बुधवार 19 दिसंबर 1979 की अव्यक्त मुरली
सहेजा जा रहा है…
अब आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
आप यह मुरली बिना इंटरनेट पढ़ सकते हैं।
बिना इंटरनेट पढ़ने के लिए ।
हिंदी को ISO 15919 पर आधारित अनुकूलित लिप्यंतरण के साथ रोमन अक्षरों में भी दिखाया जाता है।
लिप्यंतरण कैसे पढ़ें
यह साइट ISO 15919 पर आधारित लिप्यंतरण का प्रयोग करती है। पढ़ना आसान बनाने के लिए c, ś और ṣ के बाद h तथा स्वर r̥ के बाद i जोड़ा जाता है। इन बदलावों से यह भारत में प्रयुक्त हंटरियन प्रणाली के करीब आता है, जबकि ISO 15919 के विशिष्ट चिह्न बने रहते हैं।
| ISO 15919 | इस साइट पर |
|---|---|
| c | ch |
| ś | śh |
| ṣ | ṣh |
| r̥ | r̥i |
पढ़ने के कुछ संकेत:
- ā, ī, ū: अक्षर के ऊपर की रेखा दीर्घ स्वर दर्शाती है।
- ṭ, ḍ, ṇ: नीचे का बिंदु मूर्धन्य व्यंजनों को t, d, n से अलग करता है।
- स्वर के ऊपर टिल्ड चिह्न अनुनासिक उच्चारण दर्शाता है।
>
19-12-79 ōm śhānti avyakt bāpadādāmadhuban
Sahaj yād kā sādhan - svayã kō khudāī khidmatgār samjhō
Bāp-dādā āj apnē sahyōgī vā sahajyōgī bachchō̃ kō , jinkā nām hī hai - khudāī khidmatgār , aisē bachchō̃ kō dēkh sadā harṣhit hōtē haĩ . Khudāī khidmatgār arthāt jō khudā va bāp nē khidmat arthāt sēvā dī hai usī sēvā mē̃ sadā tatpar rahnē vālē . Bachchō̃ kō yah bhī viśhēṣh naśhā hōnā chāhiē ki ham sabhī kō khudā nē jō khidmat dī hai , ham usī sēvā mē̃ lagē huē haĩ . Kārya kartē huē , jisnē kārya diyā hai , uskō kabhī bhūlā nahī̃ jātā . Chāhē sthūl karttavya bhī karnē hō lēkin yah karmaṇā sēvā bhī khudāī khidmat hai . Direct bāp direction diyē haĩ tō karmaṇā sēvā mē̃ bhī yah smr̥iti rahē ki bāp K|kē direction K|kē anusār kar rahē haĩ tō kabhī bhī bāp kō bhūl nahī̃ sakē̃gē . Jaisē kōī viśhēṣh ātmā sē kōī viśhēṣh kārya miltā hai - jaisē āj kal kā president agar kisī kō kahē ki tumhē̃ yah kārya karnā hai tō vah vyakti us kārya kō kartē huē president kō kabhī nahī̃ bhūlēgā . Sahaj aur svataḥ hī uskī yād rahēgī . Na chāhtē huē bhī sāmnē vahī ātā rahēgā . Aisē āp sab kō yah kārya ūñcē-sē-ūñcē bāp nē diyā kārya kartē huē dēnē vālē kō bhūl kaisē sakē̃gē ? Tō sahaj yād kā sādhan hai - sadā svayã kō khudāī khidmatgār samjhō .
