गुरुवार 5 दिसंबर 1974 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

05-12-74 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Vyarth saṅkalpō̃ kō samarth banānē sē kāl par vijay

Kāl par vijay dilānē vālē , sarv prāptiyō̃ K|kē adhikārī banānē vālē bāp-dādā bōlē  :

Avyakt-milan kiskō kahā jātā hai  ? Jissē milnā hōtā hai , usī K|kē samān bannā hōtā hai . Tō avyakt-milan arthāt bāp-samān avyakt rūpdhārī bannā . Avyakt arthāt jahā̃ vyakt bhāv nahī̃ . Kyā aisē banē hō  ? Vyakt dēśh kā , vyakt dēh kā aur vyakt vastuō̃ kā jarā bhī ākarṣhaṇ apnī taraph ākarṣhit na karē , kyā aisī sthiti banāī hai  ? Jō pahlā-pahlā vāydā hai ki tumhī̃ sē sunū̃ aur tumhī̃ sē bōlū̃ , yah vāydā nibhānē K|kē liyē sārā din-rāt jab tak avyakt va nirākārī sthiti mē̃ sthit nahī̃ hōṅgē , tō kyā bāp-dādā K|kē sāth-sāth rahnē kā anubhav kar sakē̃gē arthāt vāydā nibhā sakē̃gē  ? Sārē din mē̃ āp kitnā samay , yah vāydā nibhātē hō  ? Jissē milnā hōtā hai , uskē sthān par aur vaisī sthiti , svayã key|kī banānī hōtī hai . Vah sthān aur sthiti yē dōnō̃ hī badalnī paṛēgī , tab hī yah vāydā nibhā saktē hō . Vyakt bhāv mē̃ ānā va kōī bhī vyakt va vastu mē̃ bhāvnā rahnā ki yah priya hai va achchhī hai , yah vyakt-vastu aur vyakti mē̃ bhāvnā rahnā arthāt kāmnā kā rūp hō jātā hai . Jab tak kāmnā hai , tab tak māyā sē sampūrṇ rīti sāmnā nahī̃ kar saktē . Jab tak sāmnā nahī̃ kar saktē , tab tak samān nahī̃ ban saktē arthāt vāydā nahī̃ nibhā saktē .

Jaisē āp lōg chitra mē̃ kr̥iṣhṇa kō sr̥iṣhṭi K|kē globe par dikhātē hō-aisā hī chitra apnī practical sthiti kā banāō . Is vyakt dēśh va is purānī duniyā sē uparām . Vyakt bhāv aur vyakt vastuō̃ ādi sabsē uparām arthāt inkē ūpar sākṣhī hōkar khaṛē rahē̃ . Jaisē pāṅw kē nīchē globe dikhātē haĩ va globe kē ūpar baiṭhā huā dikhātē haĩ arthāt unkā mālikpan va adhikārīpan dikhātē haĩ tō aisē apnā chitra banāō . Is purānī duniyā mē̃ , jaisē apnī sv-icchā sē , apnē rachē huē saṅkalp K|kē ādhār sē avyakt sē vyakt mē̃ ātē , vyakti va vastuō̃ K|kē ākarṣhaṇ K|kē adhīn hōkar nahī̃ . Jaisē lift mē̃ chaṛhtē hō , tō switch apnē hāth mē̃ hōtā hai chāhē first phlōar par jāō , chāhē second phlōar par jāō . Jab switch control sē bāhar hō jātā hai tab via result hōtī hai  ? Bīch mē̃ laṭak jāvēṅgē nā  ? Aisē hī yah smr̥iti kā switch apnē control mē̃ rakhō . Jahā̃ chāhō , jab chāhō aur jitnā samay chāhō vaisē apnē sthān kō va sthiti kō saiṭ kar sakō , kyā aisē adhikārī banē hō  ? Kyā kāl par vijay prāpt kī hai  ? Kāl arthāt samay . Tō kāl par vijayī banē hō  ? Agar pāṇḍav sēnā key|kī va śhakti sēnā key|kī yah stage ant mē̃ āyēgī tō silence power tō science sē kam hō gaī . Kyōṅki science nē tō abhī bhī in tatvō̃ par vijay prāpt kar lī hai .

