मम्मा की मुरली - gyan-sitar-12
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
दोनों भाषाओं के वाक्यों का संरेखण सुधारा गया है।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
0३० . १२ . ५८
030/12/1958
1Purānē karmbandhan K|kē hisāb - kitāb kō miṭākar pūrā bāp K|kē havālē hō jānā hī śhrēṣhṭh puruṣhārth hai
1To finish your old karmic accounts and to surrender yourself completely to the Father is the most elevated effort.
2Bhagvān kō kālō̃ kā kāl bhī kahā jātā hai . 3Kyōṅki is samay unkā part hī hai pūrṇ vināśh karnē kā .
2God is called the Death-of-all-deaths, because at this time it is His role to bring about total destruction.
4Jabki unkō pūrṇ vināśh karnā hai tō jarur kālō̃ kā kāl bannā paṛē .
3Since He has to bring about total destruction, He definitely has to be the Death-of-all-deaths.
5Martē tō ātē haĩ , parantu us marnē aur abhī K|kē marnē mē̃ baṛā phark hai !
4People do die, but there is a vast difference between that dying and this dying.
6Ab tō mānō̃ anēk janmō̃ kā maut hai .
5Now it is the end of many births.
7Isliē anēk janmō̃ K|kē hisāb-kitāb kō bhagvān kē āgē rakhnā hai .
6This is why you have to place all the karmic accounts of many births in front of God.
8Kis tarīkē rakhnā hai , vah bhagvān khud hī ākar samjhātē haĩ .
7God Himself comes and explains to of you how you must do this.
9Kahtē haĩ - chāhē anēk janmō̃ K|kē ḍanḍē khākar hisāb-kitāb chuktū karō , chāhē mērē dvārā mērē sāth sambandh jōṛkar jītē jī marō .
8You can either settle the accounts many births by experiencing punishment or you can have a relationship with Him and die alive.
10Āp sab jītē jī mar rahē hō yā mar bhī chukē hō ?
9Have all of you died alive or are you still dying?
11Ham sab puruṣhārthī haĩ .
10All of us are effort-makers.
12Din-rāt her|har second puruṣhārth kartē haĩ .
11We make effort day and night at every second.
13Jabki unkē sāth hamkō chalnā hai tō is purānē karmbandhan K|kē hisāb-kitāb kō pūrā chuktū kar dēnā hai .
12Since we have to return home with Him, we have to settle the accounts of our old karmic bondages.
14Bhal gōd bhī lī hai , tō bhī apnē hisāb-kitāb kō tō jītē jī chuktū karnā hai nā .
13Even though we have been adopted by Him, we still have to settle all our accounts.
15Usmē̃ successful kahā̃ tak rahtē haĩ - vah bāt aur hai parantu attention din-rāt jarur hōnā chāhiē .
14The extent to which you are successful in settling your accounts is a different matter but you still have to pay full attention day and night.
16Tō pūrṇ vināśh kā matlab yah nahī̃ ki sirph duniyā kā vināśh parantu unkō ātmāō̃ K|kē pūrṇ hisāb-kitāb kō bhī chuktū karnā hai .
15Complete destruction does not just mean that the world will be destroyed, but that all souls also have to settle their karmic accounts.
17Ātmāyē̃ unkē havālē hō̃ tab tō dharmarāj hisāb-kitāb chuktū karē .
16Only when souls go to God's doorstep can Dharamraj settle their karmic accounts.
18Vināśh key|kī bhī full taiyāriyā̃ hō rahī haĩ aur yahā̃ paramātmā jītē jī ātmāō̃ kō dēh sē alag karākē apnē havālē kartē haĩ .
17All the preparations for destruction are being made. 18God is also making souls become detached from the body whilst alive and making them belong to Him.
19Dēh aur dēh K|kē sambandhiyō̃ sē nikal unkē havālē hōnā hai .
19You have to detach yourself from the body and bodily relations and surrender yourself to Him.
20Us taraph paramātmā nē vah taiyāriyā̃ bhī karāī haĩ , kyōṅki sabkō lē jānā hai .
20God has also made all the preparations for those on the other side because He has to take all souls back home.
21Yah bhī batlātē haĩ ki jītē jī hamārā hōnē sē bahut baṛā pad prāpt hōgā .
21He also tells you that by belonging to Him whilst alive you can claim a very high status.