Pattē-pattē kō bhagvān hilātā hai - is gāyan kā rahasya
Bhakti mārg mē̃ binā samajh K|kē bhī kahāvat hai aur unkī mānyatā bhī hai agar pattā bhī hil rahā hai us pattē kō hilānē vālā bhī bāp hai . Lēkin is rahasya kō āp jāntē hō ki un pattō̃ kō bāp nahī̃ hilātā lēkin drama anusār yah sab chal rahā hai . Yah gāyan kōī sthūl pattō̃ sē nahī̃ lagtā , lēkin kalpa vr̥ikṣha K|kē āp sab pahlē pattē hō . Saṅgamyugī āp sab golden aged pattē jō bāp dvārā lōhē sē pāras ban gayē hō , in chaitanya pattē kō is samay direct bāp chalā rahē haĩ . Bāp key|kī direction hai ki saṅkalp bhī jō bāp kā hō , vah āpkā saṅkalp hō . Her|har saṅkalp bāp-samān , her|har bōl bāpasamān , her|har karma bāp-samān hō arthāt isī śhrīmat K|kē ādhār par āp sabhī kā saṅkalp chaltā hai . Tō is samay āp sabh pattō̃ kō śhrīmat K|kē ādhār par her|har samay bāp chalā rahē haĩ . Pattē-pattē kō hilā rahā hai arthāt chalā rahā hai . Agar śhrīmat K|kē sivāē saṅkalp bhī kartē hō tō vah vyarth saṅkalp hō jātā hai tō yah jō kahāvat hai , vah bhakti K|kē samay key|kī nahī̃ lēkin saṅgam samay kā gāyan hai . Tō āp sabhī pattē bāp key|kī śhrīmat par hī hil rahē hō arthāt chal rahē hō nā . Aisē hī chal rahē hō nā ? Chalānē kā kām bhī bāp kā , phir bhī itnā muśhkil kyō̃ lagtā hai ? Bōjh sārā bāp nē lē liyā phir bhī sadā uṛtē kyō̃ nahī̃ hō ? Halkī chīz tō sadā ūpar uṛtī hai . Itnē halkē jō her|har saṅkalp bhī bāp chalāyēṅgē tō chalānā hai . Jaisē chalāyēṅgē vaisē chalē̃gē yah sabhī kā vāydā hai aur bāp key|kī guarantee hai ki chalāyēṅgē . Tō buddhi kō kyā order diyā huā hai ? Buddhi kō bāp nē kyā kārya diyā hai - uskō jāntē hō nā ? Buddhi K|kē baiṭhnē kā sthān bāp kē pās mē̃ hai . Karttavya viśhva sēvā kā hai . Tō jō vāydā kiyā hai jahā̃ biṭhāyēṅgē jaisē chalāyēṅgē vaisē chalē̃gē . Śharīr sē yā buddhi sē ? Tan kē sāth man bhī diyā hai yā sirph tan diyā hai ? Tan aur buddhi sē jahā̃ biṭhāyē̃ , jaisē chalāyē̃ , jō karāyē̃ , jō khilāyē̃ , vahī̃ karē̃gē - yah vāydā kiyā huā hai nā ? Tō buddhi kā bhōjan hai - śhuddha saṅkalp . Jō khilāē̃ vahī khāyēṅgē - yah vāydā hai tō phir vyarth saṅkalp kā bhōjan kyō̃ kartē hō ? Jaisē mukh dvārā tamōguṇī bhōjan , aśhuddh bhōjan nahī̃ khā saktē hō , aisē hī buddhi dvārā vyarth saṅkalp vā vikalp kā aśhuddh bhōjan kaisē khā saktē hō ? Jō khilāyēṅgē , vah khāyēṅgē phir tō yah wrong hō jātā hai . Kahnā aur karnā samān karnē vālē hō nā ? Tō man buddhi kē liē sadā yah bhī vāydā yād rakhō tō sahaj yōgī ban jāvēṅgē . Bāp nē kahā aur kiyā . Apnā bōjh apnē ūpar na rakhō . Kaisē karū̃ , kaisē chalū̃ , is bōjh sē halkē hōkar K|kē ūñchī sthiti par jā nahī̃ saktē hō . Isliē śhrīmat sē saṅkalp tak bhī chaltē chalō tō mēhnat sē bach jāōgē .
