गुरुवार 13 फ़रवरी 2025 की दैनिक मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

13-02-2025 prātaḥmurlī ōm śhānti " bāpdādā " ' madhuban

«  mīṭhē bachchē - bāp jō hai , jaisā hai , usē yathārth rīti jānkar yād karnā , yahī mukhya bāt hai , manuṣhyō̃ kō yah bāt bahut yukti sē samjhānī hai ' '

Praśhna  : sārē universe kē liē kaun-sī paṛhāī hai jō yahā̃ hī tum paṛhtē hō  ?

Uttar  : sārē universe kē liē yahī paṛhāī hai ki tum sab ātmā hō . Ātmā samajhkar bāp kō yād karō tō pāvan ban jāyēṅgē . Sārē universe kā jō bāp hai vah ēk hī bār ātē haĩ sabkō pāvan banānē . Vahī rachtā aur rachnā key|kī knowledge dētē haĩ isliē vāstav mē̃ yah ēk hī university hai , yah bāt bachchō̃ kō spaṣhṭ kar samjhānī hai .

Ōm śhānti . Bhagvānuvāch - ab yah tō rūhānī bachchē samajhtē haĩ ki bhagvān kaun hai . Bhārat mē̃ kōī bhī yathārth rīti jāntē nahī̃ . Kahtē bhī haĩ - maĩ jō hū̃ , jaisā hū̃ mujhē yathārth rīti kōī nahī̃ jāntē . Tumhārē mē̃ bhī number-vār haĩ . Number-vār purūṣhārth anusār jāntē haĩ . Bhal yahā̃ rahtē haĩ parantu yathārth rīti sē nahī̃ jāntē . Yathārth rīti jānkar aur bāp kō yād karnā , yah baṛī muśhkilāt hai . Bhal bachchē kahtē haĩ ki bahut sahaj hai parantu maĩ jō hū̃ , mujhē nirantar bāp kō yād karnā hai , buddhi mē̃ yah yukti rahtī hai . Maĩ ātmā bahut chhōṭā hū̃ . Hamārā bābā bhī bindī chhōṭā hai . Ādhākalp tō bhagvān kā kōī nām bhī nahī̃ lētē haĩ . Duḥkh mē̃ hī yād kartē haĩ - hē bhagvān . Ab bhagvān kaun hai , yah tō kōī manuṣhya samajhtē nahī̃ . Ab manuṣhyō̃ kō kaisē samjhāyē̃ - is par vichār sāgar manthan chalnā chāhiē . Nām bhī likhā huā hai - prajāpitā brahmākumārī īśhvarīy viśhva vidyālay . Issē bhī samajhtē nahī̃ haĩ ki yah rūhānī bēhad K|kē bāp kā īśhvarīy viśhva vidyālay hai . Ab kyā nām rakhē̃ jō manuṣhya jhaṭ samajh jāē̃  ? Kaisē manuṣhyō̃ kō samjhāyē̃ ki yah university hai  ? Universe sē university akṣhar nikalā hai . Universe arthāt sārā world , uskā nām rakhā hai - university , jismē̃ sab manuṣhya paṛh saktē haĩ . Universe K|kē paṛhnē liē university hai . Ab vāstav mē̃ universe kē liē tō ēk hī bāp ātē haĩ , unkī yah ēk hī university hai . Aim object bhī ēk hai . Bāp hī ākar sārē universe kō pāvan banātē haĩ , yōg sikhātē haĩ . Yah tō sab dharm vālō̃ kē liē hai . Kahtē haĩ apnē kō ātmā samjhō , sārē universe kā bāp hai - incorporeal god father , tō kyō̃ na iskā nām spiritual university of|off spiritual incorporeal god father rakhē̃ . Khyāl kiyā jātā hai nā . Manuṣhya aisē haĩ jō sārē world mē̃ bāp kō ēk bhī nahī̃ jāntē haĩ . Rachtā kō jānē̃ tō rachnā kō bhī jānē̃ . Rachtā dvārā hī rachnā kō jānā jā saktā hai . Bāp bachchō̃ kō sab kuchh samjhā dēgē . Aur kōī bhī jāntē nahī̃ . R̥iṣhi-muni bhī nētī-nētī kartē gayē . Tō bāp kahtē haĩ tumkō pahlē yah rachtā aur rachnā key|kī knowledge nahī̃ thī . Abhī rachtā nē samjhāyā hai . Bāp kahtē haĩ mujhē sab pukārtē bhī haĩ ki ākar hamkō sukh-śhānti dō kyōṅki abhī duḥkh-aśhānti hai . Unkā nām hī hai duḥkh hartā sukh kartā . Vah kaun hai  ? Bhagvān . Vah kaisē duḥkh her|har kar sukh dētē haĩ , yah kōī nahī̃ jāntē haĩ . Tō aisā clear kar likhē̃ jō manuṣhya samajhē̃ nirākār god father hī yah knowledge dētē haĩ . Aisē-aisē vichār sāgar manthan karnā chāhiē . Bāp samjhātē haĩ manuṣhya sabhī haĩ pattharbuddhi . Abhī tumkō pārasbuddhi banā rahē haĩ . Vāstav mē̃ pārasbuddhi unhē̃ kahē̃gē jō kam sē kam 50 sē adhik marks lē̃ . Fail hōnē vālē pārasbuddhi nahī̃ . Yah bhī kōī samajhtē nahī̃ haĩ ki rām kō bāṇ kyō̃ dikhāyē haĩ  ? Śhrīkr̥iṣhṇa kō svadarśhan chakra dikhāyā hai ki usnē sabkō mārā aur rām kō bāṇ dikhāyē haĩ . Ēk khās magazine nikaltī hai , jismē̃ dikhāyā hai - śhrīkr̥iṣhṇa kaisē svadarśhan chakra sē akāsur-bakāsur ādi kō mārtē haĩ . Dōnō̃ kō hiṃsak banā diyā hai aur phir double hiṃsak banā diyā hai . Kahtē haĩ unhō̃ kō bhī bachchē paidā huē nā . Arē , vah haĩ hī nirvikārī dēvī-dēvtā . Vahā̃ rāvaṇ rājya hai hī nahī̃ . Is samay rāvaṇ sampradāy kahā jātā hai .

