बुधवार 14 दिसंबर 1983 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
14-12-83 ōm śhānti avyakt bāpdādā madhuban
Prabhu parivār - sarvaśhrēṣhṭha parivār
Prabhu ratnō̃ kē prati bhōlānāth śhivbābā bōlē :
Āj bāpdādā apnē śhrēṣhṭh brāhmaṇ parivār kō dēkh rahē haĩ . Brāhmaṇ parivār kitnā ū̃chē tē ū̃chā parivār hai . Uskō sabhī achchhī tarah sē jāntē hō ! Bāpdādā nē sabsē pahlē parivār K|kē pyārē sambandh mē̃ lāyā . Sirph śhrēṣhṭh ātmā hō , yah gyān nahī̃ diyā lēkin śhrēṣhṭh ātmā , bachchē hō . Tō bāp aur bachchē K|kē sambandh mē̃ lāyā . Jis sambandh mē̃ ānē sē āpas mē̃ bhī pavitra sambandh bhāī-bahan kā juṭā . Jahā̃ bāpdādā , bhāī-bahan kā sambandh juṭā tō kyā hō gayā - prabhu parivār . Kabhī svapn mē̃ bhī aisē bhāgya kō sōchā thā ki sākār rūp sē direct prabhu parivār mē̃ vāris ban varsē K|kē adhikārī banē̃gē ! Vāris bannā sabsē śhrēṣhṭh tē śhrēṣhṭh bhāgya hai . Kabhī sōchā thā ki svayã bāp ham bachchō̃ kē liē hamārē samān sākār rūpdhārī ban bāp aur bachchē kā vā sarv sambandhō̃ kā anubhav karāyēṅgē ! Sākār rūp mē̃ prabhu pālnā lē̃gē ! Yah kabhī saṅkalp mē̃ bhī nahī̃ thā . Lēkin abhī anubhav kar rahē hō nā ! Yah sab anubhav karnē kā bhāgya tab prāpt huā jab prabhu parivār K|kē banē . Tō kitnē ū̃chē parivār K|kē adhikārī bachchē banē . Kitnī pavitra pālnā mē̃ pal rahē hō ! Kaisē alaukik prāptiyō̃ K|kē jhūlē mē̃ jhūl rahē hō ! Yah sab anubhav kartē hō nā . Parivār badal gayā . Yug badal gayā . Dharm , karma sab badal gayā . Yug parivartan hōnē sē duḥkh K|kē saṅsār sē sukhō̃ K|kē saṅsār mē̃ ā gayē . Sādhāraṇ ātmā sē purūṣhōttam ban gayē . 63 janm kīchaṛ mē̃ rahē aur abhī kīchaṛ mē̃ kamal ban gayē . Prabhu parivār mē̃ ānā arthāt janma-janmāntar kē liē takdīr key|kī lakīr śhrēṣhṭh ban jānā . Prabhu parivār , parivār arthāt war|vār sē parē hō gayē . Kabhī bhī prabhu bachchō̃ par war|vār nahī̃ hō saktā . Prabhu parivār kā banē , sadā kē liē sarv prāptiyō̃ K|kē bhaṇḍār bharpūr hō gayē . Aisē master sarvśhaktivān ban gayē jō prakr̥iti bhī āp prabhu bachchō̃ key|kī dāsī ban sēvā karēgī . Prakr̥iti āp prabhu parivār kō śhrēṣhṭh samajh āpkē ūpar janma-janmāntar kē liē chãvar ( paṅkhā ) jhulātī rahēgī . Śhrēṣhṭh ātmāō̃ K|kē svāgat mē̃ , regard mē̃ chãvar jhulātē haĩ nā . Prakr̥iti sadākāl kē liē regard dētī rahēgī . Prabhu parivār kā abhī bhī sarv ātmāō̃ kō snēh hai . Usī snēh K|kē ādhār par abhī tak gāyan aur pūjan kartē rahtē haĩ . Prabhu parivār K|kē charitrō̃ kā abhī bhī kitnā baṛā yādgār śhāstra - bhāgavat , pyār sē suntē aur sunātē rahtē haĩ . Prabhu parivār kā śhikṣhak aur godly student life kā , paṛhāī kā yādgār śhāstra - gītā , kitnē pavitratā sē vidhipūrvak suntē aur sunātē