शनिवार 19 सितंबर 1964 की साकार मुरली - 2
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
19-09-1964 madhuban ābū rātri murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Good evening yah 19 sitambar kā rātri class hai
Ismē buddhi kā kām bahut chāhiē , bahut samajh chāhiē . Jāntē haĩ ki barōbar maut sāmnē hai , uskē pahlē hī bāp sē apnā pūrā varsā lēnē kā puruṣhārth karnā hai , kyōṅki pūrā varsā kōī pīchhē nahī̃ mil saktā hai . Pūrā varsā milēgā hī unkō jō karmātīt avasthā mē̃ mēhnat karkē ṭikēgā arthāt bāp kō yād bhī karē̃gē aur service bhī karē̃gē . Service kē ūpar bhī tō madār hai nā . Vō samjhātē bhī haĩ tō tum kahtē hō ki karmbandhan hai , parantu ēk hī thappaṛ sē heartfail huā , mar gaē . Phir kahā̃ gayā tumhārā karmbandhan ? Yahā̃ tō tum bachchō̃ kō rāy dētē haĩ ki tum jītē jī bāp key|kī gōd mē̃ jātē hō . Mar K|kē tumkō kōī kāl nahī̃ khātā hai . Tum tō khuśhī sē achchhī tarah sē dēkhbhāl aur pūchatāch kar tab tum in bāp kō svīkār kartē hō , jab niśhchay hōtā hai ki barōbar yē vahī bēhad kā baṛā bābā hai , jissē hamkō sr̥iṣhṭi kā baṛā pad miltā hai , rājdhānī pad miltā hai . Abhī aisē tō nahī̃ hai ki bābā kahnē sē kuchh bāt mīṭhā hōtā hai . Bāt mīṭhā hōtā hai , mukh mīṭhā hōtā hai jab naśhā caḍhatā hai ki hamkō bāp sē svarg kā varsā milnā hai . Ham bahut padampati bannē vālē haĩ . Yahā̃ tō kōī aisē sāhūkār haĩ hī nahī̃ . Sirph bāt yē hai ki dūsrē janm sē lēkar K|kē … sō manuṣhya phir kahtē haĩ ki dūsrē janm mē̃ kyā hōgā ! Jō kuchh is duniyā mē̃ kālā muh karnā hai sō kar lō pahlē achchhī tarah sē . Tō vō samajhtē haĩ ki patā nahī̃ vahā̃ kālā mũh karnē kō milēgā yā nahī̃ milēgā . Vō itnī mūrkh buddhi hai . Samajhtē bhī haĩ ki gōrā bannā hai . Bābā kālā mũh kō gōrā mũh banātē haĩ , parantu yē samajhtē huē bhī dēkhō . . . . . kyōṅki sanyāsiyō̃ kē liē kōī kālē aur gōrē kā question nahī̃ uṭhtā hai . Yē tō tumhārē liē hai . Tum gaurē thē abhī sānvarē ban gaē hō . Sirph tum bhāratvāsiyō̃ kē liē hai . Vahā̃ jō kalp pahlē banē thē vahī ākar phir brāhmaṇ banē haĩ . Brāhmaṇapanē sē chaltē-chaltē phir agar śhūdra kul mē chalā gayā tō phir yē marā , kyōṅki brāhmaṇ kul sē jā karkē hamkō phir daivī kul mē̃ jānā hai . Brāhmaṇ kul mē̃ ākar kōī pīchhē nahī̃ haṭtā hai , parantu māyā baṛī prabal hai . Achchhē-achchhē buddhivān key|kī bhī jhaṭ talkie phirāy dētī hai . Māyā aisī hai . Nahī̃ tō tum bachchō̃ kō ēk tō khuśhī rahnī chāhiē , jaisē bāp hai ānand kā sāgar . Kyō̃ hai ānand kā sāgar ? Kyōṅki ānand kā varsā hī vō dētē haĩ . Dētē haĩ tab unkē ūpar nām paṛā hai ki hamkō bahut ānand dētē haĩ . Dēkhō , kōī bhī ātē haĩ tō kahtē haĩ ki yahā̃ śhānti aur ānand bahut miltā hai . Is samay mē̃ jō śhānti aur ānand miltā hai vō phir avināśhī hō jātā hai , parantu hai sab . . . . . Bāp tō ātē haĩ puruṣhārth karānē . Phir jō kartē haĩ vō kōī chhipē nahī̃ rahtē haĩ . Jō service par upasthit rahtē haĩ vō chhipē nahī̃ rah saktē haĩ , unkō service bigar baiṭhnē sukh nahī̃ ātā hai . Agar baiṭhē̃gē tō mupht apnē kō ghāṭā ḍāl dēgē . Saudāgar agar chup kar baiṭh jāēgā tō phir kyā kamāī kar sakē̃gē ! Jō bāp kā title hai vō tumhārā bhī hai . Aisē nahī̃ hai ki tumkō bābā jādūgarī nahī̃ sikhlātē hō̃ . Barōbar tumkō bhī sikhlātē haĩ , tum khud bhī jāntī hō . Kahtē haĩ nā ki yē bābā hai , yē hamārā bachchā bhī hai tō yē jādūgarī hō gaī nā . Bhalē bābā key|kī madad miltī hai her|har bāt mē̃ . Bākī yē tō bachchē jāntē haĩ ki sabsē achchhē tē achchhā mandir hai hī sōmnāth kā . . . . . . . . . . tō yē kārīgarī hai nā , manuṣhya sē dēvtā bannā yē kārīgarī hai . Tō dēkhō , kārīgarī kā yē