बुधवार 23 सितंबर 1964 की साकार मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट सुन सकते हैं।
बिना इंटरनेट सुनने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
> >
23-09-1964 madhuban ābūprātaḥ murlī sākār bābā ōm śhānti madhuban
Hēlō , svadarśhan chakradhārī brāhmaṇ kulabhūṣaṇō̃ kō ham madhuban nivāsiyō̃ key|kī namastē , āj budhvār sēpṭēmbar key|kī tēīs tārīkh hai , prātaḥ class mē̃ bāpdādā key|kī murlī suntē haĩ .
Record :
Mātā ō mātā jīvan key|kī dātā …
Ōmaśānti . Bachchō̃ nē mā̃ key|kī upmā sunī . Yū̃ vāstav mē̃ upmā tō ēk key|kī hī hōnī hai . Mā̃ kō bhī jagad ambā banānē vālā phir bhī tō kōī aur hai . Janm dēnē vālā tō jarūr kōī aur hai . Tō aisī mā̃ kō bhī janm kisnē diyā ? Kahē̃gē patit-pāvan parampitā paramātmā śhiv nē diyā . Tō phir bhī mahimā chalī jātī hai ēk hī patit-pāvan parampitā gyān sāgar śhivbābā key|kī . Vō baiṭh karkē bachchō̃ kō apnā aur apnī rachnā K|kē ādi-madhy-ant kā aur patitō̃ kō pāvan karnē kā rāj samjhātē haĩ . Yē tō bachchē hī samajh gaē ki is samay mē̃ patit rājya hai , jiskō phir bhāratvāsī rāvaṇ rājya hī kahē̃gē ; kyōṅki abhī daśhaharā ātā hai nā . Yē tō bachchō̃ kō samjhāyā gayā hai ki yē andhaśraddhā K|kē utsav haĩ , kyōṅki aisē tō hai nahī̃ ki kōī ēk rāvaṇ thā aur laṅkā kā rājā thā . Laṅkā tō phir kahā jātā hai śhrī laṅkā kō . Tum jāntē hō ki yahā̃ ēk pul bhī bôdhī huī hai aur dikhlātē haĩ ki rām , jiskī sītā churāī gaī thī , yah ēk dantakathā hai . Tō yē jō bhī novels hōtē haĩ inkō bhī dantakathāē̃ kahā jātā hai . Bhārat mē̃ bhāratvāsiyō̃ kā jō śhāstra haĩ vō bhī ēk dantakathā hōtī hai . Abhī aisē tō kōī nahī̃ samajhtē haĩ ki rāvaṇ laṅkā kā rājā thā , śhrī lôn kā rājā thā . Agar kōī 10 śhīśh vālā rāvaṇ śrīlôn kā rājā thā , tō phir laṅkā mē̃ hī rāvaṇ kā effigy bhī jalātē hōṅgē , parantu bābā nahī̃ samajhtē hai ki kōī rāvaṇ key|kī effigy kōī laṅkā mē̃ jalātē hōṅgē ; kyōṅki yē yahā̃ K|kē hī haĩ . Yahā̃ dhām-dhūm sē , akhbār mē̃ bhī yahā̃ paṛtā hai ki rāvaṇ kō baṛē-baṛē mahārājā , usmē̃ bhī sabsē jāstī utsav manātē haĩ maisūr kā mahārājā . Śhāyad maisūr mē̃ unkā is dantakathā sē bahut prēm dēkhnē mē̃ ātā hai . Samajhtē tō bichārē kuchh bhī nahī̃ haĩ . Unkō samjhānā bhī tō tum bachchō̃ kā kām hai ki kyā kartē hō yē rāvaṇ kā , kyōṅki jiskā but banā karkē jalāyā jātā hai vō hōtā hai duśhman kā . Āgē jab baṛī laṛāī lagī thī tō Hitler kā effigy banā karkē jalātē thē . Ēk - dō K|kē duśhman kō . Duśhman kōī ēk manuṣhya nahī̃ hōtā hai , bahutō̃ K|kē duśhman hōtē haĩ . Jaisē nēhrū kō bhī pākistānī samajhtē thē . Tō unkī bhī effigy kahā̃-kahā̃ banā karkē jalā dī ; kyōṅki ēk manuṣhya duśhman hai . Yē rāvaṇ kiskā duśhman thā . Tō aisē siddh kartē haĩ ki yē bhārat kā duśhman thā , bhāratvāsiyō̃ kā duśhman thā , parantu duśhman kō bhī ēk daphā jalāyā jātā hai . Agar samjhō , nēhrū kō lō|low yā kōī kō bhī lō|low , agar duśhman hai tō phir her|har baras jalānī chāhiē jab talak vō jītā rahē , ēk daphā nahī̃ ; parantu kōī bhī duśhman kō baras-baras tō kōī jalātē hī nahī̃ haĩ . Bahutō̃ key|kī effigy jalātē haĩ . Dēkhō , chīn kā prēsiḍēṇṭ hōgā nā … . tō unkī bhī effigy banā karkē jalātē haĩ ; kyōṅki duśhman hai . Abhī aisē nahī̃ ki baras-baras uskā effigy jalātē rahē̃gē . Kōī baras-baras jalātē hai ? Nahī̃ . Jalāyā hōgā tō ēk-dō daphā jalāyā hōgā ; parantu yē phir kaun hai , jiskī bhārat mē̃ bahut samay sē 10 śhīśh aur bahut bhujāē̃ vālī effigy banāy jalātē rahtē haĩ ? Yē duśhman kab sē śhurū huā hai , jō martā hī nahī̃ hai ? Ākhrīn mē̃ tō yē duśhman khatm hō jāēgā yā rahēgā hī rahēgā ? Tum bachchō̃ kō bhī tō samjhānā hai nā . Tum bachchē tō jāntē hō yah duśhman jō rāvaṇ hai , vō tō na sirph bhārat kā hai , yū̃ yē kahē̃gē ki bhārat kā khās , kyōṅki bhārat hī bahut pavitra thā aur bhārat kō hī rāvaṇ nē apavitr banāyā hai . Iskō kahā hī jātā hai rāvaṇ rājya , kyōṅki kahtē thē ki laṅkā mē̃ inkā rājya thā . Tō jarūr kahē̃gē unkī kōī rānī bhī hōgī . Tō phir dikhlātē haĩ ki mandōdarī ēk unkī rānī bhī thī . Tō jaisā ki king bhī thā tō queen bhī thī . Aisē jarūr samjhā jāēgā nā ; parantu abhī yah tumhārī buddhi mē̃ ṭhahartī nahī̃ hai . Vō jō rāvaṇ sampradāy haĩ , vō tō baiṭh karkē yē bātē̃ sunē̃ . Tum jō daivī īśhvarīy sampradāy banē hō , tum tō yē nahī̃ mānē̃gē ki rāvaṇ kōī abhī talak jītā hai yā kyā hai ; kyōṅki samajhtē tō nahī̃ haĩ nā ! Vō tō bichārē samajhtē haĩ ki abhī jītā hai , tō phir uskī effigy jalātē haĩ ; kyōṅki jī rahā hai . Nahī̃ tō ēk daphā mār diyā phir khalās huā nā ! Achchhā , jitnī unkī āyu hai itnā tō bhalā jalānā chāhiē nā ! Yahā̃ tō her|har baras jalāī jātī hai . Jō bhī committee K|kē baṛē bantē haĩ , tō unkō bachchō̃ kō samjhānā chāhiē . Jaisē maisūr kā mahārājā hai . Vō tō sabsē jāstī arē . Bahut foreigners kō bhī maṅgātē haĩ dikhlānē kē liē . Tō foreigners bhī bichārē