मम्मा की मुरली - gyan-sitar-49
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
२६ . ७ . ६३
Yah asār saṅsār hai , āsakti chhōṛ naī sār vālī duniyā kō yād karō
Ōm śhānti . Jaisē had K|kē din aur rāt rōz hōtē haĩ , aisē is sr̥iṣhṭi-chakra mē̃ bēhad kā bhī din aur rāt hai jiskō gītā mē̃ śhukla pakṣha aur kr̥iṣhṇa pakṣha kahā huā hai . Rāt pūrī hō din hōnē kā bhī abhī samay hai . Rāt pūrī hōgī tō din āyēgā . Aisē nahī̃ ki rāt aur din ikṭṭhē hōṅgē . Had key|kī rāt aur din bhī ikṭṭhē nahī̃ hōtē haĩ . Sr̥iṣhṭi-chakra mē̃ bhī aisē hai . Aisē nahī̃ ki sukh-duḥkh ikṭṭhā hai . Andhiyārē kō duḥkh , rōśhnī kō sukh kahē̃gē . Duḥkh kā samay alag , sukh kā samay alag hō gayā .
Kaī samajhtē haĩ - " sukh-duḥkh chalē āyē haĩ bhal āgē duḥkh cum|kam thā , abhī jāstī hai . » parantu yah nahī̃ samajhtē ki duḥkh thā hī nahī̃ . Vah sukh key|kī duniyā thī , yah duḥkh key|kī duniyā hai . Cum|kam jāstī par contrast nahī̃ hai , contrast hai - hā̃ aur nā par . Duḥkh thā hī nahī̃ . Yād us chīj kō kiyā jātā hai jō hai hī nahī̃ . Agar sukh hōtā tō phir unkī chāhnā kyō̃ hōtī ? Bhal dhanvān hai , martabē vālē haĩ , vah bhī sukh kō yād kartē haĩ . Tō jarur vah chīj abhī nahī̃ hai jiskō sab chāhtē haĩ . Present vah hōtī tō chāhnā kyō̃ rakhtē ? Ab apnā puruṣhārth us chīj kē liē hai jō chīj is duniyā mē̃ hai nahī̃ . Is duniyā sē kinārā kar liyā hai kyōṅki yah hai hī purānī tamōpradhān nark key|kī duniyā . Vah sukh key|kī duniyā hī aur hai .
Ab hai rāt . Din aur rāt key|kī tō raunak hī apnī-apnī hai . Tō ham uskē pīchhē lagē huē haĩ - aisī duniyā K|kē sukh kō prāpt karē̃ . Isliē purānī duniyā sē kinārā kiyā hai . Yah tō hai hī asār saṅsār . Sār vālā saṅsār hī dūsrā hai . Is duniyā mē̃ jō kuchh hai uskī āsakti chhōṛnī hai . Mān , martabā , dhan ādi kōī bhī chīj mē̃ ichchhā nahī̃ rakhnī hai . Pahlē tō yah contrast buddhi mē̃ rahnā chāhiē . Manuṣhya samajhtē haĩ - yah duḥkh-sukh sab paramparā sē chalā āyā hai . Parantu paramparā sē jō chalā āyā hai vah purānī duniyā key|kī chāl chalī āī hai . Naī duniyā key|kī tō chāl hī nirālī hai . Bāp kahtē haĩ - " is duniyā mē̃ jō kuchh kartē āyē hō , unkā phal bhī yahā̃ hī pāyā hai . Is duniyā key|kī pavitratā tamōguṇī hai . Maĩ tumkō satōpradhān pavitratā sikhlātā hū̃ . » tō tum rajō , tamōguṇī pavitratā sē bhēṇṭ kyō̃ kartē hō . Purānī duniyā key|kī ab end hai . Ab naī duniyā kē liē puruṣhārth karē̃gē tō uskā phal naī duniyā mē̃ mil jāyēgā . Vināśh tō hōnā hī hai . Parantu tum pahlē sē hī karē̃gē tō vah karnē kā phāydā tumkō milēgā . Achchhā .