शुक्रवार 3 जनवरी 2025 की दैनिक मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
03-01-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban
« mīṭhē bachchē - nirākār bāp tumhē̃ apnī mat dēkar āstik banātē haĩ , āstik bannē sē hī tum bāp kā varsā lē saktē hō ' '
Praśhna : bēhad key|kī rājāī prāpt karnē kē liē kin dō bātō̃ par pūrā-pūrā attention dēnā chāhiē ?
Uttar : 1 - paṛhāī aur 2 - service . Service kē liē lakṣhaṇ bhī bahut achchhē chāhiē . Yah paṛhāī bahut wonderful hai issē tum rājāī prāpt kartē hō . Dvāpar sē dhan dān karnē sē rājāī miltī hai lēkin abhī tum paṛhāī sē prince-princess bantē hō .
Gīt : hamārē tīrtha nyārē haĩ …
Ōm śhānti . Mīṭhē-mīṭhē rūhānī bachchō̃ nē gīt key|kī ēk line sunī . Tumhārē tīrtha haĩ - ghar mē̃ baiṭh chupkē sē muktidhām pahuñchnā . Duniyā K|kē tīrtha tō common haĩ , tumhārē haĩ nyārē . Manuṣhyō̃ kā buddhiyōg tō sādhū-santō̃ ādi taraph bahut hī bhaṭaktā rahtā hai . Tum bachchō̃ kō tō sirph bāp kō hī yād karnē kā direction miltā hai . Vah hai nirākār bāp . Aisē nahī̃ ki nirākār kō mānnē vālē nirākārī mat K|kē ṭhaharē . Duniyā mē̃ mat-matāntar tō bahut haĩ nā . Yah ēk nirākārī mat nirākār bāp dētē haĩ , jissē manuṣhya ūñch tē ūñch pad jīvanmukti vā mukti pātē haĩ . In bātō̃ kō jāntē kuchh nahī̃ haĩ . Sirph aisē hī kah dētē nirākār kō mānnē vālē haĩ . Anēkānēk matē̃ haĩ . Satyug mē̃ tō hōtī hai ēk mat . Kaliyug mē̃ haĩ anēk mat . Anēk dharm haĩ , lākhō̃-krōṛō̃ matē̃ hōṅgī . Ghar-ghar mē̃ har ēk key|kī apnī mat . Yahā̃ tum bachchō̃ kō ēk hī bāp ūñch tē ūñch mat dētē haĩ , ūñch tē ūñch banānē key|kī . Tumhārē chitra dēkhkar bahut lōg kahtē haĩ ki yah kyā banāyā hai ? Mukhya bāt kyā hai ? Bōlō , yah rachtā aur rachnā K|kē ādi-madhy-ant kā gyān hai , jis gyān sē ham āstik bantē haĩ . Āstik bannē sē bāp sē varsā miltā hai . Nāstik bannē sē varsā ganvāyā hai . Abhī tum bachchō̃ kā dhandhā hī yah hai - nāstik kō āstik banānā . Yah parichay tumkō milā hai bāp sē . Trimūrti kā chitra tō baṛā clear hai . Brahmā dvārā brāhmaṇ tō jarūr chāhiē nā . Brāhmaṇō̃ sē hī yagya chaltā hai . Yah baṛā bhārī yagya hai . Pahlē-pahlē tō yah samjhānā hōtā hai ki ūñch tē ūñch bāp hai . Sabhī ātmāyē̃ bhāī-bhāī ṭhaharī . Sabhī ēk bāp kō yād kartē haĩ . Unkō bāp kahtē haĩ , varsā bhī rachtā bāp sē hī miltā hai . Rachnā sē tō mil na sakē isliē īśhvar kō