dēkhē̃gē tō aisē kahē̃gē ki bhārat mē̃ kuchh aisā huā hōgā jō yē dikhlātē haĩ . Bākī aisā kuchh huā tō hai nahī̃ . Tō novel hō gaī nā ! Ēk nāṭak banā dētē haĩ . Pūrā nāṭak bhī banātē haĩ rāvaṇ aur sītā K|kē haraṇ kā . Tō abhī tum bachchō̃ kō ēk tō rāvaṇ key|kī yah bāt samjhānī paṛtī hai . Yah tō baṛī jabardast bāt hai jō unkō samjhānā paṛē ki yah rāvaṇ kā rājya śhurū kab sē huā hai , jō jalātē ātē hō ? Jalātē ātē hō tō tum jarūr abhī rāvaṇ K|kē rājya mē̃ baiṭhē hō aur hai bhī barōbar rāvaṇ rājya ; kyōṅki patit rājya kō hī rāvaṇ rājya kahtē haĩ aur pāvan rājya kō hī rām rājya kahtē haĩ . Rām rājya aur rāvaṇ rājya , sō tō tum bachchō̃ kō samjhāyā gayā hai ki barōbar half and half hai . Rāvaṇ kahā hī jātā hai 5 vikār kō . Rāvaṇ kōī aur chīj nahī̃ hai , jinkō jalānē key|kī chīj hai . Tum rāvaṇ kā effigy banākar phir thōṛē hī jalānē vālē hō . Nahī̃ , yahā̃ tō jō bhī rāvaṇ key|kī sampradāy , āsurī sampradāy haĩ vō sabhī jal jānē vālī haĩ . Samjhā nā ! Kōī laṛāī kī tō bāt hī nahī̃ rahtī hai ki kōī rām K|kē bandarō̃ key|kī aur rāvaṇ K|kē asurō̃ key|kī laṛāī lagī thī . Aisē tō nahī̃ kahē̃gē nā kyōṅki yah gāī huī hai ki rāvaṇ key|kī aur rām key|kī yānī āsurī sampradāy key|kī aur daivī sampradāy key|kī laṛāī lagī thī . Rām kō tō daivī sampradāy kahē̃gē . Abhī aisē tō kōī laṛāī lagī nahī̃ hai . Samjhānā paṛē ki agar rāvaṇ jītā hai tō phir rāvaṇ kā rājya ṭhaharā|ṭhahrā . Tō jarūr yē rāvaṇ sampradāy ṭhaharē , kyōṅki rāvaṇ hai patit banānē vālā aur rām hai pāvan banānē vālā . Tō jarūr patit bhī kōī banātē haĩ nā . Tō tum jāntē hō ki barōbar yē rāvaṇ , jō sarvavyāpī hai , 5 vikār jō sarvavyāpī haĩ , unkō hī rāvaṇ kahā jātā hai . Agar kōī kahē ki hā̃ , mērē mē̃ īśhvar virājmān hai . Tō tum yah samajh saktē hō ki jismē̃ īśhvar virājmān hōgā vō hōgā daivī sampradāy . Unkō āsurī sampradāy tō kah hī na sakē . Tō inkō samjhāyē̃ kaisē ? Tum bachchō̃ nē āgē daśhaharē mē̃ chitra tō nikālē thē . Yē nikālē thē ki bhaī , yē hai rāvaṇ sampradāy . Abhī unmē̃ tithi-tārīkh bhī ḍālnī paṛē . Yē rāvaṇ sampradāy abhī talak bhī hai ; kyōṅki har ēk manuṣhya mē̃ jō 5 vikār haĩ vō hī rāvaṇ hai aur aisī jō sampradāy hai unkā hī vināśh hōtā hai , unkō hī patit kahā jātā hai . Tō tum jāntē hō ki barōbar ātē bhī haĩ ki patit kō vināśh karō aur pāvan key|kī sthāpanā karō . Tō dēkhō , tum pāvan ban rahē hō aur jāntē hō ki barōbar ham puruṣhārth kar rahē haĩ . Pāvan bhī kab banē̃gē ? Kab mālūm paṛēgā ki tum sabhī pāvan ban gaē ? Jab tum pāvan ban jāēṅgē tab phir yē jō rāvaṇ sampradāy hai unkō āg lagēgī . Pīchhē satyug mē̃ tō kōī effigy nahī̃ banāēṅgē nā . Vahā̃ tō rāvaṇ sampradāy hōtī nahī̃ hai , tō phir vahā̃ unkī effigy nahī̃ banānī paṛēgī . Pīchhē tō sabhī pāvan hō jāē̃gē . Tō kaun pāvan hōṅgē ? Jarūr kahē̃gē ātmā pāvan hōtī hai . Tō ātmā pāvan bannī hai , kyōṅki patit hai . Uskō hī kahā jātā hai ki barōbar yah jō ātmā hai , usmē̃ jō tākat satōpradhān kī thī yānī jāgtī jyōt thī , patit bannē sē phir vō jyōt ujhānī gaī hai arthāt ātmā aisī chīj nahī̃ hai jyōt vagairah yah samajhnē key|kī bāt hai ki maĩ ātmā abhī patit ban gayā hū̃ mērē mē̃ abhī uṛnē key|kī tākat nahī̃ hai , kyōṅki 5 vikār sē yē ātmā iron aged hō gaī hai . Jyōti ādi key|kī bahut bātē̃ samjhānē sē manuṣhya bahut mūñjh bhī paṛtē haĩ . Tō unkō yah jarūr samjhānā hai ki ātmā kō jāgr̥it karnē vālā … yē tō sabhī kahtē haĩ ki barōbar … jyōti svarūp parampitā paramātmā āē̃gē . Jyōti svarūp tō tum bhī hō aur parampitā paramātmā bhī hai , kyōṅki bachchē hī tum unkē hō . Tō tumhārī jyōti , jō tākat hai vō jaisē ki ujhiyānī huī hai ; kyōṅki khād paṛ gaī hai . Bākī jā karkē ēkdam jūrī jaisē phir dr̥iṣhṭānt dētē haĩ ki jab manuṣhya martē haĩ tō 12 din dīvā jagātē haĩ . Unkī baṛī sambhāl kartē haĩ . Tum jāntē hō ki barōbar ghī ḍālnē sē bahut achchhā jaltā hai . Pīchhē mandā hōkar bākī ujhān K|kē taraph hōtē haĩ jō phir jā karkē ghī ḍāltē haĩ . Aisē hōtē haĩ nā ! Tō yah ātmā key|kī bhī aisē hī hai . Bāp abhī ā karkē yē gyān sē jyōt jagātē haĩ . Kahtē hai nā - tum gyān sē jyōt jagāī bābā nē . Phir yē jagī huī jyōti kitnā samay chaltī hai ? Vō tō subah kō jagātē haĩ , phir bhī ēk dō daphā ghī ḍāltē haĩ . Nahī̃ rāt kō jagātē haĩ . Jab martē haĩ tō vō sārā din jagātē rahtē haĩ . Tō abhī tum yē jāntē hō ki abhī tumhārī jyōti jag rahī hai . Jagtē-jagtē full jag jāēgī . Phir us jyōt kō bujhnē mē̃ tumkō 5000 varṣh lag jātē haĩ . Jabki phir bāp āy karkē tumhārē mē̃ gyān kā ghr̥it ḍālē̃ . Samjhā ! Abhī tum har ēk jīv ātmā key|kī jyōt jag rahī hai . Achchhā , phir yē jyōt uṛānē mē̃ yānī bahut cum|kam ā jāēgī , jab gyān ghr̥it ḍālē̃ . Phir unkō 5000 varṣh lag jātē haĩ ; kyōṅki phir jyōt ujhātī jātī hai , kalāē̃ cum|kam hī hōtī jātī haĩ ; kyōṅki ēk janm past huā , thōṛī kalā cum|kam . Bahut thōṛī-thōḍī kalā aisē kamtī hōtī