haĩ . Prabhu parivār kā yādgār ākāśh mē̃ bhī sūrya , chandramā aur lucky sitārō̃ K|kē rūp mē̃ manātē aur pūjtē rahtē haĩ . Prabhu parivār bāp K|kē diltakhtanaśhīn bantē , aisā takht sivāē prabhu parivār K|kē aur kiskō bhī prāpt hō nahī̃ saktā . Prabhu parivār key|kī yahī viśhēṣhtā hai . Jitnē bhī bachchē haĩ sab bachchē takhtnaśhīn bantē haĩ . Aur kōī bhī rājya parivār mē̃ sab bachchē takhtnaśhīn nahī̃ hōtē haĩ . Lēkin prabhu K|kē bachchē sab adhikārī haĩ . Itnā śhrēṣhṭh aur baṛā takht sārē kalp mē̃ dēkhā ? Jismē̃ sabhī samā jāē̃ . Prabhu parivār aisā parivār hai jō sabhī svarājya adhikārī hōtē . Sabhī kō rājā banā dētā . Janm lētē hī svarājya kā tilak bāpdādā sabhī bachchō̃ kō dētē haĩ . Prajā tilak nahī̃ dētē . Rājya tilak dētē haĩ . Mahimā bhī rājya tilak kī hai nā . Rāj-tilak divas viśhēṣh manāyā jātā hai . Āp sabnē apnā rājya tilak divas manāyā hai . Yā abhī manānā hai . Manā liyā hai nā . Khuśhī key|kī niśhānī , bhāgya key|kī niśhānī , saṅkaṭ dūr hōnē key|kī niśhānī - tilak hōtā hai . Jab kōī kisī kārya par jātē haĩ , kārya saphal rahē uskē liē parivār vālē tilak lagākar bhējtē haĩ . Āp sabkō tō tilak lagā huā hai nā . Tilakdhārī , takhtadhārī , viśvakal yāṇ K|kē tājdhārī ban gayē hō nā . Bhaviṣhya kā tāj aur tilak isī janm K|kē prāpti key|kī prālabdh hai . Viśhēṣh prāpti kā samay vā prāptiyō̃ key|kī khān prāpt hōnē kā samay abhī hai . Abhī nahī̃ tō bhaviṣhya prālabdh bhī nahī̃ . Isī jīvan kā gāyan hai - dātā K|kē bachchō̃ kō , vardātā K|kē bachchō̃ kō aprāpta nahī̃ kōī vastu . Bhaviṣhya mē̃ phir bhī ēk aprāpti tō hōgī nā . Bāp kā milan tō nahī̃ hōgā nā . Tō sarv prāptiyō̃ kā jīvan hī - īśhvarīy parivār hai . Aisē parivār mē̃ pahũch gayē hō nā . Samajhtē hō nā aisē ū̃chē parivār K|kē haĩ . Jiskī mahimā karē̃ tō apnē rāt-din bīt jāē̃ . Dēkhō bhaktō̃ kō kīrtan gātē-gātē kitnē din aur rāt bīt jātē haĩ . Abhī tak bhī gā rahē haĩ . Tō aisā naśhā aur khuśhī sadā rahtī hai ? maĩ kaun ! Yah pahēlī sadā yād rahtī hai . Vismr̥ti-smr̥ti K|kē chakra mē̃ tō nahī̃ ātē hō nā . Chakra sē tō chhūṭ gayē nā . svadarśhan chakradhārī bannā arthāt anēk had K|kē chakkarō̃ sē chhūṭ jānā . Aisē ban gayē hō nā . Sabhī svadarśhan chakradhārī hō nā ! Master hōnā ! Tō master sab jāntē haĩ ! Rōj amr̥itvēlē maĩ kaun - yah smr̥iti mē̃ rakhō tō sadā samarth rahē̃gē . Achchhā -
Bāpdādā bēhad K|kē parivār kō dēkh rahē haĩ . Bēhad kā bāp bēhad K|kē parivār kō bēhad key|kī yād-pyār dētē haĩ .
Sadā śhrēṣhṭh parivār K|kē naśhē mē̃ rahnē vālē , prabhu parivār K|kē mahattva kō jān , mahān bannē vālē , sarv prāptiyō̃ K|kē bhaṇḍār , śhrēṣhṭh rājya bhāgya prāpt karnē vālē prabhu ratnō̃ kō yād-pyār aur namastē .