sabhī yād kartē haĩ . Ab bāp hai hī svarg kā rachayitā aur bhārat mē̃ hī ātē haĩ , ākar yah kārya kartē haĩ . Trimūrti kā chitra tō baṛī achchhī chīz hai . Yah bābā , yah dādā . Brahmā dvārā bābā sūryavanśhī gharānē key|kī sthāpanā kar rahē haĩ . Bāp kahtē haĩ mujhē yād karō tō vikarma vināśh hō̃ . Aim object pūrī hai isliē bābā medals bhī banvātē haĩ . Bōlō , short mē̃ short dō akṣhar mē̃ āpkō samjhātē haĩ . Bāp sē second mē̃ varsā milnā chāhiē nā . Bāp hai hī svarg kā rachayitā . Yah medals tō bahut achchhī chīz hai . Parantu bahut dēh-abhimānī bachchē samajhtē nahī̃ haĩ . Inmē̃ sārā gyān hai - ēk second kā . Bābā bhārat kō hī ākar svarg banātē haĩ . Naī duniyā bāp hī sthāpan kartē haĩ . Yah purūṣhōttam saṅgamyug bhī gāyā huā hai . Yah sārā gyān buddhi mē̃ ṭapaknā chāhiē . Kōī kā yōg hai tō phir gyān nahī̃ , dhārṇā nahī̃ hōtī . Service karnē vālē bachchō̃ kō gyān key|kī dhārṇā achchhī hō saktī hai . Bāp ākar manuṣhya kō dēvtā banānē key|kī sēvā karē aur bachchē kōī sēvā na karē̃ tō vah kyā kām K|kē ? Vah dil par chaṛh kaisē saktē ? Bāp kahtē haĩ - drama mē̃ mērā part hī hai rāvaṇ rājya sē sabkō chhuṛānā . Rām rājya aur rāvaṇ rājya bhārat mē̃ hī gāyā huā hai . Ab rām kaun hai ? Yah bhī jāntē nahī̃ . Gātē bhī haĩ - patit-pāvan , bhaktō̃ kā bhagvān ēk . Tō pahlē-pahlē jab kōī andar ghusē tō bāp kā parichay dō . Ādmī-ādmī dēkhkar samjhānā chāhiē . Bēhad kā bāp ātē hī haĩ bēhad K|kē sukh kā varsā dēnē . Unkō apnā śharīr tō hai nahī̃ tō varsā kaisē dētē haĩ ? Khud kahtē haĩ ki maĩ is brahmā tan sē paṛhākar , rājyōg sikhlāē yah pad prāpt karātā hū̃ . Is medal mē̃ second key|kī samjhānī hai . Kitnā chhōṭā medal hai parantu samjhānē vālē baṛē dēhī-abhimānī chāhiē . Vah bahut cum|kam haĩ . Yah mēhnat kōī sē pahũchtī nahī̃ hai isliē bābā kahtē haĩ chart rakhkar dēkhō - sārē din mē̃ ham kitnā time yād mē̃ rahtē haĩ ? Sārā din office mē̃ kām kartē yād mē̃ rahnā hai . Karma tō karnā hī hai . Yahā̃ yōg mē̃ biṭhākar kahtē haĩ bāp kō yād karō . Us samay karma tō kartē nahī̃ hō . Tumkō tō karma kartē yād karnā hai . Nahī̃ tō baiṭhnē key|kī ādat paṛ jātī hai . Karma kartē yād mē̃ rahē̃gē tab karmayōgī siddha hōṅgē . Part tō jarūr bajānā hai , ismē̃ hī māyā vighna ḍāltī hai . Sachchāī sē chart bhī kōī likhtē nahī̃ haĩ . Kōī-kōī likhtē haĩ , ādhā ghaṇṭā , paunā ghaṇṭā yād mē̃ rahē . Sō