jātī hai . Abhī tum jāntē hō ki abhī hamārī jyōt jagtī hai . Phir yahā̃ bhārat mē̃ satyug mē̃ ghar-ghar mē̃ sōjharā hōgā . Bhārat key|kī bāt hai nā ! Dīpāvalī bhī bhārat mē̃ manāī jātī hai . Tum jāntē hō ki abhī tō ghar-ghar mē̃ andhiyārā hai . Khuśhiyā̃ tō kōī hai nahī̃ bilkul hī . Khuśhī tō satyug mē̃ hōtī hai . Kalahayug mē̃ khuśhī tō hōtī nahī̃ hai . Tō tum jāntē hō ki ham khuśhī sē satyug sē lē karkē trētā tak bahut khuśhī manātē haĩ ; kyōṅki jyōt bahut achchhī jagī hai . Bahut thōṛī-thōṛī kamtī hōtī jātī hai . Phir jab rāvaṇ rājya ātā hai tab tō jaldī-jaldī sē cum|kam hōtē-hōtē is samay mē̃ jaisē ujhiyānī paṛī hai . Yānī khād paṛ gayā hai . Ab yē sab tumhārī buddhi mē̃ tō achchhī tarah sē hai nā . Achchhā , phir bāp ā karkē tumhārī ātmā mē̃ gyān kā ghr̥it ḍāltē haĩ . Iskō phir ghr̥it kahtē haĩ ; parantu apan tō knowledge hī kahē̃gē ki bāp ā karkē hamkō phir sē jāgtī jyōt banātē haĩ . Ab phir hamārī gyān key|kī chakṣhu khul jātī hai . Tō dēkhō , kitnī tumhārī gyān key|kī chakṣhu khul gaī hai ki barōbar ab ham , jō hamārī sārī kalā-kāyā khalās hō gaī hai arthāt rāhū kā grahaṇ lag gayā hai , ham bilkul hī kālē ban gaē haĩ . Rāṣṭra kā grahaṇ yahā̃ tō ghaṛiyā̃ dikhlātē haĩ ki phalānī ghaṛī sē śhurū hōgā , phalānī ghaṛī mē̃ band hōgā . Tumhārā jō yē rāṣṭra kā , māyā kā kālā hōnē kā grahaṇ hai , iskō kahā hī jātā hai rāṣṭra kā grahaṇ candramā-sūrya kō kālā karnē kā hōtā hai . Kōī dūsrā raṅg nahī̃ , kālā . Tō tum jāntē hō ki tumkō kālā hōnē mē kitnā samay lagtā hai . Śhurū sē lē karkē thōṛā-thōṛā phir jab māyā ātī hai nā tō bahut kālē bannē śhurū hō jātē hō . Phir kahē̃gē ki is samay sē rāvaṇ ā karkē ; kyōṅki rāvaṇ kō hī rāhū kī daśhā kahē̃gē . Tō tumhārē ūpar rāhū kī daśhā hai . Rāhū kī daśhā hai sabsē kaṛī aur sabsē achchhī hai br̥haspat key|kī daśhā . Tō tumkō abhī br̥haspat key|kī daśhā mil rahī hai practical mē̃ yānī tum paṛhtē hō , puruṣhārth kartē hō . Kyā bannē kē liē ? Yē viśhva kā mālik bannē kē liē . Kis dvārā ? Vr̥ikṣhapati vā br̥ihaspati , phir guru bhī tō hai nā ! Vr̥ikṣhapati br̥ihaspati aur vō hai guru . Kaun-sā guru ? Avināśhī guru . Avināśhī guru kiskā ? Avināśhī ātmāō̃ kā . Vō jō manuṣhya haĩ vō manuṣhya kōī ātmā kā guru vāstav mē̃ nahī̃ bantē haĩ , vō tō manuṣhya manuṣhya kā guru bantē haĩ . Tumhārī ātmā kā ā karkē guru kaun banā hai ? Vr̥ikṣhapati parampitā paramātmā . Yah tō tum hī samajhtī