मम्मा की मुरली - gyan-sitar-23
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
५ . ९ . ५९
Pāñch vikārō̃ nē lāj khōī , ab pavitra brāhmaṇ ban ēk paramātmā sē nātā rakhō
Gīt : hē mahādēv mērī lāj rahē …
Ōm śhānti . Manuṣhya mahādēv key|kī mahimā gātē haĩ . Parantu mahādēv ham śhiv kō kahē̃ vā śhaṅkar kō ? Śhiv kō . Mahimā sārī śhiv key|kī karē̃gē . Dēvō̃ kā dēv mahādēv . Unhōnnē sāmp , triśhūl diyā hai ākārī dēvtā kō . Ham tō nahī̃ dēgē . Mahādēv tō vah śhiv ṭhaharā|ṭhahrā jō tīnō̃ dvārā kārya karātē haĩ . Yah gīt bhī purānī yād dilātē haĩ ki phir sē vah rājya sthāpan karō . Is samay in ५ vikārō̃ nē lāj khō diyā hai . Sārī duniyā key|kī lāj khōī huī hai . Na pitā kā patā hai , na unkī property kā patā hai . Tō kahtē haĩ - mērī lāj , tērā rājya kāyam rahē jahā̃ ēk rājā-rānī thē , jismē̃ mērī lāj thī . Ab vah tērā rājya kāyam hō tō mērī lāj kāyam rahē . Gīt key|kī ēk line sē kitnī bātē̃ siddha hōtī haĩ . Ham hī drōpadiyā̃ haĩ , jinhō̃ kō bāp nē nagn hōnē sē bachāyā hai . Ānā bhī us time hai jab lāj khōī huī hō . Kaliyug K|kē ant mē̃ hī tō unkō ānā paṛē . Parantu manuṣhya kahtē haĩ - kaliyug abhī bachchā hai . Is khyāl sē tō abhī adharm aur baṛhēgā . Yahī siddh kartē haĩ ki jab bilkul būṛhā hōgā tab āēgā . Aisē tō nahī̃ kahtē ki kaliyug jab chhōṭā hō tab ākar vināśh karē . Tō unhō̃ K|kē hisāb anusār bhī kaliyug K|kē ant mē̃ ati dharm glāni hōtī hai tab ātē haĩ . Dvāpar mē̃ tō rajōpradhān thā . Agar pahlē sē hī ākar brake dēvē tō adharm baṛhē nahī̃ . Tō phir yah chakra pūrā kaisē hō ? Chakra kō ant tak chalnā hai . Tō uskō ākar rōk kaisē saktā ? Tō kab āyā hai ? Kuchh buddhi mē̃ ṭhahartā nahī̃ . Śhāstrō̃ mē̃ tō manuṣhyō̃ key|kī mat hai . Ab hamē̃ miltī hai paramātmā key|kī mat . Bhal sunnē vālē ham manuṣhya haĩ lēkin buddhi tō paramātmā key|kī milī hai . Tō paramātmā kō barōbar ānā hī ant mē̃ chāhiē jō ākar antim saṅskār karē , naī duniyā key|kī ādi karē . Tō mahādēv unkō kahtē .
Vah khud rājā-mahārājā nahī̃ bantē , lēkin sthāpan kartē haĩ . Nām unkā hōtā hai . Yah bātē̃ ab hamārē pās|pass haĩ . Iskī bhēṇṭ mē̃ kahtē ki duniyā vālē bichārē jāntē nahī̃ ki kaunsē rājya mē̃ hamārī lāj rahēgī ? Śhaṅkar kē liē bhī likhā hai – śhaṅkar pārvatī kā svayamvar huā . Tō samajhtē unkā rājya chalā hai . Lēkin vah tō haĩ ākārī dēvtāyē̃ . Rājya tō sākār dēvtāō̃ kā chalā hai . Vah sākār mē̃ tō ātē nahī̃ .