bhī savērē hī yād mē̃ baiṭhtē hōṅgē . Bhakti mārg mē̃ bhī savērē uṭh-kar rām key|kī mālā baiṭh japtē haĩ . Aisē bhī nahī̃ , us samay ēk hī dhun mē̃ rahtē haĩ . Nahī̃ , aur bhī bahut saṅkalp ātē rahē̃gē . Tīvr bhaktō̃ key|kī buddhi kuchh ṭhahartī hai . Yah tō hai ajapājāp . Naī bāt hai nā . Gītā mē̃ bhī manmanābhav akṣhar hai . Parantu śhrīkr̥iṣhṇa kā nām dēnē sē śhrīkr̥iṣhṇa kō yād kar lētē haĩ , kuchh bhī samajhtē nahī̃ . Medal sāth mē̃ jarūr hō . Bōlō , bāp brahmā tan sē baiṭh samjhātē haĩ , ham us bāp sē prīt rakhtē haĩ . Manuṣhyō̃ kō tō na ātmā kā , na paramātmā kā gyān hai . Sivāē bāp K|kē yah gyān kōī dē na sakē . Yah trimūrti śhiv sabsē mukhya hai . Bāp aur varsā . Is chakra kō samajhnā tō bahut sahaj hai . Pradarśhanī sē bhī prajā tō lākhō̃ bantī rahtī hai nā . Rājāyē̃ thōṛē hōtē haĩ , unhō̃ key|kī prajā tō karōṛō̃ key|kī andāj mē̃ hōtī hai . Prajā ḍhēr bantī hai , bākī rājā banānē liē purūṣhārth karnā hai . Jō jāstī service kartē haĩ vē|way jarūr ūñch pad pāyēṅgē . Kaī bachchō̃ kō service kā bahut śhauk hai . Kahtē haĩ naukrī chhōṛ dē̃ , khānē liē tō hai hī . Bābā kā ban gayē tō śhivbābā key|kī hī parvariśh lē̃gē . Parantu bābā kahtē haĩ - mainnē vānaprasth mē̃ pravēśh kiyā hai nā . Mātāyē̃ bhī javān haĩ tō ghar mē̃ rahtē dōnō̃ service karnī hai . Bābā har ēk key|kī circumstance kō dēkh rāy dētē haĩ . Śhādī ādi kē liē agar allow na karē̃ tō haṅgāmā hō jāē isliē har ēk kā hisāb-kitāb dēkh rāy dētē haĩ . Kumār haĩ tō kahē̃gē tum service kar saktē hō . Service kar bēhad K|kē bāp sē varsā lō|low . Us bāp sē tumkō kyā milēgā ? Dhūlchhāī . Vah tō sab miṭṭī mē̃ mil jānā hai . Din-pratidin time kam hōtā jātā hai . Kaī samajhtē haĩ hamārī milkiyat K|kē bachchē vāris banē̃gē . Parantu bāp kahtē haĩ kuchh bhī milnē kā nahī̃ hai . Sārī milkiyat khāk mē̃ mil jāyēgī . Vah samajhtē haĩ pichhāṛī vālē khāyēṅgē . Dhanvān kā dhan khatm hōnē mē̃ kōī dērī nahī̃ lagtī hai . Maut tō sāmnē khaṛā hī hai . Kōī bhī varsā lē nahī̃ sakē̃gē . Bahut thōṛē haĩ jō pūrī rīti samjhā saktē haĩ . Jāstī service karnē vālē hī ūñch pad pāyēṅgē . Tō unhō̃ kā regard bhī rakhnā chāhiē , insē sīkhnā hai . 21 janm kē liē regard rakhnā paṛē . Automatic jarūr vah ūñch pad pāyēṅgē , tō regard tō jahā̃-tahā̃ rahnā hī hai . Khud bhī samajh saktē haĩ , jō milā sō achchhā hai , ismē̃ hī khuśh hōtē haĩ .