( gyānā K|kē uncle aur aunty jō ājkal dēhlī mē̃ transfer hōkar āyē haĩ , vē|way bāpdādā sē milnē kē liē āyē thē . )
Serviceable bachchō̃ kā bāpdādā milan kē sāth svāgat kar rahē haĩ . Jitnā pal-pal yād kartē āyē hō uskē return mē̃ bāpdādā nayanō̃ key|kī palakō̃ mē̃ samāē huē bachchō̃ kā svāgat kar rahē haĩ . Ēk bāp K|kē guṇ gānē vālē bachchō̃ kō dēkh bāpdādā bhī bachchō̃ key|kī viśhēṣhtā K|kē guṇ gātē haĩ . Niśadin , niśapal , gīt gātē rahtē hō nā . Jab bachchē gīt gātē tō bāp kyā kartē ? Jab kōī achchhā gīt gātā hai tō sunnē vālē kyā kartē haĩ ? Na chāhtē huē bhī nāchnē lag jātē haĩ . Chāhē nāchnā āvē yā na āvē lēkin , baiṭhē-baiṭhē bhī nāchnē lag jātē haĩ . Tō bachchē jab snēh K|kē gīt gātē haĩ tō bāpdādā bhī khuśhī mē̃ nāchtē haĩ nā . Isīliē śhaṅkar dance bahut maśhhūr haĩ . Sēvā bhī tō nāchnā hai nā . Jis samay service kartē hō us samay man kyā kartā hai ? Nāchtā hai nā . Tō sēvā karnā bhī nāchnā hī hai . Achchhā -
Bāpdādā sadā bachchō̃ key|kī viśhēṣh viśhēṣhtā kō dēkhtē haĩ . Janmatē hī viśhēṣh 3 tilak bāpdādā dvārā milē haĩ . Kaun sē ? Tāj , takht tō haĩ hī lēkin 3 tilak viśhēṣh haĩ . Ēk svarājya kā tilak tō milā hī hai . Dūsrā janmatē hī serviceable kā tilak milā . Tīsrā janmatē hī sarv parivār K|kē , bāpdādā K|kē snēhī aur sahyōgīpan kā tilak . Tīnō̃ tilak janmatē hī milē nā . Tō trimūrti tilakdhārī hō . Aisē viśhēṣh sēvādhārī sadā apnē kō samajhtē hō . Anēk ātmāō̃ kō umaṅg utsāh dilānē kē nimitt bannē key|kī sēvā drama mē̃ milī huī hai . Achchhā .
Jitnā bachchē bāp kō yād kartē haĩ , utnā bāp bhī tō yād kartē haĩ . Sabsē jyādā akhaṇḍ avināśhī bāp kī yād hai . Bachchē aur kārya mē̃ bhī busy hō jātē haĩ lēkin bāp kā tō kām hī yah hai . Amr̥itvēlē sē lēkar sabkō jagānē kā kām śhurū kartē haĩ . Dēkhō kitnē bachchō̃ kō jagānā paṛtā hai aur phir dēśh-vidēśh mē̃ , ēk sthān par bhī nahī̃ haĩ . Phir bhī bachchē pūchhtē , sārā din kyā kartē !
