̃ tō āyēṅgē nā . Ab bāp ātmāō̃ kō rāy dētē haĩ - aisē-aisē karō jō manuṣhya samajh jāyē̃ . Tumhārē liē tō sahaj hai , number-vār tō haĩ hī . School mē̃ bhī number-vār hōtē haĩ . Paṛhāī mē̃ bhī number-vār hōtē haĩ . Is paṛhāī sē baṛī rājāī sthāpan hō rahī hai . Purūṣhārth aisā karnā hai jō ham rājā banē . Is samay jō tum purūṣhārth karē̃gē vah kalp-kalpāntar kartē rahē̃gē . Iskō īśhvarīy lottery kahā jātā hai . Kiskō thōṛī , kiskō baṛī lottery hōtī hai . Rājāī key|kī bhī lottery hai . Ātmā jaisā karma kartī hai , aisī lottery miltī hai . Kōī garīb bantē haĩ , kōī sāhūkār bantē haĩ . Is samay tum bachchō̃ kō sārī lottery bāp sē miltī hai . Is samay K|kē purūṣhārth par bahut madār hai . Number one purūṣhārth hai yād kā . Tō pahlē yōgbal sē svachchha tō banē̃ . Tum jāntē hō jitnā ham bāp kō yād karē̃gē utnī knowledge key|kī dhārṇā hōgī aur bahutō̃ kō samjhākar apnī prajā banāyēṅgē . Bhal kōī bhī dharm vālā hō , jab āpas mē̃ miltē hō tō bāp kā parichay dō . Āgē chal vah dēkhē̃gē ki vināśh sāmnē khaṛā hai . Vināśh K|kē samay manuṣhyō̃ kō vairāgya ātā hai . Hamkō sirph kahnā hai - tum ātmā hō . Hē god father ! Kisnē kahā ? Ātmā nē . Ab bāp ātmāō̃ kō kahtē haĩ ki maĩ tumhārā guide bankar tumkō lē jāūṅgā , muktidhām mē̃ . Bākī ātmā kā kabhī vināśh nahī̃ hōtā tō mōkṣh kā bhī question nahī̃ . Har ēk kō apnā-apnā part bajānā hai . Ātmāyē̃ sab haĩ immortal , kabhī bhī vināśh nahī̃ hōṅgī . Bākī vahā̃ jānē kē liē bāp kō yād karō tō vikarma vināśh hōṅgē . Ghar chalē jāyēṅgē . Ākhrīn baṛē-baṛē sannyāsī bhī samajhē̃gē , vāpis tō sabkō jānā hai . Tumhārā paigām sabkī buddhiyō̃ mē̃ ṭhakā karēgā , tab tō gāyan hai - ahō prabhū … tumharī gat mat , tō jarūr kiskō mat dēgē yā apnē pās|pass rakhē̃gē ? Unkī mat sē sadgati kaisē hōtī hai , sō jarūr batāyēgā nā . Phir vah kahtē haĩ tumharī gati-mat tum jānō , ham nahī̃ jāntē haĩ . Yah bhī kōī bāt hai ! Bāp kahtē haĩ is śhrīmat sē tumhārī gati hō jātī hai .
Abhī tum jāntē hō bābā jō jāntē haĩ vah hamkō sikhlātē haĩ . Tum kahē̃gē ham bābā kō jāntē haĩ . Vō gātē haĩ tumharī gati-mat tum jānō . Parantu tum aisē nahī̃ kahē̃gē . Buddhi mē̃ sārā gyān baiṭh jāyē , ismē̃ bhī time lagtā hai . Sampūrṇ tō abhī kōī banā nahī̃ hai . Sampūrṇ ban jāyē tō yahā̃ sē chalē jāyē̃ . Jānā tō hai nahī̃ . Ab sab purūṣhārth kar rahē haĩ . Bābā kō bhal pahlē jōr sē vairāgya āyā , dēkhā double sirtāj bantā hū̃ - yah bhī drama anusār bābā nē dikhāyā . Maĩ tō jhaṭ khuśh hō gayā . Khuśhī K|kē mārē sab kuchh chhōṛ diyā . Vināśh bhī dēkhā tō chaturbhuj bhī dēkhā . Samjhā abhī rājāī miltī hai . Thōṛē rōz mē̃ vināśh hō jāyēgā . Aisā naśhā chaṛh gayā . Abhī tō samajhtē haĩ yah tō ṭhīk hai , rājdhānī banē̃gī . Yah bahutō̃ kō rājāī milnī hai . Ēk ham jākar kyā karē̃gē . Yah gyān abhī miltā hai . Pahlē khuśhī kā pārā chaṛh gayā . Purūṣhārth tō sabkō karnā hai . Tum purūṣhārth kē liē