मम्मा की मुरली - gyan-sitar-21

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

२५ . ८ . ५९

Direct paramātma mukh-vanśhāvalī hī sarvōttam jīvanmukti K|kē adhikārī haĩ

Gīt  : duḥkhiyō̃ par kuchh rahm karō … .

Ōm śhānti . Merciful tō paramātmā kō hī kahē̃gē aur duḥkhī hī unsē rahm māṅgtē haĩ . Jō sadā sukhī haĩ vah tō nahī̃ māṅgē̃gē . Rahm kā matlab hai ki unsē sukh key|kī māṅg kartē haĩ . Yah māṅg paramātmā sē hī kartē haĩ kyōṅki sabkā pitā vah hai . Sabkō sukhī karnē vālā bhī vah hai . Isliē har ēk key|kī nazar unkē taraph jātī hai . Unkō hī kahtē haĩ tum māt-pitā ham bālak tērē . Ab bhal bachchē tō sab unkē haĩ lēkin ēk haĩ sagē , dūsrē haĩ lagē . Sagē bachchē vah haĩ jō direct mukh-vanśhāvalī hai , jinhō̃ kā avināśhī gyān sē yah pure sambandh juṭtā hai . Yah haĩ mukh-vanśhāvalī . Bākī tō sārī duniyā hai lagē bachchē . Sagē aur lagē K|kē arth|earth kō bhī samajhnā hai , tō mukti aur jīvanmukti kō bhī samajhnā hai . Jō unkī mukh-vanśhāvalī bantē haĩ unhō̃ kō tō jīvanmukt banātē haĩ . Bākī sab bachchō̃ kō part sē mukt kar dētē haĩ . Aisē tō jō bhī ātmāyē̃ nīchē utartī haĩ , tō pahlē sab jīvanmukt haĩ kyōṅki kōī vikarmō̃ kā hisāb-kitāb nahī̃ hai . Lēkin jīvanmukti key|kī bhī stages haĩ - - satō-rajō-tamō .

Paramātmā nē apnē mukh-vanśhāvalī brāhmaṇō̃ kō jō jīvanmukti dī|the . vah hai sarvōttam jīvanmukti , satōpradhān jismē̃ sampūrṇ sukh-śhānti-pavitratā kāyam hai . Pīchhē dvāpar sē tō pavitratā key|kī bāt rahtī nahī̃ . Lēkin ātmāyē̃ jō ātī haĩ unhō̃ kā kōī karmō̃ kā hisāb-kitāb nahī̃ , isliē ādhā samay sukh - śhānti mē̃ rahtī haĩ . Uskō kahē̃gē rajōguṇī jīvanmukti . Jō ēkdam kaliyug mē̃ utartē haĩ unhō̃ key|kī sukh-śhānti bhī itnī rahtī hai , isliē vah hai tamōguṇī jīvanmukti . Kyōṅki ātmāyē̃ number-vār ātī haĩ , tō jitnā dērī sē ātī haĩ utnā cum|kam stage vālī hōtī . Tō jab pahlē ādi sanātan dharm sthāpan hōtā hai , tō us samay sarvōttam jīvanmukti hai . Phir number-vār stage anusār ātmāyē̃ ātī jātī haĩ . Her|har chīj key|kī stage tō jarur hōtī hai . Bākī mukti tō sabkō miltī hai . Lēkin vahā̃ bhī number-vār section haĩ . Jitnī pure utnī bāp K|kē samīp nivās kartī haĩ . Bāp tō sabsē ūñch hai . Bākī sab ātmāē̃ number-vār haĩ . Unhō̃ mē̃ bhī pahlē haĩ avyakt dēvtāyē̃ brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar , phir sākār lakṣhmī-nārāyaṇ ityādi . Mukh-vanśhāvalī brāhmaṇ dēvtā dharm , phir number-vār aur dharm . Jaisē number-vār tākat anusār yahā̃ part bajānē utartē haĩ , vaisē vahā̃ bhī number-vār nivās kartē haĩ . Yah bhī banā banāyā drama hai , ismē̃ kuchh change hō nahī̃ saktī .

