मम्मा की मुरली - gyan-sitar-40
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
८ . १० . ६२
Bāp sē pūrā hak lēnē kē liē āgyākārī , sapūt banō
Paramātmā kō sājan bhī kahtē haĩ . Vah sārā hall|hāl baiṭh batātē haĩ ki hē ātmāyē̃ , tum kaisē mērē sē bichhuṛī , phir tum kaisē ākar milī hō , phir milkar kyā prāpti hōgī . Tō vah khud apnā parichay dē rahā hai . Aisē nahī̃ ki ab bhaktimārg kī tarah kōī apnī bhāvnā anusār milēgā . Lēkin kahtē haĩ ki mērā jō kuchh hai sab bachchō̃ kō hī dētā hū̃ .
Hamārī pahlē yah bhāvnā thōṛēhī thī ki ham paramātmā K|kē hōkar K|kē unkē varsē K|kē hakdār banē̃ . Lēkin bhakti-mārg mē̃ tō ham kiskō bhī paramātmā kā rup banākar pūjtē haĩ , tō bhāvnā kā return miltā thā . Yah patā nahī̃ thā ki ham aisē vāris ban jāyēṅgē . Bhal bhakti-mārg mē̃ kahtē thē ki sab tū hī hai , lēkin yah dimāg mē̃ nahī̃ thā ki maĩ aisā ūñch bhī ban saktā hū̃ , aisī bhī kōī prāpti hōtī hai . Ab yathārth dimāg mē̃ āyā hai ki ham aisā kyō̃ na banē̃ . Tō vah khud kahtā hai ki mērē kō jānkar mērē par dānv lagāō , mērē hō jāō . Jaisē bachchā gōd kā hō jātā hai laukik mē̃ , tō bachchē kā hak lag jātā hai . Lēkin ismē̃ tō bachchā bankar phir bhī puruṣhārth hai . Dhārṇā kar lāyak bannā hai . Bachchē bannē kē bād bhī phir bachchā āgyākārī , sapūt , pharmānbardār hō . Us laukik mē̃ tō kaisā bhī bachchā hō - hak lē lēgā . Lēkin yahā̃ tō bachchā bankar bhī phir unkē pharmān par pūrā chalē̃gē tō pūrī-pūrī marks milēgī . Kahtē haĩ - sab tumhārē liē hai hai . Us bāp kō tō kuchh apnī lālsā rahtī hai lēkin yahā̃ tō jō karēgā sō pāyēgā .
Abhī K|kē puruṣhārth sē sab padārtha janma-janmāntar kē liē mil jāyēṅgē . Mr̥ityu hōtē bhī janma-janmāntar hamārā sukh lagātār chaltā rahēgā . Isliē vahā̃ hamārā marnā , marnā nahī̃ hai . Yahā̃ tō akālē mr̥iityu hōtī hai . Bābā kahtē haĩ – padārtha haĩ tō unkā sukh bhī practical mē̃ chāhiē . Manuṣhyō̃ kē pās dhan hai tō bhī duḥkh hai . Tō phir kah dētē haĩ ki ichchhā hī na hō kyōṅki dēkhtē haĩ ki ichchhā hī kharāb chīj hai . Tō phir haṭh sē ichchhāō̃ kō mārnē key|kī kōśhiśh kartē haĩ . Lēkin ismē̃ haṭh ādi key|kī bāt hī nahī̃ hai . Ab manuṣhyō̃ kē pās sukh rahtā hī nahī̃ hai , tab kahtē haĩ ki saṅsār kāg viṣhṭā K|kē samān hai . Yah saṅsār banā hī nahī̃ hai . Lēkin apnē pās|pass knowledge hai ki sampatti hī sukh dēnē vālī hai . Lēkin sampatti bhī pavitra hō . Pavitra śharīr , pavitra saṅsār hō . Hamārē pās|pass pavitratā kā vah bal chāhiē jissē her|har chīj pavitra hō jāē . Is vikārī duniyā key|kī pavitratā mē̃ kōī bal nahī̃ hai , ismē̃ vikārī khātā mix hai . Pavitra , tō janm aur maraṇ mē̃ bhī pavitra hō . Pavitratā key|kī degree vah jismē̃ sab pavitra hō . Is purānī duniyā key|kī pavitratā mē̃ kōī sār nahī̃ hai - na iskē martabē mē̃ , na iskē dhan mē̃ . . Sab tamōpradhān haĩ .
Abhī hamkō apnā dēśh , apnā vatan buddhi mē̃ ghūmtā hai . Bhal āṅkhō̃ sē yah duniyā dēkhtē haĩ lēkin insē bahut dūr haĩ . Ab āṅkhō̃ mē̃ gati aur sadgati vālī duniyā ghūmtī hai . Durgati key|kī duniyā sē kinārā kar buddhi usmē̃ lagā dī hai . Aisē na samjhō ki yah kalpanā hai , āṅkhō̃ sē nahī̃ dēkhtē haĩ . Lēkin ismē̃ sanśhay nahī̃ hōnā chāhiē . Jab hōgā tab tō practical hō hī jāyēgā . Yah batlānē vālā kōī manuṣhya yā kōī ṭhagnē vālā thōṛēhī hai jismē̃ kuchh nīchē-ūpar hō . Hamārā guru nirākār hai - yah kab bhūlō mat . Jab bhūltē haĩ tab chhōṭē-chhōṭē sanśhay ātē haĩ . Agar in āṅkhō̃ sē dēkhnē key|kī chīj hō phir tō kōṭō̃ mē̃ kōī kyō̃ hō , sab jān jāyē̃ . Yahī guñjāis hai , ismē̃ bhūlō mat . Jō kuchh hōnā hai vah tō hōnā hī hai . Banānē kā samay ab hai . Ab itnā samay nahī̃ hai jō kōī mar jāē phir dūsrē janm mē̃ ākar yah gyān lēvē . Chhōṭā bachchā tō gyān lē nahī̃ saktā . Isliē hī kahtē haĩ ki yah tumhārā antim janm hai . Aisē bhī nahī̃ ki kōī ab marē tō janm nahī̃ lēgā . Lēkin paṛhāī kā samay yah hai . Bāp kahtē haĩ - maĩ vr̥iddha tan mē̃ ātā hū̃ . Uskē hī anēk janmō̃ key|kī kahānī sunāī hai . Agar drama K|kē rāz kō samajhē̃ tō sab bātē̃ buddhi mē̃ ā jāē̃ .