Bachchō̃ kē bād phir bhaktō̃ kā kartē , phir science vālō̃ kō prērṇā dētē . Sabhī bachchō̃ key|kī dēkh-rēkh tō karnī paṛē . Chāhē gyānī haĩ , chāhē agyānī haĩ lēkin kaī prakār sē sahyōgī tō haĩ nā . Kitnē prakār K|kē bachchō̃ key|kī sēvā hai . Sabsē jyādā busy kaun hai ? Sirph antar yah hai , śharīr kā bandhan nahī̃ hai . Abhī kuchh time tō āp sab bhī bāp samān banē̃gē hī . Mūlvatan mē̃ rahē̃gē . Yah bhī āśhā sabhī key|kī pūrī hōgī . Achchhā
Madhuban nivāsiyō̃ kē sāth - madhuban nivāsiyō̃ key|kī mahimā tō jāntē hī hō . Jō mudhaban key|kī mahimā hai vahī madhuban nivāsiyō̃ key|kī mahimā hai . Her|har pal samīp sākār mē̃ rahnā issē baṛā bhāgya aur kyā hō saktā hai ! Dar par baiṭhē hō , ghar mē̃ baiṭhē hō , dil par baiṭhē hō . Madhuban nivāsiyō̃ kō mēhnat karnē key|kī āvaśyaktā nahī̃ , yōg lagānē key|kī āvaśyaktā hai kyā ! Yōg lagā huā hī rahtā hai . Lagē huē kō lagānē key|kī āvaśhyaktā nahī̃ . Svataḥ yōgī , nirantar yōgī . Jaisē train mē̃ engine lagī huī hai , sabhī ḍibbē paṭṭē par haĩ tō svataḥ chaltē rahtē haĩ , chalānā nahī̃ paṛtā hai . Aisē āp bhī madhuban K|kē paṭṭē par hō , engine lagī huī hai tō svataḥ chaltē rahē̃gē . Madhuban nivāsī arthāt māyājīt . Māyā ānē key|kī kōśhiśh karēgī lēkin jō bāp key|kī kaśhiśh mē̃ rahtē haĩ vah sadā māyājīt rahē̃gē . Māyā key|kī kaśhiśh dūr sē hī samāpt hō jāyēgī . Sēvā tō sabhī bahut achchhī kartē haĩ . Sēvā kē liē ēk example hō . Kōī kahā̃ bhī chārō̃ ōr sēvā mē̃ thōṛā bhī nīchē ūpar kartē haĩ tō sabhī madhuban vālō̃ kā hī dr̥iṣhṭānt dētē haĩ . Madhuban mē̃ kitnī athak sēvā pyār sē ghar samajhkar kartē haĩ . Yah sabhī māntē haĩ . Jaisē sēvā mē̃ sabhī number one hō , 100 marks lī haĩ aisē sab subject mē̃ bhī 100 marks chāhiē . Āp lōg board par likhtē hō nā - health , wealth , happiness tīnō̃ hī miltī hai . Tō yah bhī sab subject mē̃ marks chāhiē . Sabsē jyādā suntē madhuban vālē haĩ . Pahlā-pahlā tājā māl tō madhuban vālē khātē haĩ . Dūsrē tō ēk turn mē̃ ēk bārī viśhēṣh brahmā bhōjan khātē . Āp tō rōj khātē . Sūkṣhma bhōjan , sthūl bhōjan sab garm , tājā miltā hai . Achchhā - naī taiyārī kyā kar rahē hō ? Ghar kō tō achchhā pyār sē sajā rahē hō . Madhuban key|kī yah viśhēṣhtā hai her|har bār kōī na kōī naī addition hō jātī hai . Jaisē sthūl mē̃ navīntā dēkhtē aisē chaitanya mē̃ bhī her|har bār navīntā dēkh varṇan karē̃ ki is bār viśhēṣh madhuban mē̃ is prāpti key|kī lahar dēkhī . Bhinn-bhinn laharē̃ haĩ nā . Kabhī viśhēṣh ānand key|kī lahar hō , kabhī pyār key|kī , kabhī gyān K|kē viśhēṣhatāō̃ key|kī … harēk kō yahī lahar dikhāī dē . Jaisē sāgar key|kī laharō̃ mē̃ kōī jātā tō laharānā hī paṛtā , nahī̃ tō ḍūb jāyēgā . Tō yah laharē̃ spaṣhṭ dikhāī dē̃ . Is kānaphrīnsa mē̃ viśhēṣh kyā karē̃gē ? V|we . I|āī|eye . Ps . āyēṅgē , paper vālē āyēṅgē , varkaśāp hōṅgī , yah tō hōgā lēkin āp sab viśhēṣh kyā karē̃gē ? Jaisē sthūl dilavāṛā hai , uskī viśhēṣhtā kyā hai ? Harēk kamrē key|kī ḍijāin alag-alag variety hai . Her|har kamrē key|kī apnī-apnī viśhēṣhtā hai . Isliē yah mandir sab mandirō̃ sē nyārā hai . Mūrtiyā̃ tō aurō̃ mē̃ bhī hōtī hai lēkin is mandir mē̃ jahā̃ jāō vahā̃ viśhēṣh kārīgarī hai . Aisē chaitanya dilavāṛā mandir mē̃ bhī ham mūrtiyō̃ key|kī viśhēṣhtā apnī-apnī dikhāī dē . Jiskō dēkhē̃ , uskī ēk dō sē āgē viśhēṣh viśhēṣhtā dikhāī dē . Jaisē vahā̃ kahtē kamāl hai banānē vālē key|kī . Aisē yahā̃ ēk-ēk key|kī viśhēṣhtā key|kī kamāl varṇan karē̃ . Āp lōg is bāt key|kī meeting karō . Kōī baṛī bāt nahī̃ hai kar saktē hō . Jaisē satyug mē̃ dēvatāē̃ sirph nimitt mātra teacher dvārā thōṛā-sā sunē̃gē lēkin smr̥iti bahut tēj hōgī , yād karnē key|kī mēhnat nahī̃ karnī paṛēgī . Jaisē sunā huā hī hai , vah sirph fresh hō rahā hai . Madhuban vālō̃ kē liē huā paṛā hai . Sirph thōṛā-sā dr̥iṛh saṅkalp kā iśhārā hai bas . Saṅkalp bhī bahut achchhē-achchhē kartē hō lēkin usmē̃ dr̥iṛhtā kō bār-bār underline karō . Achchhā !
