मम्मा की मुरली - gyan-sitar-24
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
५६ ६ . ९ . ५९
Hamārā sāthī svayã bhagvān hai , isliē tūphānō̃ sē ḍarnā nahī̃
Ōm śhānti . Vāstav mē̃ sarvśhāstra śhirōmaṇī gītā hī gāī huī hai . Parantu bhāratvāsiyō̃ kō mālūm na hōnē K|kē kāraṇ kisnē gāī hai , uskā kadar cum|kam kar diyā hai . Bhal bhagvānuvāch hai lēkin bhagvān nē direct gāī hai . Aisē samajhtē tō sārī duniyā māntī . Sārī duniyā kr̥iṣhṇa kō tō nahī̃ mānēgī . Lēkin bhāratvāsiyō̃ kō hī patā nahī̃ tō aur kaisē jānē̃ ? Bhārat mē̃ hī court mē̃ gītā uṭhāē kasam lētē haĩ . Jaisē musalmānō̃ kā kurān hai , kriściyan kā Bible hai , vaisē bhārat key|kī gītā hai .
Paramātmā kahtē haĩ - " jō gītā kalp pahlē gāī thī vahī ab phir sē uchchāraṇ kar rahā hū̃ . » Christ nē aisē nahī̃ kahā ki mērā kalp pahlē vālā Bible hai . Kyōṅki vah jab āē tō unhō̃ kā dharm tathā śhāstra tō thā nahī̃ . Lēkin paramātmā ātē haĩ tō dikhātē haĩ ki dēkhō , maĩ tumkō sō dēvtā banātā hū̃ , jinhō̃ K|kē chitra sāmnē haĩ . Bhal dēvtāō̃ key|kī biography , chitrō̃ kō bahut nīchē-ūpar kiyā hai lēkin yādgār tō kāyam hai . Ab practical nahī̃ hai lēkin yādgār haĩ . Tō apnē dharm kā hī sārē chakra mē̃ part hai . Gītā tō hājir hai lēkin vah hōtē bhī kahtē haĩ - " mērā gyān prāyaḥ lōp hai . In śhāstrō̃ sē maĩ nahī̃ miltā . » kyōṅki paramātmā ātē hī haĩ ant mē̃ . Kahtē haĩ - " mērā gyān us gītā mē̃ bhī nahī̃ hai . Tō jab gyān rahā hī nahī̃ tō mērī prāpti kaisē hōgī ? Jab tak maĩ na āū̃ mērē yādgārō̃ sē tō nahī̃ banē̃gē . " yahā̃ tō practical chāhiē . Kahtē haĩ – jab jaṛjaṛībhūt vr̥ikṣha hō jātā hai tab maĩ ātā hū̃ .
Kōī sādhū-sanyāsī tō kah nahī̃ saktē - - mainnē kalp pahlē dēvtā banāyā thā . Manmanābhav-māmēkam , mujh ēk mē̃ hī buddhi lagāō . Akṣhar hī paramātmā K|kē direct haĩ . Kōī mahātmā gītā sunāyēgā tō bhī kahēgā - paramātmā sē yōg lagāō . Aisē nahī̃ kahēgā mērē mē̃ lagāō . Tō jarur paramātmā nē khud direct kahā hai . Tab kahā hai - mujh ēk mē̃ buddhi lagāō . Yah bhī khud paramātmā nē samjhāyā hai . Tab samajhtē haĩ ki vah direct ākar kah rahē haĩ .
Śhāstrō̃ mē̃ tō kitnī kahāniyā̃ likhī haĩ – laśhkar thē , bāṇō̃ sē laṛāī huī . Lēkin ham tō pakkē ahiṃsak haĩ . Na astra-śhastra key|kī laṛāī hai , na kām kaṭārī chalātē haĩ . Asul tō pavitra pravr̥itti mārg thā jiskō gr̥ihasth āśhram mānā pavitra sthān kahtē haĩ . Vah tō maĩ sthāpan kartā hū̃ . Mukti bhī maĩ ākar dētā hū̃ . Ab vināśh tō sāmnē hai aur sthāpanā bhī hō rahī hai . Purānī duniyā K|kē marnē key|kī chījē̃ nikalī haĩ , tō naī duniyā K|kē janamnē key|kī bhī chījē̃ nikalī haĩ .
