सोमवार 21 सितंबर 1964 की साकार मुरली - 1

हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।

लिप्यंतरण कैसे पढ़ें

यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।

इस साइट पर किए गए बदलाव
ISO 15919इस साइट पर
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

पढ़ने के कुछ संकेत:

  • ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
  • ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
  • स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।

> >

21-09-1964 madhuban ābū rātri murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban

Hēlō , good evening yah ikkīs sēpṭēmbar kā rātri class hai

Bāp aur bachchō̃ kā sweetest sambandh . Iskō pyārā kahā jātā hai . Kahā jātā hai nā - sweet , sweeter phir sweetest . Bāp bhī bahut mīṭhā , pyārā , tō bachchē bhī bahut mīṭhē , pyārē  ; kyōṅki inkō pahchān miltī hai ki barōbar phir kalp kē bād mīṭhā bannē kē liē mīṭhē śhivbābā key|kī ākar santān bantē haĩ . Santān thē , phir bhūl jātē haĩ . Phir gōyā jaisē ki rāvaṇ key|kī santān ban jātē haĩ . Ham thē īśhvar key|kī santān . Tō yē kitnā sweetest sambandh hai aur vō phir unkē against kitnā kaḍuvā sambandh hai . Kaḍuvā bandhan kahē̃ . Sambandh na kahē̃  ; parantu bandhan kahē̃ athavā jīvanbandh . Jabki sweetest bāp hai tō jarūr bachchō̃ kō itnī khuśhī kā pārā bhī caḍhanā chāhiē . Chaṛhnā hai puruṣhārth sē  ; kyōṅki vahā̃ sē apnī jañjīrō̃ kō kāṭnā hai . Aisē kahē̃gē nā , is samay bāp K|kē sivāy aur kōī key|kī bhī yād na paṛē . Ab yē kab hō saktā hai  ? Jabki śharīr chhōṛnē kā samay ātā hai . Itnā puruṣhārth karnā hōtā hai pichhāṛī mē̃ aur kōī bhī yād na paṛē . Phir iskō avyabhichārī yād bhī kahō , kyōṅki ēk kē sāth yād vā ēk key|kī pūjā uskō avyabhichārī pūjā yā avyabhichārī yād kahā jātā hai . Yahā̃ pūjā tō karnī nahī̃ hōtī hai . Vahā̃ pūjā karnī hōtī hai . Pūjya bannē kē liē phir pūjā chhūṭ jātī hai . Phir sirph yād rahtī hai . Bhaktimārg mē kiskī bhī yād karē , śhiv key|kī yā trimūrti mē sē kōī key|kī bhī tō itnā kōī phal nahī̃ mil saktā hai , jitnā is samay key|kī yād mē̃ phal miltā hai  ; kyōṅki us samay key|kī yād mē̃ kiskō yē patā nahī̃ paṛtā hai ki hamkō iskī yād sē milnā kyā hai . Yah tō bachchē jāntē haĩ ki bāp kī yād sē bāp kā varsā milnā hai . Baṛī prāpti hai . Bhaktimārg mē̃ prāpti kā kōī patā nahī̃ rahtā hai . Is samay mē̃ samjhā jātā hai ki bhaktimārg mē̃ prāpti tō nahī̃ , parantu aur hī kaṅgālpanā hōtā jātā hai . Dēkhō , bhaktimārg kauṛī jaisā banā dētā hai nā . Tō abhī bachchē jāntē haĩ ki ēk bāp kī yād mē̃ rahnā hai . Bhaktimārg mē̃ tō sabhī mitr-sambandhī bhī yād paṛtē haĩ nā . Dēvtāō̃ key|kī bhī yād yā pūjā kartē haĩ aur phir mitr-sambandhiyō̃ key|kī bhī yād bahut rahtī hai . Yahā̃ tō na mitr-sambandhiyō̃ key|kī yād hai , na kōī dēvī-dēvatāō̃ key|kī yād hai . Sirph ēk key|kī yād hai . Tō aur hī taklīph sē chhūṭ jātē haĩ . Bahutō̃ key|kī yād sē achchhā