159 - nā vō hamsē judā hōṅgē

Murli Songs

to listen to it offline.

Hindi is also shown in Latin characters, using an adapted form of ISO 15919 transliteration.

How to read the transliteration

This site uses transliteration based on ISO 15919, with a few adaptations to make reading easier: h is added after c, ś and ṣ, and i after the vowel r̥. These adaptations bring it closer to the Hunterian system used in India while retaining the distinctive marks of ISO 15919.

Adaptations used on this site
ISO 15919On this site
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

A few reading pointers:

  • ā, ī, ū: the line above the letter indicates a long vowel.
  • ṭ, ḍ, ṇ: the dot below distinguishes retroflex consonants from t, d, n.
  • A tilde above a vowel indicates nasalisation.

Transliterated Hindi

nā vō hamsē judā hōṅgē
nā vō hamsē judā hōṅgē
nā ulfat dil sē hāy dil sē nikalēgī
nā ulfat dil sē nikalēgī
lagī hai ās jō dil mē̃
baṛī muśhkil sē nikalēgī
baṛī muśhkil sē nikalēgī

unhī̃ kē thē unhī̃ kē haĩ
unhī̃ par mar miṭēṅgē ham
unhī̃ par mar miṭēṅgē ham
bahut pachhatāēgā zālim zamānā
hamkō dēkar ġam
zamānā hamkō dēkar ġam
sitam jitnē bhī haĩ sab
ḵẖāk mē̃ mil jāē̃gē us dam
mōhabbat bankar jab hamārē dil sē nikalēgī
hamārē dil sē nikalēgī
nā vō hamsē judā hōṅgē
nā ulfat dil sē hāy dil sē nikalēgī
nā ulfat dil sē nikalēgī

jigar hai ṭukṛē ṭukṛē
ġam nē aisā tīr mārā hai
ġam nē aisā tīr mārā hai
arē ō dil kē mālik
dil kō ab tērā sahārā hai
dil kō ab tērā sahārā hai
hamē̃ barbādiyō̃ kā ġam nahī̃
agar tū hamārā hai
tērā hī nām lēgī jō sadā is dil sē nikalēgī
sadā is dil sē nikalēgī
nā vō hamsē judā hōṅgē
nā vō hamsē judā hōṅgē
nā ulfat dil sē hāy dil sē nikalēgī
nā ulfat dil sē nikalēgī

← Back to songs