Kōī kahē - - ab yah sampūrṇ sukh kā part dūsrē dharm kō kyō̃ nahī̃ miltā  ? Lēkin nahī̃ , sabkō apnā anādi part milā huā hai . Aisē bhī nahī̃ hō saktā jō Christ kā part buddha kō milē , buddha kā Christ kō milē . Sabkō apnē dharm key|kī sthāpanā kar phir unkī pālnā bhī unkō hī karnī hai . Kyōṅki jō dharm sthāpan kartē haĩ vah jaisē apnē dharm kā pitā hō gayā . Tō unkō apnē bachchō̃ key|kī pālnā bhī karnī hai . Isliē apnē dharm K|kē guru bantē ātē haĩ . Pālnā bhī tō yahā̃ hī karē̃gē . Isliē vāpas tō kōī jā nahī̃ saktē . Sab yahā̃ hī ātē rahtē haĩ . Ant mē̃ sab ākar ikṭṭhē hōtē haĩ . Jab sārā vr̥ikṣha nikal ant mē̃ pahuñchtā hai tab bīj ākar sabkō vāpas lē jātē haĩ . Aisē nahī̃ , har ēk dharm jaisē alag-alag ātē haĩ vaisē alag-alag time par jāyēṅgē . Nahī̃ jānē kā time sabkā ēk hai aur ēk hī bār paramātmā ākar sabkō vāpas lē jātē haĩ . Vahā̃ sē hī phir apnē samay par ātē haĩ .

Ibrāhim , buddha ādi kō messenger bhī kahtē haĩ . Lēkin bāp apnā daivī dharm sthāpan karnē kē liē kōī messenger kō nahī̃ bhējtē . Yah time tō unkē ānē kā hai . Tō vahī ākar yah daivī dharm sthāpan kartē haĩ . Iskō ārya dharm bhī kah saktē haĩ kyōṅki sabsē sudharē huē tō dēvtāyē̃ haĩ . Abhī tō anēkānēk dharm haĩ . Un sabkī bhī antim stage ā gaī hai . Isliē kōī mē̃ tākat nahī̃ rahī hai . Ab tō sab itnē duḥkhī huē haĩ jō samajhtē haĩ - is part mē̃ āvē̃ hī nahī̃ . Tō unhō̃ key|kī bhī āśh pūrṇ kartē haĩ . Bhāratvāsī phir jīvanmukti māṅgtē haĩ . Kahtē haĩ hamkō baikuṇṭhvāsī banāō . Kōī martā hai tō kahtē haĩ ki svargvās huā . Tō unhō̃ kē liē svarg sthāpan kartē haĩ . Ab hī sachmuch svargvāsī hō saktē haĩ . Bākī tō janm - janmāntar narkvāsī hōtē āyē haĩ . Hell-heaven yahā̃ isī stage par hai .

Ab antim samay bahut duḥkh kā time hai . Lēkin duḥkh bahut samay tō nahī̃ chalēgā , iskā bhī vināśh hōgā . Vināśh sē thōṛā samay pahlē bāp ātē haĩ . Vināśh tō hōnā hī hai . Yah jō bombs banē haĩ , vah sab kām mē̃ āyēṅgē . Yahā̃ bhārat mē̃ jab āpas mē̃ laṛē̃gē tab kyā hālat hōgī  ? Jab pākistān huā tab kitnē manuṣhya duḥkhī huē  ! Uskī bhēṇṭ mē̃ jab itnī vināśh key|kī āg bhaṛakēgī tō manuṣhya kitnē duḥkhī hōṅgē  ! Isliē is duḥkh sē bachānē kē liē thōṛā samay pahlē ātē haĩ . Jab paramātmā dvārā pavitra banē̃ tab sukh-śhāntimay rājya bhōgnē key|kī power bhī milē . Sukh-śhānti bhōgnā bhal ātmāō̃ kā kām hai lēkin dēnā tō unkā kām hai . Ātmāyē̃ tō sab ५ vikārō̃ K|kē vaśh duḥkhī hō āpas mē̃ laṛtī - jhagaṛtī rahtī haĩ . Ab tō kaisē ēk dō kā vināśh karnē kō taiyār hō gayē haĩ  ! Tō bachchō̃ kō śhānt karānā - yah bāp kā kām hai nā . Iskī yukti yahī hai jō sabkō mukti-jīvanmukti mē̃ lē jātē haĩ . Is samay bāp khud bhī hājir hai tab tō direct kahtē haĩ - bachchē , mujh ēk kō yād karō , bākī sab bhūlō .