शनिवार 1 फ़रवरी 1975 की अव्यक्त मुरली

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

>

01-02-75 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban

Īśhvar kē sāth kā aur lagan key|kī agni kā anubhav

Prakr̥iti kō dāsī banākar sadā udāsī kō dūr karnē key|kī yuktiyā̃ batānē vālē śhiv bābā bōlē  :

Jō samīp hōtē haĩ , vahī samān bantē haĩ . Jaisē sākār rūp mē̃ samīp hō , vaisē hī lagan lagānē mē̃ bhī bāpdādā K|kē takht-nivāsī hō  ? Jaisē tan sē samīp hō , vaisē hī man sē bhī samīp hō  ? Jaisē vidēśh mē̃ rahnē vālē tan sē dūr hōtē bhī , man sē sadaiv samīp haĩ , bāpdādā K|kē sadaiv sāthī hī haĩ arthāt her|har samay sāthī bankar sāth kā anubhav kartē haĩ , vaisē sadaiv sākṣhī bannē kā va sāth nibhānē kā anubhav kartē hō  ? Jaisē bandhan mē̃ rahnē vālī gōpikāē̃ her|har śhvās , her|har saṅkalp bābā-bābā key|kī dhun mē̃ hī khōī rahtī hō  ? Jaisē bāhar vālō̃ kō milan key|kī taṛap rahtī hai aisē hī her|har samay yād kī taṛaph mē̃ rahtē hō yā sādhāraṇ smr̥iti mē̃ rahtē hō  ? Ham tō haĩ hī bābā K|kē , ham tō haĩ hī samīp , ham tō haĩ hī samarpaṇ aur hamārā tō ēk bābā hai hī - sirph in saṅkalpō̃ hī sē tō santuṣhṭ nahī̃ hō gayē hō  ?

Apnī lagan mē̃ agni key|kī mahsūstā ātī hai  ? Jis lagan key|kī agni mē̃ svayã K|kē past K|kē saṅskār aur svabhāv aur anya ātmāō̃ K|kē duḥkhadāyī saṅskār va svabhāv kō bhasma kar sakō  ? Gyān dvārā athavā snēh va samparka dvārā saṅskār parivartit kartē tō hō , lēkin usmē̃ samay lagtā hai . Miṭā huā-sā saṅskār phir bhī kab pratyakṣha hō jātā hai , lēkin ab samay lagan key|kī agni mē̃ bhasma karnē kā hai , jō phir us saṅskār kā nāmōniśān bhī na rahē .

Is mukti key|kī yukti kaunsī hai  ? Arthāt is lagan key|kī agni kō paidā karnē key|kī yukti va tīlī kaunsī hai  ? Tīlī sē āg jalātē hō na  ? Tō is agni kō prajvalit karnē key|kī kaun-sī tīlī hai  ? Ēk śhabda kaun-sā hai  ? Dr̥iṛh saṅkalp . Arthāt mar jāyēṅgē aur miṭ jāyēṅgē lēkin karnā hī hai . Karnā tō chāhiē , hōnā tō chāhiē , kar hī rahē haĩ , hō hī jāyēgā , attention tō rahtā hai , aur mahsūs bhī kartē haĩ - aisā sōchnā ēk prakār sē yah bujhī huī tīlī hai . Bār-bār mēhnat bhī kartē hō , samay bhī lagātē hō lēkin agni prajvalit nahī̃ hōtī . Kāraṇ yah hai ki saṅkalp rūpī bīj aur dr̥iṛhtā rūpī sār sampann nahī̃ hai , arthāt khālī hai . Is kāraṇ jō phal key|kī āśhā rakhtē hō va bhaviṣhya sōchtē hō , vah pūrṇ nahī̃ hō pātā hai aur chaltē-chaltē mēhnat jyādā , prāpti cum|kam dēkhtē hō tō dilśhikasta va albēlē hō jātē hō . Tab kahtē hō ki kartē tō haĩ lēkin miltā nahī̃ , tō kyō̃ karē̃ , hamārā part hī aisā hai . Yah dil-śhikast va albēlēpan K|kē aur phal na dēnē vālē saṅkalp haĩ .

Āp anya ātmāō̃ kō saṅgamyug key|kī viśhēṣhtā kaunsī batātē hō  ? Sabhī kō kahtē hō ki saṅgamyug hai - asambhav sē sambhav hōnē kā . Jō bāt sārī duniyā asambhav samajhtī hai , vah sambhav karnē kā yug yahī hai . Tō svayã kō bhī jō muśhkil va asambhav mahsūs hōtā hai , uskō ēk second mē̃ sambhav karnā - yah hai dr̥iṛh saṅkalp . Sahaj kō athavā sambhav kō practical mē̃ lānā kōī baṛī bāt nahī̃ . Lēkin asambhav kō sambhav karnā aur dr̥iṛh saṅkalp sē karnā - yah hai pass with honour key|kī niśhānī . Ab yah navīntā karkē dikhāō . Tab is navīntā par marks dēgē . Jaisē student her|har varṣh key|kī total result dēkhtē haĩ ki her|har subject mē̃ kitnā percentage rahā  ? Vaisē hī apnā result dēkhnā hai ki kis bāt mē̃ chaṛhtī kalā huī , kis purūṣhārth K|kē ādhār sē chaṛhtī kalā huī va kis subject mē̃ kamī rahī , vah pūrā hisāb nikālō . Mubārik bhī bāpdādā sadaiv dētē haĩ kyōṅki sr̥iṣhṭi kā baṛā din tō yahī hai nā . Prakr̥iti dāsī hōtī hai , parantu dāsī K|kē kabhī dās na bannā aur dās bannē key|kī niśhānī hōgī udāsī . Kisī-n-kisī saṅskār va svabhāv K|kē dās bantē hō , tab udās hōtē hō . Achchhā . Ōm śhānti .

Is murlī kā sār

1 . jaisē āp sabhī kō kahtē hō ki saṅgamyug hai - asambhav sē sambhav hōnē kā . Jō bāt sārī duniyā asambhav samajhtī hai , vah sambhav karnē kā yug yahī hai . Tō svayã kō bhī jō muśhkil va asambhav mahsūs hōtā hai , uskō ēk second mē̃ sambhav karnā hai . Asambhav kō sambhav karnā aur dr̥iṛh saṅkalp sē karnā - yahī hai pass with honour key|kī niśhānī .

2 . ab samay hai purānē saṅskārō̃ kō lagan key|kī agni mē̃ bhasma karnē kā jō phir is saṅskār kā nāmōniśān bhī na rahē .

3 . jaisē student her|har varṣh key|kī total result dēkhtē haĩ ki her|har subject mē̃ kitnā percentage rahī , vaisē hī apnā result dēkhnā hai ki kis bāt mē̃ chaṛhtī kalā huī , kis purūṣhārth K|kē ādhār sē chaṛhtī kalā huī va kis subject mē̃ kamī rahī , vah pūrā hisāb nikālō .