Abhī tum samjhātē hō ham yōgbal sē viśhva kī bādśhāhī lētē haĩ tō kyā yōgbal sē bachchē nahī̃ hō saktē . Vah hai hī nirvikārī duniyā . Abhī tum śhūdra sē brāhmaṇ banē hō . Aisā achchhī rīti samjhānā hai jō manuṣhya samajhē̃ inkē pās|pass pūrā gyān hai . Thōṛā bhī is bāt kō samajhē̃gē tō samjhā jāyēgā yah brāhmaṇ kul kā hai . Kōī kē liē tō jhaṭ samajh jāyēṅgē - yah brāhmaṇ kul kā hai nahī̃ . Ātē tō anēk prakār K|kē haĩ nā . Tō tum spiritual university of|off spiritual incorporeal god father likhkar dēkhō , kyā hōtā hai  ? Vichār sāgar manthan kar akṣhar milānē hōtē haĩ , ismē̃ baṛī yukti chāhiē likhnē key|kī . Jō manuṣhya samajhē̃ yahā̃ yah knowledge god father samjhātē haĩ athavā rājyōg sikhlātē haĩ . Yah akṣhar bhī common hai . Jīvanmukti deity sovereignty in second . Aisē-aisē akṣhar hō̃ jō manuṣhyō̃ key|kī buddhi mē̃ baiṭhē̃ . Brahmā dvārā viṣhṇupurī key|kī sthāpanā hōtī hai . Manmanābhav kā arth|earth hai - bāp aur varsē kō yād karō . Tum hō brahmā mukh vaṅśhāvalī brāhmaṇ kul bhūṣhaṇ , svadarśhan chakradhārī . Ab vah tō svadarśhan chakra viṣhṇu kō dikhātē haĩ . Śhrīkr̥iṣhṇa kō bhī 4 bhujāyē̃ dikhātē haĩ . Ab unkō 4 bhujāyē̃ hō kaisē saktī  ? Bāp kitnā achchhī rīti samjhātē haĩ . Bachchō̃ kō baṛā viśhāl buddhi , pārasbuddhi bannā hai . Satyug mē̃ yathā rājā-rānī tathā prajā pārasbuddhi kahē̃gē nā . Vah hai pāras duniyā , yah hai pattharō̃ key|kī duniyā . Tumkō yah knowledge miltī hai - manuṣhya sē dēvtā bannē key|kī . Tum apnā rājya śhrīmat par phir sē sthāpan kar rahē hō . Bābā hamkō yukti batlātē haĩ ki rājā-mahārājā kaisē ban saktē hō  ? Tumhārī buddhi mē̃ yah gyān bhar jātā hai aurō̃ kō samjhānē kē liē . Gōlē par samjhānā bhī baṛā sahaj hai . Is samay jansaṅkhyā dēkhō kitnī hai  ! Satyug mē̃ kitnē thōṛē hōtē haĩ . Saṅgam tō hai nā . Brāhmaṇ tō thōṛē hōṅgē nā . Brāhmaṇō̃ kā yug hī chhōṭā hai . Brāhmaṇō̃ kē bād haĩ dēvtāyē̃ , phir vr̥iddhi kō pātē haĩ . Bājōlī hōtī hai nā . Tō sīṛhī K|kē chitra kē sāth virāṭ rūp bhī hōgā tō samjhānē mē̃ clear hōgā . Jō tumhārē kul K|kē hōṅgē unkī buddhi mē̃ rachtā aur rachnā key|kī knowledge sahaj hī baiṭh jāyēgī . Unkī śhakla sē bhī mālūm paṛ jātā hai ki yah hamārē kul kā hai yā nahī̃  ? Agar nahī̃ hōgā tō tavāī kī tarah sunēgā . Jō samjhū hōgā vah dhyān sē sunēgā . Ēk bār kiskō pūrā tīr lagā tō phir ātē rahē̃gē . Kōī praśhna pūchhē̃gē aur kōī achchhā fool|phūl hōgā tō rōz āpēhī ākar pūrā samajhkar chalā jāyēgā . Chitrō̃ sē tō kōī bhī samajh saktē haĩ . Yah tō barōbar dēvī-dēvtā dharm key|kī sthāpanā bāp kar rahē haĩ . Kōī na pūchhtē bhī āpēhī samajhtē rahē̃gē . Kōī tō bahut pūchhtē rahē̃gē , samajhē̃gē kuchh bhī nahī̃ . Phir samjhānā hōtā hai , haṅgāmā tō karnā nahī̃ hai . Phir kahē̃gē īśhvar tumhārī rakṣhā bhī nahī̃ kartē haĩ  ! Ab vah rakṣhā kyā kartē haĩ sō tō tum jāntē hō . Karmō̃ kā hisāb-kitāb tō har ēk kō apnā chuktū karnā hai . Aisē bahut haĩ , tabiyat kharāb hōtī hai tō kahtē haĩ rakṣhā karō . Bāp kahtē haĩ ham tō ātē haĩ patitō̃ kō pāvan banānē . Vah dhandhā tum bhī sīkhō . Bāp 5 vikārō̃ par jīt pahnātē haĩ tō aur hī jōr sē vah sāmnā karē̃gē . Vikār kā tūphān bahut jōr sē ātā hai . Bāp tō kahtē haĩ bāp kā bannē sē yah sab bīmāriyā̃ uthal khāyēṅgī , tūphān jōr sē āyēṅgē . Pūrī boxing hai . Achchhē-achchhē pahalvānō̃ kō bhī harā lētē haĩ . Kahtē haĩ - na chāhtē bhī kudr̥iṣhṭi hō jātī hai , register kharāb hō jāyēgā . Kudr̥iṣhṭi vālē sē bāt nahī̃ karnī chāhiē . Bābā sabhī centres K|kē bachchō̃ kō samjhā rahē haĩ ki kudr̥iṣhṭi vālē bahut ḍhēr haĩ , nām lēnē sē aur hī traitor ban jāyēṅgē . Apnī satyānāśh karnē vālē ulṭē kām karnē lag paṛtē haĩ . Kām vikār nāk sē pakaṛ lētā hai . Māyā chhōṛtī nahī̃ hai , kukarm , kudr̥iṣhṭi , kuvachan nikal paṛtē haĩ , kuchalan hō paṛtī hai isliē bahut-bahut sāvdhān rahnā hai .

