06 - sadā khuśh rahō muskurātē rahō

Devotional Songs-09

to listen to it offline.

Hindi is also shown in Latin characters, using an adapted form of ISO 15919 transliteration.

How to read the transliteration

This site uses transliteration based on ISO 15919, with a few adaptations to make reading easier: h is added after c, ś and ṣ, and i after the vowel r̥. These adaptations bring it closer to the Hunterian system used in India while retaining the distinctive marks of ISO 15919.

Adaptations used on this site
ISO 15919On this site
cch
śśh
ṣṣh
r̥r̥i

A few reading pointers:

  • ā, ī, ū: the line above the letter indicates a long vowel.
  • ṭ, ḍ, ṇ: the dot below distinguishes retroflex consonants from t, d, n.
  • A tilde above a vowel indicates nasalisation.

Transliterated Hindi

sadā khuśh rahō muskurātē rahō
sadā khuśh rahō muskurātē rahō
khazānā ḵẖuśhī kā luṭātē rahō
khazānā ḵẖuśhī kā luṭātē rahō
gātē rahō gungunātē rahō
gātē rahō gungunātē rahō
milan pyārē prabhu sē manātē rahō
milan pyārē prabhu sē manātē rahō
sadā khuśh rahō

achchhā huā jō huā kyũ ḍarē̃
achchhā hī hōgā phikar kyũ karē̃
achchhā huā jō huā kyũ ḍarē̃
achchhā hī hōgā phikar kyũ karē̃
har bāt mē̃ sabkā kalyāṇ hai
har bāt mē̃ sabkā kalyāṇ hai
khuśhī kā maram yē sunātē rahō
sadā khuśh rahō muskurātē rahō
khazānā ḵẖuśhī kā luṭātē rahō
sadā khuśh rahō

chalō kuchh kahā kisnē kyā hō gayā
khuśhī khō gayī mānō sab khō gayā
chalō kuchh kahā kisnē kyā hō gayā
khuśhī khō gayī mānō sab khō gayā
khuśhī jaisī kōī davā hī nahī̃
khuśhī jaisī kōī davā hī nahī̃
yē amr̥it hai sabkō pilātē rahō
gātē rahō gungunātē rahō
milan pyārē prabhu sē manātē rahō
sadā khuśh rahō

yādō̃ mē̃ prabhu kē hai sachchī khuśhī
yē sēvā baṛī hai duāō̃ bharī
yādō̃ mē̃ prabhu kē hai sachchī khuśhī
yē sēvā baṛī hai duāō̃ bharī
yē muskān vardān bhagvān kā
yē muskān vardān bhagvān kā
nāchō khuśhī mē̃ nachātē rahō
sadā khuśh rahō muskurātē rahō
khazānā ḵẖuśhī kā luṭātē rahō
gātē rahō gungunātē rahō
milan pyārē prabhu sē manātē rahō
sadā khuśh rahō

← Back to songs