मम्मा की मुरली - gyan-sitar-46
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
२८ . ६ . ६३
Bāp key|kī mat par ācharaṇ karnē vālē sachchē-sachchē brāhmaṇ banō
Gīt - jāg sajniyā̃ jāg … .
Ōm śhānti . Bāp nē ham bachchō̃ kō arthāt ham sajaniyō̃ kō ākar jagāyā hai . Māyā key|kī nidrā mē̃ sōyē paṛē thē , ab jāgē haĩ . Tō jāgkar prāpti kē liē puruṣhārth karnā hai . Abhī buddhi mē̃ hai ki yah purānī duniyā bītī . Ham usē dēkhkar nahī̃ jītē haĩ . Ab hamārā purānī duniyā sē sambandh nahī̃ rahā hai . Bāp hamē̃ svadarśhan-chakra dētā hai ki māyā K|kē galē kō kāṭō yānī rāvaṇ K|kē १० śhīśh kāṭō . Chakra buddhi mē̃ ghumānē sē chakravartī rājā banē̃gē . Abhī ham sabhī janmō̃ kā chakra jāntē haĩ . Pahlē ham aśharīrī ( naṅgē ) thē , phir nāṭak huā tō nāṭak kā vēṣh pahanā|pahnā . Phir apnē dhām jānā hai tō phir buddhi-bal sē aśharīrī bannā hai . Dēh kā sab kuchh yahā̃ khatm karnā hai . Kīchaṛ kō sāph karnā hai . Ab vāpas jānē kā khyāl rakhō . Ghar mē̃ jānā hai , tō duniyā key|kī kōī bhī chīj athavā padārtha mē̃ mōh na rakhō .
Ab purānē khātē kō band karnā hai aur nayā banānā hai . Purānē kō āgē baṛhāyēṅgē tō sajāō̃ sē chuktū karnā paṛēgā kyōṅki yahā̃ ab vikarma hī banēgā . Tō musībat kyō̃ baṛhāyē̃ ? Abhī tum jān chukē hō ki duḥkh kā kāraṇ yah hai . Tō puruṣhārth hai sārā buddhi-bal kā . Śharīr nirvāh kartē bhī īśhvar kā hōkar rahē̃gē tō javābdārī unkī hai . Paramātmā kā bannē sē safe rahē̃gē . Paramātmā key|kī mat par hī rahnā hai . Manuṣhya bahut haĩ tō matē̃ bhī bahut haĩ . Bābā tō hai ēk , tō mat bhī ēk hai . Tō aisī mat par chalnē vālē chāhiē̃ . Parantu kōṭō̃ mē̃ kōī hī chaltē haĩ . Kyōṅki sab ēk jaisā puruṣhārth nahī̃ kartē haĩ . Tō tumhē̃ apnē kō bahut sambhālnā hai . Sab bātō̃ mē̃ parhēj chāhiē . Pūjā ādi mē̃ brāhmaṇō̃ kō hī maṅgātē haĩ . Tō unhōnnē hamārā nām apnē ūpar rakh diyā hai .
Ab hamkō vallabhāchārī bannā hai . Vallabh mānā bāp . Uskī mat par ācharaṇ karnē vālā . Hamārā kul kitnā ūñchā hai ? Kahtē haĩ – dēvtā bhī ichchhā rakhtē haĩ ki is janm mē̃ āyē̃ . Tō brāhmaṇ hō gayē dēvtāō̃ sē bhī ūñchē . Balihārī brāhmaṇō̃ kī hai . Tō ab apnā occupation samajhkar chalnā hai . Ham ūñchē kul K|kē haĩ , pahlī rachnā haĩ . Tō chāl-chalan bhī aisī hī chalnī chāhiē . Kōī dēkhē tō samajhē ki yah sādhāraṇ lōg nahī̃ haĩ , phariśhtē haĩ . Yah ēk hī janm hai brāhmaṇō̃ kā , sō bhī chhōṭā-sā hai . Ismē̃ khāndān kā nām bālā karnā hai . Tō brāhmaṇ kul key|kī khuśhbū bhī āyēgī . Tō yah hai apnī parhēj . Kōī bhī vikārī K|kē hāth kā nahī̃ khānā hai . Brāhmaṇō̃ kō aur hī jyādā parhēj rakhnī hai . Phir haṭh bhī nahī̃ karnā hai . Apnā hai jītnā , haṭh sē nahī̃ mārnā hai . Balihārī jītnē kī hai . Hamkō bāp royal tarīkā sikhātē haĩ . Khānā apnē hāth sē banānā hai . Lāchārī hālat mē̃ kōī vidhvā vā kanyā sē banvā saktē haĩ . Phir bhī yōgyukt key|kī bāt alag hai . Lāchārī mē̃ dūdh hai , phal ādi haĩ , vah lē saktē hō . Ēk din vrat bhī rakhā tō kyā huā . Bākī chanē ādi khā lēnē sē kōī pēṭ tō kharāb nahī̃ hō jāyēgā .
Mukhya hai krōdh , lōbh , mōh key|kī parhēj . Usē kahtē haĩ vallabhāchārī . Brahmcharya kā bhī arth|earth hai . Brahmā dvārā sikhāyā huā ācharaṇ - yah hai satōguṇī pavitratā . Sanyāsiyō̃ key|kī pavitratā rajōguṇī hai . Parhēj rakhnē sē murajhāis ādi nahī̃ āyēgī . Nahī̃ tō , ēk din kaisā , dūsrē din kaisā ! Tum sā̃vdhān nahī̃ hōṅgē tō māyā thappaṛ mārēgī . Bākī aisē nahī̃ - thōṛā puruṣhārth kiyā vah bhī achchhā . Yah kōī bāp par mēharbānī thōṛēhī karnī hai . Kōī kō aisē bhī nahī̃ kahō ki pūjā-pāṭh chhōṛ dō . Na sē tō yah bhakti bhī achchhī hai . Pahlē tō vikārō̃ kō chhōṛnē key|kī bāt hai . Nahī̃ tō ulṭā gir jāyēgā . Gyān samjhānē key|kī bhī yukti chāhiē . Pahlē nabz dēkhnī hai . Kabhī doctor bhī nabz ṭhīk nahī̃ pakaṛ pātē haĩ tō bhūl hōnē sē marīj mar jātē haĩ . Tō baṛī javābdārī kā kām hai . Dhārṇā bhī bahut achchhī chāhiē . Achchhā . Goodmorning .