mandir banā huā hai . Kitnī kārīgarī hai ismē̃ ! Barōbar nīchē mandir mē̃ manuṣhya rājyōg mē̃ baiṭhē haĩ , ūparamē̃ rājāī khaṛī hai . Itnā simple hai samajhnē kā , jō tum jākar kōī kō bhī samjhā saktē hō . Vahā̃ mandir mē̃ tum service karō tō bahut samjhā saktē hō . Tum bigar talab kōī mandir K|kē paṛē ban jāō ēkdam . Vō brāhmaṇ lōg tō talab lētē haĩ . Tum ēk paisā bhī na lō|low , kyōṅki yahā̃ mandir hai khās . Aur kōī bhī mandir nahī̃ hai . Jagadambā K|kē mandir mē̃ itnā majā nahī̃ hai . Yē tō ēkdam jaisē yahā̃ hai , jhāṛ kē nīchē tum baiṭhē hō . Vō bhī baiṭhē haĩ aur ūpar mē̃ dēkhō . Un bachchō̃ kō tō kuchh bhī patā nahī̃ hai . Mandir bhalē kaī dēkhē haĩ , yē nahī̃ dēkhā hai , parantu tumhārē mē̃ sē śhāyad kōī dēkhkar gaē hō nēm nahī̃ hō . Kuchh patā nahī̃ thā . Abhī tō hūbahū tumhārī service kā vō yādgār banā huā hai . Wonder hai ki tumhārā sthān . . . . . . . mandir bhī sāmnē hai . Yē bhī tō vichitr bāt huī nā . Samjhānē kē liē bhī bahut sahaj hai . Vō kitāb nikālā bhī hai ki vō jaṛ hai , yahā̃ chaitanya mē̃ baiṭhē hō , parantu yahā̃ kōī bhī vō kitāb bāṇṭnē vālā nahī̃ hai , kyōṅki yahā̃ bhī service karnē vālā kōī hai nahī̃ . Bahut service hai . Achchhā , is samay mē bhī kōī jākar unkō kitāb dēvē tō bhī unkō kuchh samajh āvē . Vahā̃ kā jō . . . hai unkō bhī baiṭh karkē kōī achchhī tarah sē samajhāvē aur buddhi mē biṭhāvē tō bichārā vō bhī kōī kō samjhā K|kē kuchh dē ki arē bhaī , yē tō mandir hai jaṛ aur chaitanya . jinkā yē yādgār hai . Tō jarūr pujārī sō pūjya , tō saṅgam hōgā nā . Pūjya bannē vālē bhī hōṅgē aur jiskī pūjā kartē haĩ vō bhī hōṅgē , kyōṅki pujārī sō pūjya bannē vālā hai , tō pujārī jarūr pūjya key|kī sēvā kartē hōṅgē , bandgī kartē hōṅgē . Dōnō saṅgam par ikaṭ ṭhē jarūr hōṅgē , kyōṅki satyug mē̃ pujārī tō kōī nahī̃ hōṅgē nā . Tō pūjya bannē vālē haĩ , vō haĩ pūjya , parantu vō pūjya bannē vālē tō saṅgam mē̃ hōṅgē nā . Tō yē dēkhō , saṅgam par baiṭhē hō . Vō tumhārē pūjya K|kē chitra haĩ aur tum hō pujārī . Tum barōbar in sabkē pujārī thē . Dēviyō̃ K|kē bhī thē . Abhī tum sō khud ban rahē hō . Tō yē bhī vichitr bāt hai ki tum baiṭhē huē hō , parantu yahā̃ samjhānē vālī , service karnē vālā kōī hai nahī̃ . Kōī kō service karnē kā ṛhaṅg nahī̃ ātā hai . . . . . . kyōṅki andhō kō dikhlānā tō hai nā buddhihīn andhē jātē haĩ andar aur tum unkō jākar buddhi dētē hō tō bichārē wonder khāēṅgē . Kahē̃gē yē tō bilkul ṭhīk bōltē haĩ . Ghusnā chāhiē andar , jānā chāhiē . Bigar paisē tum service kar saktē hō . Unkō sabkī biography batā saktē hō , parantu itnē kōī sarvisēbul bachchē haĩ nahī̃ . Bāp tō direction dēgē nā . Abhī aisī jagah mē̃ mama tō nahī̃ jāēgī , bāpdādā bhī nahī̃ jāē̃gē . Jāē̃gē tō bachchē hī jāē̃gē , parantu itnā bachchō̃ mē kōī śhauk hai nahī̃ . Itnā viśhāl buddhi vālā agar hōtā bhī hai , tō pichhāṛī mē grahachārī bhī tō hai nā . Kamāī mē̃ grahachārī bahut hai . Kabhī avasthā kō achchhā dēkhō , kabhī madhyam dēkhō , kabhī kaniṣhṭha dēkhō , phir kabhī achchhī dēkhō . Vō grahachārī bhī bahut ātī hai . Yuktibāj chāhiē , ramajabāj chāhiē is service par . Dēkhō , isliē bāp kō bhī ramajabāj kahtē haĩ nā . Tō ā karkē śhaktiyō̃ kō ramajabāj banātē haĩ . Mān ū̃chā kartē haĩ , parantu śhaktiyā̃ bhī kōī achchhī tarah sē jāgē̃ . Aurō̃ kō kahtē haĩ nā ki kumbhakaraṇ key|kī nīnd mē̃ , tō apan sab bhī tō nīnd mē̃ sōē paṛē thē nā . Jagāyā hai kisliē ? Aurō̃ kō jagānē kē liē . Nikal jāēgā kōī aur kōī nayā achchhā paidā hō jāēgā . ( myūjik bajā ) māt-pitā va bāpdādā kā mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati yād-pyār , good night .