Duniyā tō samajhtī – jab sē nar-nārī banē haĩ , tō yah vikār bhī chaltē āyē haĩ , is bigar duniyā nahī̃ chal saktī . Lēkin dēvtāō̃ kō kahtē haĩ sampūrṇ nirvikārī . Nirvikārī pravr̥itti bhī chalī hai nā . Unhōnnē tō bahut kahāniyā̃ banā dī haĩ . Satya nārāyaṇ kī kathā , amarnāth key|kī kathā . . banāī haĩ . Anēk kathāyē̃ athavā kahāniyā̃ ! Vāstav mē̃ tō kahānī unkī ēk hī hai . Satya nārāyaṇ bhī vahī paramātmā hai , amarnāth bhī paramātmā kō kahtē haĩ . Vah ever amar hai . Nāth uskō kahē̃gē . Satya nārāyaṇ bhī vah hai jō satya batātē haĩ . Brahmā-viṣhṇu-śhaṅkar kā bhī bhēd batānē vālā paramātmā hai . Vah mūl ēk creator hai , bākī sab creation haĩ . Brahmā-viṣhṇu kā bhī creator vah hai . Yah tō harēk apnā-apnā kārya kartē haĩ . Sthāpanā vālā vināśh nahī̃ kar saktā , vināśh vālā sthāpanā nahī̃ kar saktā . Tīnō̃ kārya karānē vālā ēk paramātmā hai . Vah bhī kārya is sr̥iṣhṭi par kartā hai , sūkṣhmavatan mē̃ tō kuchh chaltā nahī̃ . Tō yah kahānī paramātmā baiṭh sunātē haĩ . Ēk hī kahānī mē̃ sab ā jātā hai . Chārō̃ yug , varṇa , sab dharm usmē̃ ā jātē haĩ . Aisē nahī̃ satyug key|kī alag kahānī , trētā key|kī alag kahānī hai . Yah bhī abhī yahā̃ key|kī hī bātē̃ haĩ . Chār yug bhī yahā̃ bhārat mē̃ kahtē haĩ . Aur dharm tō ātē hī dvāpar sē haĩ . Tō unhō̃ kō is varṇa , yug kā patā nahī̃ . Mukhya kahānī yahā̃ kī hai aur sab haĩ byplots . By-plot mē̃ tō sārī kahānī nahī̃ hōgī .
Yahā̃ brāhmaṇ , kṣhatriya haĩ . . . . Bhal vikārī haĩ parantu brāhmaṇ kahlātē haĩ tō unhō̃ kā kitnā mān kartē haĩ ? Itnā mān kyō̃ hōtā hai ? Is samay sachchē brāhmaṇ pavitra banē haĩ . Apavitr sē nātā hī nahī̃ hai . Nātā ēk paramātmā sē hai , dūsrā avyakt dēvtāō̃ sē hai . Sākār mē̃ bhī mā̃-bāp , bhāī-bahin . Dūsrā nātā hai hī nahī̃ . Isliē itnā mān hai . Jō sirph nām lagātē unhō̃ kā bhī mān hōtā hai . Aisā kul dēvtāō̃ kā bhī nahī̃ hai . Unhō̃ key|kī bhī kalāē̃ nīchē hōtī jātī haĩ . Yah tō ēkdam ūpar chaṛhtē haĩ . Tō kahā̃ key|kī bātē̃ kahā̃ lē gayē haĩ !
Yah gīt dūsrē jab sunē̃gē tō sāmp , triśhūl vālē śhaṅkar kō yād karē̃gē . Tum uskā bhī arth|earth karē̃gē ki māyā rupī sāmp kō jītā hai gyān triśhūl sē . Bākī aisē tīn ôkhō̃ vālē , १० śhīśh vālē , ४ bhujā vālē manuṣhya hōtē nahī̃ . Āgē tō samajhtē thē – ūpar aisī kōī duniyā hai . Lēkin bābā samjhātē haĩ - ūpar-nīchē kōī duniyā nahī̃ hai . Yahī manuṣhya sr̥iṣhṭi hai . Lōg tō mūnjh gayē haĩ . Ūpar aeroplane bhējtē haĩ dēkhnē kē liē ki kōī duniyā hai kyā ? Lēkin hai tō yahī duniyā . Sūkṣhmavatan mē̃ bhī jākar sākṣhātkār kar vāpas ātē haĩ , vahā̃ baiṭh nahī̃ jātē haĩ . Brahmā-viṣhṇu bhī abhī part bajātē haĩ . Bākī bhakti mārg mē̃ paramātmā hī sākṣhātkār karātē haĩ . Aisē nahī̃ ki us samay sūkṣhmavatan hai . Yah tō abhī part hai . Bākī sākār aur nirākār duniyā kā connection chaltā ātā hai . Ātmāyē̃ ātī rahtī haĩ , saṅkhyā baṛhtī rahtī hai . Satyug sē kaliyug tak saṅkhyā baṛhtī rahtī hai .
Ab tak tum jō knowledge suntē āyē hō us knowledge K|kē chintan K|kē ādhār sē tō chintāyē̃ aur hī baṛhtī gaī . Lēkin is knowledge K|kē chintan sē satyug sthāpan hōtā hai , tō sab chintāō̃ sē chhūṭ jātē haĩ . Ab svayã paramātmā bāp , teacher aur guru ban gōd mē̃ lētē haĩ athavā śharaṇ mē̃ lētē haĩ . Kahtē haĩ - ab is chintan mē̃ rahō . Lēkin jitnī bhakti key|kī pūṅjī hōgī utnī knowledge uṭhāyēgā aur sūryavanśhī mē̃ āyēgā .