गुरुवार 27 अगस्त 1964 की साकार मुरली - 2
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
27-08-1964 madhuban ābūrātri murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Hēlō , good evening , yē sattāīs agasta kā rātri class hai
Rāvaṇ key|kī jañjīrō̃ sē chhūṭ gaē hō yā chhūṭnē kā puruṣhārth kar rahē hō ? Kyā samajhtē hō ? Buddhi kā yōg tō jā rahā hai is duniyā sē . Is duniyā sē tō dil haṭ gaī hai , kyōṅki bachchē jāntē haĩ ki ab tō jānā hī hai bāp K|kē ghar . Balki jā rahē haĩ , aisā kahē̃gē . Tum bachchē samajh saktē hō ki barōbar ham rāvaṇ key|kī jañjīrō̃ mē̃ jakaṛē huē thē . Duniyā mē̃ aisā kōī jāntā nahī̃ hai , bhalē duḥkhī haĩ . Usmē̃ bhī kōī apan kō duḥkhī samajhtē haĩ , kōī sukhī samajhtē haĩ . Bākī yē buddhi mē̃ hai ki yē rāvaṇ K|kē rājya sē abhī apnā svatantr rājya ham sthāpan kar rahē haĩ . Jaisē yē kāṅgrēsī lōg pahlē yē partantra thē ; kyōṅki foreign kā rule thā . Abhī yē apan kō samajhtē haĩ ki ham unsē svatantr hō gaē . Pāṇḍav bachchē kahtē haĩ ki ham tō bēhad foreign K|kē rule mē̃ thē yānī rāvaṇ K|kē rule mē̃ ; kyōṅki yē tō pīchhē ātē haĩ nā . Pahlē tō yahā̃ rām kā rājya rahtā hai . Pahlē bhārat svatantr rahtā hai , pīchhē rām K|kē rājya mē̃ . Jaisē vō kahtē haĩ phiraṅgiyō̃ K|kē rājya mē̃ partantra hō paṛē thē . Phir bachchē samajhtē haĩ , jāntē haĩ ki ham māyā K|kē partantratā mē̃ thē , kyōṅki māyā kā rājya tō bhārat mē̃ in particular kahē̃gē khās aur duniyā mē̃ in general kahē̃gē ki rāvaṇ rājya hai , parantu duniyā nahī̃ jāntī hai ki ham kōī rāvaṇ rājya mē̃ haĩ ; kyōṅki bhārat mē̃ hī rām rājya aur rāvaṇ rājya hōnē K|kē kāraṇ bhāratvāsiyō̃ kō samajhnā hai ; parantu bhāratvāsī tō kōī samajhtē nahī̃ sivāy tum brāhmaṇō̃ K|kē . Abhī ham jō ādhākalp partantra thē , sō abhī svatantr ban rahē haĩ . Vō had key|kī bātē̃ , yē bēhad key|kī bātē̃ . Had key|kī bātō̃ sē bhī bāpū jiskō gāndhī kahtē haĩ unhōnnē madad lē karkē kā̃grēsī bhī chalāyā . Yahā̃ bāp ātē haĩ aur bachchō̃ key|kī madad lē karkē rām rājya sthāpan kartē haĩ . Vō bhī unkō bāpū kahtē haĩ , tum bhī unkō bēhad kā bāpū kahtē hō . Vō had kā hai . Sirph bhārat kā sō bhī bāpū hai nahī̃ vāstav mē̃ . Kahtē haĩ unkō ; kyōṅki yahā̃ bāpū kahnē kā bahutō̃ mē̃ rivāj hōtā hai . Mayor kō bhī bāpū phalānē kō bhī bāpū kah dētē haĩ . Sāī̃ bābā kahtē haĩ nā . Abhī sāī̃ bābā tō kōī hai nahī̃ . Nā vō sāīmbābā hai , nā vō bāpū hai . Yē tō sab gapōṛē haĩ . Yē tō bachchē jāntē haĩ ki barōbar hamārā bābā hamkō abhī svatantr banātē haĩ . Dēkhō , abhī ātmā kitnī