Kahtē haĩ – maĩ apnē bachchō̃ kē āgē pratyakṣha hōtā hū̃ . Tō vahī pahchāntē haĩ . Bākī ant mē̃ duniyā kō patā paṛēgā . Lēkin jō kārya karānā thā , kamāī karānī thī vah kām tō pūrā hō chukēgā . Phir tō ' ahō prabhu ! ' hī kahē̃gē . Ham practical gītā sun rahē haĩ aur vah śhāstra sunā rahē haĩ . Itnā contrast hai . Is bāt kō achchhī rīti dhāraṇ kar duniyā key|kī stage par rakhnā hai . Ismē̃ sab sāmnā karē̃gē . Lēkin ham jāntē haĩ hamkō paṛhānē vālā kaun hai ! Aisē niśhchayvān stage par āyēṅgē . Kaī phir sanśhay mē̃ ākar ṭūṭtē bhī rahē̃gē . Yah tō kalp pahlē māphik hōtā rahēgā , issē ḍarnā nahī̃ hai . Jiskā sāthī paramātmā hai , uskō ḍar kyā ? Jaisē dikhātē haĩ pāṇḍavō̃ nē bhagvān kā sāth liyā . Tō hamnē īśhvar kā sāth liyā hai . Ant mē̃ vijay tō hai hī . Bīch mē̃ bahut tūphān āyēṅgē lēkin result kā patā hai tō ḍarē̃gē nahī̃ .
Paramātmā kahtē – jab maĩ ātā hū̃ tō bahut bhagvān ban baiṭhtē haĩ . Ab siddha kaisē hō ? Tō ant mē̃ nirṇay hō jātā hai . Bhagvān kā kārya kyā hai vah tō vahī jāntē . Paramātmā key|kī samarthī - purānī duniyā kā vināśh , naī duniyā kī sthāpanā . Vah bhī time par hisāb sē karātā hai . Duniyā vālō̃ nē tō śhāstrō̃ mē̃ yahī paṛhā hai ki bhagvān marē huē kō jindā kartā , dhartī sē pānī nikāl dētā … . Ab yah tō kām unkā hai nahī̃ . Hā̃ , ham sāgar K|kē bachchē jō marē paṛē thē unhō̃ kō jindā kartē haĩ gyān amr̥it sē . Manuṣhya phir ulṭā arth|earth nikāl samajh baiṭhē haĩ . Bhagvān key|kī aisī samarthī hai . Ham tō jab ākārī dēvtāō̃ brahmā , viṣhṇu kō hī bhagvān nahī̃ kahtē tō manuṣhya tō hō nahī̃ saktā . Vah tō paramātmā ēk hai jō baiṭh apnī knowledge dētē haĩ .
Apnē mē̃ jō anēk janmō̃ K|kē saṅskār paṛē haĩ unhō̃ kō nikāl iskō dhāraṇ karnē mē̃ mēhnat lagtī hai . Buddhi sē judge karnā hai – yah right hai . Tō aurō̃ kō dēnā hai . Bābā yahī madad māṅgtē haĩ . Bākī ḍarnē key|kī bāt nahī̃ hai jab khēvanhār sāth hai . Rām , kr̥iṣhṇa kōī khēvanhār nahī̃ . Unhō̃ kō bhī paramātmā nē pār kiyā hai , asār saṅsār sē pār kar sār vālī duniyā mē̃ lē gayē haĩ . Duniyā iskō nahī̃ jāntī . Tab maĩ ākar batātā hū̃ aur lē chaltā hū̃ . Aisī haĩ bhagvān key|kī bātē̃ . Kahtē haĩ - sirph yah antim janm puruṣhārth kar pavitratā kō dhāraṇ karō . Phir tō janma-janmāntar bigar puruṣhārth pavitra rahtē āyēṅgē . Jahā̃ mūl aim object hī pavitratā kī haĩ , vahā̃ apavitratā key|kī bāt kaisē hō saktī .