hō ki barōbar hamārē ūpar abhī br̥ihaspati kī daśhā hai . Svarg K|kē tum mālik banē̃gī , yē tō jarūr hai . Sukh tō avināśhī hai ; parantu us sukh mē̃ bhī puruṣhārth key|kī jarūrat hai ki ham us sukhdhām K|kē mahārājā banē̃ , mahārānī banē̃ yā kyā banē̃ , kyōṅki school mē̃ puruṣhārth tō har ēk kā apnā chaltā hai nā . Tō yē hō gayā school . Inkō gītā-pāṭhaśālā kahā jātā hai . Kiskī pāṭhśhālā ? Yē rudra key|kī yā śhiv key|kī ; kyōṅki gyān sāgar hai nā . Tō tum abhī us gyān sāgar key|kī pāṭhśhālā mē̃ paṛh rahē hō . Yānī parampitā paramātmā , jō bhagvānuvāch tumkō rājyōg sikhalāy rahē haĩ . Kaun sikhlā rahē haĩ ? Bābā sikhalāy rahē haĩ . Kaun-sā bābā ? Hamārā avināśhī ātmāō̃ kā avināśhī bābā . Bābā nē samjhāyā hai ki ēk hai jismānī bābā , ēk hai rūhānī bābā . Abhī dōnō̃ kā kônaṭrāsṭa bhī tum bachchō̃ kō batānā hai ki rūhānī bābā kab miltē haĩ , jiskō rūh bhaktimārg mē̃ yād kartē rahtē haĩ . Sabhī jō bhī bhagat haĩ vō dō bāp kō jāntē haĩ . Ēk jismānī , jiskō kahē̃gē vināśhī bāp . Ghaṛī-ghaṛī vināśh hōtē haĩ nā . Ātmā tō vināśh nahī̃ hōtī . Abhī ātmā kahtī hai . Ātmā samajh gaī ki barōbar hamārā jō laukik bāp yānī jismānī bāp hai , vō tō ham badaltē ātē haĩ . Satyug sē lē karkē ham bāp badaltē ātē haĩ . Yānī bāp bigar tō bachchē kā janm nahī̃ huā . Yah samajhnē key|kī pvāiṇṭ C haĩ , kyōṅki viśhāl buddhi milī nā . Ham kab sē dō bāp vālē bantē haĩ ? Tum jāntē hō ki satyug mē̃ ēk bāp rahtē haĩ aur unkō hī yād kiyā jātā hai . Unkō tō kōī yād hī nahī̃ kartē haĩ ; kyōṅki ātmā kō yād karnē key|kī unkī darkār nahī̃ rahtī hai , kyōṅki ātmā kō satyug mē̃ apnā śharīr jō miltā hai vō gōrā miltā hai aur prālabdh kā śharīr miltā hai , isliē vō bāp kō nahī̃ yād kartī hai . Abhī is samay mē̃ bhaktimārg mē̃ tumkō samjhānā jarūr hai . Tumhārā ēk laukik bāp hai , vō hai vināśhī . Ghaṛī-ghaṛī tumkō nayā bāp jarūr miltā hai jab śharīr chhōṛtē hō . Vō tō hō gayā vināśhī bāp . Tum jō ātmā avināśhī hō , vō avināśhī bāp kō bhī yād kartē hō . Tumkō jab duḥkh lagtā hai tab kahtē hō ō parampitā ! Uskā nām hī hai paramdhām mē̃ rahnē vālā pitā . Laukik pitā kō kabhī parampitā nahī̃ kahē̃gē . Samjhānā tō bahut jarūrī hai . Tumkō tō abhī samjhānā hai , satyug key|kī bāt tō pīchhē rahēgī . Abhī tumkō samjhānā jarūr hai . Rāvaṇ kē liē tō tumkō samjhānā hī hai . Tumkō phir yah … nikālnā hai . Samjhānā hai ki rāvaṇ rājya abhī hai yānī patit rājya hai