khuśh hōtī hai . Khuśhī hōnī chāhiē nā . Jaisē vō sabhī kāṅgrēsī jāntē haĩ gāndhī bāpū nē hamē̃ phiraṅgiyō̃ sē svatantr karāyā hai , vaisē tum sab brāhmaṇ jāntē hō ki abhī bēhad kā bāpū jī hamkō māyā sē svatantr banātē haĩ . Rāvaṇ K|kē rājya sē svatantr banāy phir sē apnā rājya dilātē haĩ . Sva kō rājya dilātē haĩ , svatantr banātē haĩ . Tō yē huī vicār-sāgar-manthan karnē key|kī bātē̃ , jō har ēk kō apnē āp sē karnā chāhiē . Har ēk apnē dil sē kahē̃gē ki barōbar ham māyā K|kē rājya sē svatantr ban rahē haĩ . Abhī māyā K|kē rājya sē svatantr sirph tum samajh saktē hō , parantu bhūl jātē hō ; kyōṅki yahā̃ key|kī jō jō bhī bātē̃ hōtī haĩ vō bhūl hī jātī haĩ bahut . Bāp kō hī bhūlā jātā haĩ , teacher kō hī bhūlā jātā hai , gurū kō hī bhūlā jātā hai tō yē bhī bāt ghaṛī-ghaṛībhūl jātī hai ki hamkō bābā abhī is māyā K|kē rājya sē svatantr banā rahē haĩ . Abhī tō ham ghar jāē̃gē , phir svatantr hō rājya karē̃gē . Kōī bhī hamkō duḥkh dēnē vālā na rahēgā . Kōī hālat mē duḥkhī na rahē̃gē . Yē tō nahī̃ hai ki kōī K|kē rājya mē̃ duḥkhī na rahē̃gē . Tum abhī apnā rājya sthāpan kartē hō aur kiskō bhī kah saktē hō ki rāvaṇ par jīt pahankar ham jō svarājya sthāpan kar rahē haĩ , phir ham bilkul hī akēlē aur advait yānī daivī rājya mē̃ hōṅgē . … iskō hī kahā jātā hai almighty authority rājya aur sō bhī pavitra double sirtāj . Pīchhē jab ātē hō tō apavitr single tāj . Uskō kahtē haĩ double tāj . Barōbar double tājdhārī thē , kyōṅki bhārat mē̃ single tāj vālē rājāai double tāj vālō̃ kō pūjtē āē haĩ . Tō sab bhārat mē̃ haĩ . Tō abhī bēhad kā bāp ā karkē bhārat kō itnē sabhī jañjīrō sē chhuṛātē haĩ . Jañjīrē̃ tō haĩ nā . Dēkhō , jab yē karj bhī lētē haĩ , tō bhī aisē kahtē haĩ ki ham karj lētē haĩ , par hamkō kōī sṭriṅgsa na hō . Agar samjhō ki hamkō paisā dēnā hai , jaisē yahā̃ sāhūkār lōg . . . tō huṇḍī likhtē haĩ aur unkō bharnā paṛtā hai . Nahī̃ tō ijjat chalī jāē . Tō aisē hī ājkal jō loan lētē haĩ tō kōśhiśh karkē aisē lētē haĩ ki aisā na hō ki hamkō phasāvē sṭrigsa rahē jō hamkō dēnā hī paṛē . Isliē kahtē haĩ yadi loan lēvē tō usmē̃ agar thōṛā bhī yahô-vahā̃ hō tō pīchhē hamkō taṅg na kiyā jāē . Uskō sṭrigsa kahtē haĩ . Phark tō tum bachchē abhī jāntē hō . Ab bachchē jān gaē haĩ ki ham kitnē svatantr , kitnē dhanvān thē . Abhī tum brāhmaṇ hī kahē̃gē aur kōī thōṛē hī kahēgē . Yē brāhmaṇō̃ kō hī gyān miltā hai . Usmē̃ bhī dēkhō kitnē nambaravār haĩ . Nahī̃ tō vāstav mē̃ abhī kitnā khuśhī kā pārā chaṛhnā chāhiē , kyōṅki abhī