मंगलवार 22 सितंबर 1964 की साकार मुरली - 2
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
22-09-1964 madhuban ābūrātri murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Hēlō , good evening yah bāīs sēpṭēmbar kā rātri class hai
Bômbē mē̃ sab rilījansa key|kī conference hō rahī hai . Yē jō religion vālē lōg haĩ , vō yē jāntē haĩ ki bhārat kā dharmaśhāstra gītā hai . Bhalē bhāratvāsī itnā nahī̃ jāntē haĩ , kyōṅki bhārat K|kē dharm mē̃ anēk śhāstra haĩ aur jō bhī dharm vālē haĩ unkā dharmaśhāstra ēk hōtā hai . Yē kyō̃ hō gayā hai ? Yē tō bachchō̃ kō samjhāyā gayā hai ki gītā mē̃ agar śhrī kr̥iṣhṇa kā nām na ḍāltē tō kabhī bhī parampitā paramātmā kō sarvavyāpī nahī̃ kahtē . Samjhā nā ! Yē hai tō drama anusār bhūl . Abhī drama kō vō lōg tō nahī̃ jāntē hai . Unkō tō tum bachchō̃ kō siddha karkē batānā hai ki jō sarvavyāpī kā gyān hai vō bhī right nahī̃ hai aur phir gītā kā bhagvān śhrī kr̥iṣhṇa hai , vō bhī right nahī̃ hai . Usmē̃ tō bhūl key|kī vyās nē . Yē baṛī bhūl hai nā . Tum brahamākumāriyā̃ inkō jō yē samjhāē̃gē tō śhāyad samay nahī̃ hai unkē buddhi mē̃ baiṭhnē kā . Hai bhī sahaj samjhānē kā . Bachchō̃ mē̃ vō tākat nahī̃ hai kōī kō aisā siddha karkē batānē kā . Yē kr̥iṣhṇa kā nām na ḍālnē sē phir yē bhāratvāsī apnē patit-pāvan parampitā paramātmā key|kī glāni nahī̃ kartē , kyōṅki sarvavyāpī kahnē sē hī unkī glāni kar dī hai - aisē samjhānā . Abhī bachchō̃ kō buddhi mē̃ hai tō sahī ki hamkō samjhānā hai jarūr . Jaisē yē baṛī sabhāē̃ hōtī haĩ , usmē̃ yē achchhī tarah sē unkō samjhānā paṛē ki vyās nē bhūl kī hai . Bhūl karnē K|kē kāraṇ hī paramātmā key|kī glāni hō gaī . Unkō sarvavyāpī kah diyā . Śhrī kr̥iṣhṇa kō bhī sarvavyāpī tō nahī̃ kah sakē̃gē . Vāstav mē̃ kr̥iṣhṇa K|kē jō bhagat haĩ vō kr̥iṣhṇa kō bhī sarvavyāpī kah dētē haĩ . Jidhar dēkhē udhar kr̥iṣhṇa hī kr̥iṣhṇa hai . ' ' jahā̃ dēkhtā hū̃ tahā̃ tū hī tū hai ' kahnē sē nirākār īśhvar kō ḍāl dētē haĩ aur phir jō bhagat haĩ vō jidhar dēkhtā hū̃ udhar kr̥iṣhṇa kō mānē̃gē . Phir rādhē vālē hōṅgē tō kahē̃gē jidhar dēkhtā hū̃ udhar rādhē hī rādhē . Pīchhē hanumān vālē bhī aisē kahtē hōṅgē tō gaṇēśh vālē bhī aisē kahtē hōṅgē . Kāraṇ kyā hō gayā hai ? Ki gītā mē̃ jō nām paṛnā thā parampitā paramātmā kā , bhagvān kā , unmē̃ kr̥iṣhṇa kō ḍāl diyā . Agar abhī śhiv kō ḍālē̃ tō kabhī kōī nahī̃ kahē̃gē ki sarvavyāpī hai . Tū hī hai baṛē tē baṛī bhūl . Hai drama anusār , jarūr kahē̃gē . Tō aisē bhī nahī̃ kahē̃gē ki kōī kahē̃gē ki drama mē̃ bhūl hai . Nahī̃ , drama mē̃ nūndh hai , aisē kahē̃gē . Sō parampitā paramātmā ā karkē samjhātē haĩ ki tumhārī yē bhūl hai , jō mujhē sarvavyāpī kahnē sē tum mērī glāni kartē hō . Agar inkā nām ḍāl diyā tō phir patit-pāvan nirākār kyō̃ kahā jāē ? Patit-pāvan kahtē bhī nirākār kō haĩ , aur kōī kō bhī kah nahī̃ saktē haĩ . Kr̥iṣhṇa kō bhī nahī̃ kah saktē haĩ kyōṅki jñānakā sāgar vālibrēṭar va guide … tō guide bhī tō rūhānī hai . Rūhānī