aur patit kō pāvan karnē vālē kō bulā rahē haĩ . Tō kaun hai ? Vō hai avināśhī bāp . Bachchō̃ kō dō bāp jarūr siddh karnā hai aur inmē̃ hī sārā rāj hai . Barōbar … ātmā tō avināśhī hai hī . Unkā bhī bāp hai jarūr . Vināśhī bāp kō bhī tō yād kartē haĩ ; kyōṅki unkā tō laukik bāp hai hī . Phir paralaukik parampitā kō bhī yād kartē haĩ . Unkō parampitā nahī̃ kahē̃gē , unkō parampitā kahē̃gē . Her|har janm mē̃ , jab bhī dūsrē bāp miltē haĩ tabhī bhī unkō jarūr yād kartē haĩ . Vō badalnē vālā nahī̃ hai , unkā nām-rūp badal jātā hai . Unkō jō yād kartē ātē haĩ , kabhī badaltē nahī̃ haĩ . Bāp apnē liē hī kahtē haĩ ki tum barōbar mujhē yād kartē āē hō - hē parampitā ! Phir kah dētē hō ' paramātmā . Param ātmā yānī paramātmā . Unkō yād kartē ātē hō jarūr . Kab tak tumkō yād karnā hai , kab tumkō milnā . vō tō tum jān gaē hō . Tō barōbar jab kalahayug kā ant hōtā hai , bhaktimārg kā ant hōtā hai tab vō bhaktō̃ kō phal dēnē kē liē ātē haĩ , kyōṅki phir bhakti khatm hō jātī hai . Bhaktō̃ kō kyā phal dētē haĩ ? Bāp nē tō samjhāyā hai ki barōbar sab bhaktō̃ kō ham mukti va jīvanmukti dētā hū̃ . Bākī jīvanmukti hī kahē̃gē , kyōṅki mukti bhī kahnā hōtā hai , jīvanmukti bhī kahnā hōtā hai . Unkō hī patitō̃ kō pāvan banānā hai . Yē jāntē hō ki barōbar satyug mē̃ ēk dharm hōtā hai arthāt unkō kahē̃gē oneness . Yē jō kahtē haĩ nā oneness hōnī chāhiē , sabhī mil jāvē̃ . Abhī sabhī dharm tō oneness nahī̃ hō saktē haĩ nā . Jab ēk rājya hō jātā hai tab pavitratā bhī hai , śhānti bhī hai tō sukh bhī hai aur bhārat mē̃ thā jarūr . Phir us samay mē̃ tō kōī rāvaṇ nahī̃ jalāy saktē hōṅgē ; kyōṅki duḥkh dēnē vālī kōī chīj hī nahī̃ hai . Yē tō rāvaṇ rājya hai isliē rāvaṇ kō jalātē rahtē haĩ . Tō tumkō yah jarūr sabkō samjhānā hai ki dō bāp siddh kar dēnā hai ki ēk avināśhī ātmā kā bāp ; kyōṅki ātmā bhī avināśhī tō bāp bhī avināśhī aur ātmā . vināśhī bāp hōtē bhī unkō jarūr yād kartī hai . Yah bahut achchhī tarah sē buddhi mē̃ ḍālō ki bhaktō̃ K|kē dō bāp jarūr haĩ . Sab bhagat haĩ , sādhu bhī bhagat haĩ , sab bachchē bhagat haĩ , kyōṅki yē hai hī bhakti kaṭ . Iskō kahā hī jāēgā brahmā key|kī rāt . Dō bāp kā samjhānē sē phir samajhē̃gē vō bāp hai hī avināśhī . Uskō kahā hī jātā hai naī duniyā rachnē vālā bāp . Tō hō jāēgā new world . Kyā rachnē vālā ? Naī duniyā . Naī duniyā mē̃ tō dēvī-dēvatāē̃ thē . Phir vahā̃ duniyā naī sē purānī bantī hai . Dēkhō , tum purānī banē hō nā ! Ab 84 janm kā hisāb karē̃gē - naī duniyā mē̃ hamārē kitnē janm bītē , purānī duniyā mē̃ kitnē janm bītē . Yē tō kōī samajh nahī̃ saktē haĩ ; kyōṅki 84 janm kā hisāb paṛā huā hai . Aisē bhī nahī̃ kōī kahē̃gē ki 84 janm half and half hōnā chāhiē . 