मम्मा की मुरली - gyan-sitar-18
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
29/4/1959
Yād kā ādhār gyān hai , sākṣhātkār nahī̃
Abhī ham ātmāō̃ kō paramātmā K|kē dvārā parōkṣha aur aparōkṣha sākṣhātkār hōtā jā rahā hai . Apnī ātmā K|kē svadarśhan - chakra kā patā paṛtā jā rahā hai . Ātmā K|kē patē kē sāth , paramātmā kā bhī patā ā jātā hai . Iskō kahā jātā hai ātmā kō sva kā sākṣhātkār . Yah hai chakra . Ātmā ādi-madhy-ant kā chakra kaisē lagātī hai , vah knowledge sē bhī jāntē aur sākṣhātkār dvārā bhī . Jō anubhavī haĩ vah kah saktē haĩ – knowledge sē jān saktē haĩ ki ātmā kaisē apnā chakra lagātī hai . Bhal sākṣhātkār hō bhī parantu knowledge nahī̃ hai tō sākṣhātkār kōī kām kā nahī̃ hai . Mukhya hai knowledge par . Isliē yah āśh bhī nahī̃ rakhnā ki jab sākṣhātkār hō tab ham lakṣhya kō pakaṛ sakē̃ .
Yād kā tailuk gyān sē hai . Gyān sē hī ham unkē sārē karttavya kō jāntē haĩ . Tō ham jānnē sē hī yād kar saktē haĩ . Aisē nahī̃ , sirph sākṣhātkār mē̃ dēkhkar us mūrt kā dhyān karnā hai . Uskī buddhi mē̃ knowledge chāhiē . Jitnā ātmā-paramātmā key|kī knowledge pūrā buddhi mē̃ baiṭhtī jāyēgī utnā yād svataḥ rahēgī . Dēkhnē kā ādhār yād sē nahī̃ hai . Dhyān lagānē key|kī bāt nahī̃ . Jitnā knowledge buddhi mē̃ ghūmēgī utnā vah yād khīñchēgī . Dhyān mē̃ jānē key|kī bāt hī nahī̃ . Sārā svadarśhan - chakra ghumānā hai . Ātmā kō apnā knowledge bhī rahtā hai , paramātmā kā bhī karttavya , occupation buddhi mē̃ rahtā hai . Tō yah hai hī buddhiyōg . Jitnī knowledge key|kī dhārṇā utnā yād kī sthiti kāyam rahēgī . Bigar knowledge sirph dēkhnē sē kuchh nahī̃ hōgā .
Bahutō̃ kō rahtā hai – ham jyōtirbindu paramātmā kā sākṣhātkār karē̃ tō buddhiyōg mē̃ sahaj baiṭhēgā . Ham jāntē haĩ - vah hamārā bāp , teacher , guru hai . Unkē karttavya sahit sārā occupation hamārī buddhi mē̃ hai . Yah knowledge nahī̃ hōgī tō yād rahēgī nahī̃ . Sākṣhātkār sē connection nahī̃ . Mukhya hai gyān . Yād athavā yōg bhī tab baṛhtā hai jab knowledge buddhi mē̃ ghūmtī hai . Knowledge buddhi mē̃ hai tō yād khīñchtī rahēgī . Yād kō khīñchnā hai knowledge key|kī tākat sē . Sārā rāj buddhi mē̃ ghūmtā rahēgā . Uskō hī svadarśhan chakra kahā jātā hai . Knowledge sē hī yah chakra ghūmēgā . Tailak iskā hai hī knowledge sē . Tab ātmā-paramātmā kā sākṣhātkār hō hī jātā hai . Tō sārā madār hai gyān par . Bhal sākṣhātkār hōtā hai , ṭhīk hai , parantu kōī jarurī nahī̃ . Hamārī unnati gyān aur yōg sē hōtī hai . Hamārē pās|pass pūrī knowledge hai .
Samajh na hōnē sē vah chīj jaisē dēkhī na dēkhī . Hamkō sūrat par dhyān nahī̃ lagānā hai . Unkī yād mē̃ knowledge key|kī hī darkār rahtī hai . Buddhi unkē sāth juṭānī hai jō gyān kā sāgar hai . Kahā hī jātā hai buddhiyōg .