Milāvaṭ sē bhārīpan
Kaī bachchō̃ key|kī mēhnat K|kē bhinn-bhinan pose bāp-dādā dēkhtē rahtē haĩ . Sārē din mē̃ anēk bachchō̃ K|kē anēk pose dēkhtē haĩ . Automatic camera hai . Science vālō̃ nē sab vatan sē hī tō kāpī kī hai . Kabhī vatan mē̃ ākar dēkhnā kyā-kyā chījē̃ vahā̃ hai . Jō chāhiē , vah hājir milēgī . Āp sab kahē̃gē ki mãgāō . Bāp pūchhtē haĩ vatan kō dēkhnā chāhtē hō yā rahnā chāhtē hō . ( trial karē̃gē ) śhak hai kyā jō trial karē̃gē ? Āp sabkō bulānē kē liē hī brahmā bāp rūkē huē haĩ . Tō kyō̃ nahī̃ sampann ban jātē hō . Bahut sahaj hī sampann ban saktē hō , lēkin dvāpar sē mix karnē K|kē saṅskār bahut rahē haĩ . Pahlē pūjā mē̃ mix kiyā , dēvtāō̃ kō bandar kā mũh lagā diyā . Śhāstrō̃ mē̃ mix kiyā jō bāp key|kī jīvan-kahānī mē̃ bachchē key|kī jīvan-kahānī mix key|kī . Aisē hī gr̥ihasthī mē̃ pavitra pravr̥itti kē bajāē apavitratā mix kar dī . Abhī bhī śhrīmat mē̃ man mat mix kar dētē hō . Isliē mix hōnē K|kē kāraṇ , jaisē real sōnā halkā hōtā hai aur jab usmē̃ mix kartē haĩ tō bhārī hō jātā hai aisē hī śhrīmat arthāt śhrēṣhṭh mat banātī haĩ . Manmat mix hōnē sē bhārī hō jātē hō . Isliē chalnē mē̃ mēhnat lagtī hai . Ataḥ śhrīmat mē̃ mix nahī̃ karō . Sadā halkē rahnē sē vatan key|kī sabhī scene-sīnariyā̃ yahā̃ rahtē huē bhī dēkh sakē̃gē . Aisē anubhav karē̃gē jaisē is duniyā key|kī kōī bhī scene spaṣhṭ dikhāī dētī hai . Sirph saṅkalp śhakti arthāt man aur buddhi sadā manmat sē khālī rakhō . Man kō chalānē key|kī ādat bahut hai nā . Ēkāgr kartē hō phir bhī chal paṛtā hai . Phir mēhnat kartē hō . Chalānē sē bachnē kā sādhan hai jaisē ājkal agar kōī control mē̃ nahī̃ ātā , bahut taṅg kartā hai , bahut uchhaltā hai , yā pāgal hō jātā hai tō unkō aisā injection lagā dētē haĩ jō vah śhānt hō jātā hai . Tō aisē agar saṅkalp śhakti āpkē control mē̃ nahī̃ ātī tō aśharīrī bhav kā injection lagā dō . Bāp kē pās baiṭh jāō . Tō saṅkalp śhakti vyarth nahī̃ uchhalēgī baiṭhnā bhī nahī̃ ātā hai kyā ? Sirph baiṭhnē kā hī kām diyā hai , aur kuchh nahī̃ . Abhī tō samajh rahē haĩ ki bahut sahaj hai . Buddhi kā lagām dēkar K|kē phir lē lētē hō is liē man vyarth key|kī mēhnat mē̃ ḍāl dētā hai . Vyarth mēhnat sē chhūṭ jāō . Bāp kō bachchō̃ key|kī mēhnat dēkh taras tō paṛēgā nā .