Pradarśhanī mē̃ , āp lōg chitra dikhātē hō nā , ki rāvaṇ nē chār tatvō̃ par vijay prāpt kī hai , usmē̃ kāl bhī dikhātē hō na  ? Jab rāvaṇ nē arthāt rāvaṇ key|kī śhakti science nē abhī bhī kāphī had tak tatvō̃ par vijay prāpt kar lī hai , tō science āpsē powerful huī nā  ? Jab science key|kī śhakti apnā pratyakṣha sabūt dē rahī hai tō silence key|kī śhakti apnā pratyakṣha sabūt kyā ant mē̃ dēgī  ? Samay par vijay arthāt kāl par vijay . Iskī percentage abhī cum|kam hai . Apnē kō nirākārī sthiti va avyakt sthiti mē̃ sthit tō kartē hō , lēkin jitnā samay sthit rahnā chāhtē hō , utnā samay us sthiti mē̃ sthit nahī̃ hō pātē hō . Stage K|kē anubhav bhī prāpt kartē hō , mēhnat bhī kartē hō , lēkin kāl par vijay nahī̃ kar pātē hō . Iskā kāraṇ kyā hai  ? Sōchtē hō ki ādhā ghaṇṭā powerful yād mē̃ baiṭhē̃gē aur ādhā ghaṇṭā baiṭhtē bhī hō aur plan bhī banātē hō lēkin jitanājitanā jis stage kē liē sōchtē hō , utnā hī samay us samay us stage par sthit nahī̃ hōtē hō . Sōchtē hō switch on third floor par karē̃ , lēkin pahũch jātē hō second floor par vā first yā ground floor tak pahũch jātē hō . Kyōṅki kāl par vijay nahī̃ . Iskā kāraṇ yah hai ki bār-bār sārē din mē̃ samay ganvānē K|kē abhyāsī hō . Vyarth kē ūpar attention dēnē sē hī kāl par vijay prāpt karnē mē̃ samarth banē̃gē . Jab tak samay vyarth jātā hai , tab tak vijay pānē mē̃ samarth nahī̃ ban saktē . Isī kāraṇ , jō milan kā anubhav karnā chāhtē hō va nirantar samay vyarth karnē K|kē kāraṇ hī samarth nahī̃ ban pātē . 108 vāydā nibhānā chāhtē hō vah nibhā nahī̃ saktē . Tō ab , apnī takdīr key|kī taṣhwīr sarv-tatvō̃ par aur kāl par sadā vijayī key|kī banāō . Jab ēk-ēk second , vyarth sē samarth mē̃ change karō , tab hī vijayī banē̃gē , achchhā .

Aisē sadā vijayī , sadā adhikārī , nirantar vāydā nibhānē vālē , harēk kō vyarth sē samarth mē̃ parivartan karnē vālē , sadā vyakt bhāv sē parē , avyakt sthiti mē̃ rahnē vālē lucky sitārō̃ va samīp sitārō̃ kō bāp-dādā kā yād pyār aur namastē .

Mahāvākyō̃ kā sār

( 1 ) jab tak kōī kāmnā hai , tab tak māyā sē sampūrṇ rīti sāmnā nahī̃ kar saktē haĩ .

( 2 ) jahā̃ chāhō , jab chāhō , jitnā samay chāhō vaisē apnē sthān kō , sthiti kō set kar sakō , aisē adhikārī banē hō  ? Kāl arthāt samay par vijay prāpt kī hai  ?

( 3 ) vyarth saṅkalpō̃ kē ūpar attention dēnē sē hī kāl par vijay prāpt karnē mē̃ samarth ban sakē̃gē .