hai ki ēk kō hī yād rakhē̃ tō aur hī sahaj hō jātā hai . Vahā̃ tō buddhi bhaṭaktī rahtī hai . Ismē̃ buddhi kō bhaṭaknē key|kī kōī jarūrat nahī̃ hai . Bas ēk kē sāth jō jitnā-jitnā yōg lagātē haĩ yā bāp kō yād kartē haĩ , unkō bahut hī prāpti hōnī hai , kyōṅki bāp kī yād sē varsā aur varsē key|kī yād sē jarūr bāp bhī yād āēṅgē . Yē dōnō̃ kā connection hai . Varsā akṣhar lagtā hī hai bāp kē sāth aur bāp kē sāth varsā kā akṣhar lagtā hai . Bachchē yē jāntē haĩ ki bāp sē hī property kā varsā miltā hai , aur kōī sē bhī nahī̃ miltā hai . Yahā̃ laukik bāp sē had kā , vahā̃ pārlaukik bāp sē bēhad kā varsā miltā hai . Yē sirph tum bachchē jāntē hō , jinhōnnē bāp dvārā apnē bāp kō jānā hai . Bāp nē bachchō̃ kō show kiyā hai , bachchō̃ kō phir bāp kā show karnā hai . Kaisē  ? Ki abhī hamkō bēhad kā bāp milā hai , dō bāp tō chaltē āē haĩ , isliē ab apnē bāp sē hī yōg juṭātē haĩ . Aisē nahī̃ hai ki un bāp sē kōī ṭūṭ jātī hai . Vō hōtē huē bhī phir us bāp kō yād karnā haĩ  ; kyōṅki is kalahayugī patit gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahnā tō hai jarūr . Tō gr̥ihastha vyavahār mē̃ rahkar phir apnī avasthā kō jamānā hai  ; parantu jō bandhan mukt haĩ vō tō bāp kē sāth bhī rah saktē haĩ  ; kyōṅki bāp kē sāth mē̃ bhī tō chāhiē nā . Mā̃-bāp aur kuchh tō bachchē ghar mē̃ chāhiē nā . Tō jō bhī rahtē haĩ sō sabhī number-vār aur puruṣhārth anusār . Bachchē jāntē haĩ ki barōbar gupta vēśh mē bāp āē haĩ . Iskō gupta vēśh kahē̃gē . Dēkhō , vēśh tō hai nā manuṣhya kā . Bāp svayã ākar kahtē haĩ ki maĩ inmē̃ inkā rathī banā hū̃ . Yahā̃ kōī ghōṛē-gāṛiyō̃ key|kī bāt nahī̃ hai . Yahā̃ tō rath inkō hī kahā jātā hai . Vō arjun kā rath samajhtē haĩ . Nahī̃ , yē brahmā kā rath hai . Tō brahmā sē brāhmaṇ paidā hō saktē haĩ . Arjun sē brāhmaṇ kaisē paidā hōṅgē  ? Tō aisē-aisē bachchō̃ kō apnē sāth āpē hī yē vārtālāp karnā chāhiē . Uskō vicār-sāgar-manthan kahā jātā hai . Tō kahā̃ bhī hō , bhalē vilāyat mē̃ hō , tō bhī yahā̃ tō yād karnā hai ki bābā āyā huā hai . Jarūr bābā āē huē haĩ tō phirtā hōgā aur dēkhtē hō ki kalp pahlē muāphik vilāyat mē bhī hōgā , kōī bômbē hōgā , kōī kahā̃ hōgā . Abhī tō tum jān gaē hō ki vahā̃ kōī śhahar , gānv vagairah tō likhē huē haĩ nahī̃ . Yuddha kā maidān hai . Europe-vasi yādav kaurav pāṇḍav kyā karat bhaē  ? Yādav kiskō kahā jātā hai  ? Kiskō mālūm thōṛē hī hai . Yādav kaun thē , yē gītā sē kabhī bhī patā nahī̃ paṛtā hai . Ab tum bachchō̃ kō patā paṛā ki yādav inhō̃ kō kahā jātā hai . Āgē inkō tō yūrōpiyansa kahtē thē nā . Abhī un lōgō̃ nē inkā nām badal diyā . Jarūr kalp pahlē bhī aisē hī badalā|badlā hōgā aur śhrīmat par badlāyā hōgā sab kuchh . Barōbar unhō kō hī yādav kahā jātā hai , jinhōnnē bōmbsa vagairah banāē haĩ . Vahā̃ tō sirph likh dētē haĩ mūsal . Abhī mūsalō̃ sē kyā huā  ? Abhī tō practical mē̃ jāntē hō nā ki mūsalō̃ sē kyā hōtā hai . Gītā sē thōṛē hī