Sēvādhāriyō̃ sē - jō sēvā kartā vah mēvā khātā . Mēvā khānē vālē sadā tandarūst rahtē haĩ . Sūkhā mēvā khānē vālē nahī̃ , tājā mēvā khānē vālē . Sēvādhārī sō bhāgya adhikārī . Kitnā baṛā bhāgya hai . Yādgār chitrō̃ kē pās jākar bhakta lōg sēvā kartē haĩ . Us sēvā kō mahāpuṇya samajhtē haĩ . Aur āp kahā̃ sēvā kartē hō ! Chaitanya mahātīrth par . Vē|way sirph tīrthō̃ par jākar chakkar lagākar ātē tō bhī mahān ātmā gāyē jātē . Āp tō mahān tīrtha par sēvā kar mahān bhāgyaśhālī ban gayē . Sēvā mē̃ tatpar rahnē vālē kē pās māyā ā nahī̃ saktī . Sēvādhārī mānā man sē bhī sēvādhārī , tan sē bhī sēvā mē̃ busy rahnē vālē . Tan kē sāth man bhī busy rahē tō māyā nahī̃ āyēgī . Tan sē sthūl sēvā karō aur man sē vātāvaraṇ , vāyumaṇḍal kō śhaktiśhālī banānē key|kī sēvā karō . Double sēvā karō , single nahī̃ . Jō double sēvādhārī hōgā uskō prāpti bhī itnī hōgī . Man kā bhī lābh , tan kā bhī lābh , dhan tō akīchār ( athāh ) milnā hī hai . Is samay bhī sachchē sēvādhārī kabhī bhūkhē nahī̃ rah saktē . Dō rōṭī jarūr milēgī . Tō sabhī nē sēvā key|kī lottery mē̃ apnā number lē liyā . Jahā̃ bhī jāō , jab bhī jāō yah khuśhī sadā sāth rahē kyōṅki bāp tō sadā sāth hai . Khuśhī mē̃ nāchtē-nāchtē sēvā kā part bajātē chalō . Achchhā -
Praśhna : saṅgamyug key|kī kaun-sī viśhēṣhtā hai jō sārē kalp mē̃ nahī̃ hō saktī ?
Uttar : saṅgamyug par hī harēk kō mērā bābā kahnē kā adhikār hai . Ēk kō hī sab mērā bābā kahtē haĩ . Mērā kahnā arthāt adhikārī bannā . Saṅgam par hī harēk kō ēk bāp sē mērē-pan kā anubhav hōtā hai . Jahā̃ mērā bābā kahā vahā̃ varsē K|kē adhikārī ban gayē . Sab kuchh mērā huā . Had kā mērā nahī̃ , bēhad kā mērā . Tō bēhad K|kē mērē-pan key|kī khuśhī mē̃ rahō .
Praśhna : samīp ātmā key|kī mukhya niśhānī kyā hōgī ?
Uttar : samīp ātmāē̃ arthāt sadā bāp K|kē samān her|har saṅkalp , her|har bōl aur her|har karma karnē vālī . Jō samīp hōṅgē vah samān bhī avaśhya hōṅgē . Dūr vālī ātmāē̃ thōṛī añchalī lēnē vālī hōṅgī . Samīp vālī ātmāē̃ pūrā adhikār lēnē vālī hōṅgī . Tō jō bāp K|kē saṅkalp , bōl , vah āpkē . Iskō kahā jātā hai - samīp . Achchhā