Sāhēb , bībī aur gulām
Bāp kahtē haĩ her|har bachchā bāp kē sāth takht par ārām sē baiṭh jāō . Takhtnaśhīn hōkar apnī sthūl śhaktiyō̃ aur sūkṣhma kō arthāt karmaindriyō̃ kō aur man , buddhi saṅskār sūkṣhma in śhaktiyō̃ kō bhī order sē̃ chalāō . Takhtnaśhīn hōṅgē tō order chalā sakē̃gē . Takht sē nīchē utar order kartē hō isliē karmēndriyā̃ bhī māntī nahī̃ haĩ . Ājkal kāṇṭō̃ key|kī kursī key|kī bhī halchal kar rahē haĩ . Āpkō tō takhtnaśhīn key|kī offer hai . Phir bhī nīchē kyō̃ ā jātē hō . Nīchē ānā arthāt servant bannā . Kiskā servant ? Apnē hī anēk karmēndriyō̃ K|kē servant K|kē bhī servant hō jātē haĩ . Isīliē mēhnat kartē hō . Īśhvarīy servant banō , īśhvarīy sēvādhārī banō . Servant K|kē bhī servant nahī̃ banō . Īśhvarīy sēvā takht par baiṭhē huē bhī kar saktē hō . Nīchē ānē key|kī jarūrat nahī̃ . Bāp apnē sāth biṭhānā chāhtē haĩ lēkin kartē kyā hō ? Saṅgamyugī sāhēb aur bībī bannē key|kī bajāē gulām ban jātē hō . Tō sachchē sāhib key|kī sachchī bībīyā̃ banō . Gulām nahī̃ banō . Jō sadā sabkī nazar sē bachī huī pardāpōś mē̃ rahtī , un par kisī key|kī nazar nahī̃ paṛtī . Tō māyā sē pardāpōś aur sāhēb kē sāth baiṭh jāō . Tō sabhī gulām āpkī sēvā mē̃ hāzar rahē̃gē . Samjhā - kyā karnā hai ? Āj mēhnat sē kinārā kar dō . Sadā sahajyōgī takhtnaśhīn bāp K|kē sāth-sāth baiṭh jāō .
Abhī gujarāt aur Indore āyā hai nā . Tō pardēpōś hō jāō arthāt indoor hō jāō . Indore vālē tō sadā in-ḍōr rahtē haĩ nā . Bāhar tō nahī̃ ātē haĩ nā . Harēk zone apnā-apnā vistār achchhā hī kar rahē haĩ . Gujarāt nē hall|hāl tō full kar diyā hai abhī gujarāt vālē kō full karō aur jaldī phir vatan mē̃ ārām sē baiṭhē̃gē . Ab tō samay K|kē pramāṇ brahmā bāp bachchō̃ kā āhvān kar rahē haĩ . Gujarāt vālē kyā karē̃gē ? Gujarāt vālē baṛē āvāz vālē mike yahā̃ lāō sthūl vālē mike nahī̃ , chaitanya mike . Aisē powerful mike K|kē set lāō jō pratyakṣhatā kā āvāz buland karē̃ . Achchhā , Indore zone kyā lāvēgā ! Indore zone aisē powerful T . V|we . set lāō jis dvārā viśhva kō vināśh kāl spaṣhṭ dikhāī dē aur bhaviṣhya ujval dikhāī dē . Samjhā , kyā karnā hai ? Aisē-aisē vyaktiyō̃ kō taiyār karō - jinkē anubhav key|kī T . V|we . dvārā duniyā kō vināśh aur sthāpanā kā sākṣhātkār hō jāē . Tō dōnō̃ hī zone aisē set taiyār karkē ānā . Aisē khudāī khidmatgār , sadā mēhnat sē mukt , sadā yuktiyukt saṅkalp aur karma karnē vālē , sadā bāp key|kī śhrīmat pramāṇ her|har saṅkalp aur karma karnē vālē , sadā kahnē aur karnē kō samān karnē vālē , aisē sadā bāp K|kē sāthī bachchō̃ kō bāp-dādā key|kī yād , pyār aur namastē .