guide kr̥iṣhṇa bhī nahī̃ hō saktē haĩ . Rūhānī guide tō phir kahā hī jātā hai supreme soul kō . Unkā nām hī aisē rakhtē hai . Tō yē bachchō̃ kō , jō-jō bhī samjhānē lāyak haĩ , jō khud achchhī tarah sē samajhtē haĩ , unkō yē bāt agar siddh kar dēvē̃ tō tumhārā yē jō cīṇṭīmārga chaltā hai nā vō vihaṅg mārga hō jāvē , parantu yah śhāyad kuchh . . . . . kyōṅki āgē tō kōī yah samajhāy nahī̃ saktē haĩ aur abhī yah bhī tō jarūr hai ki brahmā prajāpitā bhī jarūr hai . Vō hai prajā kā pitā aur vō hai ātmāō̃ kā pitā . Unkō prajāpitā nahī̃ kahē̃gē ; kyōṅki prajāpitā nām hai brahmā kā . Phir śhiv kō prajāpitā nahī̃ kahē̃gē . Nahī̃ , vō tō ātmāō̃ kā pitā hai . Tō gātī hai , sabhī ātmāē̃ apnē bāp kō yād kartī haĩ . Agar tum yē siddh kar lō ki vō prajāpitā ātmāō̃ kā pitā hai , parampitā paramātmā unkō kahā jātā hai , unsē hī varsā milnā hai , na ki prajāpitā brahmā dvārā , kyōṅki vahā̃ svarg key|kī sthāpanā kartē haĩ . Tō vahā̃ jaisē ki ātmāō̃ kā grand father hō gayā aur brahmā kā bāp hōnē sē phir brahamākumārō̃ kā tō dādā hō hī gayā . Tō siddha hō karkē dikhlāō ki hā̃ , dādē sē varsā miltā hai . Yah hai bahut sahaj ; parantu jab-jab aisā kōī samay ātā hai tō vicār-sāgar-manthan kar chhapāī mē̃ yā bhāṣhaṇ mē̃ yā kōī prēs-kônaphrēnsa mē̃ , sirph yē ēk bāt hī samjhānī hai . Patit-pāvan vahā̃ hai aur yē patit hī unkō bulātē haĩ . Jō bhī sādhu-sant-mahātmā haĩ vō tō pukārtē rahtē haĩ patit-pāvan āō . Patit bulātē haĩ nā ki pāvan karnē kē liē āō . Nahī̃ tō pāvan duniyā mē̃ aisē tō nahī̃ kōī kō bulāvē . Jō-jō bhī jiskō samjhātē haĩ tō yē bāt bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ baṛī achchhī baiṭhnī chāhiē . Bahut muśhkilāt ismē̃ nahī̃ hai . . . . śhivbābā tō bachchō̃ kō kahtē haĩ nā ki bachchē , vyās nē yē bhūl kar dī hai . Yē bhūl bhī drama mē̃ nūndh hai . Is bhūl sē hī mērī nindā kartē haĩ jō phir maĩ ā karkē kahtā hū̃ jab-jab sabhī manuṣhya mērī glāni kartē haĩ , mērē dharm key|kī glāni kartē haĩ , mērī glāni kartē haĩ , apnē bāp key|kī glāni kartē haĩ aur glāni kartē-kartē pāpātmā ban jātē hai , kyōṅki yē tō baṛē tē baṛē huā nā . Ū̃chē tē ū̃chā bhagavat , unkī kōī glāni karē aur sō bhī kaun glāni kartē haĩ ? Jō apan kō guru lōg kahlātē haĩ , mahātmā lōg kahlātē haĩ . . . . . . . bāp ākar samjhātē haĩ yē mahātmā lōg vāstav mē̃ mērī glāni karnē vālē hōnē K|kē kāraṇ pāpātmāē̃ haĩ , isliē maĩ phir inkā bhī uddhār karnē ātā hū̃ . Aisē likhat likh karkē aur kōī baṛī-baṛī aisī sabhā hō vahā̃ bāṇṭā jāē̃ yā unhō̃ kā jō āē̃gē unkā nām tō sab paṛhtē haĩ . Tō aisē achchhē first class kāgaj par chapāy karkē . . . Abhī time tō bahut hai . Dēkhō , February mē̃ hōnē vālī hai . Tō abhī jab yē bāp direction dētē haĩ tō sabkō kān khaṛē karnē chāhiē aur phir rāy nikālnī chāhiē ki kaisē ham chhapāvē̃ . Tō baiṭh karkē chhapnē kē liē proof bhēj dēvē̃ achchhē kāgaj par chhapāvē̃ . Samjhā nā ! Kyōṅki achchhī-achchhī chīj kā mān hōtā hai . Jaisē