मम्मा की मुरली - gyan-sitar-47

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

१८ . ७ . ६३

Paramātmā key|kī śhakti unkē kartavya par hī gāī jātī hai , unkā kartavya hai patitō̃ kō pāvan banānā

Ōm śhānti . Parampitā paramātmā kō yād tō sab kartē haĩ , parantu ham abhī unkō jānkar K|kē yād kartē haĩ . Bhakti-mārg mē̃ bhī paramātmā kō itnā tō samajhtē haĩ ki vah jānī-jānanahār , sarvśhaktivān hai . Parantu vah kaisē sarvśhaktivān , jānī-jānanahār hai - yah unkē dvārā ab hamnē samjhā hai . Bhakti-mārg mē̃ tō sirph paramātmā kē prati śhraddhā rakhtē āyē haĩ . Samajhtē haĩ - «  paramātmā nē uṭhāyā , paramātmā nē biṭhāyā , paramātmā nē khilāyā , paramātmā nē yah sab diyā hai . Paramātmā bigar ēk pattā bhī nahī̃ hil saktā hai . Jō bhī kuchh chaltā hai , vah paramātmā chalā rahē haĩ . " kyā unkā kartavya , unkī viśhāltā , unkī śhakti yahī hai  ? Parantu yah kōī yathārth gyān nahī̃ hai . Apnē pās|pass tō ab rōśhnī hai . Yah kōī paramātmā K|kē mahāntā key|kī bātē̃ nahī̃ haĩ . Agar pattā bhī unkē hukm sē hiltā hai , tō phir cōr-cōrī bhī unkī śhakti sē kartā hai  ? Paramātmā key|kī śhakti vā mahāntā issē tailuk nahī̃ rakhtī hai . Aisē nahī̃ ki jō kuchh chal rahā hai , yah paramātmā key|kī śhakti hai . Śhakti mē̃ tō phir kaī burē kām bhī hō rahē haĩ , na hōnē vālī bātē̃ bhī hō rahī haĩ . Tō kyō̃ samajhē̃ ki yahī paramātmā key|kī śhakti hai  ? Paramātmā key|kī sirph yah śhakti nahī̃ hai . Yah apnī ātmā key|kī bhī tō śhakti hai nā . Jō bhī manuṣhya karma kartā hai , tō ātmā kō apnī samajh hai , vah bhī tō chaitanya hai . Paramātmā key|kī śhakti paramātmā K|kē kartavya sē gāī jātī hai .

Kaī samajhtē haĩ - - vr̥ikṣha baṛhtā hai tō yah bhī paramātmā key|kī śhakti hai . Parantu nahī̃ , vah tō her|har chīj kō baṛhnā-ghaṭnā hai . Her|har chīj key|kī chaitanyatā apnī hai . Manuṣhya key|kī śhakti bhī tō gāī jātī hai nā . Kahtē haĩ - gāndhī mē̃ śhakti thī jō itnā baṛā kām kiyā . Bhūkh - haṛtāl ādi dvārā yah sab kiyā , jiskō vah ahiṃsā samajhtē haĩ . Parantu ahiṃsā yah nahī̃ hai . Gāndhī nē bhārat kō svatantr banāyā . Kartavya par śhaktivān samjhā gayā nā . Tō paramātmā key|kī śhakti kyā hai  ? Kyā yah sab jō chal rahā hai , isē paramātmā jāntā hai  ? Phir tō vah sab jāntā rahē aur vah bātē̃ hōtī bhī rahē̃ . Khūnī K|kē andar khūn karnē kā saṅkalp hai – phir bākī paramātmā K|kē śhakti key|kī mahāntā kyā rahī  ? Sab kuchh paramātmā jāntā hai - sirph is jānnē sē kyā phāydā huā  ? Unkē jāntē huē bhī ulṭā kām hō jātā hai tō bākī paramātmā key|kī mahāntā kyā huī  ? Parantu unkī mahimā kartavya par hai .

Hamārē sārē karmō key|kī gati kō vah jāntā hai . Aisē nahī̃ , jab ham karma kartē haĩ tab jāntē haĩ , vah tō pahlē sē hī jāntē haĩ . Parantu paramātmā K|kē kartavya key|kī mahimā tab hai jab ākar hamkō apnē jānnē kā phāydā dētē haĩ . Kaisē ham is chakra mē̃ ātē haĩ , unkī knowledge dētē haĩ . Vah director-creator hai , sab unkē pās|pass knowledge hai . Parantu unkī mahimā kartavya par hai . Paramātmā tō sab jāntā hī hai . Ham ātmāyē̃ anēk janmō̃ mē̃ ātī haĩ tō ham hī bhūl jātī haĩ . Unkē focus mē̃ tō sārā drama hai . Āgē kyā hō chukā hai - vah bhī jāntē haĩ . Parantu ussē kyā phāydā  ? Hamkō girī huī stage sē uṭhātē haĩ , patit sē pāvan banātē haĩ - yah unkī śhakti hai . Bākī sirph jāntā hai - patit huē tō bhī unkī śhakti , pāvan huē tō bhī unkī śhakti . Unkī śhakti mē̃ ham patit bhī hō jātē haĩ tō issē kyā phāydā  ? Yah sab bātē̃ ab buddhi mē̃ haĩ .

Paramātmā key|kī śhakti unkē kartavya par gāī jātī hai . Hamē̃ sārī rōśhnī dētē haĩ ki tum kitnē pāvan thē , phir kaisē patit banē . Phir pāvan bannē kē liē kyā karō – vah bhī samjhātē haĩ . Vah sukh-dātā hai . Aisē nahī̃ ki sirph sukh-duḥkh kō jāntā hai . Dātā kā kartavya hai , agar sukh-dātā hai , tō ham sadā sukhī hōnē chāhiē̃ . Parantu ham duḥkhī bhī hōtē haĩ , uskā kyā kāraṇ hai  ? Yah sab bātē̃ ham jāntē haĩ . Paramātmā key|kī mahāntā athavā unkī śhrēṣhṭhatā kartavya sē gāī jātī hai . Sr̥iṣhṭi par unkā kartavya sabsē mahān aur manuṣhyō̃ prati huā hai , tab unkā gāyan hai . Bākī sab kuchh paramātmā karātā hai - yah kōī baṛāpan nahī̃ hai . Sabmē̃ unkā śhrēṣhṭh kartavya huā hai , usē hī baṛāpan kahē̃gē . Manuṣhya sr̥iṣhṭi kō sukhī banāyā hai . Sārī sr̥iṣhṭi , tatva ādi jō bhī rachnā hai unkō satōpradhān banāyā hai , tab hī mahimā hai . Bākī sirph hamārē saṅkalpō̃ kō read karē tab śhakti samajhē̃ , vah tō १० varṣh K|kē pahlē K|kē saṅkalpō̃ kō bhī jāntā hai , phir kyā huā  ? Yah kōī mahāntā nahī̃ huī . Tō bāp key|kī mahimā kō bhī samajhnā hai .