मम्मा की मुरली - gyan-sitar-10

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

२८ . १२ . ५८

Pavitra pravr̥itti sē nivr̥iti nahī̃ lēkin māyā sē nivr̥iti rakhō

Ōm śhānti . Paramātmā key|kī knowledge siddh kartī hai ki pravr̥itti mārg anādi sē hī chalā ātā hai . Rachtā aur rachnā - yah dō akṣhar bhī pravr̥itti kō siddh kartē haĩ . Paramātmā creator hai tō kiskā  ? Creation kā . Bhagvān K|kē saṅskār hī pravr̥itti K|kē haĩ . Bhal nirākār hai parantu rachnā kā rachtā tō hai nā . Paramātmā apnē saṅskārō̃ mē̃ hī pravr̥itti vālā hai . Tō issē siddha hai anādi pravr̥itti hai . Vah paramātmā key|kī anādi pavitra pravr̥itti kaunsī hai , uskā knowledge khud hī batātē haĩ . Aisē nahī̃ , pravr̥itti sukh aur duḥkh kī hai . Paramātmā key|kī pravr̥itti hī sukh kī hai . Jis rachnā kē liē uskō rachtā kahā jātā hai . Sukh-duḥkh , hār-jīt – dōnō̃ kō milākar pravr̥itti nahī̃ kahī gaī hai . Paramātmā key|kī pravr̥itti hai hī sukh key|kī . Duniyā samajhtī hai - yah duḥkh sukh pravr̥itti mē̃ hōtā hī āyā hai , hōtā rahēgā . Parantu nahī̃ , paramātmā sukh key|kī rachnā rachtē haĩ . Usmē̃ duḥkh-sukh key|kī bāt nahī̃ , vah tō prālabdh hai . Vahā̃ janamnā , marnā , śharīr mē̃ rahnā - sab pavitratā K|kē ādhār sē hōtā hai . Duniyā jāntī hī nahī̃ ki janamnā pavitratā sē bhī hō saktā hai . Is bāt kō asambhav samajhtī hai . Parantu paramātmā kahtē haĩ – mērī anādi rachnā thī hī pavitra pravr̥itti . Bākī sab rachnā hai māyā key|kī . Māyā key|kī rachnā mē̃ ādi-madhy-ant duḥkh hai . Vah hai apavitr rachnā . Is khēl kō samajhnā hai . Yah rachnā hai ५ bhūtō̃ key|kī , ismē̃ duḥkh-sukh dōnō̃ milā huā hai . Alpkāl kā sukh tō duḥkh key|kī barābarī mē̃ hī rakhē̃gē . Paramātmā key|kī anādi rachnā mē̃ hai hī pavitratā . Ādi-madhy-ant sukh key|kī prāpti rahtī hai .

Manuṣhya samajhtē haĩ - - nivr̥itti sē hī pavitratā hōgī . Parantu nivr̥itti rakhnī hai māyā sē . Aisē nahī̃ , pravr̥itti sē nivr̥itti rakhnī hai . Pravr̥itti hai tab tō pavitratā śhabda ātā hai nā . Part hī na hō tō pravr̥itti śhabda bhī kyō̃ kahē̃  ? Ab ham jāntē haĩ – paramātmā key|kī pavitra pravr̥itti key|kī department alag hai , māyā key|kī department alag hai . Pavitra pravr̥itti mē̃ rahnē key|kī ab knowledge milnī hai . Pavitratā kō pravr̥itti kahē̃gē , pravr̥itti kō pavitratā kahē̃gē . Ab ham māyā key|kī apavitr pravr̥itti sē nikal rahē haĩ . Paramātmā kahtē haĩ ki māyā key|kī pravr̥itti mē̃ anēk janm bitāyē , ab unsē nivr̥itt hōnā hai . Ulṭī-sulṭī pravr̥itti sē nivr̥itt hōnā hai aur pavitra pravr̥itti mē̃ ānā hai . Duniyā nē dēkhī hī yah māyā key|kī pravr̥itti hai . Paramātmā key|kī pavitra pravr̥itti K|kē saṅskār hī in ātmāō̃ sē gāyab haĩ . Bahut janmō̃ sē māyā key|kī mail chaṛhī huī hai . Isliē samajh nahī̃ saktē haĩ ki pravr̥itti bhī pavitratā K|kē ādhār par kabhī chalī hai aur chal saktī hai . Manuṣhya ātmā kē liē punarjanma tō jarur hai . Parantu iskā matlab yah nahī̃ ki punarjanma hai hī duḥkh dēnē vālā . Ādi-madhy-ant sukh dēnē vālē punarjanma hamārē hōtē haĩ .

Ab ham jāntē haĩ ki ātmā key|kī original stage yah hai . Tō sadākāl sukh bhōgtē haĩ . Paramātmā jō ruhō̃ kā bāp hai unkē hī saṅskār haĩ sthāpanā-vināśh-pālnā karnā . Vah samajhtē haĩ ki yah stage bhī nīchē kī hai . Ūpar vālī stage mē̃ kuchh nahī̃ hai . Parantu ham jāntē haĩ ki paramātmā hai hī saṅskār vālā . Sthāpanā-pālnā-vināśh - - yah paramātmā K|kē saṅskār haĩ , ātmā K|kē nahī̃ . Ātmā is kārya arth|earth nimitt nahī̃ ban saktī hai . Is vikārī pravr̥itti kā vināśh aur pavitra pravr̥itti key|kī sthāpanā karnā paramātmā kā hī kām hai . Yah saṅskār us ēk hī supreme ruh K|kē haĩ . Vah ruh ab apnā kārya kar rahē haĩ . Ismē̃ hāth pāṅw sē kuchh karnā nahī̃ hai . Paramātmā karma bhī yahī sikhlātē haĩ ki pavitra banō aur banāō . Yah samajh key|kī bāt hai . Kahā jātā hai nā - samajh sē kām lō|low . Samajh hōgī tō mālūm rahēgā - - kyā karma karnā hai . Pahlē gyān pīchhē karma . Samajh kar kām karnā hōtā hai . Samajh sē hī ham jāntē haĩ ki śhrēṣhṭh karma kyā hai  ? Tō rachtā aur rachnā , bīj aur jhāṛ siddh kartē haĩ pravr̥itti kō . Bīj mē̃ jhāṛ hai nā . Bīj hai hī pravr̥itti vālā . Paramātmā creator hai , unkī rachnā pravr̥itti kī hai . Ab ham is knowledge kō jāntē haĩ ki yah hai hī pravr̥itti kā foundation . Apavitr pravr̥itti key|kī jaṛ kō nikāl pavitra pravr̥itti key|kī jaṛ kō lagānā paramātmā kā hī kām hai , jō ab kar rahē haĩ .