22Aisē bhī nahī̃ , sirph gōd lī tō mar chukē .
22It isn't that you have died just because you have been adopted by Him.
23Yah tō ātmāō̃ kā puruṣhārth bahut gahrā hai .
23The effort that the soul makes is very deep.
24Ātmāō̃ kō apnē pūrṇ saṅskārō̃ kō miṭāē unkē havālē karnā hai .
24Souls have to finish all their sanskars and surrender themselves to God.
25Hisāb-kitāb pūrā dēnā hai .
25You have to give your full account.
26Apnī prālabdh lēnē kā bhī hisāb unkē āgē rakhnā hai kyōṅki paramātmā kō sthāpanā , vināśh , pālnā kā kārya ab hī pūrā kar jānā hai .
26You also have to place in front of Him the account for your reward because He has to complete the task of is establishment, destruction and sustenance at this time and return home.
27Bāp hamē̃ batlātē haĩ ki kalp pahlē is puruṣhārth sē tum yah banē thē .
27Baba tells us: Through the effort of the previous kalpa, you became this.
28Parantu aisē tō nahī̃ ban gayē .
29Kahtē haĩ - mērē dvārā apnā puruṣhārth karnē sē banē thē .
30Tō bhaviṣhya kā jōṛ aur past kā minus karnā hai .
28So you have to add for the future and subtract from the past.
31Jītē jī yah kām karnā - ismē̃ muśhkilāt ātī hai .
29You have to do this whilst alive, but this is where the difficulty comes.
32Baṛī kaṭhin mañjil hai .
30The destination is very high.
33Māyā aisī hai jō bachchē bankar phir badal jātē haĩ .
31Maya is such that some become God's children and then they change.
34Lakṣhya tō bahut ūñchā hai .
32The aim is very high.
35Sirph vāydā karnā hai .
33But you just have to make a promise.
36Bhal yah batlāyā jātā hai ki mahārathī , ghōṛēsavār , pyādē kē liē kyā-kyā puruṣhārth hai , lēkin puruṣhārth kō tō samajhnā hai nā ki kis puruṣhārth sē pūrī prāpti karē̃ ?
34Although you are told what the effort is for those who are elephant riders; for those who are the cavalry (horse-riders) and for the infantry (foot-soldiers), you have to understand what effort leads to full attainment.
37Bhagvān dvārā samjhāyā tō jātā hai ki gyān bahut sahaj hai , puruṣhārth bahut gambhīr hai .
35God explains that the knowledge is very easy but that the effort is very serious.
38Ismē̃ pūrā hisāb-kitāb dēnā hōtā hai aur lēnā hōtā hai .
36You have to give your full account here and claim accordingly.
39Parantu ismē̃ bhī rukāvaṭē̃ ātī haĩ . 40Ham tō aisē dānv lagānē vālē kō dhanyavād dēgē .
37But there are obstacles even in this: We would give thanks to those who take up this challenge.
41Bākī mañjil kaṛē sē kaṛī bhī hai , mīṭhē sē mīṭhī bhī hai , ati sahaj bhī hai , difficult bhī hai .
38But the destination is the most bitter of all, the sweetest of alJ, the easiest and the most difficult of all.
42Sahaj isliē hai kyōṅki unkā tarīkā bahut sahaj hai , unkō jānnā bhī sahaj hai .
39It is easy because the methol is very easy, and it is easy to know Him.
43Parantu phir bhūltē bhī jhaṭ haĩ .
40But then you also forget Him very quickly.
44Yah sab vighna nūndhē huē haĩ .
41All these obstacles are fixed.
45Unkō jānkar ant tak nibhānā hai .
42After coming to know Him, you have to fulfil your responsibilities until the end.
46Aisē nibhānē vālē hī pūrā lābh lē saktē haĩ .
43Only those who fulfil their responsibilities in this way can take full benefit.
47Us duniyā mē̃ bhī sab kuchh chāhiē .
44Everything is also needed in that world.
48Rājā-rānī mē̃ bhī number-vār , prajā mē̃ bhī number-vār .
45The rulers are numberwise and the subjects are also numberwise.
49Sab ēk sthiti mē̃ nahī̃ rah saktē .
46Not everyone can remain in the same stage.
50Isliē jānkar , sambhalkar chalnā hai .
47This is why you have to know all of this and be cautious as you progress.
48Achcha.