मम्मा की मुरली - gyan-sitar-52
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
३ . ९ . ६३
Pāñch vikārō̃ sē nivr̥itt hōkar rahnā hī sachchā mahātmā bannā hai
Ab tō hamē̃ darpaṇ milā hai jismē̃ ham dēkh saktē haĩ ki pāp kyā hai puṇya kyā hai . Rūhō̃ kā bāp yah darpaṇ dētē haĩ ki bachchē dēkhō yah ātmā jō puṇya ātmā thī vah pāp ātmā kaisē bantī hai . Pāp karātē haĩ yah pāñch vikār unsē chhuṛākar puṇya ātmā banānā yah paramātmā kā hī kām hai . Tō ātmā hī puṇyātmā , pāpātmā bantī hai . Aisē nahī̃ ki ātmā nirlēp hai . Yah tō jō khānē pīnē vālē haĩ unhōnnē apnā rāstā khōlā hai ki śharīr hī sab kuchh kartā hai . Agar aisā hōtā tō jab ātmā chalī jātī hai phir śharīr kuchh karmabhōg bhōgē . Nahī̃ . Ātmā mē̃ hī achchhē burē saṅskār haĩ tō bhōgtī ātmā hai parantu śharīr dvārā . Isliē ātmā paramātmā ēk nahī̃ kahē̃gē agar ātmā paramātmā ēk kahē̃ tō paramātmā hī puṇyātmā aur pāpātmā hō gayā . Parantu paramātmā tō pāp , puṇya sē nyārā hai . Ātmā hī puṇyātmā , dharmātmā bantī hai . Kaī samajhtē haĩ jō vēd śhāstra paṛhā huā hai vō dharmātmā hai parantu dharmātmā bannā tō baṛī stage hai . Usmē̃ tō pūrā ५ vikārō̃ sē nivr̥itt hō chalnā hai . Hamārī ātmā kē ūpar jō anēk janmō̃ K|kē pāp key|kī mail hai unkō chhuṛānā hai aur anēk janm kē liē svachchhatā dhāraṇ karnī hai . Yahā̃ kōī ghar chhōṛnē key|kī bāt nahī̃ hai parantu vikarmō̃ sē chhuṭkārā karnā hai . Anēk janmō̃ K|kē pāpō̃ kō dagdha karnā hai ēk jaṛ nikāl dūsrī jaṛ lagānī hai . Iskē liē rōj apnē āpkō dēkhnā hai ki hamārē mē̃ kaun-kaun sē dāg haĩ jō miṭānē haĩ . ५ bhūtō̃ kā dāg nikal jāyē tō khūb sūrat ban jāyē̃ . Vah tō hai śharīr key|kī sundartā . Yah pavitratā hai ruh key|kī sundartā . Dēkhō̃ dēvtāō̃ key|kī rūh pavitra hai tō śharīr bhī kitnē sundar haĩ . Tō śharīr aur rūh kō ham sundar banā rahē haĩ . Jiskā madār sārī dincharyā par hai . Achchhē karma kā phāydā bhī १० guṇā hai tō burē karma key|kī sajā bhī १० guṇā hai . Tō sārē din key|kī dincharyā mē̃ apnē man-vachan-karma kō dēkhnā hai . Apnē ūpar dhyān rakhnā hai ki hamārē mē̃ kōī vikār tō nahī̃ hai ? Bāp kā pharmān hai ki kōī bhī bāpdādā key|kī avagyā na karō . Avagyā kā bhāgī bannē sē bahut bhārī chōṭ lagtī hai . Jō bachchē puruṣhārthī haĩ unkō mās mās key|kī regular dincharyā likh mā̃ bāp kē pās bhējnī chāhiē ki ham sārē din mē̃ , २४ ghaṇṭō̃ mē̃ kitnā yād kartē haĩ . Yād kī bhī percentage likh bhējnī chāhiē . Rātri sōnē K|kē pahlē १० minute unkī yād mē̃ baiṭh sōnā chāhiē tō svapn bhī aisē achchhē āyēṅgē aur nīnd bhī us sthiti mē̃ ginī jāyēgī . Ghaṛī-ghaṛī apnē darpaṇ kō dēkhtē rahnā hai . Vivēk sē wrong , right kō judge kar chaltē chalō . Vivēk kō mārkar chalnā kōī jīvan nahī̃ . Kōī bhī bāt apnē control sē bāhar nahī̃ hōnī chāhiē . Dēkhō apnā marnā , jīnā sab control mē̃ hai tō kōī bhī karma indriya loose nahī̃ hōnī chāhiē . Apnē ūpar control rakhnā hī apnā upkār karnā hai . Samjhā .