Mahīn puruṣhārthī bhav
( avyakt bāpdādā K|kē madhur mahāvākya viśhēṣh teachers prati )
Teachers kā viśhēṣh puruṣārthīr kis bāt kā hōnā chāhiē ? Serviceable bachchō̃ kā mahīn purūṣhārth kyā hai ? Mahīn purūṣhārth hai - saṅkalp key|kī bhī caiṅkig . Saṅkalp mē̃ yād aur sēvā kā balance rahā ! Her|har saṅkalp powerful rahā . Serviceable bachchō̃ K|kē saṅkalp kabhī bhī vyarth nahī̃ hōnē chāhiē kyōṅki āp viśhva kalyāṇkārī hō , viśhva key|kī stage par act karnē vālē hō . Āpkō sārī viśhva copy kartī hai . Agar āpkā ēk saṅkalp bhī vyarth huā tō sabhī uskō copy karnē vālē haĩ . Apnē prati nahī̃ kiyā lēkin anēkō̃ kē prati nimitt ban gaē . Jaisē āpkō sēvā K|kē lift key|kī gift miltī hai , anēkō̃ key|kī sēvā kā share mil jātā hai . Vaisē hī agar kōī aisā kārya kartē hō tō anēkō̃ kō vyarth sikhānē kē nimitt bhī ban jātē hō . Isliē ab vyarth kā khātā samāpt . Jaisē ājkal science K|kē sādhanō̃ dvārā man key|kī ēkāgratā kō caik kartē haĩ nā . London vā anya sthānō̃ par kiyā nā - yē haĩ science K|kē sādhan . Lēkin āpkō her|har kadam mē̃ apnī caikiṅg K|kē sādhan sāth-sāth rakhnē chāhiē . Jaisē vah caikiṅg K|kē auzār sāth mē̃ rakhtē haĩ aur caik kartē samay ūpar ḍāltē haĩ . Serviceable bachchō̃ kō her|har samay caikiṅg kā sādhan sāth rakhnā chāhiē . Tō teachers bannā kōī chhōṭī-sī bāt nahī̃ hai , nām hī nahī̃ hai lēkin nām kē sāth kām bhī hai .
Sarv khazānō̃ key|kī economy kā budget banāō .
Savisaēbul bachchō̃ kā vyarth kabhī nahī̃ chalnā chāhiē . Agar āp hī yah kahē̃ ki vyarth saṅkalp ātē haĩ tō aur kyā karē̃gē ? Aur tō vikalp mē̃ chalē jāyēṅgē . Aisē tō harēk attention rakhtā hī hai lēkin ab mahīn attention chāhiē . Saṅkalp sē bhī sēvā hō . Agar saṅkalp śhakti kō sēvā mē̃ busy kar dētē hō tō vyarth automatically khatm hō jāyēgā . Jaisē ājkal K|kē youth group kō kōī-na-kōī kārya mē̃ busy karnē key|kī kōśhiśh kartē haĩ jissē yuvā śhakti nuksānkārak kārya mē̃ na chalī jāē . Kahī̃ bāriśh kā pānī vyarth jātā hai tō bāndh banākar vyarth bhī saphal kar dētē haĩ . Aisē saṅkalp śhakti jō vyarth chalī jātī hai uskō sēvā mē̃ busy rakhē̃gē tō vyarth kē bajāē samarth hō jāyēgā . Saṅkalp , bōl , karma va gyān key|kī śhaktiyā̃ kuchh bhī vyarth na jānī chāhiē . Tō aisē her|har saṅkalp , karma , bōl aur sarv śhaktiyō̃ key|kī economy karnē vālē hō nā ? Vaisē bhī laukik rīti sē agar economy vālā ghar na hō tō ṭhīk rīti sē chal nahī̃ saktā . Aisē hī agar nimitt banē huē bachchē economy vālē nahī̃ haĩ tō centre ṭhīk nahī̃ chaltā , vah huī had key|kī pravr̥itti yah hai bēhad key|kī . Tō caik karnā chāhiē extra kharcha kyā-kyā kiyā - saṅkalp mē̃ , bōl mē̃ , śhaktiyō̃ mē̃ . Phir uskō change karnā chāhiē . Mahīn purūṣhārth hai sarv khazānō̃ key|kī economy kā budget banānā aur usī K|kē anusār chalnā . Budget banānā tō ātā hai nā ? Jaisē sthūl khazānē kā pōtāmēl banātē hō , aisē yah sūkṣhma pōtāmēl banāō . Nimitt banē hō , tyāg kiyā hai uskā yah pratyakṣhaphal hai jō centre mil gayā , jigyāsu mil gayē , abhī aur āgē baṛhō . Jitnā kiyā hai utnā milā hai . Abhī phir pūjā aur bhakta āpkē charaṇō̃ par jhukē̃ . Abhī yah pratyakṣha phal dikhāō . Bāp-samān title bhī mil gayā , prakr̥iti bhī yathāśhakti dāsī hōtī rahtī hai abhī issē bhī āgē chalō . Yah pratyakṣhaphal prāpt zarūr hōtā hai lēkin isē svīkār nahī̃ karnā . Ab saṅkalp sē bhī sēvādhārī banō . Vāchā sēvā tō sāt din K|kē course vālē bhī kartē haĩ . Karmaṇā sēvā bhī sab kartē haĩ lēkin āpkī viśhēṣhtā hai mansā sēvā . Is viśhēṣhtā kō apnā kar viśhēṣh number lē lō . Sabhī santuṭ tō rah rahē hō aur santuṣhṭ rahnā bhī hai . Jahā̃ direction milē usī anusār chalnā . Yah bhī anēkō̃ kō pāṭh sikhānē kē nimitt ban jātē hō . Practical pāṭh sikhānē vālī hō , mukh sē nahī̃ . Jump tō achchhā lagāyā hai abhī kyā karnā hai ? Jump kē bād key|kī stage hai uṛnē key|kī .