Bēhad key|kī rājāī kē liē paṛhāī aur service par pūrā attention chāhiē . Yah hai bēhad key|kī paṛhāī . Yah rājdhānī sthāpan hō rahī hai nā . Is paṛhāī sē yahā̃ tum paṛhkar prince bantē hō . Kōī bhī manuṣhya dhan dān kartē haĩ tō vah rājā kē pās vā sāhūkār kē pās janma lētē haĩ . Parantu vah hai alpkāl kā sukh . Tō is paṛhāī par bahut attention dēnā chāhiē . Service kā ōnā ( phikar ) rahnā chāhiē . Ham apnē gānv mē̃ jākar service karē̃ . Bahutō̃ kā kalyāṇ hō jāyēgā . Bābā jāntē haĩ - service kā śhauk ajun kōī mē̃ hai nahī̃ . Lakṣhaṇ bhī tō achchhē chāhiē nā . Aisē nahī̃ ki disservice kar aur hī yagya kā bhī nām badnām karē̃ aur apnā hī nuksān kar dē̃ . Bābā tō her|har bāt kē liē achchhī rīti samjhātē haĩ . Medals ādi kē liē kitnā ōnā rahtā hai . Phir samjhā jātā hai - drama anusār dērī paṛtī hai . Yah lakṣhmī-nārāyaṇ kā translight chitra bhī first class hai . Parantu bachchō̃ par āj br̥ihaspati kī daśhā tō kal phir rāhū kī daśhā baiṭh jātī hai . Drama mē̃ sākṣhī hō part dēkhnā hōtā hai . Ūñch pad pānē vālē bahut kam hōtē haĩ . Hō saktā hai grahachārī utar jāē . Grahachārī utartī hai tō phir jump kar lētē haĩ . Purūṣhārth kar apnā jīvan banānā chāhiē , nahī̃ tō kalp-kalpāntar kē liē satyānāśh hō jāyēgī . Samajhē̃gē kalp pahlē muāphik grahachārī āī hai . Śhrīmat par nahī̃ chalē̃gē tō pad bhī nahī̃ milēgā . Ūñch tē ūñch hai bhagvān key|kī śhrīmat . In lakṣhmī-nārāyaṇ K|kē chitra kō tumhārē sivāē kōī samajh na sakē . Kahē̃gē chitra tō bahut achchhā banāyā hai , bas tumkō yah chitra dēkhnē sē mūlvatan , sūkṣhmavatan , sthūlvatan sārā sr̥iṣhṭi kā chakra buddhi mē̃ ā jāyēgā . Tum knowledgeful bantē hō - number-vār purūṣhārth anusār . Bābā kō tō yah chitra dēkh bahut khuśhī hōtī hai . Student kō tō khuśhī hōnī chāhiē nā - ham paṛhkar yah bantē haĩ . Paṛhāī sē hī ūñch pad miltā hai . Aisē nahī̃ ki jō bhāgya mē̃ hōgā . Purūṣhārth sē hī prālabdh miltī hai . Purūṣhārth karānē vālā bāp milā hai , unkī śhrīmat par nahī̃ chalē̃gē tō burī gati hōgī . Pahlē-pahlē tō kōī kō bhī is medals par hī samjhāō phir jō lāyak hōṅgē vah jhaṭ kahē̃gē - hamkō yah mil saktē haĩ ? Hā̃ , kyō̃ nahī̃ . Is dharm kā jō hōgā uskō tīr lag jāyēgā . Uskā kalyāṇ hō saktā hai . Bāp tō second mē̃ hathēlī par bahiśht dētē haĩ , ismē̃ tō bahut khuśhī rahnī chāhiē . Tum śhiv K|kē bhaktō̃ kō yah gyān dō . Bōlō , śhivbābā kahtē haĩ mujhē yād karō tō rājāō̃ kā rājā ban jāyēṅgē . Bas sārā din yahī service karō . Khās banāras mē̃ śhiv K|kē mandir tō bahut haĩ , vahā̃ achchhī service hō saktī hai . Kōī na kōī nikalē̃gē . Bahut easy service hai . Kōī karkē dēkhō , khānā tō milēgā hī , service karkē dēkhō . Centre tō vahā̃ hai hī . Savērē jāō mandir mē̃ , rāt kō lauṭ āō . Centre banā dō . Sabsē jāstī tum śhiv K|kē mandir mē̃ service kar saktē hō . Ūñch tē ūñch hai hī śhiv kā mandir . Bāmbē mē̃ babulnāth kā mandir hai . Sārā din vahā̃ jākar service kar bahutō̃ kā kalyāṇ kar saktē haĩ . Yah medal hī bas hai . Trial karkē dēkhō . Bābā kahtē haĩ yah medals lākh tō kyā 10 lākh banāō . Bujurg lōg tō bahut achchhī service kar saktē haĩ . Ḍhēr prajā ban jāyēgī . Bāp sirph kahtē haĩ mujhē yād karō bas , manmanābhav akṣhar bhūl gayē hō . Bhagvānuvāch hai nā . Śhivbābā , śhrīkr̥iṣhṇa kō bhī yah pad prāpt karātē haĩ , phir dhakkā khānē key|kī kyā darkār hai . Bāp tō kahtē haĩ sirph mujhē yād karō . Tum sabsē achchhī service śhiv K|kē mandir mē̃ kar sakē̃gē . Service key|kī saphaltā kē liē dēhī-abhimānī avasthā mē̃ sthit hōkar service karō . Dil sāph tō murād hā̃sil . Banāras kē liē bābā tō khās rāy dētē haĩ vahā̃ vānaprasthiyō̃ K|kē āśhram bhī haĩ . Bōlō ham brahmā K|kē bachchē brāhmaṇ haĩ . Bāp brahmā dvārā kahtē haĩ mujhē yād karō tō vikarma vināśh hō̃ , aur kōī upāya nahī̃ hai . Subah sē lēkar rāt tak śhiv K|kē mandir mē̃ baiṭh service karō . Try karkē dēkhō . Śhivbābā khud kahtē haĩ - hamārē mandir tō bahut haĩ . Tumkō kōī bhī kuchh kahē̃gē nahī̃ , aur hī khuśh hōṅgē - yah tō śhiv-bābā key|kī bahut mahimā kartē haĩ . Bōlō yah brahmā , yah brāhmaṇ haĩ , yah kōī dēvtā nahī̃ haĩ . Yah bhī śhivbābā kō yād kar yah pad lētē haĩ . In dvārā śhivbābā kahtē haĩ māmēkam yād karō . Kitnā easy hai . Bujurg key|kī kōī insult nahī̃ karēgā . Banāras mē̃ abhī tak itnī kōī service huī nahī̃ hai . Medal vā chitrō̃ par samjhānā bahut sahaj hai . Kōī garīb hai tō bōlō tumkō free dētē haĩ , sāhūkār hai tō bōlō tum dēgē tō bahutō̃ K|kē kalyāṇ kē liē aur bhī chhapā lē̃gē tō tumhārā bhī kalyāṇ hō jāyēgā . Yah tumhārā dhandhā sabsē tīkhā hō jāyēgā . Kōī trial karkē dēkhō . Achchhā !
Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning . Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .
Dhārṇā kē liē mukhya sār :
1 ) gyān kō jīvan mē̃ dhāraṇ kar phir service karnī hai . Jō jāstī service kartē haĩ , achchhē lakṣhaṇ haĩ unkā regard bhī jarūr rakhnā hai .
2 ) karma kartē yād mē̃ rahnē key|kī ādat ḍālnī hai . Service key|kī saphaltā kē liē apnī avasthā dēhī-abhimānī banānī hai . Dil sāph rakhnī hai .
Vardān : sarv samasyāō̃ key|kī vidāī kā samārōh manānē vālē samādhān svarūp bhav
Samādhān svarūp ātmāō̃ key|kī mālā tab taiyār hōgī jab āp apnī sampūrṇ sthiti mē̃ sthit hōṅgē . Sampūrṇ sthiti mē̃ samasyāyē̃ bachpan kā khēl anubhav hōtī haĩ arthāt samāpt hō jātī haĩ . Jaisē brahmā bāp K|kē sāmnē yadi kōī bachchā samasyā lēkar ātā thā tō samasyā key|kī bātē̃ bōlnē key|kī himmat bhī nahī̃ hōtī thī , vah bātē̃ hī bhūl jātī thī . Aisē āp bachchē bhī samādhān svarūp banō tō ādhākalp kē liē samasyāō̃ kā vidāī samārōh hō jāē . Viśhva key|kī samasyāō̃ kā samādhān hī parivartan hai .
Slōgan : jō sadā gyān kā simraṇ kartē haĩ vē|way māyā key|kī ākarṣhaṇ sē bach jātē haĩ .
Apnī śhaktiśhālī mansā dvārā sakāśh dēnē key|kī sēvā karō
Apnē double light phariśhtā svarūp mē̃ sthit hō , sākṣhī ban sab part dēkhtē sakāśh arthāt sahyōg dō kyōṅki āp sarv K|kē kalyāṇ kē nimitt hō . Yah sakāśh dēnā hī nibhānā hai , lēkin ūñchī stage par sthit hōkar sakāśh dō . Vāṇī key|kī sēvā K|kē sāth-sāth mansā śhubh bhāvnāō̃ key|kī vr̥itti dvārā sakāśh dēnē key|kī sēvā karō .