lottery mil rahī hai . Set rīlijiyas svīp hōtī hai vahā̃ vilāyat mē̃ . Bahut miltē haĩ , 10-10 lākh rūpayē miltē thē svīp mē̃ , first ticket . Tō yē bhī ghuṛdauṛ thī . Yē bhī aśvō̃ key|kī race hai . Ismē agar jō achchhī tarah sē win karkē dikhlāē tō sūryavanśhī mālik ban jātē haĩ . Yē race bhī kitnī baṛī hai . Iskō kahā hī jātā hai aśhva race , kyōṅki nām hai nā rājasva aśhvamēdh yagya . Yē aśhva kē ūpar phir ēk dūsrā bhī yagya , jiskō dakṣha prajāpati kā yagya kahā jātā hai , jisamē ghōṛē kō svāhā kartē haĩ . Abhī yē ghōṛē kō svāhā nahī̃ karnā hōtā hai , ismē̃ manuṣhya apnē kō svāhā kartē haĩ . Kathāē̃ tō bahut haĩ nā . Abhī tumkō kōī bhī kathāē̃ sunnē key|kī kōī darkār nahī̃ hai . Dēkhō , kitnā akicār dhakkā khānā , sunnā mandirō mē jānā , kuchh bhī nahī̃ karnā hai . Bābā kahtē haĩ - bas , chup . Mālā phērnā yā jāp bhī nahī̃ karnā hōtā hai . Ajapā yād karnā hai , jāp bhī nahī̃ , kyōṅki ajapājāp hōtā hī nahī̃ . Dūsrā kōī rām-rām jāp karē , bhalē āvāj nahī̃ kartē haĩ . Tō bhī andar mē̃ jāp chalēgā . Tō bhī chup hō jāēgā . Yahā̃ vō rasm tak bhī nahī̃ chāhiē . Bilkul chup . Tō dēkhō , yād hō jāēgī nā . Andar mē kuchh bhī bhun-bhun nahī̃ karē̃gē . Bhun-bhun tō sukṣmavatan mē̃ hōtī hai . Yahā̃ talkie vahā̃ bhun-bhun . Bhun-bhun bhī nahī̃ , bilkul chup . Dēkhō , bhaktimārg mē̃ kitnā dhakkā khātē haĩ aur yahā̃ bilkul chup sē bāp kō aur varsē kō yād kartē rahō . Abhī kōī kitnā achchhī tarah sē dhāraṇ karē , samajhē aur aurō̃ kō samajhāvē . Yahā̃ itnī ṭhaṇḍī-vaṇḍī tō nahī̃ paṛtī hai ? Itnī dūr sē yahā̃ ātē haĩ tō unkī khātirī bhī achchhī hōnī chāhiē . Ṭhīk sē khātirī kartī hō ? Pūchhtī hō kōī taklīph tō nahī̃ hai kyō̃ ? Kyōṅki tum unkī achchhī sambhāl karē̃gē , tō vō bhī tumhārī vahā̃ achchhī sambhāl karē̃gē . Nahī̃ tō ghāslēṭ bhī khilāē̃gē . Ghāslēṭ key|kī nadiyā̃ bahtī haĩ . Ghī key|kī nadiyā̃ tō bahnī haĩ nā . Jab kahā jātā hai ki vahā̃ ghī key|kī nadī bahēgī tō ghāslēṭ yahā̃ hōgā . Gāyā jātā hai ki garīb lōg bahut śāntikārak hōtē haĩ . Usmē̃ bhī jō bāhar gānvaṛē vālē lōg hōtē haĩ nā , vō baṛē sukhī , achchhē rahtē haĩ aur sāhūkār tō tamāśhā , nāṭak vagairah dēkhtē haĩ tō gandē hō jātē haĩ . Garīb itnē gandē nahī̃ hōtē haĩ jitnē sāhūkār bahut gandē hōtē haĩ . Yahā̃ tō bahut hī glāni kī hai . Yē śhāstra sē bahut gand sīkhē haĩ , kyōṅki pahlē number mē̃ kr̥iṣhṇa jō itnā first class bachchā hai unkē liē ṭhak kah diyā hai ēkdam number one . Nārāyaṇ kē liē nahī̃ kahtē hō . Nārāyaṇ kō ēk strī aur kr̥iṣhṇa kō bahut strī