Abhī vyakt mē̃ rahtē avyakt mē̃ uṛtē rahō . Uṛnā sīkhō . Jump kē bād uṛnē key|kī stage hai . Jump tō second mē̃ lagā diyā . Abhī kā purūṣhārth hī hai uṛnē kā . Sadā avyakt vatan mē̃ vidēhī sthiti mē̃ uṛtē rahō . Aśharīrī stage par uṛtē rahō . Jump kē bād bhī tō stage hai nā abhī us stage par chalō .
avyakt bāpdādā key|kī personal mulākāt ( Indore aur gujarāt zone )
1 . bāp dvārā kī gaī mahimā kā sumiraṇ karnē sē samarth stage kā anubhav - sadā apnē bhāgya key|kī mahimā K|kē gīt gātē rahtē hō ? Jaisē sthūl sādhāraṇ gīt bhī gātē haĩ tō kitnā khuśhī mē̃ ā jātē haĩ . Bhaktimārg mē̃ kīrtan kartē haĩ tō bhī kitnā khuśh hōtē haĩ . Tō āp sabhī bhī bāp dvārā kī gaī mahimā K|kē gīt sadā gātē rahō . Pahlē ham kyā thē aur bāp nē kyā banā diyā , usī kā sumiraṇ kartē sadā harṣhit rahō . Isī sumiraṇ mē̃ samarthī samāī huī hai . Kyōṅki bāp nē samarth banāyā hai nā . Jō svapn mē̃ bannā na thā , vah sākār svarūp mē̃ anubhav kar rahē hō isīliē bāp-dādā sabhī bachchō̃ kō lucky sitārē kahtē haĩ . Tō lucky sitārē hō nā ?
Sitārā kahā hī uskō jātā hai jō sadā jagmagātā rahē . Jō bāp dvārā śhaktiyā̃ va gyān kā khazānā milā hai usmē̃ jagmagātē rahō . Aisē hō ? Bādalō̃ mē̃ chhipnē vālē tō nahī̃ hō ? Sadā apnī chamak sē viśhva kō rōśhan karnē vālē hō nā ? Khuśhī-khuśhī sē purānī duniyā sē kinārā kar liyā hai . Ab purānī duniyā K|kē nivāsī nahī̃ hō , saṅgam yugī nivāsī hō . Tō purānī duniyā sē kinārā hō gayā hai yā karnā hai - kyā samajhtē hō ? Kōī purānē mitr sē milnē kē liē purānī duniyā key|kī chīzē̃ kharīdanē tō nahī̃ jātē hō . Ājkal bārḍar par khaṛē huē bhī kabhī-kabhī jānabūjh kar duśhman K|kē dēśh mē̃ chalē jātē haĩ . Āp bārḍar cross kar purānī duniyā mē̃ chalē tō nahī̃ jātē hō ? Naī duniyā sāmnē khaṛī hai , purānī duniyā kā kinārā kar chukē hō . Saṅkalp sē bhī purānī duniyā mē̃ nahī̃ jānā . Gayē tō phans jāyēṅgē . Isliē sadā apnē kō saṅgamyugī samjhō . Saṅgam par bāp yād āyēgā , varsā yād āyēgā .