mālūm paṛtā hai ki bōmbsa hōtē haĩ , phēṅkē̃gē tō sārā yadukul khalās hō jāēgā . Yē thōṛē hī buddhi mē̃ ātā hai . Abhī mālūm paṛtā hai bachchō̃ kō ki barōbar yē aiṭōmik bōmbsa kalp pahlē bhī banē thē jarūr , jinsē inhōnnē apnē kul kā vidhvãs kiyā thā . Abhī tum bachchē tō sammukh hō aur jaisēki bāp āē thē , saṅgamyug par sunāyā thā , phir saṅgam par baiṭhkar sunātē haĩ . Kalp pahlē bhī aisē hī tum bachchō̃ nē vēdaśāstra vagairah paṛhē huē hōṅgē . Phir ākar sammukh bachchō̃ kō paṛhā rahē hai . Gīt bhī hai - jō piyā kē sāth hai . Dēkhō , hai nā phir . Tō bachchō̃ kō vāstav mē̃ chaltē phirtē uṭhtē khuśhī kā pārā tō chaṛhā rahnā chāhiē nā . Iskō , mama kō , tum bachchō̃ kō , sabkō . Bhalē yē gr̥ihastha vyavahār sē alag hō gaē haĩ . Vaisē tum bhī alag hō gaē  ; kyōṅki bhaṭ ‌ ṭhī mē̃ paṛnā thā . Jarūr kalp pahlē bhī aisē hī bhāgē huē hōṅgē nadī pār karkē . Agar kr̥iṣhṇa gayā hōgā tō kr̥iṣhṇa K|kē sab sambandhī vagairah bhī chalē gaē hōṅgē . Yē bhī aisē hī hai . Tum bhī tō sambandhī ṭhaharē nā . Sab nadī pār karkē gaē thē . Kōī ṭōkrī aur nand key|kī tō bāt hī nahī̃ hai . Na kr̥ṣṇāpurī mē̃ hī kōī ḍar key|kī bāt hōtī hai . Kaṅs , jarāsindhī bhī yahā̃ key|kī āsurī sampradāy kō kahā jātā hai . Tō jab āsurī sampradāy hai vahā̃ kr̥iṣhṇa tō hō bhī nahī̃ saktē haĩ . Bābā nē samjhāyā hai nā ki dēvtāō̃ kā pāchā yā pair is purānī sr̥iṣhṭi par nahī̃ paṛtē haĩ . Agar dvāpar kahē tō bhī purānī hai . Dēvatāē̃ tō purānī sr̥iṣhṭi par hō bhī nahī̃ saktē haĩ . Issē siddha hōtā hai ki kr̥iṣhṇa kā nām bhūl sē ḍāl diyā hai . Kr̥iṣhṇa nām dēnē sē brāhmaṇ kul kā hī patā nahī̃ paṛē . Nahī̃ tō brāhmaṇ khud gātē haĩ ki brāhmaṇ dēvī-dēvatāy namaḥ . Parampitā paramātmā nē brahmā dvārā brāhmaṇ , dēvī-dēvtā aur kṣhatriya dharm sthāpan kiē aur ab tum jāntē hō ki barōbar kar rahē haĩ . Brāhmaṇ dharm sthāpan huā , phir dēvī-dēvtā aur kṣhatriya dharm mē̃ āē̃gē aur yē brāhmaṇ kul mē̃ tō ēk hī janm hai . Dēkhō , kitnā chhōṭā kul hai . Kitnā phark hai  ! Dēkhō , dēvatāō kē liē bhī tō sārā yahā̃ tak diyā hai . Kṣhatriyō̃ kē liē bhī bhujāē̃ dī haĩ . Vaiśhya kē liē pēṭ dē diyā hai . Bākī kalahayug kō lambī ṭā̃gē̃ dī haĩ . Yē bhī is samay mē̃ bachchō̃ key|kī buddhi mē̃ baiṭhtā hai . Ēk hī bāt bachchō̃ kō achchhā niśhchay hō jāē ki ham ātmāē̃ haĩ aur śharīr lētē-lētē  ; hamkō 84 janm ākar pūrē huē haĩ . Abhī bāp āē haĩ lēnē kē liē . … ghar-gahastha vyavahār mē̃ rahkar apnē kō ātmā niśhchay karē̃ aur bāp kō yād kartē rahē̃ . Bābā nē tō batā diyā hai nā ki yād kartē-kartē apnā chart nikāltē rahō ki bābā key|kī yād mē̃ kitnā samay gayā . Ab yē tō bachchō̃ kō jarūr rakhnā paṛē . Bhalē likhē nahī̃  ; parantu apnē apan kō samajh tō saktē haĩ nā ki ham kitnā samay bāp kō yād kartē haĩ . ( myujik bajā ) mīṭhē-mīṭhē sikīladhē gyān sitārō̃ prati māt-pitā va bāpdādā kā dil jān , sik va prēm sē number-vār puruṣhārth anusār yād pyār aur good night .