dikhāī haĩ , dēkhō kitnī glāni kī hai . Samajhtē hō ? Samjhā saktē hō kōī kō bhī kitnī mūrkh aur nānasēnsa bātē̃ likh dī haĩ . Śhrī lakṣhmī kō ēk nārāyaṇ aur nārāyaṇ kō ēk lakṣhmī . Phir vahā̃ kr̥iṣhṇa kō itnī striyā̃ dikhāī haĩ . Yē kahā̃ key|kī bātē̃ haĩ . Abhī dēkhō , bāt sahaj hai aur ēkdam patā hī nahī̃ paṛtā thā . . . . . . . yē jō bātē bhaktimārg K|kē śhāstrō̃ mē haĩ unkō bāp ākar batātē haĩ . Kitnē tum bēsamajh ban gaē hō . Bachchē pūchhtē haĩ bābā , kaisē ham bēsamajh ban gaē bābā kahtē haĩ bachchē , drama anusār yē vēd śhāstra granth upaniśad yagya tap dān-puṇya karkē dēkhō tum kitnē mūrkh ban gaē hō . Gītā bhī paṛhī hai nā . Tō gītā paṛhtē-paṛhtē bhī kitnē mūrkh ban gaē hō . Gītā mē̃ tō bhagvānuvāch hī kahtē haĩ nā . . . . . . . . . . aur vō gītā paṛhtē-paṛhtē tum kaṅgāl ban gaē hō . Mukhya tō gītā uṭhāē̃gē nā . Gītā kē sāth tō hai dant-kathāē̃ unkē bāl bachchē . Unmē̃ kuchh bhī hai nahī̃ . Agar hōtā tō yē samjhā dētē nā . Drama anusār tum bachchē bahut glāni karnē lag paṛē hō . Tum bachchē kahtē haĩ hamārā dōṣh kyā ? Bābā kahtē haĩ hā̃ barōbar yē tō ṭhīk hai ki tum drama K|kē anusār bilkul hī patit ban gaē hō . Bābā kahā̃ kahtē haĩ ki tumhārā dōṣh hai , parantu ab tō āō nā ham tumkō pāvan banātē haĩ . Yē tō ṭhīk hai , phir bhī aisē hī banē̃gē drama anusār . Hā̃ , barōbar tumhārā dōṣh nahī̃ hai . Chalō , bābā kahtē tō kuchh nahī̃ haĩ nā . Yē tō hōnā hī hai . Tumkō tamōpradhān bannā hī hai drama anusār , par abhī āō nā , ham tumkō satōpradhān banātā hū̃ . Isliē tō bhakti key|kī glāni kī jātī hai nā . Durgati aur sad gati kahā jātā hai . Achchhā , sad gati milē tab jab kōī durgati mē̃ jāvē nā . Tō khēl huā nā . Durgati mē jānā jarūr hai aur phir bābā ākar sad gati kō lē jātē haĩ aur yē phir kahtē hai barōbar drama mē̃ aisē hai . Sō tō likhā huā hai - golden age , silver age , copper age , iron age . Satōpradhān satō rajō tamō sō tō bannā hī hai nā . Tō ḍrāmānusār banē hō nā . Yē tō ṭhīk hai . Ab phir drama anusār chalō , rājyōg sīkhō . Phir chalō golden age mē̃ . Tō puruṣhārth karnā paṛē nā . Vō tō ṭhīk hai . Tō aisē nahī̃ kahtē haĩ ki tumnē kōī bhūl kī hai . Nahī̃ . Drama anusār tumkō nīchē ānā hī hai . Phir bhī aisē āē̃gē , parantu āvē jabki tumkō drama kā rāj batāyā hai , āgē thōṛē hī aisē jāntē thē . Jab drama kā rāj batāyā hai tō abhī chalō , bāp sē varsā lē lō . ( myujik bajā ) mīṭhē-mīṭhēḥ , sikīladhē lucky gyān sitārō̃ prati māt-pitā bāp-dādā kā dil va jān , sik va prēm sē yādpyār aur good night .