42 naē-naē , 42 purānē . Nahī̃ . Phir samjhātē haĩ - yahā̃ tumhārī āyu baṛī hai aur bhārat mē̃ gāyā jātā hai ki āgē bhārat key|kī average āyu savā sau varṣh yā ḍēḍh sau varṣh thī . Abhī bhārat key|kī hī āyu kō kahtē haĩ ki 35 varṣh huī . Aisē hō nahī̃ saktā hai ki half and half hō saktī hai … kyōṅki 84 kā tō hisāb chāhiē nā . Mukhya bāt hai ki bābā nē ā karkē kahā hai ki bachchē , tumhārā 84 kā chakkar pūrā huā . 84 janm kō tum bachchē nahī̃ jāntē hō , ham tumkō baiṭh karkē samjhātē haĩ . 84 K|kē janm kō sivāy parampitā paramātmā K|kē kōī samjhā tō nahī̃ sakē nā . Yē drama hai nā , uskō bhī tō samajhnā jarūr hai . Manuṣhya samajhē̃gē bēhad kā drama . 84 janm kā chakkar bhī manuṣhya jānē̃gē , parantu kōī jāntē nahī̃ haĩ … . Bāp khud kahtē haĩ maĩ tumkō 84 janm kā rāj samjhātā hū̃ . Kitnā baṛā achchhā rāj hai . Tum kitnē khuśh hōtē hō . Hā̃ , abhī 84 pūrā huā , abhī chalō ham apnē dhām mē̃ chalē̃ . Iskē liē puruṣhārth karnā hai jarūr . Nāṭak pūrā hōtā hai yē tum samajhtē hō . Duniyā nahī̃ samajhtī hai . Vō samajhtē haĩ nāṭak pūrā hōnē mē̃ 40 hajār varṣh paṛē haĩ . Isliē vō bichārē ghōr andhiyārē mē̃ haĩ . Tō unhē̃ tumkō jagānā hai . Achchhā , ṭōlī lē āō . … bhagvān kahā hī jātā hai parampitā kō . Bhagvān unkō hī kahē̃gē . Tum barōbar kahtē hō bābā . Śhiv kō bābā hī kahā jātā hai . Tō bābā jarūr varsā dēgē nā . Tō dēkhō , kaisē varsā dētē haĩ . Kaisē rājyōg sikhlātē haĩ . … unkō sarvavyāpī nahī̃ kahtē haĩ . Jō baṛā bābā hai unkō sarvavyāpī kah dētē haĩ . Bhūl hai nā . 5 vikār sarvavyāpī haĩ . Uskē badalē|badlē mē̃ yah lōg bhūl karkē kah dētē haĩ īśhvar sarvavyāpī . Aisē hī jaisē bachchē hōtē haĩ nā , nahī̃ jāntē haĩ .
Mīṭhē-mīṭhē sikīladhē bachchō̃ prati māt-pitā , bāpdādā kā yathā yōg , yathā service tathā yād aur pyār . Tō jitnī jō bahut service kartē rahē̃gē vō bāp kō bhī yād kartē rahtē haĩ , kyōṅki dūsrō̃ kō bāp kī yād dilātē haĩ . Abhī yah dō bāp key|kī tō yād dilānī hai nā . Ēk aur dūsrā . Jō mērī jāstī yād dilātē haĩ vō mērā jāstī sarvisēbul bachchā hai . Tō kahtē haĩ number-vār sarvisēbul bachchō̃ kō yādpyār aur good morning .