baiṭhē hō . Subah kō yād mē̃ baiṭhtē hō . Yah baiṭhnā bhī achchhā hai . Jāntē hō bābā āyā hai . Bāp āyā yā dādā āyā , yah tō guṛ jānē guṛ key|kī gōthrī jānē . Ēk-ēk bachchē kō dēkhtē rahē̃gē . Ēk-ēk kō baiṭh sakāśh dētē haĩ . Yōg key|kī agni hai nā . Yōg agni sē unkē vikarma bhasma hō jāē̃ . Jaisē ki baiṭhkar light dētē haĩ . Ēk-ēk ātmā kō searchlight dētē haĩ . Jaisē bāp kahtē haĩ maĩ har ēk ātmā kō baiṭh current dētā hū̃ tō tākat bhartī jāē . Agar kiskī buddhi bāhar mē̃ hōgī tō phir current kō catch nahī̃ kar sakē̃gē . Buddhi kahā̃ na kahā̃ bhaṭaktī rahēgī . Unkō milēgā phir kyā ? Kahtē haĩ miṭharā ghur ta ghurāy , tum pyār karē̃gē tō pyār pāyēṅgē . Buddhi bāhar bhaṭaktī rahēgī tō battery charge nahī̃ hōgī . Bāp battery charge karnē ātā hai , unkā pharja hai service karnā . Bachchē service svīkār kartē haĩ vā nahī̃ yah tō unkī ātmā jānē . Kis khyālāt mē̃ baiṭhē haĩ , yah sab bātē̃ bāp samjhātē haĩ . Maĩ bhī param ātmā hū̃ . Mujh battery kē sāth yōg lagātē hō . Maĩ bhī sakāśh dūṅgā . Bahut pyār sē ēk-ēk kō sakāśh dētā hū̃ . Tum tō baiṭhē̃gē bāp kō yād karnē . Bābā kahtē haĩ maĩ ēk-ēk ātmā kō sakāśh dētā hū̃ . Sāmnē baiṭh light dētā hū̃ . Tum tō aisē nahī̃ karē̃gē . Jō pakaṛnē vālē hōṅgē vah pakaṛē̃gē aur unkī battery charge hōgī . Bābā din-pratidin yuktiyā̃ tō batātē rahtē haĩ . Bākī samjhā , na samjhā - yah tō number-vār student par madār hai . Tumhē̃ bahut tarāvaṭī māl mil rahā hai . Kōī hazam bhī karē nā . Baṛī lottery hai . Janma-janmāntar , kalp-kalpāntar key|kī lottery hai . Is par pūrā attention dēnā hai . Bābā sē ham current lē rahē haĩ . Bāp bhī bhrakuṭī kē bīch mē̃ baiṭhā hai , bājū mē̃ . Tumkō bhī apnē kō ātmā samajh bābā kō yād karnā hai , na ki brahmā kō . Ham unsē yōg lagākar baiṭhē haĩ , inkō dēkhtē bhī ham unkō dēkhtē haĩ . Ātmā key|kī hī bāt hai nā . Achchhā !
Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning . Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
Dhārṇā kē liē mukhya sār :
1 ) ātmā kō svachchha banānē kē liē savērē-savērē bāp sē search light lēnī hai , buddhiyōg bāhar sē nikāl ēk bāp mē̃ lagānā hai . Bāp key|kī current kō catch karnā hai .
2 ) āpas mē̃ bhāī-bhāī K|kē sachchē lav|love sē rahnā hai . Sabkō regard dēnā hai . Ātmā bhāī akāl takht par virājmān hai , isliē bhrakuṭī mē̃ hī dēkhkar bāt karnī hai .
Vardān : apnē samparka dvārā anēk ātmāō̃ key|kī chintāō̃ kō miṭānē vālē sarv K|kē priya bhav
Vartamān samay vyaktiyō̃ mē̃ svārtha bhāv hōnē K|kē kāraṇ aur vaibhavō̃ dvārā alpkāl key|kī prāpti hōnē K|kē kāraṇ ātmāyē̃ kōī na kōī chintā mē̃ parēśhān haĩ . Āp śhubhchintak ātmāō̃ K|kē thōṛē samay kā samparka bhī un ātmāō̃ key|kī chintāō̃ kō miṭānē kā ādhār ban jātā hai . Āj viśhva kō āp jaisī śhubhchintak ātmāō̃ key|kī āvaśhyaktā hai isliē āp viśhva kō atipriy hō .
Slōgan : āp hīrē tulya ātmāō̃ K|kē bōl bhī ratna samān mūlyavān hō̃ .