ājkal plastic nikalī hai , unkē ūpar baṛī achchhī chhapātē haĩ . Tō vahā̃ bhūl chhapā karkē ki isnē yē bhūl kī hai , isliē yē pāpātmā hai jō maĩ ā karkē in sādhu lōgō̃ kā bhī uddhār kartā hū̃ . Yē sab sādhu lōgō̃ key|kī conference tō unkō jō agar mil jāvē aur sabkō milajāvē tō phir brahamākumāriyō̃ kā kitnā nām hō jāē . Phir vihaṅg mārga hō jāē . Abhī chīṇṭī mārg hai nā ! Abhī yē kōī iṇṭaraphiyar nahī̃ kartē haĩ yānī yē kōī kauravō̃ K|kē rājya mē̃ mārāmārī kā prabandh yā laṛāī kā maidān yā tax vagairah unsē inkā kōī connection nahī̃ hai . Yē tō connection hai hī sādhu lōg sē , vidvānō̃ sē . Tumhārā hai hī vidvānō̃ sē yuddha . Vyās bhī tō kōī vidvān hōgā jinhōnnē baiṭh karkē yē śhāstra rachē haĩ . Tō jabki bāp kahtē haĩ ki vyās key|kī bhūl hai tō manuṣhya nahī̃ kah sakē̃ , sanyāsī nahī̃ kah sakē̃ , vidvān nahī̃ kah sakē̃ . Bāp K|kē nām par likhat hai ki bābā kahtē haĩ va śhivbābā bachchō̃ kō samjhātē haĩ ki bachchē , yē vyās nē bhūl kar dī hai jō kr̥iṣhṇa kā nām ḍāl diyā hai aur phir maĩ sarvavyāpī hū̃ yē bhī vāstav mē̃ bhūl hai . Is bhūl K|kē kāraṇ yē gītā khaṇḍan key|kī huī hai . Yē bhaktimārg K|kē kām mē̃ ātī hai . Bhaktimārg kā bhī nām na likhē̃ , bas inkī bhūl prasiddh karnī hai . Agar yē bhūl sābit hō jāē tō bhārat kō bāp sē svarg key|kī sthāpanā kā varsā miltā hai . Abhī tō kalahayug hai aur bāp yahā̃ bōltē haĩ ki abhī maĩ āyā huā haĩ aur yē rājyōg sikhlā rahā hū̃ . Kr̥iṣhṇa nē nahī̃ sikhlāyā thā . Maĩ sikhlā rahā hū̃ brahmā mukhvaṅśhāvalī bachchō̃ kō , brāhmaṇō̃ kō jō phir yē imtahān pās|pass karkē manuṣhya sē dēvtā banē̃gē . . . . . . . . . tō bachchē kōī thōṛē tō nahī̃ haĩ class mē̃ pacās-paccīs . Yē tō saikaḍō̃ hai , hajārō̃ mē̃ ā jāē̃gē . Tō jab tum itnī bahut haĩ tō likh tō saktē hō nā ki ham sabhī jō brāhmaṇ brahmā-mukhavãśāvalī haĩ , yē anēkānēk brahmākumār aur kumāriyō̃ K|kē nām sē nikalnā hai . Tō phir baṛē-baṛē vidvānō̃ K|kē kuchh kān khaṛē rahē̃gē . Vahā̃ tō baṛē-baṛē ādmī ātē haĩ nā . Yē achchhī tarah sē bahut chhapānē chāhiē aur bahut achchhē karkē . Kyā hōgā ? 2-4 hajār rūpayā kharchā hōgā . Chhōṭā parchā bhī hōgā nā siddha karkē dikhlānē kē liē . . . . . . . . . . . . . . . . . . . . kōī harjā nahī̃ hai ; kyōṅki prajāpitā tō kōī sūkṣhmavatan mē̃ nahī̃ rah saktā hai . Tō jarūr ismē̃ bhī kōī bhūl hai ; kyōṅki prajāpitā kōī sūkṣhmavatan mē̃ hōtā nahī̃ hai . Prajāpitā jarūr yahā̃ chāhiē . Tō phir unkō sirph samjhānā paṛē . Brahmā kō tō dikhlānā paṛē nā . Tō bābā inkī idea dētē rahē̃gē . Chhapānē vālē kā bhī buddhi chāhiē . Jaisē abhī vahā̃ ēgjibiśan kartē haĩ nā . Usmē̃ bhī yē point achchhī tarah sē bahut chhapānī hai . Kāgaj bhī chhapānā hai . Jō āvē unkō yahā̃ samjhānā hai ki bas , bhārat key|kī yē ēk hī bhūl hai , isliē drama anusār kauṛī jaisā bantā hai . Jarūr kōī manuṣhya harātē haĩ . Kōī bhūl tō kartē haĩ nā ! Jō hīrē jaisā thā aur ab kauṛī jaisā banā hai . Tō jarūr kōī bhūl tō key|kī hōgī nā . Bhāratvāsiyō̃ nē kōī pāp tō kiyā hōgā nā ! Jō puṇyātmā sē pāpātmā ban paṛtē haĩ sō jarūr kōī tō bhūl hai nā . Tō bhūl yē ēk batā dēnā chāhiē . Bhārat jō puṇyātmā thā , pavitra ātmā thā , yē apavitr ātmāē̃ kaisē bantī haĩ ? Jarūr jaisē kōī hār khātē haĩ tō jarūr kōī bhūl hōtī hai nā . Tōvō bhūl batānā hai ki bhārat jō sōnē jaisā thā abhī yē kyō̃ ? Yē kaun-sī bhūl hai ? Tō bhūl yah nikāl dēnā hai . Ēkaj bhūl ki ēk vyās nē bhūl kī hai . Jō sabhī vidvān-ācāyō̃ kō bhulāy diyā hai aur gītā K|kē bhagvān kā nām khaṇḍan kar diyā . Bachchē kā nām bāp K|kē jagah rakh karkē bāp kō bilkul hī uṛāy diyā . Tō baṛā yukti sē likhnā hai achchhī tarah sē . Yē gītāē̃ agar hindī mē̃ chhap jāē̃gī tō yē bhī sabkō milē̃gī . Unmē̃ tō bahut kuchh hī achchhā detail mē̃ samjhāyā gayā hai , parantu yē hai nutshell mē̃ . Tō yē bābā kā khēl hai nā , jiskō allāh kahtē hai , jō abaladīn sthāpan kartē haĩ . Dēkhō , usmē̃ bhī aisē dikhlāyā ki ēk hī ṭhak sē bahiśht sthāpan hō jātā hai . Allāh nē avval dharm jō sthāpan kiyā unmē̃ hīrē aur javāharō̃ vagairah K|kē baṛē mahal dikhlātē haĩ . Hai tō barōbar ēk ṭhak sē . Uskō ēk second bhī kahtē haĩ ki ēk second mē̃ bahiśht kā , svarg kā mālik vā jīvanmukt . Aisē-aisē vichār jab bachchē karnē lag paṛē , is vichār karnē mē̃ kōī vyavahār kō yā phalānē kō kōī nuksān nahī̃ pahuñchtā hai . Unsē in bātō̃ kā kōī connection hī nahī̃ hai . Jaisē manuṣhya vēd-śāstr-granth vagairah sab kartē haĩ , unkā connection kōī vyavahār sē thōṛē hī hai . Vō bhaktimārg alag , vō vyavahār alag . Yē gyānmārg alag hai , vyavahār alag . Vō tō kahtē hī hai vyavahār mē̃ rahtē huē jaisē bhakti kartē hō , phalānē-phalānō̃ kō yād kartē hō , vaisē vyavahār mē̃ rahtē huē mujhē yād karō tō tumhārā vikarma vināśh hōgā . Aisē nahī̃ hai ki bhaktimārg vālē kōī dhandhā chhōṛ dētē haĩ . Vaisē vō tō hai vairāg aur bhalē yē bhī vairāg hai ; parantu yah tō vairāg hai ēkdam sārī duniyā sē ; kyōṅki usmē̃ samjhāyā jātā hai ki abhī 84 kā chakkar pūrā huā , abhī vāpas chalnā hai . Yahā̃ thōṛī see|sī|C bāt agar achchhī tarah sē likh dēvē̃ sabkē kān par paṛ jāvē tō tumhārā jō yē chīṇṭī mārg sē jhāṛ baṛhtā hai vō thōṛā vihaṅg mārga sē hō jāē aur jō ghaṛī-ghaṛī achchhī tarah sē chaltē-chaltē sanśhay buddhi hō jātē hai , baiṭhē-baiṭhē jō māyā thappaṛ mār dētī hai , tō jab bahut dēkhē̃gē tō viśhvās hōtā hai nā , tō ēk-dō kō bahut khabardār rahē̃gē . Phir bhī māyā hai baṛī jabardast . Dēkhō , kaisē achchhē-achchhē centres sthāpan karnē vālē bhī chaltē-chaltē bichārē kaisē māyā sē harāy dētē haĩ . ( myujik bajā ) abhī itnā jagātē haĩ bachchō̃ kō ; par aisā bachchā phir nahī̃ nikalēgā jō achchhā aisē diyā aur likh karkē bhēj dēvē ki ham aisē chhapānā chāhtē hai , mērā vichār yē hai , aisē phir kōī nīnd sē jāgtā nahī̃ hai . Mīṭhē-mīṭhē lucky gyān sitārō̃ prati māt-pitā , bāpdādā kā number-vār puruṣhārth anusār yādpyār aur good night . ( bachchō̃ nē kahā - good night ) .