10 - rājā satyavān ā pahuñchē śhivbābā kē madhuban mē̃

Madhuban Songs -02

to listen to it offline.

Hindi is also shown in Latin characters, using an adapted form of ISO 15919 transliteration.

How to read the transliteration

This site uses transliteration based on ISO 15919, with a few adaptations to make reading easier: h is added after c, ś and ṣ, and i after the vowel r̥. These adaptations bring it closer to the Hunterian system used in India while retaining the distinctive marks of ISO 15919.

Adaptations used on this site
ISO 15919On this site
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

A few reading pointers:

  • ā, ī, ū: the line above the letter indicates a long vowel.
  • ṭ, ḍ, ṇ: the dot below distinguishes retroflex consonants from t, d, n.
  • A tilde above a vowel indicates nasalisation.

Transliterated Hindi

rājā satyavān ā pahuñchē śhivbābā kē madhuban mē̃
huā hārdik svāgat unkā pāṇḍav bhavan kē prāṅgaṇ mē̃

kitnā sundar kitnā virāṭ hōgā rachnākār
kitnā sundar kitnā virāṭ hōgā rachnākār
rachā hai jisnē itnā sundar
rachā hai jisnē itnā sundar
viśhāl yē sansār
kaun vō virāṭ rachnākār
kaun vō virāṭ rachnākār
kitnā sundar kitnā virāṭ hōgā rachnākār

āṅkh binā jō sabkuchh dēkhē̃
raṅg binā jō raṅg bharē
āṅkh binā jō sabkuchh dēkhē̃
raṅg binā jō raṅg bharē
aisī adbhut prabhu śhakti kā varṇan kaisē kōī karē
nirākār vō chitrakār hai nirākār vō chitrakār hai
sabkā sarjanhār
kaun vō virāṭ rachnākār
kaun vō virāṭ rachnākār
kitnā sundar kitnā virāṭ hōgā rachnākār

sajīv mūrat vō banāē jismē mūrtikār vō dhany hai
sajīv mūrat vō banāē jismē mūrtikār vō dhany hai
sabhī śhaktiyō̃ sē baṛhkar vō īśhvar śhakti anany hai
guṇ gāō us mahāśhakti kē jiskī śhakti apār
kaun vō virāṭ rachnākār
kaun vō virāṭ rachnākār
kitnā sundar kitnā virāṭ hōgā rachnākār
kitnā sundar kitnā virāṭ hōgā rachnākār

← Back to songs