Purūṣhārth mē̃ sva key|kī unnati aur sēvā key|kī bhī vr̥iddhi - dōnō̃ kā balance chāhiē . Dōnō̃ K|kē plans banātē rahtē hō ? Abhī kyā plan banāyā hai ? ( ujjain mē̃ kumbha mēlē par ādhyātmik mēlā ) mēlē key|kī dhūmdhām sē taiyārī kar rahē hō . Achchhā hai . Lēkin usmē̃ yah viśhēṣh attention rakhnā - mēlē kā vātāvaraṇ aisā śhāntmay hō jō halchal sē ghamsān key|kī vr̥itti lēkan ānē vālē mahsūs karē̃ ki kōī bhinn sthān par āyē haĩ . Chārō̃ ōr āvāz hō aur āpkē pās|pass aisā anubhav karē̃ jaisē śhānti K|kē kuṇḍ mē̃ pahũch gayē . Bāhar jō duty par hō vah bhī śhānti K|kē vardānī hōkar rahē̃ . Āpkē śhānti K|kē vibrations unkō śhānt kar dē̃ . Issē sārē mēlē mē̃ yah āvāz hō jāyēgā ki dō minute kē liē gayē lēkin achchhī hī śhānti kā anubhav karkē āyē . Jaisē śhurū-śhurū mē̃ sthāpanā K|kē samay jō ātē thē , tō ōm key|kī dhvani sē mahsūs kartē thē ki yah kōī śhānti kā sthān hai . Aisē is mēlē mē̃ śhānti kā anubhav karē̃ . Mēlē mē̃ jō ātē haĩ unkā mood|mūḍ hī kuchh ōr hōtā hai . Vah mēlā tō hai jaisē bāzār , usī rūp sē aśhānti sē ātē haĩ aisē kō śhānti kā anubhav karānā bahut jarūrī hai jissē viśhēṣhtā lagē .
Sabhī kō snēh sē nimantraṇ jarūr dēnā - āpkā snēh dēkh karkē sab khuśh hōṅgē . Kōī kaisē bhī bōlē lēkin āp lōg śhānti sē , snēh sē bōlē̃gē tō uskā bhī prabhāv paṛēgā . Samay prati samay stage par āyē huē dēkh andar sē māntē haĩ . Abhī sabkī ôkhē̃ thōṛā nīchē huī haĩ , sir nahī̃ jhukā hai . Abhī sā̃ḍō muāphik aisē nahī̃ dēkhtē haĩ . Ākhir tō sab jhuknē vālē haĩ . Sabkā jhuknā arthāt jay-jayakār hōnā . Phir krānti kē bād śhānti hō jāyēgī . Abhī jhuknē kā pahlā pose huā hai , ākhirin pāṅw tak jhukē̃gē .
2 . rahm dil bāp K|kē rahm dil bachchō̃ kā karttavya hai - sabhī kō ṭhikānā dēnā : sabhī nē bhikhārīpan key|kī jīvan kā bhī anubhav kiyā aur ab mālāmāl ban gayē hō . Mālāmāl bannē vālē bachchē kisī kō bhī dēkhē̃gē tō rahm āyēgā ki is ātmā kō ṭhikānā mil jāē . Inkā bhī kalyāṇ hō jāē . Tō jō bhī samparka mē̃ āyē usē bāp kā parichay jarūr dēnā . Jaisē kōī ghar mē̃ ātā hai tō usē pānī tō pūchhā jātā hai nā ! Agar aisē hī chalā jāē tō burā samajhtē haĩ nā ! Aisē hī samparka mē̃ jō āyē tō usē bāp K|kē parichay kā pānī jarūr pūchhō . Thōṛā sunāyā tō pānī pūchhā - saptāh course karāyā tō brahmā bhōjan karāyā . Kuchh-na-kuchh dēnā jarūr . Kyōṅki dātā K|kē bachchē hō .