Tum bachchē jab pradarśhanī ādi kartē hō tō aisī yukti rachō jō kōī bhī sahaj samajh sakē . Yah gītā gyān svayã bāp paṛhā rahē haĩ , ismē̃ kōī śhāstra ādi key|kī bāt nahī̃ hai . Yah tō paṛhāī hai . Kitāb gītā tō yahā̃ hai nahī̃ . Bāp paṛhātē haĩ . Kitāb thōṛēhī hāth mē̃ uṭhātē haĩ . Phir yah gītā nām kahā̃ sē āyā  ? Yah sab dharmaśhāstra bantē hī bād mē̃ haĩ . Kitnē anēk maṭh-panth haĩ . Sabkē apnē-apnē śhāstra haĩ . Ṭāl-ḍāl jō bhī haĩ , chhōṭē-chhōṭē maṭh-panth , unkē bhī śhāstra ādi apnē-apnē haĩ . Tō vah hō gayē sab bāl-bachchē . Unsē tō mukti mil na sakē . Sarvśhāstra maī śhirōmaṇī gītā gāī huī hai . Gītā kā bhī gyān sunānē vālē hōṅgē nā . Tō yah knowledge bāp hī ākar dētē haĩ . Kōī bhī śhāstra ādi hāth mē̃ thōṛēhī haĩ . Maĩ bhī śhāstra nahī̃ paṛhā hū̃ , tumkō bhī nahī̃ paṛhātē haĩ . Vah sīkhtē haĩ , sikhlātē haĩ . Yahā̃ śhāstrō̃ key|kī bāt nahī̃ . Bāp hai hī knowledgeful . Ham tumkō sabhī vēdō̃-śhāstrō̃ kā sār batlātē haĩ . Mukhya haĩ hī 4 dharmō̃ K|kē 4 dharmaśhāstra . Brāhmaṇ dharm kā kōī kitāb hai kyā  ? Kitnī samajhnē key|kī bātē̃ haĩ . Yah sab bāp baiṭh detail mē̃ samjhātē haĩ . Manuṣhya sab pattharbuddhi haĩ tab tō itnē kaṅgāl banē haĩ . Dēvtāyē̃ thē golden age mē̃ , vahā̃ sōnē K|kē mahal bantē thē , sōnē key|kī khāniyā̃ thī . Abhī tō sachchā sōnā hai nahī̃ . Sārī kahānī bhārat par hī hai . Tum dēvī-dēvtā pārasbuddhi thē , viśhva par rājya kartē thē . Abhī smr̥iti āī hai , ham svarg K|kē mālik thē phir nark K|kē mālik banē haĩ . Ab phir pārasbuddhi bantē haĩ . Yah gyān tum bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ hai jō phir aurō̃ kō samjhānā hai . Drama anusār part chaltā rahtā hai , jō time pās|pass hōtā hai sō accurate phir bhī purūṣhārth tō karāyēṅgē nā . Jin bachchō̃ kō naśhā hai ki svayã bhagvān hamkō heaven kā mālik banānē kē liē purūṣhārth karātē haĩ unkī śhakla baṛī first class khuśhnumaḥ rahtī hai . Bāp ātē bhī haĩ bachchō̃ kō purūṣhārth karānē , prālabdh kē liē . Yah bhī tum jāntē hō , duniyā mē̃ thōṛēhī kōī jāntē haĩ . Heaven kā mālik banānē bhagvān purūṣhārth karātē haĩ tō khuśhī hōnī chāhiē . Śhakla baṛī first class , khuśhnumaḥ hōnī chāhiē . Bāp kī yād sē tum sadaiv harṣhit rahē̃gē . Bāp kō bhūlnē sē hī murajhāis ātī hai . Bāp aur varsē kō yād karnē sē khuśhnumaḥ hō jātē haĩ . Har ēk key|kī service sē samjhā jātā hai . Bāp kō bachchō̃ key|kī khuśhbū tō ātī hai nā . Sapūt bachchō̃ sē khuśhbū ātī hai , kapūt sē badbū ātī hai . Bagīchē mē̃ khuśhbūdār fool|phūl kō hī uṭhānē kē liē dil hōgī . Ak kō kaun uṭhāyēṅgē  ! Bāp kō yathārth rīti yād karnē sē hī vikarma vināśh hōṅgē . Achchhā  !

Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā bāpdādā kā yād-pyār aur good morning . Rūhānī bāp kī rūhānī bachchō̃ kō namastē .

Dhārṇā kē liē mukhya sār  :

1 ) māyā key|kī boxing mē̃ hārnā nahī̃ hai . Dhyān rahē kabhī mukh sē kuvachan na nikalē , kudr̥iṣhṭi , kuchalan , kukarm na hō jāē .

2 ) first class khuśhbūdār fool|phūl bannā hai . Naśhā rahē ki svayã bhagvān hamkō paṛhātē haĩ . Bāp kī yād mē̃ rah sadaiv harṣhit rahnā hai , kabhī murjhānā nahī̃ haĩ .

Vardān  : challenge aur practical key|kī samāntā dvārā svayã kō pāpō̃ sē safe rakhnē vālē viśhva sēvādhārī bhav

Āp bachchē jō challenge kartē hō us challenge aur practical jīvan mē̃ samāntā hō , nahī̃ tō puṇya ātmā kē bajāē bōjh vālī ātmā ban jāyēṅgē . Is pāp aur puṇya key|kī gati kō jānkar svayã kō safe rakhō kyōṅki saṅkalp mē̃ bhī kisī bhī vikār key|kī kamjōrī , vyarth bōl , vyarth bhāvnā , ghr̥iṇā vā īrṣhyā key|kī bhāvnā pāp K|kē khātē kō baṛhātī hai isliē puṇya ātmā bhav K|kē vardān dvārā svayã kō safe rakh viśhva sēvādhārī banō . Saṅgaṭhit rūp mē̃ ēkmat , ēkras sthiti kā anubhav karāō .

Slōgan  : pavitratā key|kī śhamā chārō̃ ōr jalāō tō bāp kō sahaj dēkh sakē̃gē .

Avyakt-iśhārē  : ēkāntpriy banō ēktā aur ēkāgratā kō apnāō

Pratyakṣhatā kā jhaṇḍā laharānē K|kē pahlē sirph dō śhabda her|har karma mē̃ lānā . Ēk sarv sambandh , samparka mē̃ āpas mē̃ ēktā . Anēk saṅskār hōtē , anēktā mē̃ ēktā aur dr̥iṛhtā yahī saphaltā kā sādhan hai . Kabhī-kabhī ēktā hil jātī hai . Yah karē , tō maĩ karū̃ … nahī̃ . Āpkā slōgan hai sva parivartan sē viśhva parivartan , viśhva parivartan sē sva parivartan nahī̃ .